Posted:
Yaad aa gya phir se bachpan,
Har cheez par jhoomta tha tan- man,
WO dosto ki yaari,
Wo papa ki ghudsawari,
Wo aam ke bagiche,
Wo parindo ke peechhe,
Wo darr kar kahi chhup Jana,
Wo badalo ki ghan ghan
Yaad aa gya phir se bachpan..
Wo teachers ki padhai,
Dil khush ho jata jab wo larte badhai,
Wo dosto ke liye ladai,
Wo usa chehre ko dekhna,
Jis din naa aye dosto se puchhna,
Mano udane ke pankh lag Jana,
Wo barish ki chhan chhan,
Yaad aa gya phir we bachpan...
Kyu dosto yaad aa gya naa wo suhane bachpan me din...
comment:
p_commentcount