Me Lord,
Tareekh dene se pehle mein kuch arz karna chahoonga.
Pehli tareekh mein kaha gaya ki damini pagal hai.
Use pagal khana bhej diya gaya, jahaan use poori pagal banane ki koshish ki gayi.
Doosri tareekh se pehle hospital mein padi urmi ka khoon kar diya gaya aur case bana khud khushi ka.
Jab ki is adalat mein maine saabit kar diya ki urmi nein khud khushi nahi ki, uska khoon hua hai...aur shekher bhi us din saare sach kehne waala tha...ki chadha saheb ne phir se apni chaal chal di...bimaari ka natak karke..tareekh le li.
Nahi to usi din me lord..us case ka faisla ho jaata...aur aaj, aap fir se tareekh de rahein hain...
Us tareekh se pehle sadak mein koi truck mujhe maarkar chala jayega or case banega road accident ka...aap fir se tareekh de denge..aur us tareekh se pehle damini ko pagal banakar pagal khane mein feink diya jayega...aur is tarah na to koi sachai ke liye ladna wala rahega, na hi insaaf maangne wala..reh jayegi to sirf tareekh.
Aur yehi hota raha hai me lord..
tareekh par tareekh
tareekh par tareekh
tareekh par tareekh
tareekh par tareekh milti rahi hai...lekin insaaf nahi mila me lord...insaaf nahi mila..mila hai to sirf yeh tareekh.
Kanoon ke dalalon ne tareekh ko insaaf ke khilaaf ek hathiyaar ki tarah istemaal kiya hai me lord...do tareekhon ke beech adalat ke bahar yeh kanoon ka dhandha kartein hain...dhanda.
Jahan gawah tode jaatein hain, kharidein jaatein hain, maarein jaatein hain...aur reh jaati hai sirf tareekh.
Log insaaf ke liye apni zameen jayedad bech kar case ladtein hain..aur le jatein hain to sirf tareekh.
Auraton me apne gehne zewar..aur yahan tak apne mangalsutra beche hain apne insaaf ke liye..aur unhe bhi mili hai to sirf..tareekh.
Mahino saalon chakkar kaat te kaat te is adalat ke kahin faryaadi khud ban jaatein hain tareekh.
Aur unhe bhi milti hai to sirf...tareekh.
comment:
p_commentcount