Bahaar Ke Din By Amreen (No Comments)!

amreen1409 thumbnail
Anniversary 19 Thumbnail Group Promotion 4 Thumbnail + 3
Posted: 18 years ago

Ammi ko uski shaadi ki bari fikar thi, jo bhi aata unse apni fikar share karti, "Zara aap Ambreen ke liye larka dekhein, sab se yehi kehti.  Ammi ko ziyada tar Ambreen ke dabte rang se darr tha.  Usay bhi ammi ki har waqt ki fikar se chirr thi.  Abhi uski umar bhi shaddi ki naa thi, ek to usne abhi matric ka imtehan diya tha aur sooch rahi thi ke ab ke holidays acchi tarha maanaongi, Api ke paas bhi jaake rehne ka plan sooch rakha tha.  Ammi apni fikar mei ye bhi har baar kehti ki sheereen ke liye itna accha rishta aaya tha ayese kassh ambreen ke liye bhi aajaye.  Aur ek din Allah ne unki sunli.  Shereen aapi saas milne ke liye aayi thi aur Ambreen ka rishta apne doosre bete, Adil ke liye maanga.  Wo apni MBA ki parhayi ke liye America jaaraha tha 5 saal ke liye, aur wo chahte thay ki uske jaane se pehle uski shaadi kardein.  Ammi ko kya tha, wo to bohat khush thi aur Shereen api bhi apne saas ki tareef karte na thakti thi.  Ambreen ko jahan apne api ke saath rehne ki khushi thi wahan ye bhi afsoos tha ke wo apni choti behan ke saath guddi gudia ki shaadi na kar sakegi kyun ke ab uski hi shaadi ho rahi thi.  Usko Farheen ke akele hojaane ka roona araha tha, phir ye soonch kar sukoon tha ke ammi ke liye accha hai wo apna poora waqt Farheen ko dia karegi. Waise bhi abbu ke job jaane ke baad wo apne kamoon mei busy rehti thin.  Mashallah se unke 3 Beitiyaan theen, Shereen, Ambreen aur Farheen.  Shereen ki shaadi ko do saal hogaye thay unki ek bohat pyara beta hai, Humza jo sabka chaheeta hai.

 

Dekhte hi dekhte shaadi ka din bhi aagaya aur wo jo shereen api ke sasural holidays mei rehna sooch rahi thi wo hamesha ka hogaya aur wo unke ghar bahu ban kar aagayi.  Adil ko jaise ek jhatka sa laga jab usne Ambreen ko dekha.  Wo Shereen ko dekh kar samjha tha ke unki behan bhi waisi hi hogi.  Itefaq se wo Ambreen ko phele kabhi na dekh saka.  Jab wo loog kabhi ghar aatay to wo ghar se bahar hota aur Rahil aur Shereen ki shaadi mei itna busy tha ke mauqa hi nahi mila.  Aur jab aaj ambreen ko dekha to usko wo zara bhi pasand nahi aayi, aur khaas kar ke uska sanwala rang, usko to bohat hi gori rang ki larki chahiye tha. Wo bas itna hi keh saka ke "aap jaakar apna dress change karlein."  Jab Ambreen wapis aayi to wo soo chukka tha aur wo ek tik Adil ko dekhte rehgayi.  Wo bohat khush thi usko itna handsome shuhar mila, wo to Farheen ke saath gudda guddi se khelti rahi aur usko pata bhi na tha ke kismet uske saath kya khel khelrahi hai.

 

Lekin wo sab baton se befikar ye sooch kar ke shaadi sirf acchay kapre pehnna aur sab se hans kar baat karna ka naam hai, khush hojaati thi.  Adil usey waqt hi nahi de raha tha, wo to apne jaane ki dhum mei laga tha, usay Aagaji aur ammi ji par bohat gussa tha ke unhoonne jaldi mei uski zindagi karaab kardi hain.

Dekte dekhte, uske jaane ka waqt aagaya, uske jaane ke baad ambreen bohat udaas hogayi jab ke wo kabhi ussay pyaar ki baat to kya seedhi seedhi baat bhi nahi karta tha.  Aagaji aur ammi ji ko Ambreen aur adil ki kamooshi bohat kuch keh gayi, aur wo khud ko ambreen ka mujrim samajhne lage.  Wo dono usko bohat pyaar karte thay aur usko pyaar se Abi pukarte thay aur phir uska naam Abi hi hogaya.  Jaise waqt guzar raha tha wahan aaga ji ko abi ki fikar ho rahi thi aur phir unhein hal mil hi gaya, aur unhoon ne usey college mei dakhila karadia.

 

Phir wo college jaane lagi ussey uski udaasi bhi door hoti rahi, aur phir Sheereen api ke bete se dil lag jaata tha, aur bhi ek doost tha uska, wo tha uska sabse chota devar, Sharjeel jise sab Shajji kehte thay.  Wo usi ki umar ka tha aur un dono ki bohat acchi doosti hogayi thi. Adil ka kabhi kabhi phone aata tha aur wo hamesha ussey ek ajnabi ki tarah baat karta tha jisse wo bohat udaas hojati thi aur Sharjeel usey hasaya karta tha.  Adil bhi apni parhayi kar raha tha aur ye phir waqt guzarta jaaraha tha.  Abi kabhi apni ammi to kabhi apne sasural mei rehti thi.  Ghar mei wo sabki chaheti ban chuki thi, Adil ki ek phopu jo bewa thi wo bhi sab ke saath rehti thein aur Aaga ji ke bachoon ko apni aulad samjhati thi, unki khud ki koyi aulad nahi thi.  Wo bhi Abi ko bohat chahti thi, aur Abi bhi sab ke kaam bohat khushi se karti thi, par jisey chahna tha wo to bohat duur ja beitha tha.

 

Isi tarah saal guzarte gaye, api ko humza ke baad Anas aur phir ek guria hogayi jiska naam Mariam rakha.  Wo to jaise sabki ankhoon ka tara bangayi thi, ammiji aur aagaji ki khushi ki inteha na thi.  Unke ghar ek bhi beti na thi, Allah ne unko 4 bete diye, ab ek guri bhi milgayi thi.  Abi bhi college se aane ke baad ise hi khelne lagti thi.  Wo jab bhi test hota to maike chali jaati kyun ke ghar mei api ke larke parhne nahi dete.  Ye saal uskay studies ka last year tha aur wo bhi parhayi bhi bohat busy hogayi thi aur us par Adil ke doosre bhai, Nabeel bhai ki shaadi ki tayari shuru hogayi thi.  Phir se jaise ghar mei khushiyoon ke rang phelgaye, har koyi bharh char kar hissa leraha tha.  Khushi bhi to 5 saal baad aayi thi, in saloon ne abi ko bhi bohat kuch dia. Wo ab pehle jaisi na rahi thi, aankh naksh to pehle se hi acchay thay bas nahi tha to wo rang jo shaadi ke baad khil sa gaya tha.  Jo bhi dekhta wo apni nazar hatana bhool jaata, aur wo sab se ghul mil kar bohat baatein karne lagi thi par uski masoomiyat aur bachpana nahi gaya tha.  Har waqt kisi na kisi se baatein karti aur har kisi ko hasaya karti, kabhi api to kabhi Biji jo apni halaat se chirchiri hogayi thi aur aksar gussey mei rehti thi.  Phir bhi Abi ayese mei bhi unse batein karti aur unke gussay ka maza letein.

 

Shaadi ki tayyari chal rahi thi, sab apni tayyarioon mei thay. 

 

Abi bhi api ke saath jaa kar shaadi waale din ka lengha leaayi, aamiji ko batane ke liye taizi se seerioyon se utar kar jaise hi angan mei aayi, ek dumse kisi se takraagayi, usko to din mei tare nazar aagaye,

"dekh kar nahi chal sakte? Meri naak shayed toot gayi, Kaun hai aap? Na koi dastak na awaaz, ayese kaise andar chale aaye?" 

 

Wo bhi thaka hua tha, ek to itni zor se takkar hojaane par aur uske itne sawaal se ek dum gussey mei aagaya.  "Mujhe apne ghar mein aaney ke liye kisi se bhi ijazat ki zaroorat nahi hai." 

 

Ye keh kar wo ruka nahi, aur wo usey hairat se dekhte rehgayi.

Phir wo jaise hi ammi ji ke paas gayi, wo khushi se Abi ko gale se laga kar kehne lagi ke "Abi, Mera beta Adil wapas aagaya!!!!!"

To be continued!!!!!!!!!!!!!!!!  Stay Tuned!

Edited by amreen1409 - 18 years ago

Created

Last reply

Replies

4

Views

71321

Users

1

Frequent Posters

amreen1409 thumbnail
Anniversary 19 Thumbnail Group Promotion 4 Thumbnail + 3
Posted: 18 years ago

Ammiji apni khushi bata rahi thi par wo najaane kis sooch mei thi.  Ammi ji usko keh rahi thi ke "aaj wo thaak gaya hai, kal tum usko apne ghar Ammi aur Abbu se milana."

Abi: lekin ammiji kal subah to mera test hai

Ammiji: "accha theek hai, usko Shajji le jaayega", ammiji ye keh kar kitchen mei chali gayi.  Wo bhi unka haath batane lagi.  Ghar ka kaam karne wale aur bhi loog thay magar pakwan Ammiji, Shireen aur Abi milkar karte thay kyun ke Aagaji ko ghar ka pakwan pasand tha.

Apna kaam khatam karke wo chatt par chali gayi, aur phir apne khayaloon mei gum hogayi aur soochne lagi…

"Ye kaisi khushi hai, jo dil ko udaas karne lagi,
Kuch is tarahse mere, Khayaloon pe oos (fog) ghirne lagi,
Dil kehta hai ke bhool jaaon, wo saare zakham,
Wo khwab jo thay, adhoore aur thay kuch kam,
Kaise bhooloon wo sawan ke mahinay,
Kaise bhool jaaon wo tanhai ki raatien
Har pal dil ko intezaar tha tere aane ka,
Ye kitna beichain tha teri dastak ka.
Kitne be-awaaz thay tere khadam,
Na jaane kyun meray aankhoon ko kar gaye nam."

Wo guzre saloon ko yaad karke bohat udaas ho rahi thi. Aagaji se lekar sab ki mohabat uske saath thi phir bhi wo udaas ho jaaya karti thi.  Ayese waqt wo ziyada udaas ho jaati jab uski dost Nadia uske magetar Faraz ke barey mei baatati, kitni mohabat thi usko Faraz se, wo bhi to Nadia ko har waqt tang karta rehta tha. Roz jab wo college se ghar jaati, uska pehla kaam Faraz ko phone karna hota phir wo ghantoon aane waale dinoon ki planning karte.  Nadia jab Abi ko Faraz ki batein batati to wo dil mei bas sooch kar reh jaati ke Nadia apni aane wali zindagi ke liye kitni kush hai, aur meray paas kya hai? Adil ne mujhe kya dia? Kabhi phone par baat hoti to bhi ajnabioon ki tarah.  Wo to kabhi apni guzri huyi zindagi pe udaas hojaati to kabhi use aane waali zindagi ki bhi fikar ho jaati. Kya ho agar Adil kabhi mujhse pyaar hi na kare??  Wo bohat dair tak chatt par yehi sooch kar tehla kartien. 

Aur aaj bhi wo Ammiji ko apna wada yaad dilakar chatt par chali aayi, Ammiji kitne pyaar se usko samjah rahi thi ke "ab Adil laut aaya hai, to mujhe darr hai ke tum apne bachpan se use kho na do, isiliye mei chahti hoon ke tum sab bhool jaao aur apni nayi zindagi shuru karo."

Abi: Nahi Ammiji, aapne mujhse waada kia tha, phir ab poora karein.

Ammiji: "lekin bete, mei tumhari behtari ke liye hi ye sab keh rahi hoon" wo bhi choti bacchi ki tarah zidd kar rahi thi.  Aagaji jab apne dost ke ghar se wapis aaye aur ye baatein suni to kaha: "Nahi begum, humne jo apni beti se waada kia, use poora kareinge, hum apni beti ke liye bacche ban jaayenge" aur muskoraate huye Abi ke sir par haath rakha. Aagaji ki baat sun kar Ammiji bhi kamoosh hogayi aur phir muskorate huye kaha: theek hai jo aap dono chahein, aur Abi unke gale lag gayi.

"Aye Abi ki bacchi, yahan kya kar rahi ho?" Wo jaise apne khayaloon se choonk si gayi.  Usko dhoondte huye Shajji chatt par aaya tha. 

Abi: "Kuch nahi din mein taare gin rahi hoon", wo udaas hote huye bhi Sajji se chupa rahi thi. 

Shajji: "Udaas ho?"

Abi: "tumhein kaise pata chala? Koi jasoos rakha hua hai mere liye?"

Shajji: "bhai hum to larkiyoon ke dil ka haal yun pe jaan jaate hain…" wo Abi ko tang kar raha tha use pata tha Abi ko ye batein sun kar bohat gussa aata tha. Wo bohat dair tak larti thi ke larkiyaan khiloona nahi hoti, phir kyun tum loog uske dil se khela karte ho.  Aur Shajji ko bohat maza aata ussay behas karne mei, jabke koyi larki rehti nahi phir bhi wo koyi na koyi naam se usko cherrta rehta.

"tumhein pata hain Abi, Zaara ki ankehin bohat pyaari hain, jab wo pyaar se mujhe dekhti to mera dil chahta hai ke uski aankhoon mei dhoob jaaon" to phir kabhi kisi ke hoont ki tareef hoti.  Aaj bhi wo usko cherr raha tha lekin wo apni pareshani mei thi. 

Shajji: "kya sooch rahi ho bhabi ji? chehre pe baara kyun baj rahe hain?"

Abi: "Mere nahi kisi aur ke chehre pe baara bajne waale hain"

Shajji: "kya baat hai?"

Abi:  "hai ek baat, wada karo ke saath doge?"

Shajji:"banda har waqt tayar hai," Abi ke chehre pe muskaan aagayi, phir wo shajji ko

apna plan batane lagi.  Dono kuch kehte phir hanste aur phir dono mei kuch taiy hogaya.

Raat ka khana khane ke baad sab loog living room mei beith gaye.  Abi sabke liye chai lekar aayi, Aagaji usko dekh kar kaha ke "ye Abi hai, hamari bohat hi pyaari aur mehnti beti," Adil kuch samjha nahi par usko dekh kar ussey Ambreen ka khayal aaya aur sabse Ambreen ke bare mei poochne laga. 

Adil: Ye Ambreen kahan hai?

Aagaji ke jawab dene se pehle hi Shajji ne jhat se kaha ke "bhabi ke exams hain aur wo unke ghar mei hain."

Aaga ji apni muskorahat ko chupatay huye Adil se kahne lage ke wo kal Ambreen ke ghar milne jaayein.  Wo jaana to nahi chah raha tha, lekin ye sooch kar Aagaji ka dil dukhe ga, pehle hi usney un loogoon ka bohat dil dukhaya hain.  In paanch saloon mei Aagaji usko bohat bhode nazar aarahe thay.

Wo dil hi dil mein ab bhi Aagaji aur Ammiji se naraaz tha kyunke wo ab bhi Ambreen ko qubool nahi kar paaya tha.  Wo ye sab soochte huye "jee behtar" hi keh saka, aur Shajji muskuratey huye: "Aap aur mein kal shaam ko chaleinge bhabi se milne."

Baatoon hi batton mei raat ka pata hi nahi chala... aur phir ahista ahista sabhi loog soone chale gaye. Adil bohat thak chukka tha wo sabse pehle hi apne kamre mei jaakar soogaya.  Biji apne kamre mei chali gayi aur unke peechay peechay Abi bhi chali aayi.

Biji: tum yahan kya kar rahi ho, soona nahi hai?

Abi unse lipat kar kehne lagi ki "aapke saath sone ki adat jo hogayi hai." Biji Adil ki gair haziri mei Abi ke saath uske room mei soti thi.

Uske akele ho jaane ka khayal sabhi rakha karte thay aur aaj Adil ke aajane se biji apne kamre mai chali gayi thi.  Aur usko to jaise Biji se baatein karne ki adat si hogayi thi aur aaj bhi wo bohat dair tak Biji se baatein karti rahi aur thori dair baad Shaajji bhi chala aaya aur wo dono Biji ki kisse sunnete rahe. 

Raat ka pata hi na chala aur Biji ke kehne par wo apne kamre mei chali aayi... kamre mei Adil bohat gehri neend me soo raha tha.  Jab Adil ko dekha to usko wo din yaad aagaya jab Ammiji uske lambay baloon mein tail lagate huye keh rahi thi ke "Hamari Abi bohat badal gayi hai jab Adil dekhega to pehchan na sakega.

Abi: Sach Ammiji? phir aap waada karein ke agar wo naa pehchanein to aap bhi unko nahi batayeingi ke mein Ambreen hoon."
 

Ammiji: "ye kya baat huyi" 

Abi: "mera matlab hai ke Adil khud mujhko pehchanein." Ammiji aur Aagaji uski baat mazakh samajh kar khamoosh hogaye thay.  Par usi din se wo soochne lagi thi ke agar ayese hoga to wo Adil ko bohat tang karegi… aur hairan thi ke sach mei wohi sab ho raha hai. Wo ye sab baatein soochte soochte so gayi.

Adil ne jab karwat badli to taizi se bed ke neechay utar gaya.  Uske saamne Abi mazay se so rahi thi. Wo use hairat se dekhne laga, jab se aaya tha har kisi ki zubaan par uska naam tha. Har koyi Abi ye karo to kabhi wo.  Kabhi Ammiji to kabhi Aagaji koyi na koyi farmayesh karte.  Ye Abi na huyi koi jin hogayi, aur uske dil mei kayi baar aaya ke pooche ye Abi kaun hai, jo har koyi itne pyaar se pukar raha hai aur wo daudi chali jaarahi hai. 

"Lekin meine to is Jin ko nahi pukara phir ye yahan kyun? Shayed galat fehmi mei yahan so gayi… ghalti meri bhi to thi, razaayi mei mou chupa kar jo soo raha tha. Ab kya karoon? Usey uthaya to ye mere bare mei kya soochegi, aur mei yahan se nikhla to sab kya soocheinge."
 

Yehi soonch mei wo raat bhar so na saka.  Aur phir subah hotay hi kamre se bahar nikal aaya. Aur phir Aagaji ke saath Fajr ki namaaz ke liye chalagaya.  Phir namaz ke baad wo sab doostoon se usko milane lage.

Wahan se aane mei kaafi dair hogyi thi.  Ammiji nashta bana rahi thi aur wo bhi ammiji ka haath bata rahi thi.  Phir Aagaji aur Adil nashta karne ke baad, Adil sone chalagaya aur Ammiji ke bed par jaakar soogaya aur Abi college chali gayi.  Jab Adil jaaga to usay wo nazar nahi aayi.  Aagaji adil ko bula kar keh rahe thay ke wo Ambreen ke waladain se milne ke liye jaaye.  Jab Shireen Api ko maloom hua to wo bhi chalne ke liye tayyar hogayi.  Shajji Biji ke kamre mei jab aaya to wo neend lene ke liye leti thi, aur wo chupkse Biji ka chasma utha kar legaya.

Ghar se nikalne se pehle Abi ke ghar Shajji ne phone karke batadiya tha ke wo loog 5 baje tak aarahe hain.  Abi bhi college se aate hi apni tayarioon mei lag gayi.  Sab loog paanch baje tak aagaye.  Shajji Biji ka chasma dene ke liye jaise hi uske kamre mei aaya, Usay dekh kar hans dia.  Aray tum to bilkul hi badal gayi ho. 

Abi: Tumhein pata hai Shajji, ye wig jab mein college mei bikhaaran ka role kiya tha tab ki hai!

Us wig mei aadhay white aur aadhay black baal thay aur usne uski chutiya bana daali thi aur apne rang ko badal liya tha…

Shajji: Tum to ab bhi bikharan lag rahi ho

Abi: Theek hai theek hai, wohi to banna tha, accha abhi batein na banaoo aur mujhe tayyar hone do.

Itne mei Api andar aayi aur kehne lagi, "dekho Abi, tum ye theek to nahi kar rahi ho, phir bhi mei tumhara saath de rahi hoon.  Ammi ko pata chalega to bohat gussa hogi."
 
Abi: Aur Api wo jo unhoon ne kia wo theek tha?

Api: Haan wohi to sooch kar tumhara saath de rahi hoon.  Ammi kitchen mei gayi huyi hain, mein unko busy karti hoon tum apna khel jaldi se khatam karlo aur wo phir chali gayi.

Jaise hi wo living room mein gayi, Adil to Jaise jam sa gaya jab Shajji ne usko bataya ke "Ye hamari Ambreen Bhabhi hain!!"

To be continued -- promise to update early this time! 😊😳

--Amreen

Edited by amreen1409 - 18 years ago
amreen1409 thumbnail
Anniversary 19 Thumbnail Group Promotion 4 Thumbnail + 3
Posted: 18 years ago

Jaise hi wo living room mein gayi, Adil to Jaise jam sa gaya jab Shajji ne usko bataya ke "Ye hamari Ambreen Bhabhi hain!!"

 

Farheen ka hasna shuru hogaya… Ambreen Salaam karke Adil ke paas jaa beithi aur usse sharmate huye dekhne lagi.  Adil ko to samajh hi nahi aaraha tha ke wo kuch bole, phir Ambreen hi ussey uski parhayi ke bare mei poochne lagi.  Biji ke Chashme aur kala rang lagane se uska chechra kuch madham sa lag raha tha aur aankhein bohat bari lag rahi thi aur use blur nazar aane se wo apni aankhein phaar phaar ka use dekh rahi thi.  Aur Shajji ko apni hansi rookni bohat mushkil lag raha tha aur dil hi dil mein wo uski acting ki tareef kar raha tha.

Ambreen: Aap ki yaad mei rotey rotey mere chashme ka number bar gaya, aur baal bhi thoray safed hogaye hain…

 

Adil (hairat se):  Kuch??

 

Ambreen (sharmaate huye): Kuch ziyada hi… aur ajeeb tarah se hansne lagi…

 

Itne mei hi Shereen kuch namkeen lekar aayi aur kaha ke Ammi abhi aarahi hain, ye sunte hi Abi ne kaha: aap khayein mei aapke liye acchi si chai bana kar laati hoon aur ajeeb se andaz se andar chali gayi.  Aur Adil thori pareshani aur thorey gusse se usey dekhta reh gaya.

Phir Ambreen saamne nahi aayi aur Adil is baat se khush tha, Jahan Ammi ko uspar gussa aaraha tha, wahan Adil ko khushi horahi aur wo jaldi se chai khatam karke jaane ki ijazat maang raha tha.  Ambreen ko pata tha ke Ammi usko bulayeingi, isiliye wo bathroom mei chali gayi aur unke jaane tak bahar nahia aayi. 

Farheen: Baji, aapko Ammi bula rahi hain, bohat gussay mei hai

 

Ambreen: Tumne Ammi ko kuch bataya to nahi?

 

Farheen: Nahi Ammi wo isliye gusse mei hai ke Adil bhai aapka intezaar karke chale gaye hain… wo masoomiyat ke saath bata rahi thi.

 

Ambreen: Theek hain, waise meri jaan, Aaj jo hua uska zikar ammi se na karna.

 

Farheen ne accha keh kar apna sir hiladia, aur ammi ki awaaz dobara sun kar Ambreen unse milne chali gayi.

 

Abi ke exams shuru honay waale thay aur 15 din pehle hi tayyari ke liye chuttiyaan mil gayi theen.  Ammi ko bata kar wo college se seedha hi Agha Manzil chali aayi, jahan aaj kal shaadi ki khoob tayyariyaan chal rahi theen.

 

Ghar mei jab dakhil huyi to khamoshi thi, phir living room mei Agaji nazar aaye jo newspaper parhne mei busy thay.  Wo unko Salaam karke Ammiji aur Shereen Api ko poochne lagi, Agaji ne use bataya ke wo subah se hi shopping ke liye gaye huye hain.  Phir wo Biji ke kamre mei chali gayi.

 

Doosre din subah se hi halki halki barish horahi thi, shaam ko Agaji ussey pakooroon ki farmayesh karne lage aur wo ji behtar keh kar kitchen mei chali gayi.  Adil jab seeriyoon se neeche aaya, Biji apne kamre ke saamne ek takat par beithe Chahliya (supari) kaat rahi thi aur saath saath kaam karne waali maasi par kuch gusse se keh rahi thi.  Adil unke paas se jab guzra to kuch ajeeb sa laga aur wo hairat se unhein dekhne laga;  Biji ki aankhein jo chashme se bari lag rahi thi, usko Ambreen ki aankhein yaad aagayi aur ye chashma bhi… "Aye larke ayese kya dekh raha hai"  Biji shuru hogayi thi jo pehle se hi gusse mei thi,

 

Adil: Kuch nahi Biji bas…

 

Biji: Kya zamana aagaya hai, pehle to bacche baroon ke saamne nazrein neechi karke baat karte thay, ab to koyi izzat hi nahi, ayese ghoor ghoor kar dekh raha hai jaise ke pooch raha ho abhi tak zinda kyun ho?

 

Adil kuch Sharma sa gaya

Adil: Nahi Biji aapka Chashma… aur kuch kehne hi waala tha ke

 

Abi:  Jaane dein Biji, itne acche mausam mei apna dil kyun jala rahi hain, bohat loogoon ko dekhna ka tareeka nahi aata, isiliye hairat nazar aati hai, aap ye lein pakore.

 

Abi ye kehte huye Biji ko chai aur pakore dene lagi.  Adil gusse se usko dekhte huye aagay chal dia.  Usey darr tha ke Biji phir se shuru na ho jaayein aur wohi hua, use dorr tak unki awaazein sunayi de rahi thi, "is ghar mei Abi beta tum hi ho jo mera khayal karti ho"…

Adil teezi se bahar nikal gaya aur Agaji ke paas aakar beith gaya aur pakore kahne laga.  Pakore bohat mazedaar thay, aur poochne par Agaji ne bataya ke Abi beti ne banaye hain.  Ye sun kar jaise uska mou karwa sa hogaya, wo jaldi se chai peene laga.

 

Adil: ye Abi hai kaun, jo ghar ki har cheez par haq jatati rehti hai?

 

Aagaji: thora sa ghabrakar, wo Biji ke devar ki beti hai par hai bohat pyaari aur lagta hai jaise apni hi beti ho… baat badalte huye, aur batao, gaye thay Ambreen ke ghar?  Use lekar kyun nahi aaye?

 

Adil: haan gaya tha, wo wahin theek hai.  Wo us din ke qisse ko yaad bhi nahi karna chahta tha aur kuch kaam ke bahane se uth kar chala gaya, aur Aagaji muskoraane lage.

 

"Itne din se shopping kar rahe hain, phir bhi kuch na kuch reh hi jaata hai" ammiji ki baat sunkar Shireen Api muskurakar kehne lagi, "Chalein aaj saari khatam kar lete hain," "Haan, Abhi se bhi kehdo ke wo bhi jaldi se tayyar hojaaye, phir raat ko bhi meine Mehndi daalne wali ko bulaya hai," Ammiji ko in cheezoon ka bohat khayal rakhti theen, Shereen api ko pata tha ke Abi Biji ke room mei hi hogi, aur wo seedhey wahin chali gayi.  Abi Shajji se kisi behas mei masroof theen, "Chalo Abi jaldi se tayyar ho jaao, shopping jaana hai"

 

Abi: Ji Api, Chalo Shajji tum bhi saath chalo

 

Shajji: Nahi mujhe nahi chalna itni garmi mein, mujhe to maaf karo

 

Abi: Mei bore ho jaaongi, ab chalo bhi

 

Shajji: Kyun mujhse thori shopping karogi, apne Adil ke saath jaao naa wo bekaran wali wig mei

 

Abi (hansi chupate huye): bakwas na karo abhi, aur chup chaap mere saath chalo ab.

 

Shajji: Accha baba tumse kaun jeet sakta hai bekaran bhabi!

 

Raat ko wo Mehndi lagane ke liye tayyar thi, saath saath gaane bhi gaye jaarahe thay, aur ye silsila kaafi dair raat tak jaari raha.  Phir soone ki tayyari shuru hogayi, Abi hamesha ki tarah Biji ke kamre mei chali gayi, Biji ki tabiyat kuch theek nahi thi, isiliye wo unke paas beithi rahi aur phir Biji ke soone ke baad apne kamre mei chali aayi.  Adil sogaya tha, aur wo bhi bohat thak gayi thi aur jaldi sogayi.

 

Adil tarap kar uth beitha, usko ayese laga jaise koyi uske kammar par chaku se maara ho, job dekha to Abi neend mei razayi lene ki khoshish kar rahi rahi thi aur uski kooni se Adil ko lag gayi thi.  Adil ko apna gussa zabt karna bohat mushkil ho raha tha, "ye bande ko koyi kyun nahi samjhata ke ye mera karma hai, jab dekho mou utha kar chale aati hai" wo gusse se laal ho raha tha aur Abi maze se so rahi thi.

"Accha khasa America mei tha, Aagaji ke kehne par chala aaya" wo jal kar Abi ko dekhne laga aur phir uski nazar uske Mehndi bhare haatoon par pari, usko apni shaadi wali raat yaad aagayi, aur phir saath saath gussa aur udaasi bhi chah gayi, "Ammi ko jaise mujh par bharosa hi nahi tha, ayese lag raha tha jaise mei parhayi ke liye nahi gori se shaadi karne jaaraha hoon, aur yahan Nabeel bhai ko doctor banne dia aur abhi araam se larki dekh kar shaadi kar rahe hain.  Aur meri shaadi jaldi mei karke meri zindagi karab kardi sab ne, thora to meri parhayi katam hone ka intezar karte, phir mujh ko bhi koyi acchi si larki mil hi jaati, koyi na sahi to Abi…"

wo usey dekhe hi jaaraha tha, pehli dafa uske masoom chehre ko sahi se dekh raha tha, uski pyaari aankhein aur hoont… usko apni badalti soonch par hairat huyi aur wo jhat se kamre se bhar aagaya.

To Be Continued -- Next Part Be Up In 2 Days!

--Amreen

Edited by amreen1409 - 18 years ago
amreen1409 thumbnail
Anniversary 19 Thumbnail Group Promotion 4 Thumbnail + 3
Posted: 18 years ago

Gheri neend se usko koyi jhinjhor raha tha, ankhein kholne par Abi nazar aayi…

Abi:  Agaji aapko bula rahe hain aur keh rahe hain ke "is larke ko apni zimedari ka koyi ehsaas nahi, jab dekho soota rehta hai, Ghar mei kya chal raha hai, koyi khabar nahi…" 

Wo usey dekhe hi jaaraha tha, aur sooch raha tha ke Agaji ne to aaj tak ayesa kuch nahi kaha, shayed aaj bohat hi gusse mei ho, wo jhat se couch se utar kar Aagaji se milne gaya, phir pata chala ke Agaji subahse ghar par hain hi nahi, Abi ko gusse se dekha to wo muskora rahi thi aur Adil ko gussa aagaya, wo apne aap mei kuch kehte huye andar chala gaya.


"Dil mere liye phool laa doona," wo bare pyaar se Adil se keh rahi thi jo Fridge se paani le raha tha, "Kya kaha?" wo thora gussa aur thori hairat se poocha, "Dekho na aapka naam hi ayesa hai, Aa Dil, jaise koyi dil ko pukar rahe ho aur abhi mera ayesa koyi irada nahi," wo sukoon se dining table par haath rakh kar nail polish laga rahi thi, Adil usko kha jaane wali nazroon se dekh raha tha, usko apna naam bohat pasand tha aur aaj Abi ne uske naam ke tukre kardiye.  Shereen Api jo Anas ko khana khila rahi thi, kehne lagi ke "haan Adil, ayesa karna ke hum sab ke liye phool le aana aur thoray zidaya laana, aaj mehndi mei bhi le jaana hai",  Ji bhabi kehte huye bahar jaane laga, "Mere liye special banayein," Abi ne peechay se awaaz lagayi, wo gusse se bina ruke bahar nikal gaya.  Shereen api muskorakar Abi ko aankh dekhaane lagi aur phir Adil ke jaane ke baad wo dono hansne lage.


Adil jab wapis aaya to sab tayyar thay, Shereen ko phool dekar tayyar hone apne kamre mei chala aaya.  Kamre mei jab dakhil hua to dekha ke uske kapre istari kiye huye thay, wo samjha ke shayed Ammi ne rakhe hoon aur befikari se tayaar hogaya.

 

Jab Mehndi ki rasam shuru huyi to dulhe ke saath Adil bhi chala aaya, dulhan ke koyi cousins aur friends usko dekh kar bohat impressed ho rahi thi.  "Yaar Simmi, ye dulhe ke saath kaun beitha hai?"  Sameera jo dulhan ki behan thi kehne lagi, "Ye Adil bhai hai Nabeel bhai ke chotay bhai jo abhi America se aaye hain,"  "To hamara bhi taroof karao naa, unse bhi baat hojaaye,"  Abi jo in ke kareeb mei beithi thi, ye sun kar usey hansi aagayi, kyun ke Adil bohat kam baat karne waloon mei se tha.  Ek aur cousin Sameera se keh rahi thi ke "bilkul chaand lag raha hai"...

 

Chand? Ya chand grehan jo meri zindagi ke saal itni behrehmi se khatam kardiye, wo soochti huyi Adil ko dekhne lagi, Sach mei wo grey suit mei bohat accha lag raha tha…

 

Kabhi Chand Bhi Ankhoon Ko Chubne Lagta Hai,
Ke Shayed Dil Toot Kar Bikharne Lagta Hai,
Tere Khayaloon Mei Jo Pal Thay, Bitaadiye Maine,
Hansdoon Kabhi To Dil Roone Lagta Hai,
Dil Ko Kyun Har Baar Sirf Tera Intezar Raha Hai,
Mehfil Mei Bhi Hoke Dil Tanha Hone Lagta Hai,
Ye Humsafar Kaisa? Saath Chalne Se Manzil Nahi Milti,
Tanhayi Mei Jaake Roone Ko Dil Chahne Lagta Hai.

 

Kitna atoot rishta tha uska Adil ke saath, phir bhi kitna ajnabi sa tha, kitna door tha wo ussey… Abi isi sooch mei doobi huyi thi, aur jab Adil ki nazar us par parhi, to wo usey hi dekh rahi thi.  Wo bhi Mehndi color pe taarey takey shalwar kameez par bohat pyaari lag rahi thi…

 

"Hamarey yahan itni khamoshi kyun hai bheii," Nabeel bhai apni saaliyoon ki takraar se ghabra kar kehne lage.  "Arey yaar Shajji aur Abi tum loog bhi kuch kaho," Shajji sab ki tasveer bana mei busy tha aur Abi apne khayaloon mei.  Abi phir sambhal kar kehne lagi, "ban jaaein na Ghulam, aaj nahi to kal jab banna hi hai to aaj hi sab ke saamne apna Eqbale jurm karlein,"

 

Nabeel bhai: To kya kehti ho apne hatyaar daal doon?

 

Ye sun kar sab hansne lage, "Arey itni jaldi hum haar nahii maaneinge" Shajji ne jab kaha to Ammiji kehne lagi ke "ye koyi jang hai jo ayese keh rahe ho, chalo jaldi se rasam poori karo, bohat raat hogayi hai" Phir thori dair baad rasam poori huyi aur sab apne apne ghar rawana huye.

 

"Mujhe pata tha ye larki ki shopping akhri din tak bhi reh jaayegi," Ammiji pareshan hote huye kehne lagi, "haan chaar bajne waale hain, un logoon ko ab tak to aajana chahiye tha," Shereen api bhi keh rahi thi.

Ammiji: Shereen tum bhi saath chali jaati to jaldi se shopping karke unhein le aati, wo dono to beech raaste mei hi gol guppe khate na beith gaye ho.

Shereen: Lekin ammiji meri koyi shopping baaqi nahi thi.

Aagaji:  Arey, tum loog ayese kyun pareshaan hotay ho, wo aatay hi honge abhi.

 

Aur thori dair baad Abi aur Shajji chale aaye. Aur Abi chotay bachoon ki tarah, khushi se sab ko apni churiyan aur sandals dekhane lagi.

 

Ammiji: bohat acchi hai par abhi jaldi karo aur tayyar ho jaao, itni dair tak kahan reh gaye thay dono? Meri to jaan nikal rahi thi, ye bhi koyi din hai bhala shopping karne ka, Shereen tum mujhe bachoon ke kapre lado mei unhein tayyar kardeti hoon.

 

Ammiji jaldi mei ek saath bole jaarahi thi, "Sorry Ammiji mei abhi jaakar tayar hojaati hoon" ye keh kar wo Shereen Api ke saath andar chali gayi.

 

Phir jab wo tayyar ho kar Biji ke paas gayi to wo usey pyaar karke duyein dene lagi, jisne bhi dekha tareef kiye bina nahi raha, aur wo lag bhi bohat pyaari thi.  Adil living room mei beithey Shajji ko kuch cameray ke bare mei bataraha tha aur jab Abi golden pe red kaam wala lengha pehne jab living room mei aayi, aur Adil ne jab use dekha to dekhta rehgaya.

 

Shajji: Lagta hai aaj tum kisi pe bijli giraoogi,

Wo chehak kar keh raha tha aur jab Adil ki taraf dekha ke wo Abi ko bhi dekhe jaaraha tha, phir sharaat se kehne laga, "Shayed ek aad to gir hi gayi hai,"

 

Adil Shajji ki baat samajh kar jhat se camere mei reel dalne laga.

"Bakwas na karo," Abi ne ankhein nikalte huye kaha. 

Shajji: accha chalo, tumhari to ek photo hojaaye, Kya khayal hai Adil bhai? Aap hi ek photo utarlein Abi ki

Adil: mujhe nahi leni, ye lo camera, khud hi lelo.
 

Shajji: accha ayesa karte hain ke pehle meri ek photo lete hain, aaj to maabadulat bhi kuch kam nazar nahi aarahe hain, wo muskorate huye kehne laga.
 

Abi:  Haan, aaj to larkiyaan apni kismat par roye gi… 

Shajji: Wo kyun bhala?

Abi:  Dulhe ke saath tumko bhi jo bardasht karna parega. 

Shajji: Nahi nahi, larkiyaan to apni kismat par nazaan hongi, mein hi jo ek kunwara hoon,

Abi: Dunia ke akhri to nahi ho 

Abi ki is baat par Adil ko hansi aagayi, "Tum dono waqt dekhte ho na mouqa, shuru ho jaate ho bas, Chalo dair ho rahi hai, bhabi bula rahi hain." Aur wo tenoon sab ke saath ghar se bahar chale gaye.

"In donoon ko alag alag cars mei bhitao nahi to sab ka demagh karab kareinge" ammiji ne kaha to Abi aur Shajji hansne lage.  Aur Shajji Nabeel bhai aur sab ke saath beith gaya aur Ammiji ke kehne par Abi Adil ki car mei aakar beith gayi.  Adil ko ayesa laga jaise har taraf chandni utar aayi.

Last Part Coming Up Soon!

--Amreen
amreen1409 thumbnail
Anniversary 19 Thumbnail Group Promotion 4 Thumbnail + 3
Posted: 18 years ago

Abi bohat pyari lag rahi thi aur titli ke tarha mandla rahi thi har taraf, jab bhi Adil ki nazar us par parhti to tham si jaati.


Adil kisi se baat kar raha tha ke Abi chali aayi aur kehne lagi ke "Adil aapko Aagaji bula rahe hain," "Ji aap chalein mei aata hoon", ye keh kar wo use taalne kar raha tha, ussay pata tha ke Abi dobara se usey bewakoof bana rahi hai… Shaadi ki function bohat acchi thi aur sab hi ko saare intezaam bohat pasand aaye aur phir rasoomat ke baad sab apne apne ghar chale gaye.  Raat ko jab rasam poori huyi to Aagaji ne Adil ko awaaz di, "Adil yahan aayein", "Jee Aagaji?" Wo Aagaji ke paas aakar beith gaya aur Abi Aagaji ke liye chai le kar aayi. 

 

Aagaji: Aapse mere dost milna chahte thay aur aapne mere itna bulane par bhi nahi aaye, kya Abi ne aapse kaha nahi tha?

 

Aagaji ki awaaz thori si sakht hogayi…

 

Adil: Jee kaha tha par mei samjha… wo ghoor kar abi ko dekhe jo usey dekh kar muskora rahi thi,

 

Aagaji: Phir aap aaye kyun nahin? Aagaji apni chai khatam karte huye kehne lage, "Pata nahi Hammad sahab kya soochte honge ke bahar jaakar larke ne adab o lahaaz kho diya ho, kal aap unse unke ghar par milne jaayenge, samjhe aap? Ye kehte huye wo soone chale gaye… aur Abi unki cup le kar kitchen ki taraf jaane lagi.

 

"Aap aakhir khud ko samajhti kya hain? Peechay se Adil ki awaaz aayi aur wo rukh gayi aur bina peechay dekhe sunne lagi…

 

"Jab se aaya hoon ye ghar mera kam aapka ziyada lagta hai, har waqt bekar ka mazakh, sab se kia to kia lekin aapko mere saath mazakh karne ka koyi haq nahi.  Itne din se jeena azaab kardia hai, kisne dia aapko ye haq?"  Adil aag barasti nazroon se use dekhte huye keh raha tha.

 

"Jahan tak mere khayal hai, ye haq aap hi ne mujhko dia hai" ye keh kar wo rukhi nahi, ruk bhi jaati to shayed roo parhti.  Adil hairan usko jaate huye dekh raha tha.

 

Abi phir biji ke kamre mei chali aayi, biji so rahi thi aur usey lag raha tha jaise waqt tham sa gaya hai, raat bohat lambi lag rahi thi, Adil ki saari baatein yaad aarahi thi aur aankhein jal thal horahi thi aur wo rote rote so gayi.

 

Adil ko bhi neend nahi aarahi thi aur wo sooch raha tha ke "kabhi titli ki tarha lagti hai to kabhi zaher jaisi, pata nahi mujhe bhi kya hogaya tha, kyun meine itna daant dia? Pehle to kabhi ayesa na hua, Subah mei usse maafi mangloonga" ye soochte soochte wo bhi sogaya.

 

Par subah wo jaaga to usey Abi kahin nazar na aayi… aur wo shaam ke function ka intezaar karne laga takey usse mil sake.

Phir raat ko reception mei uski awaaz par jab paltha to wo Shajji se baatein kar rahi thi aur hans rahi thi. Adil soochta reh gaya ke ye kya cheez hai, samajh hi nahi aati, koyi aur larki hoti to shayed abhi tak roti rehti aur ye chote bachoon ki tarah jo do pal mei apne saare gham bhool jaate hain hansti rehti, aur uski yeh baat Adil ko bohat pasand aayi.

 

Reception ki raat wo ammi ke ghar chali aayi, exams ki tayyari bhi karni thi.  Doosre din Nadia ko pata chal to wo bhi ussey milne chali aayi.

 

"Kaisi rahi shaadi?" Nadia ka pehla sawaal yehi tha, "Acchi rahi, tumhari kami thi, kyun nahi aayi?" Abi ne poocha. 

 

"Tumhein to pata hi hai ke ammi ki tabiyat theek nahi rehti aur khala bhi aayi huyi hain"

 

Abi: Kaisi hai ab aunty ki tabiyat? Mai aaongi usne milne

Nadia: haan zaroor aur apne mia ko bhi lekar aana is dafa, accha batao bhi kya kya hua shaadi mei, Wo besabri se poochne lagi.

 

Abi ne usey shuru se akhir tak ki saari kahani sunayi aur mehndi wala qissa bhi sunaya, wo bohat dair tak batein karte rahe aur hanste rahe aur phir shaam ko bari mushkil se Nadia wapas gayi.

 

Ghar mei bari khamooshi lag rahi thi, goar karne par pata chala ke ghar mei nahin balke Adil ke dil ko lag rahi thi.  Abi kahin nazar aarahi thi, Adil ko samajh nahi aaraha tha ke kisse se poochay ke Abi kahan chali gayi.  Thore din mei hi zindagi mei hulchul macha kar pata nahi kahan chali gayi, ek do din usey sadi ke barabar lag raha tha.  Ab to intezar karte karte uski tabiyat chirchiri si hone lagi…

 

"Pata hai Adil, maine aapka bohat intezar kia hai aur intezar bohat bura lagta hai, please aap jaldi wapis aajayein," ussey Ambreen ki baat yaad aane lagi jo wo aksar phone par kehti thi,

 

"Do din ka intezar tumhein itna mushkil lag raha hai aur Ambreen ne kaisi guzare honge itne saal tumhare intezaar mei"  jaise uske zameer ne jhinjora ho… "jab ke tumne usse kabhi koyi wada kia na koyi pyaar ki baat phir bhi…" ander hi ander uski beqaarari barhti gayi, aur uske dil ke band kamre mei Ambreen chali aayi.  Abi ki masoomiyat mei usko Ambreen ka chehra dikhne laga, usey ehsaas hone laga ke usne apni zid ke aagay Ambreen ki zindagi karab kardi, kitni behrami se ussey paish aaya hai aur wo mohabat jo Ambreen ka haq hai kisi aur ko dene jaaraha tha?

 

"Ye kahan ka insaaf hai? Uski kya galti hai jo itne saal tumhare pyaar ki kwahish mei beithi hai, intezaar kar rahi hi tumhari ek pukar ka?" usko ye soochte huye bhi sharam aane lagi aur wo apne kamre se bahar aagaya aur car ki chabi leta wo un raastoon par nikal para jahan kabhi jaana nahi chahta tha lekin aaj uske dil par zameer ka booj bohat tha jo Ambreen se maafi maang kar hi kam hoga.  Saare raaste wo apne aap par malamat karte huye jaane laga.

 

Main gate kholi thi aur thora sa dhakka dene par khulti hi gayi, Adil pehle bina dastak diye andar aane ke liye jhijak raha tha phir Farheen angan mei nazar aayi to wo andan chala aaya par Farheen ki nazar us par nahi parhi.

 

"Baarish mei kyun bheeg rahi ho, beemar parh jaogi" Ammi ki andar se awaaz aayi, wo Amrood (Guava) ke pherh par charhe Ambreen ko daant rahi thi.

 

"Arey ammi, halki si to boondein hain, aur phir mei namak nahi hoon jo ghul jaongi, aap ayese hi pareshan ho rahi hain," Abi apni masroofiyat ke saath keh rahi thi.

 

"Tumse to koyi behas mei jeet hi nahi sakta, khud bhi beemar hogi aur saath mei Farheen ko bhi kar doogi, Farheen tum hi aajao ander warna raat ko Abu se daant paregi,"  Ammi ka gussa dekh kar Farheen chupke se andar chali gayi, aur jab Adil Farheen ko awaaz dene hi waala tha ke phir se Abi ki awaaz aayi ke "Abhi aayi Ammi," Adil ko awaaz kuch jaani pehchani lagi aur wo perh ki taraf barha aur jhuk kar dekhne par usey Abi nazar aayi, aur wo hairat ke samandar mei doob gaya.

 

Deemagh par zor dene par ussey saara qissa samajh aagaya, aur Biji ka chashma, Shajji ki muskorati shakal, Farheen ki hansi aur Abi ka kamre mei sona sab kuch ab pehli ke jawaab ke tarah saamne aane lage…

 

"Dekho Fari, ambrood le jao aur mere aane tak ek bhi nahi khana, pehle do mei Shajji ke liye rakh loon, warna usko jab pata chalega ke humne uske bina hi ambrud khaliye to wo jal bhun jaayega" wo perh ko tatoolte huyi kehne lagi.  "Tum kuch kehti kyun nahi, kahin saare to nahi khaliye?" Jaise hi neechay dekha to Adil muskorate huye khara tha, wo ghirte ghirte bachi aur jaldi se neechay aagayi.

 

"Kya hua chasma nahi lagaya tha?" Adil ne poocha,

"Ji?" Abi hairat se Adil ko dekh rahi thi,

"Arey aap yahan? Mujhe laga ke meri Begum hai," wo anjaan bante huye poochne laga,

"Mein…. Wo…." Abi se kuch jawab nahi ban raha tha,

"Aap koyi jin to nahi, jahan bhi jao wahan moujood rehti hain? Khair, zara hamari begum ko bulayein to, bohat din huye unki bari bari ankhein nahi dekhi,  hum to kya saari dunia saamayei hain un mein"  wo sharaarat se kehte huye Abi ki ankhoon mei jhankhne laga.

 

Aaj to Abi ke liye hairatoon ka dil tha Adil to itne din se khamosh tha, aaj bolta chala jaaraha tha, aur Abi ko bohat accha lag raha tha.  "Aaj bhi aapka khel khatam nahi hota, wo to mera bechara dil keh raha tha ke Ambreen ka intezar khatam kardo aur hum apne dil ke haatoon majboor hokar yahan chale aaye aur pata chala ke Ambreen urf. Abi humein itne dinoon se dewaana banaye jaarahi hain aur hum deewane bante rahe hain, lekin aaj parda uth gaya hai!! Acchi adakaari karti hain aap" wo muskorate huye Abi ko dekhne laga.

 

"Ye Shajji ke bacche ne sara bhanda phor dia hoga, isiliye Adil yahan itna chehak rahe hain," Abi ko khayal aaya aur jaise Adil ne Abi ke khayal ko parh liya ho, "To Abi bibi aapne Aagaji se lekar sabhi ko apne khel mei shamil kia aur mujhe deewana banaya…

'Acchay Deewane Baney, Accha Deewana Banaya,
Terey Haathoon Meine Apna Afsaana Banaya!'"

wo ye gungunate huye Abi ka haath thaam liya, aur wo haath sharmate huye churane lagi.  Har waqt hi bolti Abi aaj bohat chupsi aur sharmati huyi apne kaproon ki tarah surkh (red) ho rahi thi, Adil iska ye roop pehli dafa dekh raha tha, uski zindagi bohat haseen hogayi thi aur wo Abi se kehne laga ke "chalein apne ghar? Wahan ki deewarein bhi tumhein pukarti hain" aur Abi ko uski baat sun kar kyun laga jaise har taraf phool khilne lage hoo, aur uski zindagi mei Bahaar ke Din aagaye hain!

************
Thank U all for reading my story N I Hope U enjoyed it! 😊

Suggest/comment if there is anything missing or anything to improve for the next stories..

N yeah.. tell me if this story was supposed to be turned into drama then which actor/actress wud fit the roles of main characters? 😉

Amreen

Edited by amreen1409 - 18 years ago