~*Simran's Creations*~

Posted: 15 years ago

Hi ji,

I hope I'm allowed to make this kind of topic. I love writing poems, and I just saw this section today after 3 years of being on IF. Haye, I've found my little world ji! I hope anyone who reads these likes them. They are pretty much bakwaas, I just type up random stuff and call them poems ji. Enjoy!

Jaane baane kya dastaan, dil todne ke liye roz dil ko hazir karte hain. Marte bhi hain, par phir bhit pyar  karte hain.

Bhool gayi main khushi jo kabhi aankhon mein jalakti thi. Kyon woh mujhe bhool gaye, kyon unnka saath choota? Raaton ki neend aansouo mein guzaar gayi, sab kuch khattam ho gaya, lekin yeh aansou bahte rahe. Koi unnko bol de, hum unnke bina na jee payenge, koi unnko ruk leh.

Ajnabee se dil laga liya, raatein unnke naam kar daali. Farmayish kaisi iss dil ne ki, kaanton ko bhi gaale se lagana pada.

Ek din aisa aaya, mere dil ko koi maan baaya
Raaton ki neend udne laagi, kissi ki yaad saatane laagi
Dil mein aisa tofaan utha, tabse yeh jag mujhse roota
Safar mein kaante mile aise, aankhon ne sapne saaje jaise
Pyar ho gaya duniya chodh kar, koi maar gaya hume chou kar

Maine pyar kiya kisi bewaafa se
Mere dil ne waafa ki kisi anjaan se

Dil se aate ho, honthon pe bas jaate ho
Dhadkan ko dhadka the ho, palko mein saaj the ho

Zingadi guzar gayi umeed karte karte. Hazaro umeede tooti, aur unnko jodne ke liye hazaro umeede jaagi. Safar yeh zindagi ka kabhi phoolo wala na raha, ek kaanta hamesha pao mein chubta raha. Pyar ki ek asha dil mein uthane lagi. Muskaan aaane se phele pyar ne haath choda, aansou is dil ka saathi bana ke choda.

Din mein chere pe ek muskaan layi, dard aankho mein chupaya. Raatein rote hue guzari yaadon mein, aanssou ki koi keemat nah rahi inn palko mein. Saapne jo sanjoye the woh sheeshe ki taarah toote, aansou mein koi aapna choota. Jag roota, haye o mera pyar roota. Mera sanam mujhse door ho gaya, hazaro zakham de gaya. Bura sama yeh kaisa aaya, jo aapna tha woh paraya kaise ban gaya?

Aye hawa tu bol kar aa unnse, meri saanso ko mila unnse. Inn aansou ki barsaat kara unnpe, ek meeta sa dard daal unnpe. Yaadon mein maarna seek liya, iss chubaan ko peena seek liya. Kabhi unnko bol dena ke hum abhi zinda hai, bas ek baar unnko dekhna hai. Saalon gaye aur umeede gayi, woh na aaye lekin maut aa gayi......

Simran

Created

Last reply

Replies

67

Views

7294

Users

16

Likes

30

Frequent Posters

Posted: 15 years ago
intezaar... raat ko deha din ke intezaar mein aaj ko dekha kal ke intezaar mein khamoshi ko dekha kisi ki awaz sun ne ke intezaar mein dil ko dekha usske tootne ke intezaar mein badal ko dekha barsat ke intezaar mein saath ko dekha judai ke intezaar mein pyar ko dekha nafrat ke intezaar mein shaitaan ko dekha insaan ban ne ke intezaar mein sanam ko dekha pyaas bhuj ne ke intezaar mein yaadon ko dekha jeene ke intezaar mein pal ko dekha duniya ke intezaar mein lagan ko dekha aag ke intezar mein haatho ko dekha mehndi ke intezaar mein sharab ko dekha hosh ke intezaar mein hosh ko dekha nashe ke intezaar mein umeed ko dekha tootne ke intezaar mein zindagi ko dekha maut ke intezaar mein

intezaar ko dekha ek muskaan ke intezaar mein...intezaar

Simran

Edited by ~*simran*~ - 15 years ago
Posted: 15 years ago
yeh... yeh muskaan bhi kya gham ke bina yeh aansou bhi kya khushi ke bina yeh pal bhi kya yaadon ke bina yeh samay bhi kya waqt ke bina yeh jhoot bhi kya sachai ke bina yeh raaz bhi kya humraaz ke bina yeh pyar bhi kya nafrat ke bina yeh khamoshi bhi kya awaz ke bina yeh tanhai bhi kya mehfil ke bina yeh din bhi kya raat ke bina yeh bewaafai bhi kya waafai ke bina yeh umar bhi kya maut ke bina

yeh zindagi bhi kya aapke bina...yeh...

Simran

Posted: 15 years ago
dil ne kaha... dil ne kaha kya mila unnko aapna bola kar maine kaha ek duniya, ab mera ka kya kasoor ke jinko aapna kaha woh hi ajnabee ho gaye dil ne kaha saase unnke naam kar ke tujhe kya mila  ek zindagi mili, ek sansar dekhne ko mila dil ne kaha kya mila iss se koi aapna...maine toh kisi ko aapna kaha, ussne ruk modh liya toh main kya karu dil ne kaha mera kya hua maine kaha kisi ne aapko toda kisi ne aapko joda dil ne kaha khamoshi ka saath hai tera main boli khamoshi mein toh mehfil hai dil ne kaha phir pyar kar leh meri awaz ne kaha aapka toot ne ka daar hai dil ne kaha naraaz ho kar... kyon tumne woh sapne dekhe kyon mujhe todna chaha koi aapna hai yeh jhoot kyon bolna chaha kyon dard ki rah par chale kyon umeed naumeed se rakhi kyon chaha usse jo tumara kabhi na tha kyon socha jab zindagi se tak jao gaye ke woh dhoop mein saaya de ga kyon sajaya sansar jis ko akhar mein toot na tha kyon mujhe tootne diya...kyon

maine kaha duniya se akhele jaana tha..phir aapko kaise saath leh kar jaate...

Simran

Posted: 15 years ago
baatein... nafrat kya hai? dard chupane ka ek andaaz dard kya hai? dil ki chuban dil kya hai? umeed rakhne ke liye umeed kya hai? zindagi jeene ke liye zindagi kya hai? maut ke paas jaane ke liye maut kya hai? ek saach jaane ke liye saach kya hai? duniya mein sabse boori cheez duniya kya hai?

nafrat ko jaane ka ek andaaz...

Simran

Posted: 15 years ago
kyon... yeh gham hota hai kyon jab humhe khushi hi pasand hai chehre par khushi dekhate hai kyon jab maan mein udhasi hi hoti hai raat mein roshini hai kyon jab sirf andhkar hona chaiye awaaz yeh ayee kyon jab tanhai hi dekh gayee khamosh rahe chuni kyon jab mehfil hai duniya aashina banaya kyon jab chidiya ne ud hi jaana tha zindagi jeeye kyon jab maut ne aana hi tha..kyon... woh sab kuch kyon sochte hai hum jo toot saakta hai??? jab saath hi nahi hota toh judai ka gham kyon??? jab koi muskaan hi nahi thi yeh aansou kyon??? zindagi root hi gayee toh yeh jeena kyon??? yaad karna kisi ko kyon jab usse dukh mile??? ek arzoo se yeh zindagi chal di hai woh arzoo mit jaye toh dil mein ek aur aati hai ek yaad jaati hai toh ek aati hai kuch hamesha ke liye nahi jaata...nah kuch hamesha ke liye rehta hai bachpan mein sapna dekha iss din ka iss din mein dekha woh khoya hua bachpan jo haath mein hai woh nahi dekha jo reth jaise chale gaya usska gham dekha khush nahi hua maan usske jo paas tha hamesha chaha usse jo door tha aankh se aansou gaya tab jab jo paas tha woh bhi door chala gaya aluad ko dekha kal ke umeed se kal dekha aluad ke naumeed se par sirf maa baap ki kwaish nahi hoti hai aluad ke bhi khud ke sapne hai umara guzar gayee aa doosro ko khush karte hue jab waqt aaya khud ki khushi ke liye upar ka bolawa aa gaya chaha ke kisi ka dil na toote

maud kar dekha toh hazaaro ke toote....

Simran

Edited by ~*simran*~ - 15 years ago
sabm786 thumbnail
Anniversary 16 Thumbnail Group Promotion 4 Thumbnail
Posted: 15 years ago
thet are great
loved them..
thanks for sharing
👏
Posted: 15 years ago

Thank you ji

Naumeed...

Umeed toot thi na bin wajah

Dil roota na, na aankh baarti

Kabhi kise ke saath ki tamana na hoti

Na hoti koi khawaish jeene ki

Agar kuch hota toh naumeed hoti......

Simran

 

Posted: 15 years ago

Muskarate hain hum,
Ghum ko chupaye baithe hain hum
Dil toota hain yeh kabhi izhaar nahi karenge,
Toot kar bhi hum yeh rishta nibhayenge
Aap kehte hain ke haste haste muskarate hain
Hum toh roh kar bhi, ussko rona nahi kilate hain

Simran

Posted: 15 years ago

Khamoshi se baat karne lagi meri tanhai
Yeh dard kaisa hai jo aansou mein bhi nahi behta?
Zindagi maangi toh maut samne aayi
Pyar ke badle nafrat ke phool beshe

Jahaan mein croro hain
Phir bhi iss mehfil mein tanhai mili
Khamoshi se poocha toh ussne dard se inkaar kiya
Toot ke sapne bikar gaye, haazaro kawashiye palko mein rahin

Kaanto ki sej saaji, par phir bhi na dard hua
Raaton ke aansou din ki muskrahat bani
Pal mein dekha zindagi beet gayi
Lamho ko sanjote hue akhiri lamha aa gaya

Haatho se sanam ka haath choota
Dard se dosti kar li dosti ke eshaas ke liye
Intezaar mein jee liya maine

Kyon chup rahe, kyon saath ko choda
Samandar bhi feeka pad gaya inn ansouo mein
Phir bhi itne door rahe
Yeh kaise pyar nibaya aapne.....

Aap dekhte rah gaye, aur hum jaalne ke baad bhi jaalte hi rahe.....

Simran