Abhi -dekh liya pura saaman? Sab barabar hai na? Main sab kuch le ke aaya hu. Ab main andar aa jau? N-nahi. Tum bheege huye ho na. Ab agar aise andar aaye to ghar bhi geela ho jayega. A-mere dost ka ghar hai. Main geela karu ya sukha aapse matlab? Abhi andar aa jata hai. Niyati gusse se uske piche jati hai. N-abhi tumne pura ghar ganda kiya hai. Pura ghar ab main tumse hi saaf karwaungi.
Aawaz daya tak jati hai or uski neend khul jati hai. A-are daya kaise ho tum? D-main to thik hu lekin tum yaha kyu aaye ho? A-are ek to main tumhare liye itni buri halat me yaha aaya or tum mujhse puch rahe ho ki main yaha kyu aaya hu. D-wahi to main puch raha hu tum yaha kyu aaye ho. A-tumhari dawaiya rashan sab le ke aaya hu or tum ho ki. D-rashan! A-haa. Tumhari madam ne kaha tha. Or apne liye bhi farmaishe ki thi. Pata hai is mausam me koi dukan tak nahi khuli thi. Wo apne pados wale jagan bhai ne apne shop ke liye jo saaman ghar me rakha tha na wo le ke aaya hu unse. D-per zaroorat kya thi itna sab karne ki? A-tujhe dekhne ka dil kar raha tha yaar. Teri fikar ho rahi thi. D-Pata hai. Per itni buri halat me yaha aane ki kya zaroorat thi? Agar tum bimar pad gaye to? N-shuru ho gaye tum dono. Tum dono ko humesha ek dusare ki parwah hi rehti hai na? Tum dono ko dost nahi bhai hona tha. D-aapko kya zaroorat thi Abhi ko yaha bulane ki? N-are ghar me rashan nahi tha or tumhari dawai bhi to mangani thi. Bina dawai liye tum thik nahi hoge. Or rahi baat tumhare dost ki to wo koi baccha nahi hai jo itni jaldi bimar pad jayega. D-magar. N-kya magar? Chalo chup kar ke apni dawai lo. Or Abhi tum geele kapdo me yaha baith gaye jaao jake kapde badlo main coffy le ke aati hu. A-ek min. Ye to mera kurta hai. Aapne.. N-daya ne diya tha. A-agar aap ye pehnegi to main kya pehnu? D-are tum kuch or pehan lo. Tumhare kapde mere room me hai. N-main coffy bana ke lati hu. Tum kuch loge daya? D-ji nahi thanks.
Niyati ke jane ke baad. A-are wah ye dr. Pradhan to us lab wali dr. Pradhan se bilkul alag hai yaar. Ab samjh me aaya ki tumhe ye achanak acchi kyu lagne lagi. D-bakwas band karo or jake kapde badlo sardi lag jayegi.
There is a lot of drama happening in the show that would keep viewers hooked to their seats. Also various shades of some character would come to the fore shocking the viewers." π²
comment:
p_commentcount