saarahkhann thumbnail
Anniversary 19 Thumbnail Group Promotion 4 Thumbnail
Posted: 19 years ago

I dont know if u guys read poetry or not....i sometimes read poetry if its in ASAAN URDU....if u read or write poetry then feel free to share it with us....ok here are some of my favorite shairi from my favorite shair:

Parveen Shakir:

Tumhara kehna hai
Tum mujhay bepanah shidat sey chahtey ho
Tumhari chahat
Wisal (death) ki aakhri hadon tak
Merey faqat merey naam hogi
Mujhay yaqeen hai mujhay yaqeen hai
Magar qasam khaney waley larkey
Tumhari aankhon mein aik til hai!

Syed Wasi Shah:

Tera mera rishta kuch aisa uljha hai
Us ko suljhatey suljhatey
Apney dil ki pooren zakhmi kar betha hoon
Rishta shayad sulajh na paye
Laikin is ko suljhaney ki dhun mein jana
Sarey khuwab bhula betha hoon
Apna aap ganwa betha hoon

Ok i dont know who wrote this poetry my friend sent it to me n i really liked it here it goes:

Bay zameen logon ko
bay qarar ankhon ko
badnaseeb qadmo ko
jis taraf bhi lay jain
raston ki marzi hay
bay nishan jazeeron par
badguman shahron mein
bay zuban musafar ko
jis taraf bhi bhatka dain
raston ki marzi hay
rok dain ya barhnay dain
thaam lain ya girnay dain
wisal ki lakeeron ko
toor dain ya milnay dain
raston ki marzi hay
ajnabi koi laa kar humsafar bana dain
saath chalnay walon ki raakh bhi ura dalain
ya musaftain saree
khaak mai mila dain
raston ki marzi hay

Mujhay aur kahin le chal sanwal

jahan shaher hoon sare wairane
jahan loog sabhi hoon baigane
jahan sab k sab hoon dewane
jahan koi humain na pehchane

Mujhay aur kahin le chal sanwal

jahan nafrat dil mein bus na sake
jahan koi kissi ko dus na sake
jahan koi kissi pe huss na sake
jahan koi b gunjal kass na sa

Mujhay aur kahin le chal sanwal

jahan dard kissi ko raas na ho
jahan koi b uddas na ho
jahan zulmat ki boo bass na ho
jahan too b ziada pass na ho

Mujhay aur kahin le chal sanwal

 
Edited by kewlsarah - 19 years ago

Created

Last reply

Replies

25

Views

8543

Users

9

Frequent Posters

samie thumbnail
Posted: 19 years ago
wow gr8 thanx 4 sharin i will post mine l8ršŸ˜Š
anam2004 thumbnail
Posted: 19 years ago
Salaam.. Wah Wah!! bohut khoob!!!!

I really enjoyed the shayiri Kewlsarah!!!

šŸ˜‰

-Anam
samie thumbnail
Posted: 19 years ago
on this thread post shayari pls
samie thumbnail
Posted: 19 years ago

Kaise keh de ki yeh dil deewana nahi hai,
Tanha hai magar awara nahi hai...

Irshaad....hamara jawab....
Awara ban ghum rahe hai net ki galiyomae,
unko dhundh rahe hai tanha tanha mehfilomae,
nazar nahi aye hame voh kahi,
pagal hai mastane hai
kho gaye hai rang-raliyomae,
subah jab ankh khuli dekha toa humne,
pass hai voh,
deewane the hum,

jo dhundh rahe the unhe sitaromae!

 

jaane jigar, dile bekhabar, kya pata tuje isq kya cheez hai, humee hai teri mehfil sajaye..
.kyon ho bekhar behal karke hame...
aapki awaz ab bhi gunj rahi hai fizaomae, hum toa yuhi sanam dil de chuke aapko..
intezar hai game zindagimae, fursat mile kabhi haal puchiye
..

masoom thumbnail
Posted: 19 years ago

~Abb kehtay hein kai Marr jaein gai

Marr kai bhi chain na paya to kidher jaein gai

 

KK-LUV-Sumit thumbnail
Posted: 19 years ago

Salaam ppl,,, below i have pasted some Shayari...hope u'll like them...read through,, and post ur comments...

                    For your Eyes
Teri LOVELY EYES ne
mujpe ek EFFECT kiya hai,
ki maine sabko REJECT karke
tujko SELECT kiya hai!
SELECT kiya maine pyar se
Dil nahi todna mera INKAAR se!!

 

Eyes on Petals
Dali dali dali har dali per nazar dali, har chaman per dali,
jis dali per nazar dali woh mali ne kaat dali.

Sword & Eyes (Talwar & Nayan)
Katla karna hai to NAYAN se kar,
Katla karna hai to NAYAN se kar,
TALWAR mein kya rakha hai
ki na ho takleef,
ki na ho takleef,
Mujhe sir jhukane ki
aur tumhein TALWAR Uthaaney ki

Dillagi
"Dillagi ko Dil Diya ..
Dillagi Ke Ghar Gaye..
"Dillagi Ne Kuch Na kaha ...
Dil Laga Kar Rah Gaye


Muskurane ki ada
Mat Muskurao itna
ke phoolon ko khabar lag jaye,
Ke kare woh tumhari tareef,
Aur tumhe nazar lag jaye.

Dil le gaya Afridi ka ball, koi Catch na kar  le ussay,,,,

Kia hoga hoga team ka, agar woh out hogaya.,,,kia hoga ,, hoga hoga,,, Afridi ka kya hoga,,,,

------------------

Mera dil jis dil pe fida hai,,,Woh shadhi shudah hai,,

Afridi Shadhi shudah hai,

hAAN MOHAAB KI yeh sazza hai,,,

woh shadhi shudah hai,,,,,,,

šŸ˜­

////////"I love Afridi"///////

KK-LUV-Sumit thumbnail
Posted: 19 years ago

"mera sona Saajan ground par bat le ke ayya,,,

Eid hogayi team ki,,, mujhe sixes nazaar ahh gaya,,,

Mubarkhaan,,,mubarkhaan,,,,mubarkhaan.."

Ms. Bholi Bhali thumbnail
Posted: 18 years ago

Good Sharyi everyone,
here is some from me, I am not a shayar but really like to read good shaiyari!

Shart Itni Hain Who Bole To Sahi.....
 Sham Dhali Chand Nikle To Sahi
Dard Jo Dil Mein Hain Chamke To Ssahi

Hum Wahan Par Basa Lyee Khud Ko
Who Kabhi Rah Mein Roke to Sahi
Who Qayamat Ho Ke Sitarah Ho Ke Dil
Kuch Na Kuch Hijir Mein Tootte To Sahi
Sab Se Hat Kar Hi Manana Hain Us Se
Hum Se Ak Bar  Who Rroothe To Sahi
Dil Us Vaqt Ssambhal Jjae Ga
Dil Ka Ahval Who Poche To Sahi
Us Ki Nafrat Bhi Mahabbat Ho Gi
Mere Bare Mein Who Soche To Sahi

Us Ke Qadamoon Mein Bicha Do Ankheen
Meri Dosti Se Who Ghuzre To Sahi
Us Ke Sab Jhoot Bhi Sach Hhain Ae Dost
Shart Itni Hain Who Bole To Sahi

Ms. Bholi Bhali thumbnail
Posted: 18 years ago

Teergi ke jungle mein kum nahi hai ik jugnu
Tum bas apnay hissay ka ik diya jala dainaa
ā€¦ā€¦ā€¦ā€¦ā€¦.
Phul khilte hain khil kar bikhar jatay hain
Yadein reh jati hain insan bicharr jate hain
...............
Mere mazar par aa kar diye jalaye gi
Wo mere baad meri zindugi mein aye gi
...............
Phir raha hun shauk ke darya mein be qarar
Khud hi ai manzilon ab dhundh lo mujhe
...............
Badla wafa ka dein gey
bari saadgi se hum
Tum hum se rooth jaao gey aur zindagi se hum
...............
Manzil ki tamanna hai to darkar hai jurr'at
Raste se hata dijye jo sung e giran ho.
...............
Kaun kehta hai maut ayi to mar jaunga
Mein to darya hun samundar meun utar jaunga
...............
Jahan rahe ga waheen raushni lutaye ga
Chiragh ka apna koi makan nahi hota
...............
Dil hi to hai sung o khusht se na bhar aye kyun
Royen ge hum hazar baar koi hamein sataye kyun
...............
Yahan kisi ko bhi hasb e aarzu na mila
Kisi ko hum na mile aur koi humko na mila
...............
Subha sadiq mein bahut der nahi lekin
Apni ujlat mein chiraghon ko bujha mat dena
...............
Dunya se na ye rusm nibhi chund baras bhi
Hum samjhe thay hamein yad kya jata rahega
...............
Zindagi meri lughat mein chand se chehron ki chup
Chandni yaroon ki khush paishanyon ka naam hai
...............
Ragon mein khoon ki garmi ka maujza hai tamam
Wagarna aadmi pathar se mukhtalif to na tha.
...............
Wo sar se pehle zuban kaat lya karte hain
ke khuda se na kare koi shikayat unki
...............
Sanson ke silsile ko na do zindugi ka naam
jeenay ke bawajood bhi kuch loog marr gaye
...............
Bant na daloon khud ko mein daman daman
Kar dya tu ne agar mera hawala mujhko
...............
Mein apni pyas ke qadmon se napoon gi kahan tak hai
Ye sehrah dushmani ka, dusht laa mehdood nafrat ka.
...............
Dhuaan bana ke hawa mein urra dya mu jko
Mein jal raha tha kisi ne bujha dya mujhko
...............
Jaisi bhi hun bhali hun ke buri hun apne liye hun
Mein khud ko nahi dekhtee auron ki nazar se
...............
Kitni bojhal hai fiza yaron ko andaza nahi hai
Khirrkyan ab bund kardo ke hawa taza nahi hai
...............
Aaghaz to hota hai anjam nahi hota
Jab meri kahani mein wo nam nahi hota
...............
Kehne ko zindugi thi bahut mukhtasar magar
kuch yun basar hui keh khuda yaad aa
gaya
...............
Sanson mein bhi shamil ho lahu mein bhi rawan ho
lekin mere haathon ki lakeeron mein kahaan ho
...............
Rasm e Ulfat hi ijaazat nahin deti warna
Hum bhi aisa Bhoolein ke sada Yaad karo
...............
woh Shakhs meri Lash pe aaya, Na ro saka
Uss ko merey sukoon ka kitna khayaal tha
...............
Ya khuda log banaaye thay agar pathar kay
Meray ahsaas ko sheesha na banaya hota
...............
Woh ashk ban ke Meri Chashm e tar mein rehta hai
Ajeeb shakhs hai Paani ke Ghur mein rehta hai
...............
Acha khasa baithey baithey gum ho jaata hoon
Ab mein aksar mein nahin rehta tum jaata hoon
...............
Ahsas ka andaz badal jaata hai warna
Anchal bhi ussi taar se banta hai kafan bhi
...............
Seeney se merey zeher utarney nahin detey
Zinda rahein woh loug jo marney nahin detey
...............
Tum nahit o zindugi mein aur kya reh jaye ga
Door tak tanhayion ka silsila reh jaye ga
...............
Qasam khuda ki mohabbat nahi aqidat hai
Diyar e dil mein barra ehteram hai tera
...............
Qais jungle mein akela hai mujhe jaane do
khub guzaregi jo mil baithenge dewaane do
...............
Duniya ko dekhti rahi jis nazar se main
Us aankh mein mere liye pehchan bhi na thi
...............
Jin doston se ham ko tawaqqa wafa ki thi
Woh dost dil se naqsh e wafa tak mita gaye
...............
Yaa rab zamana mujh ko mitata hai kis lye
lauh e jahan pe harf e mukarrar nahi hun main
...............
Batt jaayengi kirchiyan bhi tere wujud ki
Mujh ka na torr dekh tera aaina hun main
...............
Gira ke aankh se mujh ko zamaana bhool
gaya
Ik ashk tha main zamanay ki chashm e tar ke liye