Ek Tha Raja Ek Thi Rani

+++Titli's TAKE on April 12th, 2016's episode+++

TitliBaisa thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 3
Posted: 8 years ago
In today's episode, jab Ranaji Gayatri ko kehtay hain apni ankhain bunnd karnay ko aur wo phir saari uskay kandhay pe daal k kehtay hain keh yeh tumharay liye hai aur BRM nay hi humain kahan tha keh humain tumhain kuch daina chaye toh isliyee hum yeh laay hain aur wo bahut khush hojaati hai likin budhi ka sochti hai k wo aisa kyun karwa rahi hai Ranaji se toh I was like "Gayatri kyunkay wo tum dono ko paas laa kar itna door kardaina chahti hai keh tum phir kabhi unkay nazdeeq jaa hi na paao gi, toh isliye Gayatri apnay senses alert rakho kyunkay yeh budhi poori chipku hai...Itni asaani se peecha nahi churwa sakti tum iss se...Aur Ranaji aaj aapnay yeh khoobsurat tohfa day k dil khush kardiyaaa...Hayyy how sweet...Waisay aap jaantay nahi par yeh aapki Gayatri hi hai jiskay liye aap yeh saari lay k aye ho...!!!"πŸ˜‰πŸ˜‰πŸ˜‰
Phir aata hai budhi and gang wala scene, jab budhi khush hoti hai aur kehti hai keh abh Swarna ka bacha hi waaris banay ga toh Coca Cola bol parhti hai keh wo subko btaa day gi keh wo Lakshraj ka bacha nahi hai aur phir budhi uski gardan pakar kar usay dhamki daiti hai keh humaray raastay main jo koi bhi aaya toh hum usay zinda nahi chorain gain, aur itnay nazdeeq aaa kar wo kisi ko khaaraab karnay nahi day gi situation aur phir uska galla chorr daiti hai toh I was like "BUDHI YOU FORGOT TO SAY SORRY...!!!"🀣🀣🀣
Phir aata hai Rajmata aur Gayatri wala scene, jab Rajmata aur Gayatri ek dosray se baat kar rahay hotay hain keh uss din kaun tha wo teesra banda aur phir jab unhain khyaaal aaata hai keh koi pandit zaroor hoga wahan uss mandir main jisnay yeh sub hotay hoy dekha hoga aur phir wo kehti hai keh wo usay dhoondh k rahay gi toh I was like "Shabaash Gayatri...Yeh hoi na baat...Budhi saali i thi bari agay chalnay wali usko toh yeh bhi nahi pta hoga keh iss cliff walay scene ka koi eye witness bhi hai...!!! Budhi tu toh gai abh...!!! Chorhna matt abh budhi ko Gayatri...Bas ek baar tumhain pta chal jaay keh wo budhi hi thi toh basss maza hi ajaay ga..."πŸ˜›πŸ˜›πŸ˜›
Phir aata hai uss Ram Avtaar wala scene, usko aata hai nightmare keh sub kaisay marray aur phir wo foran uth k kehtay hai keh abh wo yahan nahi rahay ga aur aglay din jab Gayatri usay dhoondhnay aati hai toh Gayatri ko pta lagta hai keh wo jaa chuka hai aur wo toot jaati hai phir jis bandi se wo poochti hai wo usay kaala dhaaga daiti hai uski protection k liye aur wo phir sad ho kar wapas mehel ajaati hai toh I was like "Araayyy Ram Avtaar ji aap ko aaaj hi darr k bhaagna tha??? Aaj hi yeh dauraaa kyun para aapko...Jab abh tak aapkay saath kuch nahi hoa toh agay kaisay hoga, thori din aur rukh jaatay toh Gayatri aapko pakka bachaati likin nahi aap toh bhaag diye theek uss waqt jis waqt wo aapko dhoondhnay lagi aur CVs editing toh matlab such main hansi aati hai kis tarha aapnay uss banday ko uss cliff walay scene ka eye witness banaya WAHHH, aaj hi banaya aur aaj hi bhagga bhi diya wah wah wah...Salam hai CVs aapki iss creativity pe...!!! Bechari Gayatri itni mehnat se i thi aur maayoos hokar chali gai...Likin uss bandi nay bahut acha kiya jo Gayatri ko wo kaala dhaaga pehnaa diyaaa, abh Gayatri har haal main such tak pohanch paay gi araam se aur budhi kuch bhi nahi kar paay gi...!!!"πŸ˜›πŸ˜›πŸ˜›
Dosri taraf budhi jab Swarna k liye khaana laati hai aur Swarna usay khaanay se manna kardaiti hai keh abhi mann nahi hai uska toh shakal dekhnay wali thi aisay lag raha tha keh abhi zabardasti khilaay gi Swarna ko likin shukar hai Lakhan sahi time pe agaya aur wo kuch nahi paai aur phir usay keh diya keh iska khyaal rakhna aur Gayatri ka bhi poocha toh phir usay hoa keh uski nazar zara usay kia hathi wo toh pta nahi kahan ghaib hogai toh I was like "Teri maut ka samaan akathaa kar rahi hai budhi...Tyaar reh...Lakhan acha hoa jo sahi time pe agaay tum, chalo khana main kuch nahi milaya hoga budhi nay kyunkay waaris chaye usay likin treat shaid bura karnay wali thi wo toh acha hoa keh tum agaay aur situation sahi hogai warna yeh budhi pta nahi kia karti...?!!"😑😑😑
Aur phir jab Gayatri wapas aati hai aur budhi usay poochti hai keh wo kahan gai thi toh wo koi aur bahana maar daiti hai likin phir jab wo kaala dhaaga dekh laiti hai aur usay rokh kar poochti hai keh yeh toh sirf uss cliff walay mandir main hi milta hai toh Gayatri phir bahana banna daiti aur budhi ko shak hojaata hai keh yeh kuch plan kar rahi hai toh I was like "Haan kar rahi hai budhi aur iss baar tum se ek kadam agay hai Gayatri...!!! Tujhe toh khabar bhi nahi hai keh uss waqt koi kharra ho kar tumhain yeh kaand kartay hoy dekh raha tha...HA HA HA...Abh tu nahi bachay gi budhi...Nahi bachay gi tu...!!! Waisay Gayatri sahi ja rahi ho tum...Shaabaaash...!!!"πŸ‘πŸ‘πŸ‘
Phir aata hai RaGa wala scene, jab Ranaji bed pe beth kar Savitri ki picture banna rahay hotay hain keh wo jab aati hai toh foran chupaa laitay hain toh I was like "Ranajiii...Yeh chupkay chupkay taahra kay mannn karayaaa se?!?! Kahin taahra ko uss ghani bawri se phir se pyaar toh nahi hogaya se?!?!" Aur phir jab Gayatri poochti hai keh kia chupa rahay ho toh becharay itnay cute expressions day kar bahana maartay hain keh jab complete hojaay ga tab wo dikhaain gain keh wo kia hai toh I was like "Ranaji jab pyaar nahi tha toh Rajmata nay aapkay naam se keh kar Gayatri k liye wo RANI wali painting banwaai thi, abh jab aapko pyaar honay laga hai toh aap khud apnay pyaar ka sketch bannna rahay ho, aur wo bhi Gayatri ka...WAH...Acha laga yeh dekh kar keh iss baar aapnay khud draw kiya hai...!!! Gayatri ko yeh surprise bahut acha lagay ga Ranaji...!!!" Phir jab wo Ranaji ko kehti hai keh wo ek pooja karwana chahti hai likin wo sirf Ram Avtaar se hi karwana chahti hai likin wo toh pta nahi kahan chala gaya hai toh Ranaji kehtay hain keh wo jahan bhi hai usay bulwa lain gain toh wo khush hojaati hai toh I was like "Abh toh Gayatri k liye bahut hi asaan hogaya uss Ram tak pohanchnay ka, acha raasta chunaa tumnay Gayatri...!!! Ranaji abh aap dhoondh lijiye ga usay pleeease, bari umeedain hain humain uss banday se...Toh pleeease jaldi kijiye ga...!!!"πŸ˜ƒπŸ˜ƒπŸ˜ƒ
Phir aata hai wo Swarna-Lakhan-Gayatri wala scene, jab Gayatri kamray main dekhti hai keh wo dono ek dosray ko hug kar rahay hain toh foran Lakhan ko warn karti hai keh apna distance maintain kar k rakho warna logoon ko pta chal jaay ga keh yeh bacha Lakshraj ka nahi Lakhan ka hai toh I was like "Gayatri yeh Ranaji k ilawa subko pta hai...!!! Budhi and gang ko toh khaas torr main pta hai...!!! Likin phir bhi acha kar rahi ho jo bhi kar rahi ho tum Gayatri...!!!" Aur phir Swarna ka Gayatri ko hug karna aur Gayatri ka Rani Gayatri ki baat karna aur unka emotional hona hayy I was like "Gayatri I know tum jald btaa do gi pleeease iss waqt emotional na ho, Swarna k saath Lakhan hai tum iss waqt sirf budhi aur uss Ram Avtaar pe concentrate karo...!!!"😊😊😊
Aur akhir main aata hai wo RaGa wala scene, Ranaji kisi aur hi pandit ko uthaa kar lay aatay hain aur jab Gayatri dekhti hai keh yeh wo nahi jo wo sub jaanta hoga toh wo kehti hai Ranaji se keh usay wohi wala chaye toh wo kehtay hain keh yeh wala pandit bhi jo tum keh rahi ho wo karday ga likin wo nahi maanti aur btaati bhi nahi hai keh usay uss Ram Avtaar se kaam kia hai phir jab Ranaji zidd kartay hain toh Gayatri k mooh se nikal jaata hai keh wo pta karwana chahti hai uss pandit se keh uss waqt cliff main aakhir hoa kia tha aur wo hairaan reh jaatay hain aur Gayatri bhi shock hojaati hai keh yeh usnay kia bol diya aur drama khtam toh I was like "Gayatri emotions kaaabu main karna hogaa tumhain itnay jazbaat main aakar tum apnay dushmanoon ko khud daawat day rahi ho tum par hamla karnay k liye, tumhain nahi pta budhi bahut tezz hai, saali k saaray kaan lagay hoy hogain...Pleeease Gayatri jo karo soch samaj kar karo...Abh pta nahi Ranaji kia karain gain aur pta nahi Gayatri agay kaisay react karay gi...!!!"πŸ˜•πŸ˜•πŸ˜•



As far as the precap is concerned, my reaction is..."Budhi ek din main Gayatri tujhe giraay gi inn stairs se...Tit for tat toh karna hi paray ga, budhi tujhe kia lagta hai Gayatri ko iss tarha gira kar tu uss Ram Avtaar k paas pehlay pohanch jaay gi?? Nahi kabhi nahi...Gayatri tumhain himat karkay usay dhoodhna hi hoga...Abh koi takleef tumharay beech main nahi aani chayeee...Yehi waqt hai budhi ko haraanay ka"...πŸ˜ƒπŸ˜ƒπŸ˜ƒ



PS: Lagta hai Rageshwari waaris ka sunn k darr k bhaag gai hai dramay se...🀣🀣🀣


Do share your thoughts guys😳😳😳



Thank you so muchπŸ€—πŸ€—πŸ€—

Created

Last reply

Replies

9

Views

579

Users

5

Likes

8

Frequent Posters

sagorika93 thumbnail
Anniversary 10 Thumbnail Group Promotion 4 Thumbnail Commentator 1 Thumbnail
Posted: 8 years ago
awesome review dear
gayatri itni bewakoof kyu hai I don't understand
raj mata almost guessed everything but gayatri firse na na kar di 😑
thnx for the pm
RM14 thumbnail
Anniversary 9 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail + 5
Posted: 8 years ago
Superb review dear..πŸ‘
RM ne toh kar liya bas ab Gayatri bhi BRM par doubt kare toh accha hai..waise ye bhi Cv's ki maya hai..tabhi toh na Ranaji ko kuch yaad aaya na Gayatri k dimaag main aa raha hai k ye BRM kar sakti hain..πŸ˜†
Aur sach main Cv's bhi na..pandit ji ko bhi ye sapne aa rahe the par achanak se wo ek hi din dare aur koi unhe kuch nai kah raha phir bhi wo bhaag gaye..🀣 kamaal hai..aur BRM ne sorry nahi kaha ..bechaari bhool gayi hogi..itna dimaag chalana padta hain na..πŸ˜†
Aur sabse khushi ki baat k aaj bhi Rags nai aayi..Savitri ko gift mila..Swarna ki..waris ki baat ho gayi ..tab bhi nahi..apne bhai ki tarah gayab ho gayi kya..accha hi hai waise..🀣
Ranaji-Savitri   and Savitri-Swarna scenes was awesome..⭐️
loving how Gayatri now not telling anything to BRM..go Gayatri.πŸ‘πŸΌ

JIYA_22 thumbnail
Posted: 8 years ago
Lovely epi
Without rags
Cute nok jhok of RAGA
sishtyfan thumbnail
Anniversary 8 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail
Posted: 8 years ago
Nice take dear ⭐️
Titli hope is baar g hi jeetey!! Warna in cvs ko mai parmatma ki bhains dhone bhej dungi! πŸ˜†
Hope us pujaari ka pata chal jaaye!!
TitliBaisa thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 3
Posted: 8 years ago
Originally posted by: sagorika93

awesome review dear
gayatri itni bewakoof kyu hai I don't understand
raj mata almost guessed everything but gayatri firse na na kar di 😑
thnx for the pm


πŸ€—Thank you so much dearπŸ€—
Hainaaa...Mujhe bhi samaj nahi arahi aisa kyun kar rahi hai wo, shaid jab tak proof na mil jaay tab tak bas wait kar rahi hai *facepalm*...Pta nahi kar hi kyun rahi hai...!!!
You're welcome dearπŸ€—
TitliBaisa thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 3
Posted: 8 years ago
Originally posted by: RM14

Superb review dear..πŸ‘
RM ne toh kar liya bas ab Gayatri bhi BRM par doubt kare toh accha hai..waise ye bhi Cv's ki maya hai..tabhi toh na Ranaji ko kuch yaad aaya na Gayatri k dimaag main aa raha hai k ye BRM kar sakti hain..πŸ˜†
Aur sach main Cv's bhi na..pandit ji ko bhi ye sapne aa rahe the par achanak se wo ek hi din dare aur koi unhe kuch nai kah raha phir bhi wo bhaag gaye..🀣 kamaal hai..aur BRM ne sorry nahi kaha ..bechaari bhool gayi hogi..itna dimaag chalana padta hain na..πŸ˜†
Aur sabse khushi ki baat k aaj bhi Rags nai aayi..Savitri ko gift mila..Swarna ki..waris ki baat ho gayi ..tab bhi nahi..apne bhai ki tarah gayab ho gayi kya..accha hi hai waise..🀣
Ranaji-Savitri   and Savitri-Swarna scenes was awesome..⭐️
loving how Gayatri now not telling anything to BRM..go Gayatri.πŸ‘πŸΌ


πŸ€—Thank you so much dearπŸ€—
HaanπŸ˜†
Haan such main ajeeb hi dikhaatay hain yeh CVs waisay...Bahut zada faaltu lambi lambi phenknay ki aadat se lagta hai hogai hai inhain🀣🀣🀣Haan bas issi main bhool gai🀣
Haan sahi keh rahi ho, acha hi hai, likin mujhe lagta hai jab ayegi toh kuch bakwaas plan banna kar hi ayegiπŸ˜›
I know right!πŸ˜‰
TitliBaisa thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 3
Posted: 8 years ago
Originally posted by: JIYAMG

Lovely epi
Without rags
Cute nok jhok of RAGA


Yeah😊

TitliBaisa thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 3
Posted: 8 years ago
Originally posted by: sishtyfan

Nice take dear ⭐️
Titli hope is baar g hi jeetey!! Warna in cvs ko mai parmatma ki bhains dhone bhej dungi! πŸ˜†
Hope us pujaari ka pata chal jaaye!!


Thank you so much dearπŸ€—
Haan hope so dear, acha hi karo gi, pehlay hi bhej do yaar bahut hi tang kar rahay hain...πŸ˜†
*fingers crossed* dear
TitliBaisa thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 3
Posted: 8 years ago
Originally posted by: Monikkaaa

titli is titli


😳