Afsana pyaar ka part 27 pg98 updated - Page 79

Created

Last reply

Replies

783

Views

65597

Users

49

Likes

19

Frequent Posters

sinnie thumbnail
Posted: 14 years ago
hi guyz myself diksha and i am the original writer of this story. this story is originally written on orkut comm and twini di liked it so much that she wanted to share it with u all and as i was not a member of if at that tym so she posted it here but now i think she is busy with her studies and all so don't get much tym to post the uds but if u all want i can post the next parts of the story here
 
so plz do let me know what u all want wether i should cont it or not...........
 
waiting for ur replies......
 
thanx....😊
sinnie thumbnail
Posted: 14 years ago
Part 28

Agle din subah se sabhi shaadi ki tayariyon me jut jaate hai to vahin veer ko antara se milne ki jaldi hoti hai uske liye har pal saalo jesa lag raha tha to dusri aur antara bhi bahut khush thi akhir kar use pyaar hua tha aur pyaar to hota hi aisa hai jiske bhi jeevan me aata use khushiyon se bhar deta hai.

"kya baat hai aaj meri behen bahut khush lag rahi hai" sia ne antara se chidate huye pucha

"aisa kuch nahi sia tum bhi na hum to roz hi khush rehte hai"

"acha par humne to nahi dekha aur chehra to dekho kitna khila hua hai aaj tumhara"

"sia ab bas bhi karo aur jaao jakar tayaar ho jao mehndi ki rasam ke liye"

"haan bhai jaate hai aur tum bhi ho jao tayaar"

************************************************************************************************

sabhi aurte aur ladkiyaan gaana bajana kar rahi thi to vahin kuch aurte dono rajumariyon ke haatho me mehndi laga rahi thi. Veer aur dharam bahar khade andar jaane ke liye yojna bana rahe the itne me harsh bhi wahin aa jata hai

"tum dono yahaan kya kar rahe ho"

"hum to kuch nahi andar jaane ke liye koi yojna batao na harsh"

"me kya bataon me to khud kabse wahi soch raha hu"

"pata hai aaj sabhi rajkumariyan nritya karne wali hai aur bhi bahut maza hota hai andar"

"par jaye kese"

itne me sanyo bhi aa jaati hai aur vo un teeno ko baat karte sun leti hai

"tum teeno yahaan kya kar rahe ho aur andar jaane ka khayal apne dimag se nikal do samjhe agar pakde gaye na to itne jute khaoge ki kal uthne ki halat bhi nahi rahegi"

veer sanyo ki baate dhyan se sunta hai aur fir dharam aur harsh ki taraf dekhta hai 2no uska ishara samjh jaate hai

"sanyo humari madad sirf tum hi kar sakti ho bhagwan ke liye hume kese bhi karke andar pahucha do na"

"na baba na mujhe daat nahi khani"

"bas yahi thi tumhari dosti sanyo" veer aur dharam ek saath bolte hai

"yahi tha tumhara pyaar" harsh bolta hai

"beech me aa gai shaadi ki deewar" 3no ek saath bolte hai

"acha theek hai tum 3no apne kapde badal lo"

teeno jakar ache ache lehenga choli pehen kar aa jate hai

"chalo ab humare peeche"

"sanyogita beta ye teeno kaun hai"

"ji bua vo ye humare saath aayi thi dasiyan hai"

"theek hai"

"ab tum teeno yahi khade rehna samjhe aur jo ho raha hai use dekho koi ulti sidhi harkat mat karna warna pakde jaoge" ye bol kar sanyo to chali jaati hai par teeno rajkumar kahaan kisi ki baat manane wale the dharam to chal diye  apni sia ke paas aur veer antara ke paas. to harsh kahaan jaata bechara chup chap khada sanyo ko dekhta raha.

mehndi lag jaane ke baad ab samay tha masti karne ka to antara kahaan peeche rehne wali thi sanyo ke saath mil kar bhai utar gai maidan me. sanyo bhi jaakar jaldi se kapde badal kar aa gayi aur le liya veer ka roop

Didi Tera Devar Deewana,
Hai Ram, Kudiyon Ko Daale Daana,
Dhandha Hai Yeh Uska Puraana,
 Hai Ram, Kudiyon Ko Daale Daana.

Main Boli Ke Laana Tu Imli Ka Daana,
 Magar Woh Chuaare Le Aaya Deewana,
Main Boli Ke Machle Hai Dil Mera Haaye,
Woh Kharbuja Laaya Jo Neembu Mangaaye,
Pagla Hai Koi Usko Bataana,
Hai Ram, Kudiyon Ko Daale Daana...

Main Boli Ke Laana Tu Mitti Pahaadi,
 Magar Woh Bataashe Le Aaya Anaadi,
Main Boli Thi La Do Mujhe Tu Khataayi,
 Woh Baazar Se Le Ke Aaya Mithaai,
Mushkil Hai Yoon Mujhko Phasaana,
Hai Ram, Kudiyon Ko Daale Daana...

Bhabhi Teri Behna Ko Maana,
Hai Ram, Kudiyon Ka Hai Zamaana,
Rabba Mere Mujhko Bachaana,
Hai Ram, Kudiyon Ka Hai Zamaana...

Hukum Aapka Tha Jo Maine Na Maana,
Khatavaar Hoon Main Na Aaya Nibhaana,
 Sazaa Jo Bhi Dogi Woh Manzoor Hogi,
Aji Meri Mushkil Tabhi Door Hogi,
 Bandaa Hai Yeh Khudse Begaana,
 Hai Ram, Kudiyon Ka Hai Zamaana .



ab jab rang jama hi tha to teeno hi rajkumar ye tak bhul gaye ki unka aana mana tha aur vo sabse chup kar wahaan aaye the aur aa gaye apne asli roop me

"tum teeno yahaan kya kar rahe ho" Nivriti gusse me boli

"maa vo hum bas......"

"veer aap aajkal bahut masti karne lage hai"

"maa hume maaf kar dijiye"

"maa ab rehne bhi dijiye na dekhiye aaj ki rasam me kitna maza aaya in logo ke saath" sia ne maa ko smjhate huye kahaa

"haan maa aur sirf dekhne hi to aaye the" antara bhi nahi chahti thi ki unhe daat pade isliye usne bhi unhi ka saath diya

"acha theek hai meri bahuye  keh rahi hai isliye tumhe chod rahi hu"

nivriti aur baaki sabhi mehman chale jaate hai to wahi veer antara ko chat par aane ko kehta hai par sia ye sun leti hai to vo antara ko veer ke paas jaane hi nahi deti veer saari raat thand me antara ka intzar karta rehta hai aur intzar karte 2 subah ho jaati hai. agle din sabhi bahut jyada vyast rehte hai kaam me ki saans lene tak ki fursat nahi milti par kaam karte huye bhi antara aur veer ek dusre ko hi dhund rahe hote hai.

"sanyo tumne antara ko dekha kya"

"haan vo abhi upar gai hai apne kamre me"

"theek hai shukriya"

veer antara ke kamre me jaata hai to wahi  sanyo peeche se sabhi ko bata deti hai ki veer antara se milne gaya hai to sabhi peche2 wahaan bhi pahuch jate hai veer kamre ka darwaza laga leta hai par lock nahi karta.

"antara vo hume tumse kuch kehna hai"

"bolo veer"

"vo antara vo......"

sia dharam sanyo aur harsh darwaze ke paas khade hokar unki sabhi baate sun rahe hote hai

"vo antara hum apse kehna chate the ki....."

"haan veer bolo na kya bolna hai"

"vo hum apse........apse.........hum apse pyaar karte hai"

antara ki ankho me khushi ke anshu chalak aate hai.

"antara hum jaante hai ki ab tak humare beech pati patni jesa koi rishta nahi tha par ye natak karte 2 hum aapse sach me pyaar karne lage hai hum ye janana chahte hai ki apke dil me kya hai"

"hum bhi apse bahut pyaar karte hai veer....."

veer opens his arms and she comes running to him and he fills her in his embrace. sanyo loses her balance and falls down followed by all three who were holding her for support the door opens.

"tum sab yahaan kya kar rahe ho" veer aksed

"hum ..hum yahaan kuch nahi kar rahe"

"tum batao tum yahaan kya kar rahe the aur ye sab kya ho raha tha"

antara turns red and runs from there veer also lowers his eyes and leaves from there.

************************************************************************************************

after that antara got very busy and veer was not able to meet her. he tried his level best but failed every time. finally after sometime he saw antara standing against a pillar. he immediately went to her and pulled her.

"veer kya kar rahe ho koi dekh lega chodo hume"

"dekh lega to dekhne do hume koi farak nahi padta vese bhi aap humari patni hai to humara pura hak hai aap par"

"acha aisi aat hai..........are ma........"

"kahaan" he leaves her and looks around but no onw was there. she fooled him "acha to hume budhu banaya hum bhi dekhte hai kab tak bachti hai aap"

she reached the main hall and veer was chasing her.

"antara beta yahaan ana" nivriti called her. as veer heared nivi's voice he immediately changed his way.

"ji ma"

"beta ye sia ka shaadi ka joda hai jao jaakar use de aao"

"theek hai ma"

as soon as antara left from there veer again caught her.

"veer chodo hume kaam hai"

"nahi ab to hum nahi chodenge"

"veer hume sia ko ye dekar aana hai"

"acha ek baar hume humara........."

she got it what he wanted. he moved close to her there was hardly a inc gap left b/w there lips when she dropped the thal from her hands

"ouch"

antara started laughing "aya maza"

"hume to aap baad me dekh lenge acha suno to vo aaj tum vo shaadi wala joda hi pehnana"

antara started blushing and then left for sia's room.

************************************************************************************************



 
deepthis thumbnail
Anniversary 15 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 3
Posted: 14 years ago
hey sinni9e
its really good
loved it
update it soon
loved veer and antara's convo
Revolutionbreez thumbnail
Anniversary 15 Thumbnail Group Promotion 4 Thumbnail + 2
Posted: 14 years ago
hey sinnie!
that was really good!
loved veer-antara convo!
why don't u change the title dear? it showed 27th part only😕
luckily i checked and read the update...
anyways....keep it up.
And plz don't discontinue writing it.
waiting for next update...