Har pal jab maine tumse maanga pyaar,
Mere dil ne maanga tumse ehtesaab;
lekin hamaara pyaar to pehle hi kahin kho chuka tha,
Mera dil tab bhi tunhaare liye ro raha tha!
Hamare pyaar bhare aashiyane ko tumne bikher diya,
saat janmon ke saath ko tumne chand palon me chodd diya,
hamari yaadon ko tumne kaale rang me rang diya,
Mere sheeshe jaise dil ko tumne choor choor kar diya!
Kya tumhe nahin yaad aaye woh lamhe?
Kya pal me bhool gaye pyaar ke woh nagme?
Kyun chod diya ye haath jo umr bhar ke liye thama tha?
Kyun tod diya woh bandhan jo vishwas se humne baandha tha?
Tumhe kho kar, maine khud ko khoya tha,
Tunhare liye har pal yeh dil mera roya tha...
Kahan kam pad gayi main, har ghadi khud se poochti thi,
Tumhare kiye gunaah ke liye har din nai sazaa paati thi!
Tumhi to mere apne the, kisis aur ko maine kahan jaana...
Jab se pyaar ko jaana, iss dil ne tumhe hi to pehchaana,
tumse bewafaai paakar dil baawanra hua ghoomta tha,
Kitna rokne par bhi yeh sirf tunhi ko dhoondhta tha!
Par aaj jab khud ko dekhti hoon,
Apne ko main khushnaseeb samajhti hoon;
Jo hota hai acche ke liye hota hai,
kahawat ko apni zindagi mein charitaarth paati hoon!
Jo tum na milte to pyaar ko naa pehchaanti,
Aur agar tunhe nahin khoti toh khud ko nahin pehchanti!
jo tum na aate, to dard ko na pehchanti,
Aur tum na jaate to dard ke rishte ko naa maanti!
jo tumko na jaanti toh pyaar ke ghaavon ko naa jhelti,
Jo tum ajnabee na ho jaate to pyaar ke malham ki hasi chehre par na khelti!
Har pal tumhare baad apne aap ko na dhoondha hai,
Is sangharsh me mee saath, mere pyar ne mijhe puja hai!
Jab kabhi dard ke samandar me khud ko doobta paaya hai,
Mere dard se pyaar karne waale ne mujhe paar pahunchaya hai!
Jab-jab apne aatm-sammaan ko chootta hua paaya hai,
Tab mere Maan ne aake mera maan bachaya hai,
Jab kabhi apne aap ko akela khada paaya hai,
Har baar uske pyaar bana mera saaya hai!
jab kabhi pyaar ka zikr bhi gar aata hai,
Sirf ek hi naam dil me, ek hi chehra aankhon me samaata hai;
Aaj poore dil se main yeh izhaar karti hoon,
Haan sirf aur sirf Maan se hi pyaar main karti hoon!
My last tribute to ehtesaab di!
Love
Swati
comment:
p_commentcount