part5
gunur go to office in sayanks ar as you know from the past
in the car
M-tum bahut badi paagal ho
N-main aur paagal tum kehna kya chahte ho
M-maine mazak kiya tumne maan liya
N-main jaanthi thi tumne mazak kiya main toh bas tumhare saath aana chahti thi isiliye maine tumhare jooth ko sach samajne ki acting ki
M-tumhain maine kuch aur samja tum ho kuch aur
N-aur ka kya matlab
M-waise tumhein mere saath aane ka mann kyun kiya
N-pata nahin aane ka mann kiya aagayi
M-waise sham ka kya plan hain
N-tennis khelne jaana hain mera favourite uske baad pata nahin
M-kyun na dono baahar chale
N-baahar actually mujhe kaam hain
M-abhi toh kahaan free ho
N-haan par sham tak nahin keh sakti
M-tumhein mere saath chalna hoga main kuch nahin jaanta
(in sajan's car)
G-tumne mujhe blackmail karke apne gaadi main bitayi kaise ladke ho tum aise koi karta hain kya mujhe mere gaadi ke keys ab toh dedo
S-gaadi ke keys tumhare purse main hain
G-kya(she finds the keys in her bag)main bhi kitni paagal hoon
(she starts smiling both laugh looking at each other)
S-mujhe lagaa tumhein gussa aayega
G-tumne mujhe bahut ache se bevakuf banaya maanni padegi tum ho bahut intelligent
S-tumse kam
G-woh kaise
S-tumne apne pyar ko accept karte hi use hamesha ke liye apna banaya waise tumne abhi tak i love you nahin kahaan this is not fair shaadhi ho gayi woh bhi love marriage par ab tak no i love u
G-words main kya rakha hain feelings toh dil main hona chahiye
S-tum baatein achi karti ho
(they reach hospital someone beats on nupurs head)
A-hi sweet heart aaj bahu jaldi aagayi
N-armaan tumne phir mujhe maara main tumhein nahin chodungi
A-kya karun aadat se majbur hun waise yeh hain kaun
N-mayank
A-mayank kaun
N-armaan
A-main mazak kar raha tha tum gusse main bahut cute lagti ho(he catches her nose)
N-auch chodo
(mayank was looking at armaan in anger just then ridzi comes there)
R-yeh ho kya raha hain armaan tumne subah subah flirting shuru kiya
N-haan ise aur kya kaam hain pata nahin tune isse shaadi kaise ki
(listening to that mayank feels better)
A-jis tarah mayank ne tumse shaadhi ki
R-waise yeh
A-is paagal ladki ka pati mr mayank sharma
R-hi i am ridzi
A-aur main hoon
M-armaan jaanta hun
A-tumhein hamari paagal ladki kaise lagi waise agar ridzi se pehle yeh milti na main isse hi shaadi karta
R-tab main bach jaati
(nupur gives hifi to her)
M-ok ab main chalta hun mujhe office ke liye late horaha bye
(he gives a side hug to nupur )
M-sham ko yaad hain na bye
N-tik hain try karoongi
A-yeh ho kya raha hain
N-kuch nahin mayank mujhe baahar lejaana chahta hain
R-tumne kya kahaan
N-mana kiya
R-par kyun
N-mann nahin hain
R-lekin kyun tumhein tumhare hubby ke saath baahar jaane ka mann nahin hain
N-hubby hain toh
R-tu chal mere saath'
(she talks to nupur privately)
R-ab bol kya baat hain
N-koi baat nahin hain
R-toh tu mayank ke saath kyun jaana nahin chahti
N-mujhe yeh sab bahut ajeeb lag raha hain main kitna khush thi mom dad di aur main phr di ki shaadi ki baat aayi aur uske baad di ghar se chali gayi us waqt mom ke gusse ke darr se maine shaadi ki mujhe nahin pata shaadhi ke baad life kaise hoti hain par mujhe ab wahaan kuch acha nahin lag raha bahut darr lag raha hain mujhe mom ke paas waapas jaane ka mann kar raha hain mom chahe kitna bhi gussa karti ho par mom bahut achi hain tumhein pata hain jab main hospital se tak kar ghar jaathi thi mom mera sar dabathi thi jab mujhe hospital ke liye der hota hain mom mujhe khana kilaati thi aur dad hum jitna bhi shaitaani kare hamesha hamaare support karte hain mujhe pna ghar waapas jaana hain(she almost has tears in eyes)
R-nupur rona band kar main samaj sakti hun main bhi aise hi sochti thi par ek baar hum shaadhi ke bandan main band jaate hain tab chah kar bhi mom ke paas nahin jaa sakte
(ridzi suddenly looks at gunjan who was standing at a corner she too has tears in her eyes)
R-gunjan tu kab aayi
G-woh main abhi aayi thi
N-kya hua di aap pareshan lag rahi hain
G-woh nupur tune tik kahaan mujhe bhi ghar waapas jaane ka mann kar raha hain humne shaadhi karke bahut badi galti ki hain apne haato se hamari khushiyon ko barbaad kiya mom ke gusse se darr kar shaadhi ki par ab mom ka gussa bhi acha lag raha hain hum apne ghar waapas nahin jaa sakte kya humein apni puri life anjaan logo ke saath rehna padega kya. hamaare mom dad se milne ke liye bhi humein in anjaan logo ki permission leni padegi pata nahin yeh sab kuch kya hain hum dono ek ghar main hoke bhi ek saath nahin hain hum dono ek saath nahin aasakte naahin hum ek dusre ke saath pehle ki tarah baat kar sakte main mom ki gusse ko dad ke laad ko bahut miss kar rahi hoon
N-main bhi
(both hug and start crying badly)
I am not saying sayank and their family are bad but gunur are missing there parents a lot .They just want to be with their parents why i hope u understood with nupur and gunjans words
hope you like it
Edited by --unknown-- - 12 years ago
comment:
p_commentcount