Posted:
Badal gaya to kya hua k dil ka woh bura nahin
Usse youn bad'dua na do woh shaks bewafa nahin
Tere jahaan mein Khuda bas ek hi kami rahi
Jo lutgaya basa nahin jo khogaya mila nahin
Ajab he zaabtay rahey nazar k is dayaar mein
Jo ek baar gir gaya woh phir se utha nahin
Na kholna yahaan k dar,k dil nagar ajeeb hai
Jo zakhm bangaya yahaan woh umr bhar bhara nahin
Kyon manzilein alag hui,juda huey kyon raaste
Ya main ulajh gayi kahin,ya woh samajh saka nahin
Baghair jiske ek pal bhi kaatna mushkil tha
Mudatein hogayi k uska ab koi aata pata nahin
Hathelion mein aaj tak ussi ka naam darj hai
Main kaise maan loon bhala,k mera ab woh raha nahin
Khabar kya ho sake tujhe,k main hoon kis azaab mein
Tu berukhi ki aag mein meri tarah jala nahin
Mehaz yeh farq rehgaya "Iman",mohabaton ki daur mein
Main to usski hogayi magar,woh mera hosaka nahin.....
by:Unknown

comment:
p_commentcount