Miley Jab Hum Tum

A Bird In The Cage note on page 1 - Page 74

Created

Last reply

Replies

936

Views

60802

Users

49

Likes

1237

Frequent Posters

--unknown-- thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail + 2
Posted: 12 years ago
Originally posted by: mahakmev

loved it i can understand mayur's condition

--unknown-- thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail + 2
Posted: 12 years ago
Originally posted by: SujaLuvsMayur

very nice update.

wah!! sajan benia engagement.
wow
bt poor nupur.
she was so alone in corwd.
i can understand their situation.
poor mayur.
i hope, nupur realize her love soon.
waiting for next update.
continue soon.
thanks for the pm (in advance)

--unknown-- thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail + 2
Posted: 12 years ago
thanks for all silent readers and who pressed like button
--unknown-- thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail + 2
Posted: 12 years ago
@tukoon  i dont know your name but thanks for your concern mere tabiyet mere oses ke wajah se kharab hain meri tabiyet tab hi tik hoga jab mere oses complete honge
@ginny, @annie main tum logo ko jyada wait nahin karaongi i will update thrice in a week as 16 of next month will be the last update of all oses
@amala-yaar abhi toh story shuru hui hain thoda toh wait karo yaar aage aage bahut kuch hain
@shilpa-actually main itne din villian nahin rakhi kyunki nupur ko uske feelings ko samajna par concentrate kar rahi thi ab tumhein villian end tak milegi
@mayurlove,@arzo -ifelt very nice you like my os i will surely pm you
@sanchari actually maine us din update ke ek gante baad pm kiya isiliye late hua
@faria , preethi, gul, tanisha, love.mayurarti, suja, miriam, sameera, roshnee, mehak  thanks a lot dear for bearing all my oses
@shaffy thanks for your song dear
 
--unknown-- thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail + 2
Posted: 12 years ago
here is my next part here i am introducing new charectar dadi though she is negative she will give a positive end to this os.just wait and watch story begins now😕
 
the song is just to say nupur's feelings right now
Edited by --unknown-- - 12 years ago
--unknown-- thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail + 2
Posted: 12 years ago

part 16

M-hello maa aap kaisi ho

Shilpa-main teek hoon

M-aur nupur

Shilpa-toh yeh call nupur ke liye hain

M-mom

Shilpa-woh teek hain waise tu mujhse kyun pooch raha hain usi ko call karke pooch sakta hain

M-main use call nahin kar sakta

Shilpa-kya hua sab teek toh hain tu use apne saath bhi nahin lejaana chahta tha tum dono ke beech ladai hui hain kya dekh mayu nupur thodi nadaan hain tu uski baaton ko dil pe mat le

M-woh nadaan hain isiliye yeh sab kuch karna pad raha hain

Shilpa-main kuch samji nahin tu kuch chupa raha hain kya

M-nahin mom aisa kuch nahin hain bas ek choti si problem hain main solve karloonga

Shilpa-tu mujhe bata na

M-agar zaroorat pade toh zaroor bataonga bas aap nupur ka khayal rakhiye

Shilpa-main jaanti hun mera beta bahut samajdaar hain par jo bhi karna soch samaj ke karna

M-ok mom waise aap kya kar rahe hain abhi tak soyi nahin

Shilpa-main gunjan ko doond rahi thi pura ghar dund liya par madam dikhaye nahin de rahi

M-aapne terrace par dekha kya

Shilpa-terrace par is waqt kya karegi

M-shayad aise hi gayi hogi hawaa khane

Shilpa 'hawaa khane ab samji pata nahin 6 mahine main kya hoga

M-pata nahin(both smile) waise aapko gunjan se kya kaam hain

Shilpa-woh main soch rahi thi gunjan ko nupur ke saath sone ke liye kahoon tu nahin hain na shayad nupur ko akelapan mehsoos ho

M-aapne tik kahaan gunjan uske saath rahegi toh nupur ko acha lagega thanks mom

Shilpa- thanks bolne ki zaroorat nahin hain bas tu apna khayal rakhna wohi kaafi hain nupur ko dekhne ke liye main hoon main uska poora khayal rakhoongi waise tu pahunch gaya

M-nahin flight main hun flight thoda late hain pahunchne ke baad call karoonga bye

(he keeps the phone and suddenly looks at a couple hugging each other he remembers nupur hugging him when she first time came in the flight)

M-i love you nupur(a smile appears on his face)

Sajan on terrace

S-tumne toh us din mujhe maarne ka hi plan banaya tumhein mujh par itna bhi barosa nahin hain

G-bilkul bhi nahin hain

S-kaise ladki ho tum aise muh pe hi keh rahi ho

G-main jo bhi kehna hain directly kehti hoon mujhe peet peeche bolne ki aadat nahin hain

(he catches her waist and brings her closer)

S-acha chodo na woh sab kuch aur baat karte hain

G-topic tumne start kiya maine nahin

S-hamesha aise kyun baat karti ho kabhi toh pyar se baat kar sakti hona

G-acha tik hain pyar se hi kehti hun(in full nautanki) sam topic tumne start kiye (gets normal)yeh tik hain

S-tumse baat karna bekaar hain

G-tik hain main jaa rahi hun

S-are ruko mera woh matlab nahin tha

G-toh fir kya matlab tha

S-tum itni straight forward kyun ho tumse aur bhai se baat karna impossible hain ab samja tum dono best friends kaise ho

G-hum tumhari tarah tede nahin seede hain ok ab main jaati hun warna koi upar aajayega

S-thodi der rukhona

G-raat bahut ho gayi hain mujhe neend aarahi hain bye

 

Shilpa was going towards terrace and finds gunjan coming

Shilpa-tum upar kya kar rahi thi

G-aunty woh main bas hawaa khane gayi thi

Shilpa-hawaa khane

G-rehne dijiye na aunty kuch kaam tha kya

Shilpa-(she smiles)main soch rahi thi ki raat ko tum nupur ke saath rahogi toh use acha lagega waise mayank bhi nahin hain use akela mehsoos horaha hoga

G-ismein poochne ki kya baat hain main abhi uske paas jaati hun

 

 

Mayank didn't call nupur after he went. Nupur was missing him a lot . In the night she was sleeping on the bed and catching his frame

N-tum kab aaoge tum mujh se baat kyun nahin kar rahe mujhe phone bhi nahin kiya mujhe tumse baat karni hain tum jaldi aajao na warna main rodungi. Please mayank jaldi aajao na. tum mujhe chod kar kyun chale gaye hamesha mere saath rehne ke baare main kehto ho aur aaj mujhe aise akele chod diya tum mujhse naaraz ho kya I am sorry par please waapas aajao mujhe kuch bhi acha nahin lag raha

(she was continuously crying)

Suddenly someone knocks the door she opens and finds gunjan

G-tum sogayi thi kya sorry maine tumhein disturb kiya

N-nahin tum yeha kya kar rahi ho

G-tumhare saath sone ke liye aayi waise kya hua tumhare chehre ka fuse kyun ud gaya

(she goes and sits on the bed there she finds mayanks frame)

G-ab samji mayank ko miss kar rahi ho

(she nods saying yes)

G-so sweet waise usse baat hui kya

(she nods saying no)

N-mayank mujhse naraaz hain isiliye baat nahin kar raha

G-mayank aur tumse naaraz ho hi nahin sakta waise kisliye naaraz hain

N-maine I love you ka matlab nahin jaana na isliye woh mujhse baat nahin kar raha aur mujhe akele chod kar chala gaya main bahut badi paagal hun hamesha use satati hun uski koi baat nahin sunti main bahut buri hun

(she starts crying badly)

N-mayank mujhe pasand nahin karta

G-nupur pehle tum rona band karo aur meri baat suno

(she wipes nupur's tears)

G-woh tumse bahut pyar karta hain woh tumse naaraz nahin ho sakta aur waise bhi tum mayank se itna pyar karti ho aur keh rahi ho I love you ka matlab nahin pata

N-pyar

G-haan pyar is waqt tum mayank ke liye jo mehsoos kar rahi ho wohi pyar hain yaad hain us din jab tumne mujse pyar ka matlab poocha tab maine kya kahaan

N-haan (she remembers those words)

G-kya tum mayank ke baare main aise nahin sochti

(she nods saying yes)

G-nupur pyar ek aise cheez hain jab woh tumhare saath hain tum bahut khush hoti ho aur jab woh tumse dur jaata hain aise roti hain mayank sirf ek hafte ke liye gaya hain hamesha ke liye nahin aise rona band karo jab mayank waapas aayega tum apne dil ki har baat usse kaho woh jat se maan jayega mayank tumse bahut bahut pyar karta hain usse jyada pyar koi nahin kar sakta dekhna jab tum yeh sab usse kahogi kitna khush hoga  

N-kya main mayank se pyar karti hun

G-haan nupur tumhein pyar ho gaya hain aur aise mauke main rona nahin balki khush hona chahiye (she wipes her tears)

N-main use phone karke bol doon

G-nahin jab woh aayega tab use batana phone pe bataogi toh utna mazaa nahin aayega

(the whole night gunjan talks to nupur about love and this makes nupur get clear about what she is feeling she remembers all past moments and her tears turns into a sweet smile she just want to see mayank as soon as possible)

Next day was sajan and benia engagement

They were about to exchange rings Here enters a special character dadi. Haan yeh gunjan aur dia ki dadi hain iska is story main bahut important role hain. Gunjan aur dia ke dad karan ka ek brother hain,Suraj dadi unke saath rehti hain.

Unke parents ke death ke baad unlogo ne gunjan aur dia ko apne saath nahin rakha kyunki unhe woh dono musibat lag rahe the. Sanjay aur karan best friends the aur shilpa aur shobha bhi best friend the woh apne dosto ke bacho ko aise akela kaise chodte isiliye undono ne gunjan aur dia ka responsibility apne sar pe le liya aur aaj woh dono unke bahu banne waale hain isse badi baat unke liye kya ho sakti hain sanjay aur shilpa ke liye apne bte, gunjan, dia aur ab nupur bhi sab ek jaise hain

Waise yeh dadi ka kya kaam hain aage pata chalega

Sajan and benia exchanged rings . they go to take sanjay and shilpa's blessings

Shilpa-hamari nahin pehle ghar ke bade apne dadi ka ashirwaad lelo

(gunjan doesn't like it. Gunjan doesn't like her dads family because they have left them alone when they needed them the most for her now there is only one family her family Sharma family almost dia's position is also same)

Dadi-jeete raho meri bachiyan aaj tere papa hote toh kitna khush hote lekin kya kare use toh bahut jaldi thi main tum dono ke liye bahut khush hoon

(gunjan and dia give a fake smile to her )

After sometime shilpa introduces nupur to her

Shilpa-yeh hain mayank ki patni nupur

Dadi-tune mayank ki shaadhi ki aur bataya nahin

Shilpa-woh sab kuch achanak ho gaya (she tells everything that was her big mistake no it is very useful for nupur)

Dadi-toh yeh prerna ki beti hain maa ki tarah hi hain sanskar hi nahin hain tab se khadi hain ab tak pao bhi nahin chua yehi kehte hain sanskar jaise maa waise beti

(shilpa sighs nupur to take dadis blessings nupur does what she said)

Dadi was continuosly eating shilpa's and nupur's brain. Nupur boli baali chup chap wohi kadi hain shilpa use wahaan se bhejne ki koshish karti hain

Shilpa-nupur tum jaake mehmaano ko dekho main abhi aayi

 

Sajan outside

He catches gunjans hand and kisses it

S-tumhein pata hain aaj main bahut bahut khush hoon ab se tum sirf meri ho

G-par main bilkul bhi khush nahin hun

S-kyun tum mujhse pyar nahin karti tumne yeh shaadi ka naatak mujhse badla lene ke liye kiya na ab main samja wohi main soch raha tha tumhein mujh par achanak se pyar kaise aaya tum se maine true love kiya aur tumne tum itni buri ho yeh maine kabhi socha nahin tha

(she was just looking at him)

G-ho gaya ya kuch balance hain

S-nahin aur bhi baatein hain par words nahin mil rahe

G-tumhein nahin lagta tum kuch jyada hi smart banne ki koshish kar rahe ho kitna sochte ho pata nahin mere future ka kya hoga mera matlab engagement se nahin kisi aur baat se tha

S-tum engagement ki wajah se udaas nahin ho main toh kitna darr gaya tha

G-jaanti hun isiliye toh mujhe nonstop taane maar rahe the

S-sorry(he catches his ears)ab toh smile karo(she smiles)ab batao problem kya hain

G-meri dadi pata nahin kyun aayi hain aur pata nahin kaise musibat kadhi karegi

S-tum mujhe keh rahi ho aur khud itna jyada soch rahi ho aisa kuh nahin hoga aur agar koi problem hui toh bhi main hun na tumhare saath

G-par sam

S-gunjan unsab baton ko chodo hamari sagai hui hain hamari life ka itna special day hain aur tum khush hone ki jagah faltu cheezein soch rahi ho

(she hugs him)

G-i love you

(he kisses her forehead)

S-i love you too main tumhare saath hamesha rahoonga

 

Benia ki bhi toh private meeting honi chahiye

B-kya baat hain dia mood off lag raha hain

D-meri dadi ko dekhkar unlogone kabhi hamara saath nahin diya hamesha akela chod diya I hate them aur aaj jab unhein waapas dekh kar puraane baatein yaad aarahe hain hum hamari life main khush hain na unhe ab yehaan aane ki kya zaroorat thi

B-dia woh tumhari dadi hain unke bare main aisa kehna acha nahin hain

D-kyun nahin bolu benji tumhein nahin pata jab hamare apne humein ek burden samajte hain toh kitna dard hota hain

B-main samaj sakta hun tum kya feel kar rahi ho agar tum unhein apna nahin manna chahti toh rehne do unhein mehmaan ki tarah hi samjo waise bhi ab jab hamari shaadhi hogi toh tum hamesha ke liye Sharma family ki ban jaogi tab yeh sab log tumhari life main koi maanya nahin rakte isiliye unsab ko chodo aur smile karo mere liye (she smiles)yeh teek hain

(she hugs him)

D-pata nahin tum sab nahin hote toh mere aur gunjan ka kya hota

B-dia kahaana chodo in sab baton ko

 

As the days passes on nupur's love was increasing she just want to see mayank as soon as possible she is always in dreamy mood thinking about mayank

 

karwachauth

Dadi-tumhare bahu bhi vrat rakhenge na

Shilpa-rehne do subah se sham tak kaam main busy rehte hain upar se vrat unse nahin hoga

Dadi-kyun nahin karenge unhein zaroor karna chahiye unse main baat karti hun

Shilpa-aap kyun main hi baat karoongi

Shilpa calls three of them

G-kuch kaam tha kya mom

Shilpa- woh tumhari dadi chahti hain ki tum log bhi karwa chauth ka vrat rakho agar tumhein koi problem hain toh batado

D-koi problem nahin hain hum rakhenge

N-karwa chauth woh kya hain

(gunjan and dia beat their head because nupur said that in front of dadi)

Dadi-tum aaj kal ki ladkiyan kuch bhi nahin pata rehta

Shilpa-main baat karti hun

(she catches nupur's face)

Shilpa-beta yeh vrat patni apni pati ke lambi umar ke liye rakhti hain

N-mayank ke liye rakhna hain(she nods saying yes) tab toh zaroor rakhoongi

Shilpa-yeh hui na baat (she kisses her forehead)tik hain main mayank ko kal tak aane ke liye kehti hun

N-mayank kal aayega

Shilpa-tu vrat rakhegi toh use aana hi padega na acha tum teeno jaake tayyariyan karo main abhi aayi

(she calls mayank)

M-haan maa kahiye

Shilpa-tujhe kuch bhi karke kal sham tak ghar pahunchna hain

M-par mom kya hua sab teek toh hain na

Shilpa-kuch hi nahin hua nupur tere liye karwachauth vrat rakh rahi hain toh uske liye tujhe aana padega

M-iski kya zaroorat hain

Shilpa-kyun nahin zaroorat hain yeh tum dono ke ache ke liye hi hain main use kaise rokhungi tu kuch bhi karke kal sham tak ghar aajaa warna nupur bhuki rahegi

M-tik hain aaonga woh kaise hain

Shilpa-bilkul teek hain aur tera intezaar kar rahi hain jaldi aajaana kal tum dono keliye bahut important din hain uska pehla vrat hain

M-ok mom(he keeps the phone) nupur se milne ke liye main bhi bekaraar hoon hope sab kuch maine jaise socha waise hi ho (he prays to god)

 

Next day evening nupur gets ready in red saree she was looking very beautiful. She is very much excited to meet him. Uski feelings main sirf is gaane main bata sakti hoon

 


Chaandni raat taaron ki baaraat hai
Dil ki mehfil sajaane mein kya der hai, kya der hai
Dhadkanein dil ki shehnaaiyaan ban gayi
Ab to saajan ke aane mein kya der hai, kya der hai

Meri zindagi mera pyaar yaad aa raha hai
Aane waala hai jo, voh yaad aa raha hai
(Saajan saajan teri dulhan tujhko pukaare aa jaa
Aakar mere haathon mein mehndi tu hi racha jaa) - 2

Aa jaa, aa jaa, aa jaa

O, meri zindagi mera pyaar yaad aa raha hai
Aane waala hai jo, voh yaad aa raha hai
Saajan saajan teri dulhan tujhko pukaare aa jaa
Aakar mere haathon mein mehndi tu hi racha jaa

Aa jaa, aa jaa, aa jaa

Paayal kaajal kangan daaman, saare tujhe bulaaye
Aa jaa saajan, aa jaa tere apne tujhe bulaaye
Aa jaa aa jaa, saajan aa jaa
Mere mehboob, mere hamsafar
Tujhko kya pata, hai tujhe kya khabar
Ehsaan tere kitne hai mujhpar
Rab pe yakeen hai jitna, utna hai tujhpar


Aa jaa, aa jaa, aa jaa

Mera mehboob mera sanam aa raha hai
Hum to mar hi chuke the, phir janam aa raha hai
Saajan saajan teri dulhan tujhko pukaare aa jaa
Aakar mere haathon mein mehndi tu hi racha jaa

Aa jaa, aa jaa, aa jaa


Chunri meri rangeen hui hai tere rang se saajan
Aakar rang de mera ang ang apne rang se saajan
Aa jaa aa jaa, saajan aa jaa
Tumse vafaayein bahut main karoongi
Kasam teri ab yeh dil kisi ko na doongi
Aa tujhe bata doon mere dil mein kya hai
Dil lene waale tujhe jaan apni doongi

Aa jaa, aa jaa, aa jaa

Dhadkanein badh rahi hai, voh kareeb aa raha hai
Khushnaseebi banke mera voh naseeb aa raha hai
Saajan saajan teri dulhan tujhko pukaare aa jaa
Aakar mere haathon mein mehndi tu hi racha jaa

Chaandni raat taaron ki baaraat hai
Dil ki mehfil sajaane mein kya der hai, kya der hai
Dhadkanein dil ki shehnaaiyaan ban gayi
Ab to saajan ke aane mein kya der hai, kya der hai

 
precap-wait and watch
hope you like it 
 
Edited by --unknown-- - 12 years ago
mayuloveu thumbnail
Posted: 12 years ago
mindblowing suparb. plzplz next part should be romantic. continue soon.
valliyah thumbnail
Anniversary 14 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 12 years ago
Can't wait for Mayur to meet...cont soon...!!!
--unknown-- thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail + 2
Posted: 12 years ago
Originally posted by: .rumki.

nice update

Shafy_Kaira_MN thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 2
Posted: 12 years ago
wow..di...awsome...uodate..
really.loved it...
and dadi's entry..
ley's see.. kya.. naye twist leke aayi hai.. hai.. dadi...