Happy Independence Day to One and All
Jahan daal daal par sone ki chidiyaan karti hain basera ...
Guru r brahm guru r vishnu
gurudev maheshwara
guru sakshat parabrahm
tatsmaye shri gyruve namah
jahaan Daal-Daal par
sone kii chidiyaa karati hai baseraa
vo bhaarat desh hai meraa
jahaan satya, ahinsaa aur dharm kaa
pag-pag lagataa Deraa
vo bhaarat desh hai meraa
ye dharati vo jahaan rishi muni
japate prabhu naam ki maalaa
jahaan har baalak ek mohan hai
aur raadhaa ek ek baalaa
jahaan suraj sabase pahale aa kar
Daale apanaa pheraa
vo bhaarat desh hai meraa
Jahan ganga,Jamuna,Krishn aur Kaveri
Beheti jaayein
Jahan uttar,dakshin,purab,pashchim
Ko amrit pilvaaein
Yeh amrit pilvaaein
Kahin yeh pal
aur phool ugaayein
kesar kahin bikhera
vo Bharat desh hai mera
alabelon ki is dharati ke
tyohaar bhi hai alabele
kahin deevaali ki jagamag hai
holi ke kahin mele
jahaan raag rang aur hansii khushi kaa
chaaro aur hai gheraa
vo bhaarat desh hai meraa
jahaan aasamaan se baate karate
mandir aur shivaale
kisi nagar me kisi dwaar par
koi na taalaa Daale aur
prem ki bansi jahaan bajaataa
aaye shaam saveraa
vo bhaarat desh hai meraa
jahaan satya, ahinsaa aur dharm kaa
pag-pag lagataa Deraa
vo bhaarat desh hai meraa
Aazaad huaa aaj ke din
Desh hamaara
Iss waaste pandrah august hai hamein pyaara
Iss waaste pandrah august hai hamein pyaara
Aazaad huaa aaj ke din desh hamaara
Aazaad huaa aaj ke din desh hamaara
Iss waaste pandrah august hain hame pyaara
Aazaad huaa aaj ke din desh hamaara
Is din ke liye khoon shaheedon ne diya thha
Bapu ne bhi is din ke liye zehar piyaa thha
Is din ke liye neend Jawahar ne taji thhi
Netaji ne poshaakh sipaahi ki saji thhi
Goonjaa thha
Goonjaa thha aaj desh mein
Goonjaa thha aaj desh mein
Jai hind ka naara
Jai hind ka naara
Jai hind ka naara
Aazaad huaa aaj ke din desh hamaara
Is waaste pandrah august hai hamein pyaara
Aazaad huaa aaj ke din desh hamaara
Is din ke liye bewaa huyee thhi meri behne
Is din ke liye bewaa huyee thhi meri behne
Is din ke liye chhod diye peherne gehney
Is din ke liye chhod diye peherne gehney
Is din ke liye saikdon ghar baar lute thhe
Is din ke liye saikdon ghar baar lute thhe
Is din ke liye bachchon se maa baap chhute thhe
Is din ke liye bachchon se maa baap chhute thhe
Balidaan se
Balidaan se
Balidaan se unke mila mukti ka kinaara
Hamein mukti ka kinaara
Hamein mukti ka kinaara
Aazaad huaa aaj ke din desh hamaara
Is waaste pandrah august hai hamein pyaara
Aazaad huaa aaj ke din desh hamaara
Goli se bindhaa laal mera kisne pukaara
Hanste huye mukh aaj koi veer sidhaara
Sardar Bhagat singh sadaa yaad aayega
Jalliaanwaala bagh nahin bhoola jaayega
Un sabko karein yaad
Un sabko karein yaad hai kartavya hamaara
Aazaad huaa aaj ke din desh hamaara
Aazaad huaa aaj ke din desh hamaara
Is waaste pandrah august hain hamein pyaara
Is waaste pandrah august hain hamein pyaara
Aazaad huaa aaj ke din desh hamaara
Aazaad huaa aaj ke din desh hamaara
Door huyee thhi watan se
Aaj ghulaami
Door huyee thhi watan se
Aaj ghulaami
Angrezon ne di rashtra ke jhande ko salaami
Angrezon ne di rashtra ke jhande ko salaami
Is din ki ham har saal yunhi raah takenge
Pandrah august ko nahin ham bhool sakenge
Bhoola nahin ja sakta hai itihaas hamaara
Aazaad huaa aaj ke din desh hamaara
Is waaste pandrah august hai hamein pyaara
Aazaad huaa aaj ke din desh hamaara
Aaj ke din desh ke har ghar mein khushi thhi
Aaj ke din desh ke har ghar mein khushi thhi
Boodhe jawaan bachchon ke chehre pe hansi thhi
Boodhe jawaan bachchon ke chehre pe hansi thhi
Aashish se un sabki bahe prem ki Ganga
Aakash mein lehraata rahe yoonhi tirangaa
Pandrah august ka
Pandrah august ka suno
Pandrah august ka suno itihaas hamaara
Aazaad huaa aaj ke din desh hamaara
Is waaste pandrah august hai hamein pyaara
Aazaad huaa aaj ke din desh hamaara
Is din ke liye khoon shaheedon ne diya thha
Bapu ne bhi is din ke liye zehar piyaa thha
Is din ke liye neend Jawaahar ne taji thhi
Netaji ne ponshaakh sipaahi ki saji thhi
Goonjaa thha
Goonjaa thha aaj desh mein
Goonjaa thha aaj desh mein
Jai hind ka naara
Jai hind ka naara
Jai hind ka naara
Aazaad huaa aaj ke din desh hamaara
Is waaste pandrah august hai hamein pyaara
Aazaad huaa aaj ke din desh hamaara
O o o
Aazaad huaa aaj ke din desh hamaara
O o o
O o o
Aa aa aa
Aazaad huaa aaj ke din desh hamaara
Aazaad huaa aaj ke din desh hamaara
O o o
Aazaad huaa aaj ke din desh hamaara
Aazaad huaa aaj ke din desh hamaara
O o o
Ha ha ha
Aazaad huaa aaj ke din desh hamaara
O o o
comment:
p_commentcount