Writers Corner: Books, Stories & Poems

Soul in Words ~ Poetry (UPDATED)

AmnaIsh thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail + 3
Posted: 13 years ago


I like to pour my soul onto words sometimes - Just want to share, hopefuly some of you might be able to relate to the feelings I want to portray!

New.....
Yaadgaar lamhe, khoobsurat batain
Bekhud jazbaat, anjaane ehsaas.
Ik ik pal ka saath, har ik saans ki awaz
Uska mujhse muskura kar milna,
Mera us k paas atey hi bechain hojana
Aur, Dunya walon ka hamain dekh kar ye kehna,
Pagal deewane, kya janain
Ik din juda ho jainge!

Aaaj Ik Muddat K Baad Wo Shaks Mila Tha.
Yoon To Kuch Nahi bola, Magar
Uski Ankhon Main Toofan Chupa Tha.
Muskura Kar Mujko Dekha To Sahi
Par Kya Kahain Us Muskurahat Main Kitna Dard Tha,
...Woh Kuch Lamhon Ki Mulakat, Sadiyon Par Moheet Thi.
Kuch Aisi Khamoshi Main Har Lamha Kata Tha.
Kuch Usko Wakt Ne Badal Dala Kuch Mujhey.
Warna Zindgi Main Us Se Phir Milne Ka Armaan Buhat Tha.
Chup Chaap Guzar Gaye Yunhin Uske Paas Se,
Dono Ko Shayad Apni Bichri Mohabbat Ka Maan Buhat Tha
 
*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*
2
Dil Ko Mere Is Kadar Dukhao Mat,
Mujhey Dukh Dena Bhi Ata Hai...
Har Dukh Chup Chaap Seh Leti Hoon,
Par Toot Kar Bikhar Jana Bbhi Ata Hai..
Sanson Ne Tujh Bin Abhi Bhi Chalna Nahi Seekha,
...Laikin Yeh Mat Bhool Jana,
K Mujhey Mar K Fanaa Ho Jana Bhi Ata Hai...
 
*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*
3

Kuch Din Se Ye Dil Buhat Shor Kar Raha Hai
Pochon To Sahi Ye Chahta Hai Kya
Isko Tarap Hai Kiski Iski Talab Hai Kya
Ik Gumnaam Sa Ehsaas Hai, Beparwa Si aas Hai
Dil Ke Ik Pehlu Main Machalti Koi Yaad Hai
Dheema Sa Khoobsurat Koi Dard Hai
Har Dhadkan Yehi To Keh Rahi Hai, Par
Anjaan Hoon Main, Dil Kion Tarap Raha Hai.
Kya Kahain Dil Kion Itna Shor Kar Raha Hai

*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*
4

Wo Wakt Hi Kuch Aisa Tha,
Wo Lamhe Hi Kuch Khas They
Jab Harpal, Har Lamha Hum Saath They
Hawaon Main Ik Ajab Si Masti Thi
Din Aur Raat Main Ajab Sa Kuch Nasha Tha
Muskurati Thi Sooraj Ki Har Kiran
Thapthapati thi Chand ki Roshni
Khuli Ankhon Se Jab Tumko Dekhti Thi
Or Raat Main Dil Tere Sapne Sajata Tha
Kash K Woh Beeta Hoa Wakt Laut Aye
Jab Harpal Sirf Tera Khayal Rehta Tha
JAb Harpal Sirf Main Thi Aur Tu Tha...

*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*
5

Zindgi Ne Mere Saath Ye Kaisa Dhoka kia
Kisi Meharbaan Ka haath Dekar Chura Lia
Kuch Aise Ujri Mere Pyar Ki Dunya
Labon Ne Muskurana Aur dil ne Dhadkana Chor Dia
Buhat Hogya Intizar, Buhat Hogya Yeh Dikhava
Kaise Dil-e-Nadaan Ko Samjhaon K Kismet Ne kya Dhoka Kia
Kaisa Ye Khel Dunya Ka, Kaisa Hai Dard Zindagi Ka
Zindagi Dekar Mujhse Meri Rooh Ko Hi Cheen Lia.

*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*
6

Kya Kahain, Kaisey Kaisey Dil Ne Dhoke Khaey Hain,
Sirf Aik Pyar K Naam Pe.
Kaise Khuda Se Firyaad Karoon,
Kaise Kahoon Kya Dard Hai.
Khuda Se Sirf Muskurahat Hi To Chahi Thi,
Sirf Uska Saath Hi To Chaha Tha,
Sirf Pyar Hi To Chaha Tha,
Par Dekho Na Mila Kya..
Dard Se Bhara Dil, Ansoo Se Bhari Zindgi.
Kya Kahain, Kaisey Kaisey Dil Ne Dhoke Khaey Hain,
Sirf Aik Pyar K Naam Pe.

*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*
7

Maine Zindgi Se Abhi Rishta Tora Nahi Hai...
Mere Dil Ne Abhi Bhi Tujh bin Dharakna Seekha Nahi Hai...
Pal Pal, Tarapta Hai Tere Liey
Har Saans Ne Tere Ehsas Ko Abhi Chora Nahi Hai..
Bechain Rooh Hai Meri...Har Aah Main Ik Sada Hai
....Kion Aajtak Yaad Ne Tera Daaman Chora Nahi Hai

*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*
8

Yeh Dard Hi Kuch Aisa Hai,
Kisi Marti Rooh K Akhri Lamhon Jaisa..
Kash Tum Kabhi Samajh Patey,
Kion Yeh Is Kadar Tarpata Hai.
Sansain Rukjati Hain, Khyal Tera Jispal Ata Hai...

*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*
9

Meeri Har Saans, har Ehsaas Aur Har Dadhkan Ki Yehi Dua Hai,
K Tum Hamesha Khush Raho,
Aur Tumhari Muskarahat Dekh Kar Meri Zindagi Chalti Rahe..

*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*
10

Woh Ik Lamha Tha Kuch Aisa,
Woh Ehsas Tha Kuch Aisa
Teri Nigahoon Ne Mujhey Kuch Is Tarha Dekha Tha
Teri Khushboo Ne Kuch Is Tarha Se Mujhey Chooma Tha
Sadiyan Beet Gayeen, Wakt Ki Hawa Chalti Rahi
Par Main Aaj bhi Usi Ik Lamhe Main Jee Rahi Hoon

*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*
11

Aaj Phir Dil Ne Tarap Ke Tera Naam Lia Hai,
Aaj Phir Hawaoon Ne Tera Pata Dia Hai.
Ya To Is Dil Se Apni Yaad Nikaal Do,
Ya Is Dil Ki Dhadkan Rok Do...
Agar Wo Bhi Na Kar Sako To Suno,
Ik Guzarish Hai,
In Beparwa Hawaoon Se Kaho
 Teri Khushbo Ko Urana Chaur Dain..

*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*
12

Aik Naya Din, Aik Aur Naya Wada.
Wohi Mera Pagal Dil.
Wo To Har Baar Wada Karta Hai,
Yeh Dil Har Baat Yakeen Karta Hai.
Wo Har Baar Apna Wadaa Bhool Jata Hai,
Aur Mera Nadaan Dil Har Baar Yehi Baat Bhool Jata Hai

*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*
13

Ishq qurbaniyan mangta hai, dil dard mangta hai..
Yeh zalim jahan zinda rehne ki keemat mangta hai..
Ajkal to pyar bhi aik sauda hai,
Jisko dekho wohi khud ko pyar ka sodagar manta hai...

*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*
14

Ai Dil-e-Nadaan, Ye Zalim Hai Jahaan..
Apne Matlab Ka Har Koi Hai Yahan...
Tu Kion Dhondta Hai Pyar Is Dunya Mein...
 Kion Dhondta Hai Sukoon
Ik Muskarahat Tak To Milti Nahi Hai Yahan...
Ehsason Ko Apne Yoon Sare-Raah Rakha Nahi Karte...
Tor Deta Hai Sheeshey Ka Ghar Har Koi Yahan...

*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*'*
15

Aksar Mere Dil Main Khayal Ata Hai,
K Zindgi Agar Tere Sang Guzarne Pati
To Haseen Ho Bhi Sakti Thi,
Ye Ranj-O-Gham Ki Siahi, Jo Dil Par Chai Hai,
Teri Mohabbat Ki Roshni Se Door Ho Bhi Sakti Thi.
Magar Ye Ho Na Saka, Aur Ab Yeh Aalam Hai,
Tu Nahi, Tera Gham, Teri Justujoo Bhi Nahi.
Guzar Rahi Hai Kuch Is Tarha Zindgi
Jaise Isey Kisi K Sahare Ki Zarorat Nahi.
Na Koi Raah, Na Koi Manzil, Na Roshni Ka Suragh.
Bhatak Rahi Hai Andheron Main  Zindgi.
Inhi Andheron Main Reh Jaongi Kho Kar,
Main Janti Hoon Mere Hamsafar,
Magar Yunhi  Kabhi Mere Dil Main Ye khayal Ata Hai!




Edited by AmnaIsh - 13 years ago

Created

Last reply

Replies

6

Views

1820

Users

4

Likes

12

Frequent Posters

Du_Nish thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail + 3
Posted: 13 years ago
i am left to read 7 on wards
 
but heyπŸ€—
 
⭐️⭐️⭐️⭐️⭐️
πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘
πŸ‘πŸΌπŸ‘πŸΌπŸ‘πŸΌπŸ‘πŸΌ
 
Your  poems are very expressing - with a pain inside - with a search for an answer - with love in sense of is it love - can it be love - with a moment of happiness on that thought - with a desire to feel this back - with a very touchy element of sweetness and emotion in it
❀️❀️❀️❀️❀️
 
Tha't what poem is  - express your feelings❀️
 
Are you inspired by reel characters or real persons? Did you write them on thinking how others are feeling or from a personal point of view?
kavyasam thumbnail
Posted: 13 years ago

WOW  ,  superb Amna πŸ‘πŸ‘.  

Aaj Phir Dil Ne Tarap Ke Tera Naam Lia Hai,
Aaj Phir Hawaoon Ne Tera Pata Dia Hai.
Ya To Is Dil Se Apni Yaad Nikaal Do,
Ya Is Dil Ki Dhadkan Rok Do...
Agar Wo Bhi Na Kar Sako To Suno,
Ik Guzarish Hai,
In Beparwa Hawaoon Se Kaho
 Teri Khushbo Ko Urana Chaur Dain..

amazing  yaar !!.   I love the images u put up with ur name.  😳Edited by kavyasam - 13 years ago
AmnaIsh thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail + 3
Posted: 13 years ago
@ Eshu & Kavya..Thankyou so much guys.. πŸ€—

Eshu, my life penned in words!
Du_Nish thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail + 3
Posted: 13 years ago
@amna - I can understand this coz even my poems reflect ''experiences'' but it varies - some are of my own experiences and most are what i empathised of friends' experiences
AmnaIsh thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail + 3
Posted: 13 years ago
@Eshu...life would be so much better if we could just live off of ppl's experience...but alas..the reality of life is that it's real..!
I Loved your poems..theyr'e beautiful...you write exceptionaly well!πŸ€—
Escapist thumbnail
Anniversary 14 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail + 3
Posted: 13 years ago
Beautiful....expressed your emotions very artistically :)

keep writing !

-Fatima