Mohabbat ab nahi hogi - AR FF

Posted: 9 years ago
Mohabbat ab nahi hogi - AR FF

HE is the most famous business man in London and everyone knows himSHE is a simple girl and lives in NotthingamThey both met after 5 yearsShe has a daughter and he is still single


hey guyzzz...it was my first attempt in writng a story...i really hope that u like it...i wasnt sure if i should post it online...but my frieds said that i should give it a try...i really hope that u like it...if not then i would be pleased if u could tell me what i should make better...thanks abhi se hi...😳with lots of love AMNA ❤️u can also like my pag on facebook...i really need likeeesss


Karan and Jenny Singh Grover


Index




and yeah plzzz everyone who wants a pm for the next part...put me in ur buddy list :)
thank u 😳😳

For my other works check...

Edited by Amna_xd - 9 years ago
Posted: 9 years ago
read the parts on FB its going great... great to see u here to ...
Posted: 9 years ago
Such a diltouching concept 
Please continue soon yaar 
Pm me please 
Posted: 9 years ago

Part 1

 

Me Riddhima, ek simple si middle-class larkri, meri ek 4 saal ki beti hai, sarah. Hum dono ek chote se pyaare se ghar me rehte hai. 5 saal ho gaye mujhe Nottingham shift hoe hue. 5 saal pehle me London me rehti thi. Lekin London ke saath saath me apni ateet to ko bhi waha wapis chod aayi hu aur ab kabhi bhi peeche pur ke wapis nahi dekhna chahti. Me apne ateet ki sari yaade mita dena chahti hu, sivaye apni beti ke, sarah ke. Agar wo nahi hoti to me kab ki mar chuki hoti. Sarah abhi kindergarten me jaati hai...abhi aabhi usne shuru kiya hai...Aur me ek choti si company ki employ hu.

 

Mera is duniya me siwaye Sarah ke koi bhi nahi hai. Mom aur Dad to bachpan me hi chod ke chale gayee the aur jis insaan pe mene apna dil lutaya, jispe bharosa kiya, wo hi mujhe dhoka de ke chala gaya. Me sabke samne jitni marzi sakht ban jau,lekin me janti hu ke uske dhoke ne mujhe pura hi tod diya hai. Mujhe nafrat hai is duniya se aur is duniya ke har ek insaan se, Bas meri Kitabe hai jo mujhe kabhi dhoka nahi deti aur ek meri diary. Mene aaj tak Sarah ke saath bhi kabhi apne dil ki baate share nahi ki...aur nahi hi kabhi usse uske papa ke bare me to kabhi bhi nahi...me nahi chahti ke meri beti ko apne papa ke bewafai ke bare me pata chale...Shayad ab usko bhi ehsaas hone lag gaya hai ke uske papa uske saath nahi hai...lekin allah ka shukr hai ke usne mujhse abhi tak yeh sawal nahi pucha...mere pas koi jawab nahi hai is sawal ke liye

 

5 saal guzar gaye lekin me aaj bhi apne ateet ko nahi bhula payi...Pata nahi ke zindagi aur kitne imtehaan legi mere...meri ek habbit hai , ke me apni saare feelings apni diary me likhtu hu...pata nahi kyu lekinn likhne ke bad me bohot light feel karti hu...meri saari tension khatam ho jati hai aur yeh hosla bhi rehta hai, ke meri baate kisi aur ko nnahi pata chalengi...koi hto hai is duniya me jo mujhko dhoka nahi de sakta...

 

Office me sab jante hai ke me na to zyada bolti hu aur na hi kisi ke saath zyada friendly hoti hu...mene apne kareeb ek diw aar built kar li hai...mere department me sabko mujhse dar lagta hai, lyunke sab jante hai ke me kttni strice hu aur kisi ko mafi nahi deti...uek insaan ne mujhe kya se kya bana diya hai...nafrat karti hu me usse...BOHOT naffrat...lekin usse bhi uyaada me apne aap se nafrat karti hu...pata nahi mujhe kya ho gaya tha ke me uske jaal me phas gayi ...bas Khuda se ek hi dua ke wo kabhi bhi kush na...nahi me chah ke bhi uske bare me buran ahi sooch sakti aur nahi usko dukhi dekh sakti hu...kyunke chahe kuch bhi ho jaye mera dil aaj bhu uski salamati ki dua karta hai...

Pata nahi ke wo insaan itna pathar dil kaise ho sakta hai...khair jo hua so hua...ab me us insaan ka saya bhi apni beti, sarah aur apne aap pen ahi padne dungi...bohot khel liya wo meri zindagi se...agar usko meri fikar nahi to wo kam se lam apni beti ke liye to aa jata...ha, sarah hamare pyaar ki nishani hai...mere liye pyaar aur uske liye shayad sirf time pass...mafrat kari hu me ab uss insam de bohot nafrat...hamari zindagi barbaad kar di usne...aur meri kismet bhi kya khel khelti hai mere saath...jis insaan ne meri zindagi barbaad ki,,,,,me uska kuch bhi nahi bigad sakti,,,,,kyunke wo London ka sab se bara business-tycoon hai...ARMAAN MALLIK...ha, armaan hi mera pehla pyaar hai, aur shayad akhri bhi...mujhe nahi pata ke Armaan kaise badal gaya?

 

Ye wo Armaan to nahi hai, jisse maine pyaar kiya tha...har ek newspaper me uski pic hoti hai...hamesh aek new girlfriend ke saath...mo wonder ke usne mujhe chod diya...wo khud hi itna handsome hai aur good-looking bhi...aur uski har ek girlfried ek beauty queen hai...Allah ka shurk hai ke sarah abhi choti hai...agar wo badi hoti to me usko kya jawab deti...ke uske papa London ke sab se bade businessman ke saath saath ek Casanova bhi hai...ke uske papa ne kabhi bhi uski mama se pyaar nahi kiya...har raat me sooti hu,,,,isi ummed ke saath ke kab me armaan ki yadoon ko apni zindagi se mita paungi...kab aisa din aayega jab me umeed karna chod dungi,,,ke wo shayad wapis aa jaye...har raat ki tarha is raat bhime unsuccessfulrahi...lekin kya karu, apni kismat se kaum bhag sakta hai...

 

Kal hamari company ke liye bohot important din hai...hamari company London ki ki one of top companies ke saath ek contract sign karegi...us company ke saath kam kar ne se kamari company ki shaan bohot baad jayegi...us company ki file abhi bhi mere desk pe mere office me rakhi hui hai...i kope sab kuch aacha ho...agar yeh contract ho gaya, to mera promotion paka...allah miya zuru koi karishma dikahyenge...kyunke mene suna hai...ke us company ke boss bohot karus hai...insha allah sab theek hoega

 

agle din Riddhima Sarah ko uthane uske room me jati hai

R: Sarah baby, uth jao...chalo jaldi karo...subha ho gayi hai...aur aaj tumhara pehla din hai kindergarden me

S: jayeee...mama me bohot khush hu...ab me bhi bari ho gayi...ab me bhi school jaungi

R: School nahi beta...kindergarten...ha ab to meri sarah saach me badi ho gayi hai...chalo shona jaldi karo...me aapka niche intezaar kar rahi hu...pehle breakfast kar lo...me me apke clothes choose karne me aapki help karungi...

S: yayiii mama u r the best...aap chalo me abhi aayi.

 

Agar Sarah nahi hoti to me kya karti apni zindagi me? Kabhi kabhi me sarah ke saath bohot strict ho jati hu...par me kya karu...ek single parent hona koi asaan kam nahi hai...bohot mushkil hota hai...aur aaj kal ke baache jaise hai...me kabhi bhi nahi chahungi ke meri beti aise bane...isliye mujhe uske saath strict hona parta hai...lekin kehte hai na ke agar bacho ki trabiyaat bachpan se hi aachi na ki jaye to aage jaake bohot pashtana parta hai...me me kabhi nahi chaungi ke meri sarah ke saath kabhi bhi kuch bura ho...afterall ek wohi to hai ab meri zindagi me.

Sarah ko abhi kindergarten chor ke aayi...wo bohot ro rahi thi...pehli bar mere bina rehengi...i hope ke wo theek ho...uska ek aanso meri jaan nikal deta hai...Allah miya uske saath rehna...

Chalo ab jaldi se me apna pending kam complete kar lu...phir meeting ke liye bhi jana hai...me kam me itna busy ho gyi ke mujhe time ka pata hi nahi chala...tabhi mere cabin me Pia aayi...mere boss ki secretary

 

P: Riddhima yr chalo ab...bohot der ho gayi hai...Boss tumko bula rahe hai...Us  company ke head bas ane wale hai...jaldi karo

R: Ha bas Pia... me abhi aayi...tum chalo me ati hu

P: Ha ye jaldo karo...nahi to tumhe to pata hi hai ke boss ke gusse pe kisi ka control nahi hota

 

Char yr Riddhima jaldi kar ,,,,agear teri wajah se kuch bhi galat hua to boss ne to mujhe nikal hi dena hai...Me apne khayalo me khoyi hui conference room ki taraf jaa rahi the ke aachanak se mujhe kuch feel hua...mera dil  ek dam se bohot zor se dhadakne lage ...bohot ajeeb ke saath saath aacha bhi feel ho raha the...ek dam se hawai chalne lagi...aisa to mijhe sirf ek insaan ke saath hi feel hota tha...armaan ke saath...to phir aaj aachanak se ye saari feelings...wo to yaha pe hai hi nahi...kahi wo...

nahi aisa nahi ho skata...zarur mera dil mujhe phirse dhoka de raha hai...to phir yeh feeling aaj ke din hi kyu aayi?? I was latterly  shivering...mujhe andar jane se dar lag raha tha...bohot himmat juta ke mene room ka door open kiyaaur andar gayi...andar jate hi mene dekha...to boss ke siva aur koi bhi nahi tha ...Shukriya Allah miya...

R: I am sorry Sir...wo actually I overlooked the time..

B: Its ok Mrs. Riddhima...but be careful next time...Mr. Mallik abhi bahar gaye hai...wo bas aate hi hoenge...tum itne apni presentation prepare karo.

R: Mr. Mallik?

Mujhe yakeen nahi ho raha ke mene kya suna...Mallik to Armaan ka name hai...lekin sirf ek wo hi to nahi hai...aur bhi duniya me bohot se log hai jinka naam Mallik ho skta hai

 

Ussi waqt Darwaza khula...aur meri bolti band ho gayi...Me uss insaan ko apne samne dekhti hi rahi...samajh nahi aa raha tha ke me khush hou ya phir...apni kismet pe rou


hope u liked it...with lots of love amna 😳😃

Part 2

Edited by Amna_xd - 9 years ago
Posted: 9 years ago
What an excelent part...
I just loved it from start to end tak superb...
& u leave it at dhak dhak moment...
I mean when the full heartbit alost stop that moment
Waiting to read more & more...
Sorry can't comment long this time
I'm in little rush...coz kal uni jana hai to i need to get some sleep also...
Next time i'll make sure to give a longgg wali comment in my style...
tab tak
Khuda hafiz
Tc

Posted: 9 years ago
Wowww 
It's amazing 
Armaan ridhima milte milte rehgaye 
Arey u ended on very naazuk mode 😆
Please jaldi jaldi next part update Karo 
Take care 
With loads of love 
HUMERA 

Edited by SGROVER_WINGET - 9 years ago
Posted: 9 years ago
That's awesome loved it 
Plz pm me for next part 
Continue soon 
Posted: 9 years ago
awsume part amna...
loved it...
sarah is so cute...
post next soonn :) 

Related Topics

No Related topics found

Topic Info

25 Participants 318 Replies 40798Views

Topic started by Amna_xd

Last replied by Amna_xd

loader
loader
up-open TOP