Jo basa hai mann mein
woh hai Rangrasiya
Ussi ney aaj ham se alvida kiya
Kabhi hansaya, kabhi rulaya
Kabhi chhidhaya toh kabhi gussa bhi dilaya
Kabhi bhari aah, toh kabhi sharmaye
Rangrasiya ko hamne zindagi ki tarah jiya
Rudra-Paro ne har dil ko chhuaa
Aaj bichhadney par dil isi liye bhaari hua
Yaaron aaj tak ka safar tha bada hi suhana
Dekho yahan se jaakar hamein bhool na jaana
Khuda ne chaha toh milenge phir kahin
Kuch purani yaadein taaza karenge
Aur kuch banayenge nai
Issi liye mein nahi kehti alvida
Aasha hai ki yaad karenge aap humko sada...
PS: This is my first ever post on IF, so please be nice ladies.(Atleast don't throw tamaatars and andaas on me 😛)
PPS: Please feel free to share your shayari here.
comment:
p_commentcount