FF(MANEET): DIL MIL GAYE Thrd1 upd prt 21 pg 141) - Page 27

Created

Last reply

Replies

987

Views

193044

Users

86

Likes

2256

Frequent Posters

piya- thumbnail
Posted: 12 years ago
thanks dear😛
piya- thumbnail
Posted: 12 years ago

Originally posted by: luvdhrishti

waiting dear
awesome updats!!!!!!

thanks dear😛
piya- thumbnail
Posted: 12 years ago

Originally posted by: butterfly.tanu

update soon dear...

waiting for maan's cofession...
i know it will passionate one...

thanks once again tanu i really hope that i live upto ur expectations
mandymore thumbnail
Anniversary 15 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 2
Posted: 12 years ago
Wow,grt prt,yash hear deir truth,hope their misundrstng shld clr out.luking forward 4 maaneet prt.thnxs 4 pm
swetha10 thumbnail
Anniversary 16 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 3
Posted: 12 years ago
wow amazing update...cant wait for the next part.. really excited abt maan's confession.. plzz continue soon
-Zahra15- thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 4
Posted: 12 years ago
oh no...y did u stop here...i so wanted to read maan's confession...plz continue soon n thnx for the pm...
piya- thumbnail
Posted: 12 years ago
Banner: Shivangi (CIDManeetNaksh) & Sthuthi
 
First of all thanks a ton for ur appreciation and encouragement. I was experiencing some problem with my net connection and hence I could not PM each one of u in my last update I am really sorry for that. Coming to today's update. Frnds I know I am not a good writer but I have tried my level best to make this confession atleast a onetime read if not better. I am extremely sorry if I couldn't meet ur expectations. Do feel free to criticize.  

PART 9

This was the same cassette in which maan had recorded his confession

Geet: Ye aawaz tho cassette se aa rahi rahi hai.

 

She increases the volume

 

( Maan's confession begins)

 

Geet... is cassette mein meri aawaz sunkar shayad tumhe thoda ajeeb lage. Wo actually bahut dino se main tumse ek baat kehna chahta tha. Lekin isse pehle ke main apni baat tumhare saamne rakhu tumhe mujhse ek vaada karna hoga ke chahe kuch bhi ho jaaye humare dosti ke rishte mein koi bhi badlav nahi aayega, hum humesha se best friends the aur aage bhi best friends rahenge.

 

Sach kahu tho main kafi confused hoon ke iss baat ki shuruwat main kaha se karu.

 

Jaanti ho geet kuch saal pehle mere Dad ki death ho gayi thi. Mere dad mere liye mere guardian, mere friend , mere hero mere sab kuch the. Unke sudden death se jaise meri saari duniya hi bikar gayi.

 

Apne gum ko bhulane ke liye maine apne aap ko puri tarah se kaam mein uljaye rakha itna ke naahi mujhe kabhi waqt ka hosh raha aur naahi kisi ke feelings ki kadar. Main dheere dheere insaan se machine ban gaya.

 

Saare jazbaat, sari khushiyaan duniya ke saare rang mere liye bematlabi aur bemaiyne ho gaye. Mere dil ne tho jaise dhadakna hi band kar diya.

 

Maine khud hi apne irth girt aise deewar khade kar diye jise thodna mushkil hi nahi namumkin tha. Har wo baat jo ke mere dil ke jazbaato ka darpan hoti thi use bahar aane se pehle hi mein khuchal deta tha. Apne aap ko maine andhere ke ek aise daldal mein phasa diya tha jisme ke har roz main ek nayi maut mar raha tha.

 

Phir ek din achanak sab kuch badal gaya.

Tum meri zindagi mein aayi geet. Tumne mere andhere zindagi mein khushiyon ki roshni bankar dastak di

 

Aisa laga jaise ke khushiyan apni bahhe failakar mujhe apni taraf bula rahi ho. Koi mera haath thamkar mujhe us daldal se bahar nikal raha ho.

 

Palak jhapakte hi mere charo taraf ki deeware tumne apni maasumiyat se thod di. Tumne mujhe iss baat ka ehsaas dilaya ke zindagi mein pyar, mohabbat, dosti, rishte naate in sab ke kya maiyne hai. Mujhe ek machine se phir se ek insaan bana diya, ek aisa insaan jo ke dusaro ke jazbaato ki izzat kare unhe samjhe, jise khush rehne ka pura hak ho aur jiska dil bhi kisi ke liye dhadakta ho.

 

Main tumse ye tho nahi kahunga ke tumhe dekhte hi main tumhe pasand karne lag gaya tha, kyunki ye sach nahi hai.

 

Tumhe humhari pehli mulakat tho yaad hogi hi jaha pe tumne mujhe sabke saamne Dhust Danav kaha tha aur hum dono ke beech kafi badi bhehes chid gayi thi. Yakin mano geet mujhe vakai mein uss din ye laga tha ek agar main iss duniya mein kisi se sabse zyada nafrat karta hoon tho wo tum ho

 

Lekin kismat ko kuch aur hi manzoor tha. Pata nahi ye nafrat kab dosti mein badal gayi aur kab ...

 

Jaanti ho geet nakul mujhse humesha ek sawal karta hain ke subah 9 baje ke office ke liye main subah 7 baje hi kyun nikal jaata hoon. Us bechare ko ye nahi pata ke subah main kisi client se milne ke liye nahi balki apne car mein tumhara show sunne ke liye jaldi nikalta hoon. Bechara yahi sochta hai ke ye kaisi meeting hai jo ke kabhi khatm hi nahi hoti.

 

Mera bus chale tho sach mein ye silsila kabhie bhi khatm na ho.

 

Geet...

 

Tum haule se meri zindagi mein aayi aur jab mujhe tumhare paas hone ka ehsaas hua tab maine jaana ke main kitna lucky hoon ke mujhe iss kaiynaat ki sabse beshkimati darohar mili hai.

 

Us Rab ne tumhe tarashkar tumhe banakar apne rutbe ko ek nayi pehchaan di hai geet.

 

Meri din bhar ki saari thakan tumhari mushkurahat ko dekhkar mith jaati hai.

 

Tumhari shararate tumhe mere dil ke aur kareeb le aati hai.

 

Duniya ke sabse kimati heere ki chamak bhi tumhare aakhon ki chamak ke saamne phiki hai Geet.

 

Tumhari khilkhilati hui hassi mere saare dukh dard ko pal mein gayab kar deti hai.

 

Tumhare chehre ke noor ko dekh chand bhi sharmakar badalo ke peeche chup jaata hai.

 

Tumhari maasumiyat mujhe iss baat ka ehsaas dila thi hai ke duniya aaj bhi khoobsurat hai.

 

Tumhari aakhon mein nami dekhta hoon tho dil ke sau thukde ho jaate hai.

 

Jab bhi tum mujhe meri kisi galti par daat thi ho iss baat ka yakeen ho jaata hai ke haan iss duniya mein mera bhi koi apna hai jise meri fikar hai.

 

Jab tum sharmati ho tab tumhari khoobsurati mein char chand lag jaate hai aur jab tum gusse mein apni nak ko twist karti ho tho yakeen mano geet us waqt tumse zyaada cute koi bhi nahi lagta.

 

Jab tum mujhse naaraz ho jaati ho to lagta hai jaise khushiyoon ne ek baar phir mujhse apna muh mod liya ho.

 

Tumhari saadgi tho khud mein ek misaal hai geet jisse dekhkar uparwale pe yakeen karne par main majboor ho jaata hoon.

 

Chand ki chandni bhi mujhe tumhari aakhon ka mehez ek saaya nazar aati hai.

 

Jab tum meri nazaro se dur chali jaati ho tab is darr se ke khahi main tumhe kho na du main sehem sa jaata hoon.

 

Jab tumhari nigahoon mein apne liye pyar dekhta hoon tab lagta hai jaise ke fizaoon mein duniya ke saare rang ghul gaye ho.

 

Tumhari tasveer ko seene se lagakar soote waqt jannat mein hone ka ehsaas hota hai.

 

Kisi shayar ka khayal bhi tumhari khoobsurati ko lafzo mein bayan nahi kar sakta geet.

 

Agar mera bus chale tho main tumhe apne haatho ki lakeero mein kuch iss tarah se sajadu ke chahkar bhi koi mujhe tumse judha na kar paaye.

 

Main tumse ye tho nahi kehta ke chand taare thod kar main tumhare kadmo mein la dalunga.

 

Haan, magar ye vaada zaroor karta hoon ke

 

Jab bhi tumhe meri zaroorat hogi tum mujhe apne paas paougi

 

Jab bhi tum ladkhadane lagogi tab main tumhara sahara bankar tumhe thaam loonga.

 

Har wo cheez jisse tumhe takleef ho usse pehle mera saamna karna hoga.

 

Hawa ka har wo jhookha jo ke tumhe nuksaan pauchane ke irade se tumhari taraf bade usse tumhe choone se pehle hi main rokh lunga.

 

Tumhe is duniya ke saari pareshaniyoon se dur mehfoos apne dil mein samalkar rakhunga.

 

Apne zindagi ki har ek saas main tumpar nauchavar karunga.

 

Tumhari zindagi ko phoolo se kuch iss kadar mehkadunga ke kaate chahkar bhi tumhare aas paas na mandara sakhe.

 

Pehle tum meri aadat thi geet lekin ab zarurat ban chuki ho. Tumhare bagair mera koi bhi astitva ya wajood nahi hai.

 

Duniya ke saare khoobsurat cheezo mein mujhe bus ek hi chehra nazar aata hai meri geet ka.

 

Sach kahu tho iss saare kaiynaat ke khoobsurat cheezo ko ikkata kar tumhare saamne agar khada kar diya jaaye tab bhi wo saari cheeze tumhari mehez ek parchayi bankar reh jaayengi.

 

Geet...

 

Tum apne dil ki baat bade aasani se keh deti ho aur main har wo baat se dur bhagta hoon jo ke mere feelings ko reveal karte ho.

 

Tum bade aasani se dost bana leti ho aur main utna hi reserved person hoon

 

Tum bahut hi sweet ho aur main ek dhust dhanav

 

Main jaanta hoon ke main tumhare liye perfect nahi magar tum mere liye perfect ho.

 

Jo khamiyaan mujhme hai wo saari khoobiyaan tumme hai

 

In short, U COMPLETE ME GEET! U COMPLETE ME!

 

Geet main tumhe dilojaan se chahta hoon aur jab tak ye zindagi hai ye chahat yuhi barkaraar rahegi.

 

Jab bhi mujhe aisa lagta hai ke main tumhe isse zyaada pyar nahi kar sakta tab tum hamesha kuch aisa kar deti ho ke mein phir se ek baar tumhari pyar ki gehrahiyoon mein doob jaata hoon.

 

Tum soch rahi hogi ke ye baat main tumse milkar bhi keh sakta tha. Maine aisa is liye nahi kiya ke main tumhe kisi bhi tarah ki takleef nahi pouchhana chahta tha.

 

Maine tumse pehle bhi kaha hai ke chahe tumhara jo bhi faisla ho humhare dosti par uska koi bhi asaar nahi hoga. Tumhare faisle ki main izzat karta hoon.

 

Tumhari khushi mein hi meri khushi hai. Main bus tumse yahi kahoonga ke jaise ho humesha waisi hi bane rehna aur apne muskurahat se sabke zindagi mein khusiyaan bekerti rehna.

 

Tumhara maan

 

Precap: Any guesses what would be geet's reaction?

 
PART 10: PAGE 49
 
Edited by piya- - 12 years ago
bairaagix thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail + 6
Posted: 12 years ago
resd

kya Piya...what an Update... mere rongte khade ho gaye... what awesome use of words and i thought that I was really listening to Maan's voice...so realistic... so true... this was by far the best Update... Maan expressed himself so frankly... just bowled out by your writing... OMG! Maan is so nice and kya shayari bhara andaaz tha...

eh lo! main to bhool ho gayi...
me first to comment!

Thanks for the PM and please me again when you Update!!
Edited by CIDMaaneetNaksh - 12 years ago
swetha10 thumbnail
Anniversary 16 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 3
Posted: 12 years ago
wow such a beautiful confession... am really speechless.. luved it.. cant wait for geet's reaction...  continue soon
shah10 thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 3
Posted: 12 years ago
wow..mindblowing..
beautiful.
love it.
cant wait to see geet's reaction..
thx