Namik Paul AT #8 Ishq Tumse Jo Hai, Deewangi Ki Had Tak Hai!

AnOptimist thumbnail
Anniversary 7 Thumbnail Group Promotion 4 Thumbnail + 2
Posted: 6 years ago

Welcome to the Grand opening of the AT which belongs to none other than our hottest 'ghost' of the year Namik Paul 😳⭐️😳



Introduction & Background :

Namik Paul, born on 19th September, is an Indian television actor and former model. He is best known for playing Shravan Malhotra in Sony TV's Ek Duje Ke Vaaste.

Namik hails from Dehradun, Uttarakhand. His father is a retired IAS Officer and his mother is a lawyer and human rights activist. He has an elder sister who is working as a High Court Lawyer in Chandigarh. 


Education :

He completed his schooling from Woodstock School, Mussoorie (boarding school). For his higher education, he went to Lewis & Clark College in Portland, Oregon,United States and took Economics and Mathematics as his major subjects.


Television Journey :


Qubool Hai - Season 4 (2015)  
As Ahsaan (Zee TV)



Ek Duje Ke Vaaste (2016) 
As Shravan (Sony TV) 



Befikre Belgium Ke - A travel series with Aaj Tak (2016)


The Trip - Web series (2016) 
As Adil (Bindass)


Aye Zindagi (2017)
As Host (Zing TV) 



Ek Deewaana Tha (Currently)
As Shiv (Sony TV) 





Co Admin of this AT is Sara (PrincessAshvik)

Edited by AnOptimist - 6 years ago

Created

Last reply

Replies

1129

Views

34526

Users

27

Likes

2678

Frequent Posters

AnOptimist thumbnail
Anniversary 7 Thumbnail Group Promotion 4 Thumbnail + 2
Posted: 6 years ago


1) Abusive Language, Curse words, Name Calling, Bashing Any member is NOT allowed. 

2) It's Namik's AT, so do NOT discuss about any other actor unless it has to do with the show or it is something related to Namik.

3) It's an Appreciation Thread for Namik, so if you do not like him, kindly stay away.

4) Do NOT hate on other actors or characters on this thread.

5) No spamming. 

6) Keep personal chatting to a minimum. 

7) Do NOT quote more than three times. 

8) No NEGATIVITY please. 

9)Last but definitely NOT the least, keep the discussion to PG level.


*Warning : If any of the rules are not observed by any member, his/her account will be reported.

PLEASE FOLLOW THE RULES!! 
AnOptimist thumbnail
Anniversary 7 Thumbnail Group Promotion 4 Thumbnail + 2
Posted: 6 years ago






























AnOptimist thumbnail
Anniversary 7 Thumbnail Group Promotion 4 Thumbnail + 2
Posted: 6 years ago

WEEK 1

Couplet 1

Haseen labo pe ,sukoon ruh ko aur dil ko karar deta hai,
par ishq jab had se guzar jaye toh maar deta hai.

Couplet 2

Kisi ke pyaar mein guzare,
toh guzar hi jaata hai,
par woh kal guzare bhala kaise jo jaan lewa tha.

Couplet 3

Phoolo ki kushboo agar yaade mehakati hai ,
toh katon ki chuban kai dafa maut de jaati hai.

Couplet 4

Tere har kadam ki manzil mai hu,
tere har safar ka maksad bhi mai hi hu,
mujhse jitna dhoor jaogi
mujhe utna hi nazdeek paogi.

Couplet 5

Nazdikiyon pe teri sirf hak mera hai,
chahat sarfiri aur nafrat meri jaanlewa hai.

Couplet 6

Jo ishq ko jaan leta hai,
voh ishq uski jaan leta hai.

WEEK 2

Couplet 1

Jo mukambal nahi hua,
Voh ek kissa baki hai
Jab maut apne par aayegi,
Voh ek hissa baki hai.


Couplet 2

Phool murjhayenge,
Ruh kaapegi,
Aur husan jhulas jayega
Maza toh tab aayega jab,
Maut ka parwaana ,
Tera darwaaza khat khatayega.

Couplet 3

Bhool jana purani baateinburi baat nahi,
Bade bechaan rahate hai jinhe sab yaad rahata hai.

Couplet 4

Zindagi ki kitaab mein,
Kuch raaz chupaaye ja sakte hai,
Par voh raaz kya chipange
Jo likhe hi khoon se h.

Couplet 5

Zindagi mein teri phir se dakhila karne,
Apni barbadiyon ka tujhse phir killa karne,
Teri zid khatam,
Jazbaat khatam,
Zindagi khatam,
Lauta hu ghatak chahat ka silsila karne.

Couplet 6

Ashko mein bah gaye jo aansu,
Yaad na rahe,
Dil mein sote sote utare,
Woh khwaab na rahe,
Darmiyaan is pagalpan ka dushwaar na rahe,
Rahe toh bas ehasaas yaar ka pyaar na rahe.

WEEK 3

Couplet 1

Tu dhoor hai
par mujhse anjaan nahi hai.
Yaadein na sameto 
yeh koi sama nahi hai.
Tere naam ke har roz,
khwaab dafan kiye hai
mere dil se bada
koi kabristaan nahi hai.
Teri ruh mein , daar banke,
samaya hu is kadar,
tere dil mein mera naam-o-nishaan nahi hai.
Har tadap ,har ek cheek ka hai tujh ko vaasta.
Yeh jism mar chuka hai,
par bejaan nahi hai
karle tu lakh koshishein
par haar jayegi.
Inteqaam hai yeh mera,
intehaam nahi hai.

Couplet 2

Ishq ka anjaam kuch yun hoga 
ab  mera inteqaam yun hoga.
Na hi bhagwaan saath denge 
na hi khuda hoga.
Beasar har dua, har sajda hoga.


Couplet 3

Har kissa ,har ek kahani khatam hui,
dil dimaag ki khichatani khatam hui.
Ek deewaana fana hua tha, ishq mein tere ,
usi ishq ki ek deewaani khatam hui.

Couplet 4

Tujhse judi mohabbat ka,
khatam is tarah kissa hoga,
ishq meri zindagi aur
dard teri ruh ka hissa hoga.

Couplet 5

Ek pal mein aake guzar jaaye, 
voh hawa ka jhoka hai aurkuch nahi.
Mohabbat kahati hai jise duniya
voh ek haseen dhoka hai aur kuch nahi. 

Couplet 6

Tujhse dhoor rakh sake,
yeh kisi ki hasiyaat nahi.
Zamana kahe ki maut dhoori hai,
par yeh vada hai mera 
maut hi milaayegi hame. 

WEEK 4

Couplet 1

Ek saach tera hai
Ek saach mera
Nazro pe laga hai
Jhoot ka pehra
Zindagi fisalegi haatho se
Ret ki tarah
Maut ko intezaar hai
Bas tera, bas tera.

Couplet 2

Teri niyaat hi nahi thi
Saath chalne ki,
Warna rishte nibhaane wale 
Raaste nahi dekha karte.


Couplet 3

Is kadar paap ko rehai de
Har jagah tu hi na dikhai de
Ban hi ja ab meri fana ho ke
Yun na mujhe dard aur judai de.

Couplet 4

Suna hai sard mausam mein
Purani yaadein aati hai
Mujhe bhi yaad karlo ab tum
Mujhe tum yaad aati ho.

Couplet 5

Ek muddat se tujhe dekh raha hu
Phir bhi aisa lagta hai
Tujhe theek se dekha hi nahi
Mera junoon, meri zid, mera deewaanapan
Tune ishq abhi theek se dekha hi nahi.

WEEK 5

Couplet 1

Labon pe alfaaz nahi,
Rooh ki awaaj nahi,
Shakal ki jhalak toh mili,
Par ab bhi dafne hai raaz kai.

Couplet 2

Phir ek baar tu laut kar aaya hai,
Zindagi pe teri maut ka saya hai.

Couplet 3

Teri mohabbat kar banegi mere raaste ki archan, 
Toh teri maut hai jawaab,
Aur Zindagi banegi meri uljhan. 

Couplet 4

Tu jaha jayegi mera saath payegi,
Nafrat hi sahi, par yeh deewaangi marte dum tak tera saath nibhayegi. 

Couplet 5

Khatam chahat ka har ek fasaana hoga,
Na koi ishq, Nahi koi deewaana hoga,
Iss kadar fir se aagaye ho samne mere,
Pehle jaana tha, ab jaan se jaana hoga.

WEEK 6

Couplet 1

Khatam iss dil ki sabhi, tujhpe aarju hogi,
Meri najron ko ex teri justajoo hogi,
Hai intezaar mujhe bhi uss ek lamhe ka,
Jab tera mai banu aur meri tu hogi.

Couplet 2

Ab na girna, na sambhalna hoga,
Raah nafrat ki hi chalna hoga,
Jis kadar dil ko jalaya hai mere,
Tujhko iss aag me jalana hoga.

Couplet 3

Dil sabhi sarth sairat hue jaate hai,
Sab haalat hue jaate hai,
Tum mere hoke bhi mere na hue,
Baraf jazbaat hue jaate hai.

Couplet 4

Tumse jazbaaton ki ab aisi saazish hogi 
Tohmatein hogi, bagaawat aur bandish hogi 
Ab talak ishq tha, wo ishq bhula baitha hun 
Ab mohabbat jo karunga, wo ranjish hogi.


-rhythm- thumbnail
Anniversary 12 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail Commentator 1 Thumbnail
Posted: 6 years ago
congrats girls..we a finished 7 wonder ATs   😆  🥳

i guess the top first smiley is sara or gunjan😆

Ranified009 thumbnail
Anniversary 6 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail
Posted: 6 years ago
#AT8 It is🥳
ScreenSpace, dialogues, romance...kuch nahi hai re apney paas😎
But we have an awesome guy with awesome expressions and skills...
#PaulClan rocks!!
Jai Mata di😃