Fan Fictions

MayurFF-Aya Mausam Dosti ka-Pt-44 updt completed - Page 7

Created

Last reply

Replies

692

Views

90022

Users

83

Likes

1442

Frequent Posters

shinella thumbnail
Anniversary 15 Thumbnail Group Promotion 4 Thumbnail
Posted: 14 years ago
awesssssome
the best one
lolzzz mayur ke pyaar ki rain
update sooooooooooooooon
Kitsin thumbnail
Group Promotion 1 Thumbnail
Posted: 14 years ago
Thanx for the pm.  Lovely update.😊 Pls continue soon.
Vartika07 thumbnail
Anniversary 16 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 3
Posted: 14 years ago
awesome part 4 but i have a complain if u update the fic than pls do inform me.
Noops ne apne bd aur promise ki help se Mayu se bahut kuch karwaaya n i loved it.
PLs continue soon.
Chulbuli_Annu thumbnail
Anniversary 14 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 3
Posted: 14 years ago

PART -5

 

(Mayank aur nupur ghar ki taraf chalte hai, per iss baar mayank ki bike kharab ho jati hai )

N :- main wahi soch rhi thi abhi tak kuch gadbad kyun nhi huyi

M :- matlab?

N :- by god mayank. Tum haar baat ka matlab kyun puchte ho. Dekho hum jab bhi sath me hote hai tab kuch na kuch gadbad hoti hai.

M :- per ghar per aisa kabhi nhi hua.

N :- mayank ghar ki baat nhi kar rhi. By god tumne kabhi note hi nhi kiya. Hum jab bhi akele hote hai aur specially bahar hote hai kuch na kuch gadbad hoti hai. Jab se main Mumbai aayi hu tum khud hi soch k dekho.

M :- yeh to tum sahi keh rhi ho. Per aaj to gadbad pehle hi ho chuki.

N :- Matlab?

M :- ab tum matlab puchogi. Maine aaj bahut sare kaam 1st time kiye hai.

N :- jaise?

M :- kisi ladki ke sath bahar gumna, ladki ki sari baatein man na aur sabse badi baat yeh barish me bhig kar bhi irritrate na hona.

N :- By god mayank. Tum barish ke pani se irritrate ho jate ho. Kaise ho tum

M :- aisa hi hu main.

N :- haan haan pta hai aise hi ho tum. Ek dum sadu.

M :- kya sadu, tumhe nhi lagta yeh kuch zyada ho rha hai.

N :- nhi?. Ab ghar chale ya ladane ka mann hai.

M :- haan chalo. Per bike ka kya karu.

N :- mujhe kya pta tumhari bike hai kuch bhi karo chaho to fek do.

M :- mere pass behtar option hai. Main isse parking me hi chod deta hu. Kal dekhenge kya karna hai abhi ghar chalte hai.

N :- Wah mayank. Tum dikhne me hi nhi sach me intelligent ho. Sab meri sohbat ka asar hai.

M :- To tum manti ho na main intelligent hu.

N :- haan. Zyada khus mat ho jaana. Maine yeh bhi kaha hai k yeh sab mere sath ka asar hai

M :- ok thik hai. Waise chaho to auto kar lete hai. ya walking distance bhi hai ghar ka per time zyada lagega. Kuch adha ghanta. Main agar akela hota to walk karke jaata.

N :- per main hu tumhare sath.

M :- isliye puch rha hu kya karna hai.

N :- karna kya hai. walk karke hi jayenge.

M :- pakka na.

N :- confirmed. Ab chale.

M :- haan chalo

(raste me nupur ko ice-cream shop nazar aati hai )

N :- mayank mujhe ice-cream khani hai

M :- nupur, tum already itni bhig chuki ho aur agar ice-cream khayi to bimar pad jaogi

N :- by god mayank. Tum ice-cream khane se phele bhi itna sochte ho. Arre bas ice-cream leni hai aur khani hai kuch nhi hoga. Main kai baar aisa kar chuki hu

M :- Nupur you r really too much.

N :- wo to main hu hi. Ab abhi jake ice-cream lao

M :- ok.

(mayank dono k liye ice-cream lata hai. dono zabardast bhig chuke hote hai. Fir bhi dono ice-cream enjoy karte hai)

N :- mayank main kya puch rhi thi k gunjan aur samrat??.(interrupted by mayank)

M :- kuch nhi hai unke bich. Arre main gunjan ka bhai hu aur samrat ka dost bhi. Mujhe kahi se to pta chalta. Tum ho k ek hi baat ko lekar baith gyi ho. Tumhare dimag me yahi sab chalta rehta hai

(Nupur apni ice-cream jaldi se finish karke mayank ki ice-cream le kar khane lagti hai)

M :- N nnnnuuuuuupurrrrrrrrrr?

N :- Mayank tum kuch keh rhe the?

M :- Nhi kuch nhi.

N :- arre bolo na.

M :- yahi keh rha tha k ice-cream meri jhuti hai.

N :- to kya hua. Jhuta khane se pyar badhta hai. Tumne suna nhi hai kya. Aur waise bhi tum singer ho. Agar ice-cream khayi aur gala kharab ho gya. Fir tumhare band ka kya hoga.

M :- very smart nupur. Aur tumhe kisne keh diya k jhuta khane se pyar badhta hai

N :- sab kehte hai.

M :- sab kehte hai to tumne maan liya.

N :- haan. Main tumhari tarah itna sochti nhi hu na isliye.

M :- waise tum na great ho. Tumhare upper book likhi jaa sakti hai.

N :- Mayank book? Book to school k students bhi nhi padhte. Aur tum book likhne  ko keh rhe ho. Arre bolna hai to bolo nupur tumhare upper hindi movie ban sakti hai aur uska hero hoga Raj

M :- Raj???? Yeh kaun sa star hai.

N :- kya mayank tum raj ko nhi jaante.Arre Raajjjjjj Tumne DDLJ nhi dekhi kya.

M :- nhi. Main filme nhi dekhta.

N (surprisingly):- Mayank, tumne DDLJ nhi dekhi. Tabhi tum aise ho.

M :- aise ho matlab.

N :- jaane do.

M :- kyun kuch nhi hai kehne ko.

N :- hai to bahut kuch per kehna nhi chahti. Ab ghar chalo. Ice-cream finish ho gyi hai

M :- haan chalo. Ab pls kahi mat rukna.

N :- woh  main nhi keh sakti.

M :- ok abhi to chalo

(dono ghar ki taraf chal dete hai aur hamesha ki tarah building k bahar nupur barish me bacho k sath khelne lag jaati hai )

M :- Nupur, ab building me ander jaane k charges logi kya.

N :- haan.

M :- kya ?

N :- yahi k tumne bhi hamare sath khelna hoga.

M :- nhi.

N :- haaaaaannnnnnnn.

N to childrens :- bacho ab tumhare mayank bhaiya hamari train ka engine banenge.

(Nupur zabardasti mayank ko apni train ka engine bana leti hai. Pehle to mayank ko ajeeb lagta hai per baad me wo khud enjoy karne lagta hai. Thodi derr me dono ghar jaate hai jahaan mayank ki mom unka already wait kar rhi hoti hai. ghar me enter karte hi??)

MM :- waah mera beta, barish me bhig k aaya aur ghar me entry haste haste. Kuch to baat hai.

M :- maa aap kab aaye.

MM :- Beta, mujhe to aaj hi aana tha, per lagta hai tum bhul gye the.

N to MM :- aunty ji namaste.

(Nupur mayank ki mom k pair chuti hai, per Mayank ki mom usse gale laga leti hai)

MM to N :- Janamdin bahut bahut mubarak ho.

N (surprisingly) :- Aunty aapko kaise pta.

MM :- Beta main bhi tumhari hi aunty hu sab pta karke rakhna padta hai. K mere bacho ko kya psnd hai. aur unke fav.day kaun se hai. sab kuch dekhna padta hai.

N :- thank u aunty. Aap kitni achchi hai.

MM :- Haan. Achche logo ko hamesha achche hi log milte hai.

N :- yeh to aapne ek dum sahi kaha aunty.

MM :- tum dono jake change kar lo warna bimar pad jaoge. Main tum dono k liye chai banati hu.

N :- nhi aunty. Chai to main hi banaungi. woh bhi adrak wali. Main bas abhi aayi

MM :- haan kyun nhi. Fir jaldi jao aur jaldi aao.

N :- thik hai aunty.

(nupur apne room me chali jaati hai, mayank usse dekhta rehta hai, yeh baat mayank ki maa note karti hai)

MM :- kya dekh rha hai. mera beta bada ho gya. Wo kisi ladki me interested bhi hai.

M :- maa main kisi me interested nhi hu. aur main ye dekh rha tha k nupur k aate hi tum apne bete ko bhul gyi. That's not fair.

MM :- Jaa, jaa yeh goliye kisi aur ko dena. Main teri maa hu. aur maa ko sab pta hota hai.

M :- per kabhi kabhi maa ko galatfehmi bhi ho jati hai. Waise gunjan kahaan hai.

MM :- wo samrat k ghar hi rahegi. Uska phone aaya tha barish ki wajah se.

M :- thik hai.

MM :- Jaa, tu bhi change kar le warna nupur to bimar nhi padegi tu zarur pad jayega.

M :- Haan, Main abhi aaya.

(mayank change karne chala jaata hai, Itni derr me nupur change karke chai bhi bana leti hai)

At Dinning Table

N :- mayank tum se ladkiyo se zyada time lagate ho. Kitni derr laga di

M ;- kyun. Sirf ladkiya hi derr kar sakti hai kya.

N :- aisa nhi hai. per itni derr karne k baad bhi tumhare baal abhi tak gile hai. bimar pad jaoge. Main abhi towel leke aati hu.

M :- tum chup chap apni chai pio. Aur mere baalo ko mat chuna.

MM only smiles.

N :- oh ho baalo ki itni chinta, ghane mulayam kale baal?.. & start laughing.

N to MM :- aunty yeh aisa hi hai kya. Balo ko bhi hath nhi lagane deta.

MM to N :- haan beta. Meri bhi badi tamanna hai iske baalo ko hath lagane ki

M (with anger) ;- keh diya ho gya. Bas mana kar diya to kar diya

N :- tumhe lagta hai main tumhare mana karne se manugi

M :- lagta to nhi hai.

N :- fir kyun bol rhe ho

(Nupur towel lekar aati hai aur mayank ki mom ko deti hai )

N to MM :- aunty aaj aap tamanna puri kar lo. Fir pta nhi kab mauka mile

N to M :- aur tum chup chap baithe rho.

 

 

TO BE CONTINUED?????????


PART 6 PG - 11

Edited by Annudsweetgirl - 14 years ago
Faria. thumbnail
Anniversary 15 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail + 3
Posted: 14 years ago
Hi Annu
good update yaar.
i loved it.
Happy 2 see ur nice update.
Faria
Nikki_Titli thumbnail
Anniversary 14 Thumbnail Group Promotion 8 Thumbnail + 6
Posted: 14 years ago
wowwwwwwwww............veryyyyyyyyy veryyyyyyyyyyyy sweeeeeeeeetu sweeeeeet upd88888.........lovd it to d coreeeeeee.......plzzzzzz continue sooooooon dear.......😃
brinda_ght thumbnail
Anniversary 15 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 3
Posted: 14 years ago
hey wevevr u update this ff do pm me da link plzzzz i loved ti.....DONT FORGET TO PM ME
Radhi12 thumbnail
Anniversary 16 Thumbnail Visit Streak 500 0 Thumbnail + 6
Posted: 14 years ago
Hey
Just read your FF!!!
It'a awesome!!!
Please PM me when you continue!!!
Vartika07 thumbnail
Anniversary 16 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 3
Posted: 14 years ago
Vow nice part 5.
Mayu na na karta rehta hai aur karta vahi hai jo us ko karna hai, stupid nahi to. Noops to Mayu ki jhoothi ice cream bhi khaa gayi, so fuuny. Phir baarish me bacchon k saath kehlna so sweet n cute.
MM ne notice kar hi liya ki Noops me kuch khaas baat hai Mayu k liye. Baalon ko mat chuuna. Mayank is really so cute.
continue soon.
myownarea thumbnail
Anniversary 14 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail + 4
Posted: 14 years ago
anu, gr8 part...pls pm me next time u update..thanks!!