The Unknown Desire part 39 updated pg. 149 - Page 6

Posted: 15 years ago

Originally posted by KRIZZY


very nice ud
ud soon.....

thanx

Posted: 15 years ago

Originally posted by suhana_dixit


So finally n update...Gud1 indeed..It was very short dear but still gud

sorry yaar update late ho raha tha so i thought ki ud kar doon chahe thoda chota hi ho but next time thoda bada karoongi ud.thanx for liking.

Posted: 15 years ago

Originally posted by prerna1


nice one 😊 plz update soon

thanx sweety for liking

Posted: 15 years ago

Originally posted by ashu20


hi sweety..
nice one...enjoyed it

thanx darling

Posted: 15 years ago

Originally posted by rlrl


HIIII Vartika....
sorryyyyyyyyyyyyy maine late repliii diya.......m soooooo sorryyy
par me bahat busy thi yar......so sorryyyyyyyyyyyyyyyyyyyyyyyyy

tumhari ud maine pehle se lekar end tak padhi......just toooooo
gooooddddddddd wery gooooooodddddddddd,,,,,bahat achhi story hai par yar...ek problm hai tum na...kiska dilouge kaunsa hai
side me nam likh kar likhna taki padhne me asani ho...warna
pata nahin chalta ki kaunsi diloge...kiska hai heheheπŸ˜•agar
maine ghalat kaha ho to so sorry😭 ab baat ye ki ye Vardan
kiitna sara kam karta hai yar.....tooooo much.......aur uske
dad usko kam karwate rehte hain hahahahπŸ˜‰ ab
uska pyar to bas aa hi raha hai..jaldi un dono ko milwao na..
😳 are han.......ye mugdha badi shrarti hai πŸ˜† πŸ˜†
UPDATE bahat achhi thiii just toooooo gooddddd.....keep
it up dear....😳 😳  😳 😳
THIS IS 4 YOUπŸ‘
πŸ‘ 

Actually Sarthak k dad ka ye sochna hai ki present time me jo jitna hard work kar leta hai aage future me us ko utni kam problem hoti hai to vo apne bete ko bhi yahi samjhana chahte hai.

Un ko smajhna chahiye na ki ek hi beta hai un ka itna kaam nahi karana chahiye na bechare se.Kajal jaldi hi milegi Adi se.Akhir kab tak door rahegi us se.

Mai jaanti hoon ki tu busy thi so i didn't mind n aap ki baat par dhyan doongi mai next time dilao . samjhne ki problem nahi hogi ok.

Haan Mugdha naughty hai aur cute bhi.So mai hope karoongi ki next time se aap ka regular comment aaye.

Thanx take care and bye.

Posted: 15 years ago

Originally posted by riyaa_1985


hi!absolutely great update.
your characterization is very nice.πŸ‘
too good.
sorry for replying late dear.
God bless u

Thanx darling for blessings mai koshish karoongi ki aap logon ko hamesha mera ud pasand aata rahe.

Posted: 15 years ago

Originally posted by *Rajeevian*


nice ud πŸ‘ .plz cont soon.....

Thanx Versha darling.Come back soon.

Posted: 15 years ago

Originally posted by fanatic 21


nice1 indeed πŸ‘

thanx dear 

Posted: 15 years ago
Originally posted by pritib0


Hiiiiiii vartika first of all again sorry for the late reply dear, now about the ud, the ud was awesome dear, but i wish it to be much more longer, anyways i wish ki agla ud thoda sa aur lamba hoga, aur isi tarah se behatareen bhi hoga, mujhe tumhara yeh wala part bahut achcha laga, aur yeh tumhare liye πŸ‘ πŸ‘ πŸ‘ πŸ‘ πŸ‘ πŸ‘.

with lots of love and good wishes.

priti. 

Thanks Preeti chahe late hi par atleast tumne kiya na reply dat in enough for me n i will try my best to give u all a long update.

Thanks for replying n liking dear.

Luv u take care.

Posted: 15 years ago

Here's the next part guys:-

 

At the same day at 10:00'o clock in RoyalCollege of Mumbai (imaginary)

 

"Tu bhool gaya kya ki aaj tere mom aur dad ki anniversary hai." Sameer remind him. . (Sameer Sinha Shalabh ka sab se accha frnd hai Shalabh us ko Sunny bulata hai. Sameer bahut hi studious aur accha student hai,aur bahut he seedha bhi,ladkiyon se vo sharmata hai isiliye sab us ko champoo kehte hain sivaay Shalabh k.)

 

"Oh shit how can I miss it?" he hit the bike with his hands " Ab kya Karen?".

 

"Kuch nahi kar bus apne mom aur dad k sabhi khass doston ko call kar k invite kar le in Hotel Blue Moon aur baaki ki arrangements mai kar loonga.Aur haan sab ko bata dena ki uncle aur aunty ko pata nahi chalna chahiye." Sameer said.

 

"Aisa kar chal mai tere ko Hotel chod deta hoon aur mai aaram se baith kar call karta hoon ." Shalabh said.

 

"Ok" , Sameer said.They both reached in Hotel Blue Moon . Shalabh called some of his frnds to help them.They talked to the receptionist n booked the basement for party.

 

"Kya karna hai batao". All of their frnds reached there n asked in chorus.

 

"Thanks to u all for help yaar." Shalabh said smiling.

 

Shalabh ka dil aur dimaag ek jagah par nahi tha isiliye us se koi bhi kaam dhang se nahi ho paa raha tha. Sameer ye to samajh raha tha ki koi problem hai par kya hai problem us ka pata nahi tha. To us ne Shalabh ko bola ki tu baith jaa kaam hum log kar lenge.

 

Shalabh gave him thank u look. Vo samajh raha tha ki is condition me Sunny ne us ki kitne help ki hai.

 

Finally all done hotel waale ko kuch instructions de kar dono aa kar park me baith gaye.

 

"Aaj to meri class over hote hote bachi agar mai time par nahi aata yahan to teri hi tarah mai bhi bahar khada hota aaj." Sameer said but found no reply from Shalabh.

 

"Kya hua yaar kahan gum hai tu mai tere se hi baat kar raha hoon shayad." Sameer said.

 

Phir bhi no reply. "Kya ho gaya hai tujhe?Mai aaj subah se dekh raha hoon ki tera mood bada ukhara hua hai;kya tu mujhe batayega ki hua kya hai?" Sameer asked politely.

 

"Kuch nahi hua hai yaar kuch nahi." He said almost screaming.

 

"Chal theek hai mat bata mai tere ko insist nahi karoonga." Sameer sighed.

 

Kuch nahi kaha aaj Shalabh ne jo ki Sameer ki har baat par kuch na kuch kehta jaroor hai.Aaj Shalabh apne nature k against parties bhi nahi gaya aur discothque bhi nahi.(vo to vaise bhi na jaa pata kyounki ki aaj mom dad ki wedding anniversary hai par Sunny k sochne ka matalb ki aaj us ne vahan receptionist k saath bhi flirt nahi kiya jo ki vo hamesha koi bhi ladki mil jaaye flirt jaroor karta tha) Pata nahi kyoun khamosh hai aaj vo.

 

"Kabhi kabhi dil ka bhojh kisi k saath batne se bhi kam ho jaya karta hai. Pata nahi kyoun hum ye baat nahi samjah paate." Sunny said this with the intentions that may be Shalabh speak something.

 

Jab us ko laga ki koi fayda nahi hai kuch bhi aaj kehne ka to vo samajh gaya ki jaroor aise koi baat hai jo Shalabh bata nahi paa raha hai. He was about to leave when Shalabh hold his wrist n stopped him n said , " Ruk jaa baith yahan par."

 

Sunny ko aaj pata nahi kyoun us ki voice me koi bharipan feel ho raha tha but he didn't say anything. Shalabh ne batana shuru kiya.

 

'''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''' '''''''''''''''''''''''''''''''''''''''

 

"Mr. Mehra ko yahan bhejiye."

 

"yes sir"

 

Kuch der baad Mr. Mehra apne boss k office me enter hue.

"Mr. Mehra ye rahe aap k transfer orders. Aap ka transfer Shimla se Delhi kiya jaa raha hai aur aap ko promote bhi kiya jaa raha hai.Now you are Branch Manager." His boss Mr. Thakur told him n shook his hand with his to congratulate him.

 

"Thank u sir", Mr. Mehra said smiling.

 

"Sir nahi Mr. Thakur" , Mr. Thakur said.

 

"Kuch bhi ho aap to hamesha mujh se senior aur bade hi rahoge na." he replied.

 

"To aap ko within one week wahan shift kar lena hai." He told them.

 

"Ok sir" Mr. Mehra said n leave the room.

 

Within no time whole staff started congratulating him n requested him for a party.

 

"Haan haan jaroor milegi aap logon ko party", Mr. Mehra announced gladly.

 

At the evening when he reached his home Mugdha n her mom were not there both of them had gone to market for shopping. Mr. Mehra found it locked par un ko jyada der wait nahi karna pada Durga aur Mugdha bus aa hi gaye.

 

"Are kahan chali gayi thi tum dono pata hai mai kitni der se tum logon ka wait kar raha tha?" he asked.

 

"Oh common paa ladies se jhooth nahi bolte aap to abhi aaye ho", Mugdha said smiling.

 

"Tujhe kaise pata?" his father asked her.

 

"Bus chal gaya pata ab aap batao mai sach keh rahi hoon na?" she again said.

 

"Haan meri maa par achanak tum logon ko shopping par jaane ki kya soojhi?" he asked in curious manner.

 

"Paa aap kya samjhte ho ki aap nahi bataoge to hum ko pata nahi chalega." Mugdha said smiling.

 

Aditaya ji na samjha ki un logon ko pata chal gaya hai transfer k bare me so he said, " hmmmmmmm to aap logon ko pata chal gaya".

 

"Haan Aditya pata chal gaya ki tumhare paas koi new shirt nahi hai to hum log tumahre liye kuch naye kapde hi lene gaye the." Durga said.

 

"Oh,ok.Maine kuch aur he soch liya." He said.

 

"Jaise kya?" Durga asked.

 

"Ab andar chal k baat kare ki yahin khade rehna hai." Aditya asked.

 

"Haan haan chalo andar chal k baat karte hain." Durga said n unlocked the door and all three went in .

 

"Actually tum logon k liye ek good news hai." He informed them about his transfer n promotion.

 

"Vow it's g8 paa! I can't believe it ki hum Delhi jaa rahe hain." Mugdha jumped with joy from sofa.

 

"Are are hold on aise mat jump kar otherwise chot lag jayegi kahin tujhe." Her mom said , " Aur aap ko kab pata chala aisa?"

 

"Bus aaj office pahuchne k kuch der baad." Mr. Mehra said.

 

"Paa hume shift kab tak karna hai vahan par?" Mugdha asked her father.

 

"Within one week aur haan maine tumhare college me baat kar li hai ,vo hum ko tc aur migration provide kar denge 3 or 4 days me. Ek baat aur office k log party k liye keh rahe hain." He dicussed it with of them n they decided to give the party day after tomorrow.

 

"Par paa Anu ………Mai Anu ko nahi chod sakti hoon." She said feeling down n her eyes were moist.

 

"Kis ne kaha hai chodne ko?" someone said n they all turned to see who's that.

 

There Anushka was standing with her mom,dad n bro.

 

"Namaste aunty,namaste uncle aur tu kehna kya chahti hai mai samjhi nahi".Mugdha said.

 

Here Sunny n Shalabh:-

 

"To ye baat hai ab dekh mai kya karta hoon us ladki ko to kuch na kuch samjhana hi padega." Sunny said .He was fuming badly. "Filhaal tu abhi ghar jaa change kar k mom aur dad ko leta aa kisi bahane se yahan".

 

"Hmmmmmmmm" he nodded n both of them left.

 

Hello guys ye tha next update.

I hope aap logon ko accha laga hoga aur agar nahi bhi laga to bhi to bhi comment jaroor kariyega .

I will wait for it.

Bye take care.

 

 

 

Edited by Mahak Sinha - 15 years ago

Related Topics

doc-text Topics pencil Author stackexchange Replies eye Views clock Last Post Reply
Ranveer's unsaid feelings #13 updated episode 921 page 115

pencil sakshi5050   stackexchange 1146   eye 48786

sakshi5050 1146 48786 10 hours ago coderlady
⭐New⭐ Arhi FF | Iss Darr Ko Kya Naam Doon: Chapter 3 - Part 1

pencil Rizz-ington   stackexchange 25   eye 3722

Rizz-ington 25 3722 21 days ago Rizz-ington
Arhi FF: Destiny Games T6 (Chapter 21.2 Updated 19th July)

pencil abavi   stackexchange 246   eye 89880

abavi 246 89880 20 days ago shantivan71
Tum se hi (part 4)

pencil Srishti_124   stackexchange 3   eye 467

Srishti_124 3 467 1 months ago Srishti_124
Tum se hi(part-3)

pencil Srishti_124   stackexchange 3   eye 352

Srishti_124 3 352 2 months ago coderlady

Topic Info

49 Participants 1165 Replies 151971Views

Topic started by Vartika07

Last replied by Vartika07

loader
loader
up-open TOP