Aks......Sujal&Kashish.....Last Part....02/20 - Page 4

Created

Last reply

Replies

370

Views

112374

Users

35

Likes

246

Frequent Posters

heena_mehta thumbnail
Anniversary 16 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 3
Posted: 15 years ago
wow gr8 part πŸ‘
plz continue soon
Surya.Ravi thumbnail
Posted: 15 years ago
kashish continue soon...me waiting... 😊
-Aarti- thumbnail
Anniversary 16 Thumbnail Group Promotion 4 Thumbnail
Posted: 15 years ago
nice part πŸ‘

plz continue soon 😊
goodkashish thumbnail
Posted: 15 years ago

Part-6

Kashish dair se ghar aati hai aur aaj phir se sab so gaye hote hai.............Heer aake darwaza kholti hai jo bahot khush dikhai de rahi thi...........

Heer: chaliye Dii aapse kuch baat karni hai..........bahot hi khushi ki baat hai........

Kashish: pehle pata to sahi....

Heer: woh main nahi Mehekdii bataygi aapko..........

Kashish: ab yeh mehek ko kya ho gaya..........

Kashish aur Heer apne kamre me aate hai jab Mehek khidki se kuch dekh rahi hoti hai........

Mehek: to baat ab yaha tak aa gayi hai............

Heer: kaha tak......

Mehek: hamari dii ko koi ghar tak chodne aata hai...........kyun Dii kya ho raha hai yeh sab...........

Heer: Dii ........papa se kehke aapki doli uthani hai kya...............

Kashish: aisa kuch nahi hua jo tum log soch rahe ho...........

Heer: to aap hi bata dijiye ki hua kya........

Kashish un dono ko sari baatein bata deti hai......

Mehek: dii aapne to ek bar bhi hamare bare me nahi socha..........

Kashish: aisa nahi hai Mehek.........lekin us waqt muje jo sahi laga maine kiya...........agar aaj meri jagah woh Sujalsir ko leke jate to unke parivar ko aur sare seher me baat phel jati.........

Mehek: dii..........aap aisa kyun nahi kehti ki aap unko salakhe ke piche nahi dekh sakti thi isliye aapne unka gunah bhi apne sir le liya..........

Heer: dii.........mano ya na mano............aapko pyaar ho gaya hai............koi kyun kisi ajanbee ke liye itni dard sehta hai.........

Mehek: aur dii aap hi to kehti thi ki dard se pyaar ka rishta banta hai............to aaj kyun apne dil ko samaj nahi rahi......

Heer: ek bar apne dil pe haath rakh ke aankehin bandh kar apne dil se puchiye ki kya aap unhe pasand nahi karti........kya aap unse pyaar nahi karti.............

Kashish apni aankhein bandh karta hai jab use bandh aankhoin se sujal dikhai deta hai..........Kashish kuch bhi kahe usse pehle apne bed pe beth jati hai.......

Heer: kya hua dii........kya aapko unka chehra nazar aaya ki nahi.......

Kashish: Haa.......ab kitni bar main apne dil se jooth bolungi..........main unse ab bahot pyaar karne lagi hoon............jab woh mere saath hote hai to muje achcha lagta hai..........jab woh khush hote hai to mera pura din achcha hota hai..........jab woh udas hote hai to mera dil bechen hota hai........jab koi uspe ungli uthata hai to samnewale ke muh pe ek tamacha marne ko jee karta hai............agar yeh pyaar hai to haa main unse pyaar karti hoon...........

Mehek: dii............aaj hum bahot khush hai ki aapko woh insaan mil gaya jisko apni zindagi me talash rehti hai............lekin Dii meri ek baat mann lijiyega...........apne pyaar ka ishaar kar dijiye..........yeh mat sochiye ki woh haa kahega ki naa........agar kahi dair ho gayi to zindagi bhar afsos rahega ki aap pyaar ka izhar na kar sake..........

Heer: main to kehti hoon ki kal hi aap jake unhe bata dena ki aap unse pyaar karti hai......

Kashish: main bataugi lekin usse pehle muje yeh janna hoga ki unke dil me mere liye kya hai........

Heer: muje paka yakeen hai ki woh aapse bahot pyaar karte hai.........

Kashish: achcha meri baat to ho gayi...........yeh Heer bata rahi thi ki tere pass koi achchi si khabar hai.....

Mehek: aaj jis kaam ke liye me garewal Hotel aayi thi na...........us photographer ko mera kaam bahot achcha laga........aur woh koi mamuli photographer nahi hai....pichle saal Indian Nantional Award mila tha unhe.......aur aaj uski tasvir kareeban 50,000 Rs. me bike...........aur unhone muje job offer kiya hai.......agar main unke neeche kaam karungi to woh apne business me se muje 5% denge.........

Kashish: to tune kya kaha.......

Mehek: muje apne parivar se izazat leni hogi.........

Kashish: papa se baat ki........

Mehek: haa........aur unhone haa kar di hai.......

Kashish: Bahot bahot badhai ho..........aaj main wake me bahot khush hoon.............

Mehek: haa dii aaj ka din bahot hi khaas hai hum sab ke liye...............

Kashish: ab chalo.......raat kafi ho gayi hai aur hum sab ko kal kaam pe bhi chalna hai...........

Heer: yes boss......

sab log so jate hai...............

************************************************************ *********************

Dusre din Kashish taiyaar hoke apni office jati hai jaha pe Pooja use batati hai ki use Prem apni office me bula raha hai..............

Kashish: May I come in?

Prem: Oh Miss. Kashish......ple come in...........main aapse kuch zaroori baat karna chahta hoon..........woh aaj hamare ghar pe sham ko ek bahot hi badi Party hai.....aur dad chahte hai ki uski sari jimedari aap le........kya aap yeh kar payenge.....

Kashish: haa.....balke muje to bahot khushi hogi...........

Prem: aap aisa kijiye thodi dair me aapko jo saman chahiye woh leke bahar mera driver aap logo ko Garewal Mension chod dega.....thik hai.....

Kashish: Ok.......

Prem: ek aur baat......dad chahte hai ki aap bhi yeh party attand kare.......aakhir aapne hamare liye itna sab kuch kiya......

Kashish: main zaroor rahungi kyunki aakhir tak kisi ko to party ka khayal rakhna hoga..........ab main chalti hoon..........bahot kaam hai...........

Prem: aur agar aapko kisi bhi chiz ki zaroorat ho to mere ghar pe Khushi ya Shanta tai se puch lijiyega............

Kashish: aap pareshan mat hoiye......main unse mil chuki hoon..........ab main chalti hoon.....

Prem: thik hai phir sham ko milte hai..........

************************************************************ *********************

Kashish wapas apne office me aati hai jaha Pooja uska intzaar kar rahi thi......

Pooja: Mam.........to Prem Sir ne kya kaha.........

Kashish: woh hume unke ghar jana hoga kyunki unke yaha ek bahot badi party hai..........jise hume dekhna hai.........

Pooja: bahot maza aayegana.....aakhir hum Garewal Mension ja rahe hai.......

Kashish: woh to pata nahi.....lekin tum sara saman taiyaar karke bhijwa do aur phir mere office me milte hai aur phir saath me chalte hai.......

Pooja: Ok Mam...........woh Mam.........

Kashish: kya hua.......

Pooja: Mam.........aapka ek zumka dikhai nahi deta.......kahi gir gaya kya..........

Kashish: oh no.......mera woh sabse favorite zumka tha.........ab main kya karungi...........

Pooja: aap pareshan mat hoiye........aap yaha dekhiye tab tak main PremSir ki office me dekh ke aati hoon......

Kashish: thanks pooja...........

Pooja waha se chali jati hai aur Kashish apne table ke neeche dekhne lagti hai.............

************************************************************ *********************

Sujal Kashish ki office me aata hai........

Sujal: Kashish...........

Kashish table se nikal ke upper dekhti hai......

Kashish: aap.........

Sujal; kuch dundh rahi ho.......waise kho kya gaya hai.......

Kashish: woh kuch nahi mera ek zumka kahi gir gaya ..................aur woh muje sabse jyada pasand tha kyunki woh meri dadi ke the,.,..........

Sujal: kahi tum iski to nahi baat kar rahi.........

Kashish: haa yahi to hai.......lekin yeh aapke pass kaise aaya.........

Sujal: woh main yaha aa raha tha jab aapki office ke pass se mila socha aapka hi hoga...........

Kashish: aap ka bahot bahot sukhriya.........dijiye ab........

Sujal: yaha aake lelo.....

Kashish: yeh kaisa mazak hai...........dijiye.......

Sujal; tumhara hai.......khud hi aake lelo.......

Kashish sujal ke samne jake haath phelati hai aur kehti hai......

Kashish: ab to dijiye.........

Sujal: aur pass aake lelo.......

Kashish: aap hume kyun tang kar rahe hai...........

Sujal: kyunki muje achcha lagta hai.......ab chahiye to pass aake lelo......

Kashish sujal ke ek dum pass jati hai aur Sujal ke haath ko pakadne hi wali hoti hai ki Sujal uska haath pakad leta hai.........Kashish sharmake nazare jukakar Sujal ki ek dum pass me khadi hoti hai........Sujal Kashish ke baaloin ko side pe kar ke use woh zumka pehnata hai...........jaise hi Sujal ke haath kashish ke chehre ko chute hai ek ajeeb sa ehsaas hota hai.......jo na aaj ke pehle kabhi hua ho............

Sujal(whispers); tum pe jyada achcha lagta hai...................

Kashish sharamake apne zumke ko chuke waha se jane lagti hai jab uska dupatta Sujal ki ghadi me fas jata hai aur Kashish wahi ki wahi reh jati hai.............Kashish piche mud ke dekhti hai jaha Sujal apne haath me Kashish ka dupatta leke khada hota hai...........Kashish.sujal ki aur dekh ke use dupatta nikalne ko kehta hai..........Sujal kashish ki nazdig aana shuru karta hai aur Kashish piche piche jane lagti hai........Kashish deewar se jake takra jati hai............Kashish aur Sujal ek dusre ki saansein mehsoos kar sakte hai.........

Kashish: woh mera dupatta.........

Sujal: itni jaldi hai.........

Kashish: jee woh main........

Sujal: jee woh main kya............

Kashish: woh koi aa jayega.....muje jana hai ........muje dair ho rahi hai...........

Sujal: kaha jane ki itni jaldi hai......

Kashish: aap hi ke ghar jake sham ki party ki taiyariyaan karni hai...............

Sujal ko apni sagai Ritu ke saath yaad aati hai aur woh Kashish ka dupatta nikal ke Kashish ke haath me deke bina kuch kahe waha se chala jata hai...........Kashish abhi bhi aise hi Sujal ko dekh rahi thi jab Pooja wapas aati hai...........

Pooja: Mam........muje woh zuumka kahi nahi mila...........

Kashish: lekin muje zumka aur zumka lautanewala mil gaya......

Pooja: kya kaha.....

Kashish: kuch nahi........chal dair ho rahi hai.............

************************************************************ *********************

Kashish aur Pooja Garewal Mension aate hai jaha pe Anurag unka besabri se intzaar kar raha hota hai........

Kashish: Pooja...tum jake sara saman nikalke workers ko kaam pe lago tab tak main Anuragsir se mil ke aati hoon............

Anurag Prerna ke saath aata hai....................

Anurag: Prerna ..........yeh hai Kashish.........aur Kashish yeh hai meri patni......

Kashish jake Prerna ke pair chuti hai.....

Prerna: jiti raho........

Anurag: Prerna..........yeh wahi Kashish hai jiske bare me main tumhe bata raha hoon.......

Prerna: to tum hi ho woh Kashish jisne mere Sujal ko bachaya tha...........

Kashish: muje jo sahi laga woh maine kiya......meri jagah agar koi bhi aur hota to woh bhi yahi karta..........mere liye wafadari aur sachchai se jyada kuch nahi hai..........

Anurag: Kashish janti ho tum bilkul apne Papa ki tarah baat kar rahi ho.........woh bhi 40 saal tak kaam kiya lekin kabhi bhi apni hudari nahi chodi......aaj main tumme unki parchai dekh sakta hoon.......

Prerna: itni kam umar me itne uche vichar ka hona bahot ho achchi baat hai...........tumne mere bete aur mere parivar ke liye jo kiya uska main zindagi bhar sukhriya nahi kar paungi..........

Kashish: aisa mat kahiye..........aap meri maa saman hai.........aur maa apne bacho ko sukhriya nahi karti...........ab mera kaam pe dhayan dena jyada zaroori hai.........main chalti hoon.......lekin aap se milke bahot khushi huyi.........

Prerna: muje bhi..........

Kashish waha se chali jati hai..........

Prerna: jis ghar me bhi yeh ladki jayegi us ghar ko swarg bana degi.........

Anurag: bahot si jimedari hai iske sir pe.........lekin phir bhi kamzor nahi hai..........ek hi mulaqaat me apna bana leti hai..........

Prerna: sach me woh ladka khush naseeb hoga jisse yeh ladki pyaar karegi.........kitni pavitrata hai uski baatoin me......aur sanskar ki to main kya baat karoon...........

Anurag: pata nahi lekin muje yeh samaj me nahi aa raha ki yeh parayi hoke bhi hamari itni kyun madad kar rahi hai......

Prerna: achche log aise ho hote hai.........ab chalo...........abhi bahot si taiyaariyaan karni baki hai...........

************************************************************ *********************

sham ke char bajte hai jab Arpita aur Ritu aate hai........

Prerna: are aap log itni jaldi aa gaye.........

Arpita: shanta tai ka phone tha ki kuch rasme nibhani hai......

Maya: rasme.......kaisi rasme.........Shanta Tai..............

Shanta tai: jee apne muje bulaya.......

Maya: yeh Arpita keh rahi hai ki aapne ise bulaya........

Shanta tai: haa woh rasam hoti hai na is liye......

Prerna: kaun si rasam.........

Shanta tai: Prernajee............lagta hai aapko kuch yaad nahi...........hamare yaha riwaz hota hai jab sagai ke baad shaadi ki tarikh tai karte hai to ladki ke haath ke haath se banaya kuch se hum apna muh meetha karte hai...........yaad aaya kaise aapne is ghar me aake pehli bar apni sagai pe halwa banaya tha............

Prerna: achcha hua Shanta tai aapne yaad lilaya........main to is kaam me bhool ho gayi thi.......

Ritu: lekin muje kya karna hoga........

Shanta Tai; tu mere saath chal main tuje samjati hoon ki Halwa kaise banaya jata hai...........

************************************************************ *********************

Shanta Tai Ritu ko leke Kitchen me jati hai jaha woh raste me Kashish aur Khushi se milte hai......

Khushi: kaisi hai Bhabhi.........

Ritu: main thik hoon.........lekin yeh kaun hai.........

Khushi: Bhabhi yeh hai Kashishjee hamare hotel ki nayi Event Manager..........aur Kashishjee yeh hai..........Sujalbhai ki honewali patni...............

Kashish ki jaise pairo tale zameen hi khisak gayi ho...............use kuch samaj me nahi aa raha tha ki woh kya sun rahi hai............subaah ki sari zalak uske aankhoin ke samne aati hai aur khushi ke shabd Kashish ke kano me gunj rahe the..........

Shanta tai: aye kashish........kaha kho gayi...........dekhna kitna sara kaam hai Sujal ki sagai me aaj.........koi kuch karta kyun nahi.....

Ritu: tum kuch kahogi nahi......

Kashish: mubarak ho.........bahot khush naseeb hai aap jise Sujalsir jaise jeevansathi aur itna pyaar karnewala parivar mila hai...............

Khushi aur Shanta tai kashish ke chehre ka udta rang se sab samaj jate hai.......

Shanta tai; to chale Ritu......kitchen me.......

Ritu: chaliye...........

Ritu Shanta tai ke saath kitchen me jane karne lagti hai............

Kashish: Khushi.............yaha Wash room kaha hai......

Khushi: sidhe jake baye mud kar........

Kashish : Thank you...........

Kashish jald se jake wash room me apne aap ko bandh kar deti hai........

Kashish(apne aap se): kyun....................kyun hua mere saath aisa...............kyun mera pyaar kabhi mera na ho saka............kyun meri mohabbat adhuri hi reh gayi..........aur yeh sab aap ki waje se hua hai...........sirf aapki..............kyun aapne muje joothe sapne dikhaye......................kyun woh mere itne kareeb aa gaye ki ek hi pal me mere dil ko chu liya.........lekin galti meri hi hai ki main kabhi uske dil tak nahi pahonch saki........shayad maine hi jaldbazi me faisla kar liya ......yeh bhi nahi jana ki uski zindagi me koi hai ya nahi...............agar maine sacha pyaar kiya hai to muje rone ki jaga khush hona chahiye unke liye........kyun ki unhone khud Ritu ko pasand kiya hai.............pyaar ka naam pana to nahi..........pyaar ka naam khushi dena hai.........agar woh khush hai to haa main aaj unke liye khush rahungi.........main kamzor nahi pad sakti.......aur yeh to sirf ek tarfa pyaar tha............shayad kismat se maine kuch jyada mang liya tha...........lekin main unhe harkiz pata nahi lagne dungi ki main unse pyaar karti hoon.................mera pyaar sirf ek raaz banke reh jayega..........aur kuch nahi............

Kashish apne aanshu poch ke apna chehra thik karke kitchen me jati hai............

************************************************************ *********************

Shanta tai: are Kashish........aa chal chakhte hai ki Ritu ne hamare Sujal ke liye kaisa halwa banaya hai........

KhushI: muje to halwe ke naam se hi pani aa raha hai........

Ritu: aap log chakhiye tab tak main apna Make-up karke aati hoon.......woh kabhi bhi sagai shuru ho sakti hai to.......

Shanta tai: ha ha ti ja...........

Ritu waha se chalti jati hai...........

Khushi aur Shanta tai halwe ko apne muh me rakhte hai lekin rakhne ke saath hi......woh thuk dete hai.....

Shanta Tai; cheeeee........aisa kabhi halwa hota hai..........isme to namak gira hua hai........

KhushI; ab hum kya karenge..........

Kashish: aap log pareshan na ho.......main jaldi se bana deti hoon.......agar aap meri madad kare to...........

Shanta tai: tu kyun karegi...........yeh uska hakk hai.........

Kashish: Ritu ne koshish to ki na........agar nahi bana saki to kya hua .......sikh jayegi dheere dheere kar ke.............agar aaj humne halwa nahi banaya to sabke samne ritu ki waje se Sujalsir ka neecha dikhega........

Khushi: to aaj yeh halwa ritubhabhi ko neecha dikhane se rok rahi hai ki Sujalbhai ko.........

Kashish: mera matlab dono ko........ab jaldi se kaam kare.............Shanta tai aap hume gajjar chil de........aur Khushi tum hume shakar aur ghee la dogi.......

Shanta tai aur khushi sab Kashish ko sab dete hai aur Kashish halwa bana deti hai...........

sab log Party ke liye taiyaar ho rahe hote hai............

************************************************************ *********************

Aakhir kar party shuru hoti hai.........

Do, pal ruka, khwaabon ka kaarvaan (Sujal Prem ke saath sidiyon se neeche aa raha tha)

Aur phir, chal diye, tum kahaan, ham kahaan (Sujal Kashish ki aur dekhta hai)

Do pal ki thi, ye dilon ki daastaan (Kashish dusri aur mud ke apne aanshu chupane ki koshish karti hai)

Aur phir, chal diye, tum kahaan, ham kahaan (Sujal Prem ke saath Kashish ke pass se gujarta hai aur dono ke haath chute hai)

Tum the ke thi koyi ujli kiran (Sujal piche mud ke Kashish ko dekhta hai lekin Maya aake use lejati hai)

Tum the ya koyi kali muskaayi thi (Pooja Kashish ke khandhe pe haath rakhti hai aur woh Pooja ki aur jootha muskurati hai)

Tum the ya tha sapnon ka tha saawan (Sujal jake Ritu ke pass bethta hai)

Tum the ke khushiyon ki ghata chhaayi thi (Ritu Sujal ko anguthi pehnati hai )

Tum the ke tha koyi phool khila (Sujal Ritu ko anguthi pehnata hai lekin Kashish ko dekh ke)

Tum the ya mila tha mujhe naya jahaan (Kashish ke aankh se aanshu girte hai)

Do pal ruka khwaabon ka kaarvaan (Prem yeh sab dekh raha hota hai)

Aur phir chal diye tum kahaan ham kahaan (Sujal aur Kashish sab bado ka aashirwad lete hai)

Do pal ki thi, ye dilon ki daastaan (Kashish apne aanshu poch leti hai)

Aur phir chal diye, tum kahaan, ham kahaan (Kashish mud ke jane lagti hai)

Tum the aa khushboo hawaaon mein thi (Jab Prem use dance ke liye puchta hai)

Tum the ya rang saari dishaaon mein the (Sujal Ritu ke saath dance kar raha tha)

Tum the ya roshni raahon mein thi (Kashish Prem ke saath dance kar rahi thi)

Tum the ya geet goonje fizaaon mein the (Lekin abhi bhi dono ek dusre ki aur dekh rahe the)

Tum the mile ya mili thi manzilein (jab log apne partners badalte ho to Sujal Kashish ke pass aata hai)

Tum the ke tha jaadoo bhara koyi sama (Sujal aur kashish dono ek dusre ki aankhoin me khoye huye the)

Do pal ruka, khwaabon ka kaarvaan (Jab sab log tali bajate hai jisse who dono khawabo se bahar aate hai)

Aur phir chal diye, tum kahaan, ham kahaan (Sujal aur Kashish ek dusre se dur jate hai lekin abhi bhi dono ke haath ek dusre se pakde huye the)

Do pal ki thi, ye dilon ki daastaan (Jab Kashish apna haath piche khich ke wapas mud ke Pooja ki aur chalne lagti hai)

Aur phir chal diye, tum kahaan, ham kahaan (Sujal wapas Ritu ke pass jane lagta hai)

************************************************************ *********************

Anurag: bataiye panditjee.......kab shaadi ka muhurat nikal raha hai.......

Panditjee: jee aaj se thik saat din baad ek bahot hi achcha din hai..........

Prerna: saat din.........aur koi muhurat nahi.......

Panditjee: uske baad teen mahine baad ka hai.......

Maya: nahi Panditjee.......saat din wala hi behtar rahega.........kyun bhai......

Anurag: bilkul..........to Arpitajee.......aa rahe hai saat din baad aapki beti lene barat ke saath........

Arpita: main to aapka besabri se intazar karungi..........

Prerna: Ritu...........sab ka muh meetha nahi karaoge...........

Ritu: abhi leke aayi...........

Ritu sab ko halwa deti hai..........

Anurag: kya halwa bana hai..........sach me bahot hi achcha hai...........shaadi ke bad to roz aisa halwa khane ko man karega........

Arpita: isi liye to maine apni beti ko sari rasoi shikhayi hai........kya pata kab kaam aa jaye........

Prerna: nahi wake me halwa achcha hai........kyun Sujal.......

Sujal: haa......mama...........

Jab Shanta tai aur Khushi aate hai........

Shanta tai: hai Sujal...........halwa achcha hai na...........Kashish ne banaya hai............

Sab log Shanta tai aur Ritu ko dekhte hi reh jate hai............

Prerna: kya kaha aapne.........

Shanta tai: yeh halwa kashish ne banaya hai........woh hua yun.......jo halwa Ritu ne banaya tha usme sirf aur sirf namak hi pada tha........is liye Kashish ne sabko neecha na dekhna pade is liye halwa badal diya...........

Prerna: Khushi...........jake Kashish ko bula la.......

Khushi: Mama .........woh to chali gayi......keh rahi thi ki bahot dair ho gayi hai aur ghar pe sab unka intzaar kar rahe honge.........

Anurag: kis miti ki bani hai yeh ladki..........jo sab ka achcha hi chahti hai.........aur jab tarif sunne ka waqt aaya to chali gayi..........

Prem: dad.......aap baatein baad me kijiyega............main chala halwa khane.......pata nahi phir kab aisa halwa khane ko mile.......

Anurag: bilkul sahi bola pehli bar zindagi me........chal......

Khushi: rukhiye.......main bhi aati hoon..........

Anurag , prem aur Khushi.........jyada halwa lene ko jate hai........

Prerna:main abhi aati hoon.........zara unhe rok ke.........kahi raat ko sugar high ho gayi to pata nahi kya hoga...........

Shanta tai: chal Sujal.........hum bhi chalte hai..........tuje bhukh lagi hogi........chal main tuje khana laga deti hoon..........

Sujal bhi shanta tai ke piche chala jata hai...........

************************************************************ *********************

Maya: ek halwa bhi thik se nahi bana sakti tum.........

Ritu: maine to thik se hi banaya tha......yeh shakar ki jagah namak kaise aa gaya pata nahi............

Shanta tai piche mud ke hasti hai.......

Maya: sara bana banaya plan bigad dogi............

Arpita; lekin us Kashish ko jitna ho sake is mamle se dur hi rakhna..........

Maya: woh to main kar lungi........lekin tumhari is beti ka khayal rakhna..........aakhir me kuch bigad na de..........

Ritu: aap pareshan kyun ho rahi ho.......aisa kuch nahi hoga......aapne dekha nahi ki panditjee ne saat din baad meri shaadi ka muhurat nikala hai.......

Maya: tumhe kya lagta hai........panditjee ne sahi muhurat nikala hai..........woh to maine paise diye the aisa bolne ke liye........main chahti hoon ki yeh shaadi jald se jald Rudra ke aane se pehle ho jaye............kyunki agar use pata chal gaya ki Sujal yeh shaadi sirf Prerna ki waje se kar raha hai to woh yeh shaadi kabhi nahi hone dega...........ab tum log samaj gaye..........aage se koi gadbad nahi honi chahiye..........aur ho sake to kuch din ke liye apne dosto ke saath club me jana chod do.........agar shaadi se pehle pata lag gaya to hamare liye yeh khatra ho sakta hai............ab chalo.......aur jake sambhalo.....jo kuch bhi tumne kiya hai.......

Ritu: aage se aapko koi sikayat nahi hogi...........

Ritu aur Arpita sab ko alvida keh ke ghar chale jate hai.........

************************************************************ *********************

Dusri aur Kashish ghar pahonchti hai aur Heer ke saath kamre me jati hai.........

Kashish apne bistar per beth ke rone lagti hai.........

Mehek: dii kya hua..........aap ro kyun rahi hai.........

Heer: kisi ne kuch kaha.......

Mehek: kya Sujalsir ne kuch kaha......dii..........aap bataiye........kuch to kahiye.......kya unhone aapse yeh kaha ki woh aapse pyaar nahi karte......

Heer: agar aisa hai to abhi tak woh aapko samaj nahi sake............aapko samajne ke baad woh aapse pyaar karne lagenge.......

Kashish: aisa kuch nahi hoga................ab sab kuch khatam ho gaya hai........

Mehek: kya matlab..........kya hau..........

Kashish: Main unki sagai ke jashan ko mana ke aa rahi hoon........

Heer: kyaaaaaaa........

Kashish: haa.........aaj subah se jis tarah se main us ghar ko saja rahi thi bad me pata chala main to apne hi haatoin se apni khushiyon ko mar rahi hoon............aaj mere samne woh kisi ka ho gaya aur main chah ke bhi kuch na kar saki..........mehek tu thik kehti thi......ki dair ho jaye usse pehle pyaar ka izhar karna zaroori hai.........lekin maine to bahot dair kar di na...........maine dair kar di na..........

Mehek: dii.........agar woh aapka pyaar hai to laut ke zaroor aayega............

Heer: dii.........aapka pyaar itna kamzor nahi hai.........aap is tarah tut nahi sakti..........abhi bhi sirf sagai huyi hai shaadi nahi..........

Kashish: woh bhi ho jayegi............saat din bad.........

Mehek: dii aap se ek baat kahoon..........aap use bhool jaiye...........kyunki saat din me muje nahi lagta ki aisa koi chamtkar hoga jise woh lautke wapas aa jaye..........

Kashish: kaise bhool jau.........use bhoolne ka matlab saansein lena bandh kar doon kyunki ab to yeh saansoin me unki khusboo hai..............dil ka dhadkna bandh kar doon kyun ki dil ki dhadkan pe unka naam hai............Mehek...........main kaise use kisi aur ka hote dekh sakti hoon jise maine dil se apna man liya ho...........

Heer: dii........aapka pyaar ab pyaar nahi..........junoon ban gaya hai.........kahi aap is junoon me koi galat kadam na utha de...........

Mehek: dii.........is waqt aap kuch bhi sochegi to......aapko aur taklif hogi.......isse achcha hai aap thodi dair tak so jaiye.....phir hum milke uska koi naya rasta nikalenge.........thik hai.........

Heer aur Mehek Kashish ko sulate hai......................

 

Edited by goodkashish - 15 years ago
cute_samrah thumbnail
Anniversary 16 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail
Posted: 15 years ago
grt part...............plz kuch kar ky yeh shaadi roko plz ...............con't soon
heena_mehta thumbnail
Anniversary 16 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 3
Posted: 15 years ago
gr8 part dear πŸ‘
plz continue soon
~~~~ thumbnail
Anniversary 16 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 4
Posted: 15 years ago
as always too good πŸ‘ hope sujal usss ritu se shadi na kare 😭
pls continue soon 😳
Surya.Ravi thumbnail
Posted: 15 years ago
very interesting part..good going..nice.... πŸ‘ do continue soon.... 😊
swetha10 thumbnail
Anniversary 16 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 3
Posted: 15 years ago
Amazing FF.. πŸ‘ Brilliant writing dear...Really enjoyed all the parts.... πŸ˜‰ Jus hope Sujal n Kashish get married instead of tht Ritu..Plzz continue soon 😊
-Aarti- thumbnail
Anniversary 16 Thumbnail Group Promotion 4 Thumbnail
Posted: 15 years ago
gr8 part πŸ‘

plz continue soon 😊