Fan Fictions

Arwaah....Sujal&Kashish...last-part..7/11 - Page 14

swetha10 thumbnail
Anniversary 16 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 3
Posted: 15 years ago
Wow wht a beautiful ending..i really luved it....Perfect ending to a wonderful FF.....

The story was beautiful...very cute...

My fav scene was their first meeting..esp when they depart...the confidence tht they had tht they'll meet again was so romantic.... 😳

your favorite character definetly sujal kashish preet

Really luvely writing..everything was jus so perfect.... πŸ‘
I would surely rate it 10/10..........
Thanx a ton for the FF........

Created

Last reply

Replies

138

Views

47198

Users

25

Likes

88

Frequent Posters

cute_samrah thumbnail
Anniversary 16 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail
Posted: 15 years ago
last part were superb.........................
 
 
Feeling abt ur story..................................ur story was mindblowing the concept was grt, new & loving
 
Favorite scene.....................................all sk scene
 
Favorite character ...................................sujal kashish angad
 
writing .................................was grt, different 4 other
 
Rate..................................10/10
268143 thumbnail
Anniversary 17 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail + 3
Posted: 15 years ago

I jst finishd readin da whole FF ...... I feel da way u wrote da story is amazin πŸ‘ I loved all da characters especially Sujal, Kashish, Angad, Preet n Mahek πŸ˜› My favourite scenes of da FF r SK first meetin n da end ...... da part whr thy die is so emotional 😭

shreya_shweta thumbnail
Posted: 15 years ago

1.sujal & kashish

2.wen kashish slept on sujal's shoulder n sujal also slet n wen kashish woke up she was admiring sujal n his cuteness
 
3.emotional n sensational very different n nver had excepted that ending but it tells abt how strong luv can b
 
RATING:EXCELLENT
 
 
LOVE SHWETA
Posted: 15 years ago

 hi kashish, first of all thanks alot giving us such a beautiful n wonderful ff.... everytime. i just finish first 5 parts n i really like it , yah its bit diffrent concept....do logu ki kahani jo aik nai rishatay main bandnay ja rahay hain lakin jis main unki apni marzi nahi hoti, ore phir wo kasay aik doosray say miltay hain apna dard share kartay hain its really good. especially last scene of every part is so sweet ... bas sujal kashish aik doosray ko dekh rahay hotay hain. n i remeber in one scene sujal said that kaash main be apnay pyar kay liye aik chota sa ghar banata jisay hum apna taaj mahel kihtay" bt then kashish give him the answer very innocently that kia ritu us chutay say taj mahel main reh paye giπŸ˜† n the way they ask thier fev things....so cute. so overall i must say its just awsome, great job sweety. i'll read next parts n then do my comments.

 
love
seher😳
Posted: 15 years ago
This content was originally posted by: goodkashish

Part-6

Kashish bas Sujal ko dekhti hi jati hai........

Sujal; main sach keh raha hoon.......muje lakeer padhna bahot aata hai............

Kashish: muje to abhi bhi yakeen nahi aata........to bataiye kya likha ahi.........

Sujal: aap shaadi ke baad kabhi Angad ke saath khuh nahi rahegi..........

Kashish: kya.........

Sujal: main aapko darana nahi chahta tha lekin aisa bilkul meri lakeero me bhi likha hai.........

Sujal hasne lagta hai............

Kashish: to aap sabhi se aisa hi kehte hai.........mazak karna koi aapse shikhe.....

Sujal; aap pehli insaan hai jo mere jooth ko pakad payi........

Kashish: pata hia jab aap jooth bolte hai to aapki aankhoin me ek ajeeb si chanchlta hoti hai..........

Sujal; aur jab aap jooth bolti hai to aapki aankhein num ho jati hai...........

kashish: aap aurat ko bahot hi achchi tarah se jante hai......iska matlab college me bahot si girlfriends hogi aapki.........

Sujal; sahi keh rahi hai aap..........abhot si ladkiyaan her roz meri zindagi me aati hai.........lekin muje kabhi unme koi dilchaspi nahi thi............kyunki woh sab mere paise se pyaar karti thi.......aur muje girlfriends banana pasand nahi........yeh hamare sanskar nahi..........muje yeh pasand nahi ki bich safar me kisi ladki ka haath chodna........kyunki kisi mard ki chodi huyi ladki ko koi izzat nahi hoti.........ladkiyon ke liye uski izzat hi unka gehna hota hai.......

Kashish: muje nahi pata tha ki aaj ke jamane me bhi aap jaise insaan hai.........jo aurat ko pav ki juti nahi samajte........lagta hai aap apni Maa se bahot pyaar karte honge........

Sujal: haa....main apni Maa aur behen ke aankh me kabhi aanshu nahi dekh sakta..........wahi to ek sahara hai mera.........

Kashish; aur aapke Papa...........

Sujal: mere papa ek hi bhasha samajte hai........business ki..........lekin janti ho.....muje lagta hai ki ek din main apne papa ko pyaar ka matlab shikha ke hi rahunga.........

Kashish: aur Ritu ki aapki zindagi me koi aimiyat nahi......

Sujal: Ritu ko main ek business party me mila tha.........Ritu hamare business associates ki ek lauti beti hai......Papa ne apne business ki deal apne bete ki zindagi ke sode ke saath kar di hai........lekin ab to koi dard nahi hota.......her din ek hi dard sehne ki aadat jo ho gayi hai............lekin aap apne parivar ke bare me kuch nahi bata rahi.........

Kashish: papa.......hamesha chahte the ki main aur meri behen dono apni zindagi me sachi mohabbat paye...........Mama muje khush dekhna chahti hai,,,,,,,,,meri behen abhi bhi ek choti bachi hai.........jo her waqt sabka khayal rakhti hai........aur Angad sirf dosti karna shikh saka lekin pyaar karna kabhi nahi shikh paya.........Angad ko lagta hai ki shaadi dosti se chalti hai........lekin mera manna hai ki shaadi ek aisa bandhan hai jisme do aise log milte hai jo ek dusre ko bepanah pyaar karte hai..........

Sujal; aur agar aapko aapka pyaar shaadi ke baad mila to........

Kashish: jab Angad ke saath saat phere lungi tab usi aag me main apni sari khwaish ko jala dungi............isme shayad woh khawaish bhi hogi jisme main apni mohabbat ko dhundhna chahti hoon........

Sujal: apne haath se apne sapno ko marna itna aasan nahi........

Kashish; janti hoon aasan nahi hai.....lekin her din ek nayi maut marne se achcha hai ki ek hi din me apne andar apne aap ko main mar doon.........

Sujal: kyun khud ko itni badi saza de rahi ho........

Kashish: jab koi aur rasta hi na ho to akele hi dard sehna padta hai........

Sujal; meri ek baat manogi.......jab bhi koi muskil faisla karna ho tab apni aankhein bandh karke dil pe haath rakh ke apne pyaar ka naam le lena.........her musibat aasan ho jayegi........main sach keh raha hoon.......ek bar aasma ke dekho..............

Kashish apna haath dil pe rakh ke apni aankhein bandh karti hai.......Kashish Angad ka naam leti hai lekin bandh aankhoin se use Angad ka chehra dikhai nahi deta........

Sujal; kya hua nahi dikha na Angad aapko........kyunki Angad aapka pyaar nahi.........woh aapki manzil nahi........aap kuch kar sakti hai......aap woh galti mat kariye jo main karne ja raha hoon..........

Kashish: main kuch bhi karoon........aapko kyun itni fikar ho rahi hai......

Sujal: kyunki tum achchi ladki ho...........jo rishtoin ko samajti hai..........jo dusro ki bhavana ki kadar karna janti hai..........aur sab se jyada woh pyaar ka asli matlab janti hai.........

Kashish: agar main aapki yeh maan bhi loon to aap mere sawaal ke jawab denge...........aap muje aisa keh rahe hai lekin aap kyun khud ki shaadi nahi rok rahe........

Sujal: Angad aapka dost hai ......woh aapko samaj sakta hai..........dost ko samjaya ja sakta hai business partner ko nahi..........business me sirf nafa aur nukshan dekhe ja sakte hai.............

Kashish: Ritu bahot lucky hogi aapko apna Pati jo banane ja rahi hai..........main bhi bhagwan se yahi parthna karungi ki agle janam me muje aap mere pati ke roop me mile....

Sujal: aapko agle janam tak intzaar karne ki koi zaroorat nahi......main abhi bhi aapka pati banne ko taiyaar hoon......chalo bhag jate hai yaha se.............

Kashish: aap mazak bahot hi achchi tarah se kar lete hai.......

Sujal: aapko kyun aisa lagta hai ki main is bar mazak kar raha hoon..................

Sujal aur Kashish ek dusre ki aankhoin me dub jate hai.........

 awsome update kashish πŸ‘πŸ‘πŸ‘ i like thier conversation n dialogs. dono aik saath aik he kashti kay sawaar hain, dono ka aik he dukh, kabhi kabhi aik jasay halaat be do zindagion ko aik saath lay aatay hain, per yahan per tu kahani be aik hay ore problem be aik.... waqi main apni khuwahishu ko apnay andar maar dina kitna mushkil hota hay!!! zindagi aik imtihaan ban jati hay. n i love the way sujal said that ki " kashish agand aap ka doost hay.. wo aap ko samaj sakta hay...doost ko samjaya ja sakta hay lakin business partner ko nahi... us main tu sirif nafa ya nuksaan he dekha ja sakta hay" n then kashish said that ki main bagwaan say paratna karun gi ki agalay janam main aap mujay apnay pati kay roop main milay" . 😳😳 ab agay dekhon gi ki un ki kismat unhain kaha lay kar jati hay....n last part was so sweet that they wo aik doosray ki ankhon main kho jatay hain...
 
Posted: 15 years ago
This content was originally posted by: goodkashish

Part-7

Kashish aur Sujal dono abhi bhi ek dusre ki aankhoin me khoye huye the........

" Attention Please, all passengers on Jet airways flight 939 to Mumbai. Please have your passport and bording pass ready. we kindly request to all passengers to go to gate number 17 and process toward bording . Thank you."

Sujal aur kashish ek dusre ki aur dekhte hai aur zor se hasne lagte hai............

Kashish: chaliye........lagta hai kismat hamare saath nahi...........

Sujal: sach keh rahi hai aap.......kismat ke hi to mare hai hum.........

Kashish: chaliye....agar yeh flight chut gayi to agale barah ghante yahi bethna padega aapke sath.........

Sujal: kya mera saath aapko itna bura laga.........

Kashish: yeh aap kaisi baatein kar rahe hai......aap se milke to hume bahot khushi huyi......mere kehne ka yeh matlab bilkul nahi tha.......

Sujal: aap her baat ko itna seriously kyun lete hai.........

Kashish: aisi koi baat nahi........chale.........

Sujal aur kashish gete pe bording karke flight me jate hai...........Kashish apni beg upper ke compartment me rakhne ki koshish kar rahi thi.........

Sujal; dijiye main rakh deta hoon.......

Kashish: aap.....

Sujal; lagta hai upperwala nahi chahta ki hum alag huye......

Kashish: matlab.......

Sujal: aapke passwali seat meri hai..........

Kashish: yeh to bahot achchi baat hai..........

Sujal Kashish ke haath se beg leta hai aur yeh pehli bar tha jab un dono ke haath ek dusre ko chute hai.....kuch ajeeb sa mehsoos hota hai dono ko........Sujal Kashish ki aur dekhta hai aur Kashish sharmake apni seat pe jake beth jati hai...........Sujal dono ka saman rakh ke Kashish ke pass beth jata hai.........thodi dair bad Kashish sujal ke kandhe pe sir rakh ke so jati hai.........pehli bar Sujal Kashish ko itni nazdig se dekhta hai.........

Sujal (apne aap se): pehli bar tumhe itne kareeb se dekha hai aur dekhne ke baad aisa lagta hai ki chand ko apni baahoin me main dekh raha hoon........upperwale ne tumhe fursad ke din banaya hoga.......kitni masumiyat hai tumhare chehre pe.........kuch aisa hai tumme jo muje tumhari aur khichti hai........kya hai yeh main khud nahi janta...........aur jab januga tab tak bahot dair ho gayi hogi........

Sujal bhi aisi hi so jata hai........

************************************************************ ****************************

Jab ek olderly Couple Sujal aur kashish ko dekhte hai..........

Maria: hey.........Rustom.....dekhna........kitna pyara joda hai na...

Rustom: haa Darling.........bilkul pyaar ke panchiyon ki tarah.........

Maria: kitni chain ki neend dono so rahe hai na........Rustom yeh dono aisa nahi lagta ek dusre ke liye bane hai.....

Rustom: haa Maria.........ab chalo lagta hai dono jagne wale hai.......

Maria: kya chalo........dekhta nahi....bechare bachelog ko thand lag rahi hai..........

maria Sujal aur Kashish ko balnket odhati hai aur waha se chali jati hai......

Thodi dair bad Kashish ki aankh khulti hai aur apne aap ko Sujal ke pass mehsoos karti hai.......

Kashish (apne aap se): bilkul bache ki tarah hai..........abhi bhi muh khula rakh ke sota hai........lekin sote waqt aur bhi pyara lagta hai..........oh God yeh main kya sochne lagi.........kuch hi ghanto me yeh flight khatam ho jayegii aur phir main kaha aur yeh kaha.........

Kashish Sujal ko dekh rahi thi jab Sujal apni aankhein kholta hai........aur Kashish sharmingi mehsoos karti hai kyunki use pata tha ki Sujal dekh chuka tha ki woh use hi dekh rahi hai.,,,,,,,,,,,

Sujal; aap waise to bahot khubsurat hai lekin jab aap sharmati hai to aap aur bhi khubsurat lagti hai.........

Kashish phir se sharma ke window me se baahar dekhne lagti hai aur Suajl sirf use dekh ke muskurata hai..........

Thodi dair baad dono Mumbai pahonch jate hai........Dono apna saman leke jane hi wale hote hai ki............

************************************************************ ****************************

Sujal; Kashish.......

Kashish: Sujal........

Sujal;woh jate jate apna phone number to dete jaiye,,,,,,agar kisi din aapse milne ka dil kiya to.......

Kashish: aapko lagta hai ki ek mulaqat hamari manzil hai........

Sujal: sahi keh rahi ho........lekin hum dubara zaroor milenge...........

Kashish: thik hai.......is bar tumhari kismat ko aasmake dekhte hai..........jab main apni book publish karungi tab sabse pehli book pe main apna naam aur phone number likhungi.........agar tumhe mil gayi to tumhari kismat.........

Sujal: apni kismat me kya hai woh to waqt aane pe hi pata chalega.......

Kashish: lekin aap to muje apna number de rahe ho na.........

Sujal; agar aap meri kismat aasma sakte hai to main kyun nahi............chaliye mere saath us flower shop pe.........

Sujal kashish ke liye 11 red rose aur 1 white rose deta hai aur jab woh paise deta hai to uspe apna naam aur numbar likhta hai........

Sujal: agar meri kismat saath hai to yeh note aapko zaroor milegi....... jab aapko yeh mil jaye tab samaj lene ki hum dono ek hi raste pe ek hi manzil ki aur ja rahe hai............

Kashish: woh dekho.....meri kismat ka faisla aa chuka hai........angad mera intzaar kar raha hai.......

Sujal: kismat hai tumhare saath .......manzil abhi tai nahi huyi.........yeh to sirf shuruaat hai.......aur mera dil mujse baar baar yahi kehta hai ki hum ek din zaroor milenge lekin kisi naye andaz me..........

Kashish: aap bahot aage ki sochte hai........mera jana sahi hoga.........Angad muje hi dhundh raha hai........

Sujal: main bhi kaise bhool sakta hoon ki Ritu bhi mera intzaar kar rahi hogi.........

Kashish: chale.......

Sujal aur Kashish dono bahar ke raste ki taraf chalne lagte hai...........

************************************************************ ****************************

Angad Kashish ke gale lagta hai aur Ritu Sujal ke gale lagti hai.............lekin abhi bhi Sujal aur kashish sirf ek dusre ko hi dekh rahe the.....Kashish aur Angad apni manzil ki aur nikaljate hai.............aur Sujal aur Ritu apni manzil ki aur nikal jate hai........lekin kahi na kahi kuch aisa tha jo piche chut gaya tha.........aaj woh nahi jante the lekin kal yahi woh log honge jise ehsaah hoga.........lekin kahi dair na ho jaye........kehte hai her kaam ka koi waqt hota hai agar woh waqt haath se chut gaya to woh kabhi wapas nahi aa sakta tha isi tarah yeh saath bhi chut gaya............

 

 

 

very nice partπŸ‘πŸ‘πŸ‘ ab tak tu dono ki kismat connection achi ja rahi hay dono ko saath saath seat be mil gye😳😳😳 n i like that part jab kashish sujal kay kandhay per sootay huye apna sir rakhti hay so sweet, n when she wake up ore sujal ko dekh rahi hoti hay ore same time per sujal ki aankh khulti hay ......that was cute main be saath saath imgine kar rahi thi. n finally the last part jab dono apni apni manzil ki taraf nikaltay hain bt is waqat kashish jo kuch such rahi thi wo jasay dil ko chu gye ki kahi wo kuch chor kar tu nahi jaa rahi, us kay andar kisi kay choot janay ka darr tha.... bt i hope ki anay walay dino main waqt un ka he saath day ga. okk i'll read next part tomorroww.
crystal fantasy thumbnail
Posted: 14 years ago
HI! Kashish story to acchi thi par mujhe ending accha nahi laga.End mein to dono ki shaadi hojani chahiye thi.