Favorite dialogues/scenes? - Page 27

Created

Last reply

Replies

1133

Views

338644

Users

91

Likes

2294

Frequent Posters

ABBY_JERAN thumbnail
Anniversary 12 Thumbnail Visit Streak 180 0 Thumbnail + 9
Posted: 9 years ago
even though all go gaga over zaroon kashaf but to me ehtesham n sania aka adeel sanam s was electric...their each n every scene in shukk from the very first scene to the very last scn...the hatred awkwardness in initial scns then the office scns as colleagues...then the scns when they r mking sure the shukk doesnt affect their families then how they finally fall for each other...each n every dialogue between ehteshamn sania was so damn beautiful i dont hv words
MochaQueen thumbnail
Posted: 9 years ago
Zindagi mai sab say mushkil kaam move on karna hota hai aur sab say zaroori kaam bhi yehi hota hai...Yeh nahi hota kay jinn say hum mohabbat kartay hain, unn say mohabbat karna chor detay hain laiken yeh zaroor hai kay hum unhain yaad rakhtay hue bhi zindagi guzarnay kay qaabil hojatay hain...Kuch doosray loagon ki zindagi mai khushi kay lamhon ka baa'is bhi bun jatay hain.

Shehrezaat
"Bahar say anay wali gandagi andar nahi asaki...Iss baar koi aaloodgi andar aa hi nahi sakti.Iss baar "Imaan" aur "Umeed" aik saath kharay hain."Uss nay muskuratay hue socha Imaan barq raftaari say Kitchen ki doosri khirkiyan band kar raha tha.Uss nay palat kar ussay dekha aur waheen khari rahi.
"Mujhay yeh mosam pasand nahi hai, itni matti, her waqt ka toofan...Ab phir Subha sara ghar saaf karna paray ga..."
"Saara din zaaya karay ga Saabir...Meri samajh mai nahi araha kay yeh khirkiyan kesay khuli rehnay deen...Pata nahi kis kis kamri ki khuli hongi.Aur pata nahi kahan kahan say matti andar arahi hogi."Woh ab boltay hue Kitchen say nikal raha tha, woh muskura rahi thi.Uss kay peechay Kitchen say nikaltay hue uss nay socha.
"Imaan kay sheeshay per kitni hi gard aur matti kiun na ho, ussay saaf kiya jasakta hai.Bus sirf aik haath phairna parta hai aur sheeshay mai say aks nazar ana shuroo hojata hai aur phir her haath kay saath aks pehlay say ziada saaf aur chamakdaar hota jata hai...Aur woh haath uss mohabbat ka hota hai jo Imaan say hoti hai."

Imaan,Umeed aur Mohabbat

"Kiya Umeed ki aankhon mai aansoo asaktay hain?"Aankhain uss hi tarah band kiye us nay maddham awaz mai poocha.
"Imaan kay liye asaktay hain."Uss nay bhi uss hi tarah sargoshi ki.
"Aur "Mohabbat" kay liye?"Umeed nay ussay kehtay suna.
"Ab Nahi..."

Imaan,Umeed aur Mohabbat


MochaQueen thumbnail
Posted: 9 years ago
Hajra: Shaadi ko acchi tareeqay say karna sunnat hoti hai...Laiken itni fazool kharchi karna asraaf hai aur asraaf Allah pasand nahi karta.
Mehrunnisa: Amma kiya asraaf kar rahay hain?Aap ko tu pata hi nahi loag aaj kal shadiyon per kitna kharch kardetay hain...Hamari tu phir bhi aik hi beti hai...Uss ki shaadi per kharch nahi karna tu kiss per karna hai...Koi armaan pooray na karain apnay???
Hajra: Armaan pooray karnay kay aur bhi bohat say tareeqay hotay hain chaar hazaar loagon ko bulwa kar naach gana karwa kar aur rizq zaaya kar kay kaun say armaan pooray hotay hain Shaitaan kay kaam hain yeh saaray...Tum apnay aas paas dekho kitni ghurbat hogai, loag 2 waqt ki roti aur kapron k liye taras rahay hain tu phir hum ko zaib deta hai kay hum Allah ki di hui naimaton ko iss tarah zaaya karain?
Mehrunnisa: Amma bus ab aap meri beti ki shaadi per badshagooni ki baatain na karain...
Hajra: Badshagooni ki baatain nahi kar rahi...Samjha rahi hoon tujhay...Yeh jo rizq hai na iss ka hisaab dena parta hai Allah ko.
Mehrunnisa: Accha day doon gi Hisaab...Main Hisaab mai bari acchi hoon Amman shuroo say..
Hajra: Toba kiya kar Mehrunnisa toba...Bara bol mat nikala kar moonh say...Allah kay hisaab say darna chahiye...Hamaray tu paighambar Hazrat Mohammad(S.A.W.W) khof khatay thay...Sakht hisaab say tu main aur too kiya shay hain kay akartay phirain sunnat 
kay tareeqay say chal..
Mehrunnisa: Amma aap ko pata hai kitna sadqa khairaat karti hoon main.
Hajra: Sadqa khairaat karnay say rizq barbaad karnay ka license nahi milta Mehrunnisa...Bara sakht azaab hai roopiye paisay ko zaaya karnay walay k liye...Too dekh teray baap aur main nay teri shaadi kitnay acchay tareeqay say ki thi...Laiken pesay ko ujaara nahi tha...100 ki cheez per laakh rupiya nahi lagaya tha.
Mehrunnisa: Amma hamara uthna bethna oonchay loagon mai hai.
Hajira: Oonchay loag woh hotay hain jin kay amal oonchay hotay hain...Bari gariyon aur baray banglon say koi ooncha thori banta hai...Aur aisay loagon kay saath uthnay bethnay ka yeh matlab thori hai kay Insaan apna amal aur kirdaar badal lay.

Shehrezaat
Gujar thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail
Posted: 9 years ago
"Boht mohobat ke saath rakhoonga, mohobat se, aitaram se, barabari ka darja de ke, insaan samajh ke" 
MochaQueen thumbnail
Posted: 9 years ago
"Hum sab apni zindagi kay kisi na kisi marhalay per "Zamana-e-Jahiliyat say zaroor guzartay hain,baaz guzar jatay hain,baaz saari zindagi iss zamanay mai guzaar detay hain.App iss mai say guzar chukay hain.Aap ka pachtaawa bata raha hai kay aap guzar chukay hain.Main aap ko pachtaaway say rokoon ga na toba aur dua say,aap per Farz hai kay aap apni saari zindagi yeh karain,magar iss kay saath saath yeh shukar bhi ada karain kay aap Nafs ki tamam beemariyon say chutkaara pa chukay hain."

Pir-e-Kamil(S.A.W)
"Tumhain Allah kay Rasool Hazrat Mohammad (S.A.W.W) ki Hadees yaad hai na k jis shakhs ki teen baitiyaan ho aur won unn ki acchi parwarish kar kay biyaah day tu qayamat kay din woh meray iss tarah qareeb hoga jesay haath ki 2 ungliyaan."
Zia nay bari risaaniyat say unhain samjhanay ki koshish ki.Magar Nafeesa nay behad talkhi say un ki baat kaat di.
"Yeh Duniya hai Zia Sahab!Yahan loag Quran haath mai lekar maathay aur seenay say chahay lagatay ho.Hazoor(S.A.W.W) ka naam sun'nay per ungliyan honton say laga kar chahay choomtay ho,magar kartay wohi hain jo in ki apni marzi aur khuwahish hoti hai.Kis nay nahi suni hogi yeh Hadees.Kis nay nahi parha hoga Quran.Yeh Musalmanon ka mulk hai Zia Sahab!Yahan loag Quran per kat martay hain magar Quran kay mutaabiq jeeta koi nahi."

Man-o-Salwa


OnlyHope thumbnail
Anniversary 19 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail + 3
Posted: 9 years ago
^ I love the one from PeK!
MochaQueen thumbnail
Posted: 9 years ago
Kiran: Kiun propose kiya hai tum nay mujhay??Kiun taras kha rahay ho tum mujh pay?
Adnan: Taras??Tum samajhti ho main tum per taras kha kay shaadi karna chahta hun...Tum kitni bewaqoof ho Kiran...Main kiun taras khaunga tum pay??
Kiran: Main janti hoon yeh hamdardi aur taras kay ilawa kuch nahi hai...Tum saari zindagi meray liye yehi kartay rahay ho...Tum aakhir kiya kiya karo gay meray liye...???
Adnan: Tum hamdardi aur mohabbat mai farq kiun nahi karsakti???Main tumhain samjhanay mai nakaam raha hoon ya tum ziada bewaqoof ho?
Kiran: Mohabbat???Tum mujh say mohabbat kartay ho?
Adnan: Hamesha...Hamesha say...
Kiran: Laiken tum nay kabhi nahi kaha
Adnan: Kiya kehta main?Agar tumhain kabhi meri mohabbat mehsoos nahi hui,tum ussay pehchaan nahi payi tu main kiya ta'arruf karwata uss ka?
Kiran: Main tumhari baat samajh nahi parahi.
Adnan: Tumhain sochna chahiye tha na k main agar tumhari aik call per din ya raat kay kisi bhi pehar tumharay ghar ajata hun,tumhari maangi hui cheez ko lanay k liye saat samundar paar janay k liye tayyar rahta hun...Tumhari khushi say khush aur tumhari takleef say pareshaan hota hoon tu yeh sirf hamdardi tu nahi hosakti..
Kiran: Tumhain phir bhi batana chahiye tha!Kehna chahiye tha.
Adnan: Kiya kehta??Kiya batata...Meray halaat hi aisay nahi thay k koi waada leta,deta...
Kiran: Kaun say halaat?
Adnan: Tum jaanti ho...Aapa ki rukhsati nahi horahi thi...Karobaar dhang ka nahi tha mera...Aur main chaand ki tamanna karta?
Kiran: Ab bhi tu chaand ki hi tamanna kar rahay ho...
Adnan: Haan!Kar raha hun..
Kiran: Ab chaand mai daagh agaya,shayad iss liye
Adnan: Main nahi chahta kay chaand aik baar phir meri nazron say ojhal hojaye...Tum aaj bhi meray liye wohi Kiran ho...Tumhari shaadi...Tumhari talaq...Mujhay kisi cheez say farq nahi para...Na mujhay na tumharay liye meri mohabbat ko.

Kankar

"Nahi Mummy aap nahi samjahti aap nahi samajh sakteen.Kiun k aap nay apni zindagi "Mansoor" kay saath guzari hai "Haider" kay saath nahi.Aap Working Woman nahi hain aik House Wife rahi hain aap nay bohat comfortable zindagi guzaari hai pehlay Nana k ghar phir Papa k saath aap ko kia pata aik Working Woman ki zindagi kitni mushkil hoti hai."
"Tumharay nazdeek aik working woman kiya hai?Woh aurat jo 9 to 5 job karti hai.Haftay mai aik baar us ko 1 chutti milti hai maheenay k aakhir mai uss ko Pay mil jati hai,Bonus milta hai aur kuch extra chuttiyan mil jati hain?Yehi hai na Working woman?Aur aik house wife woh hoti hai jo ghar mai takht per beth kar hukm chalati hai nokaron per.Haina?Main tumhain bataoon aik house wife kiya hoti hai beta?Aik house wife 24 ghantay kaam karti hai apna ghar dekhti hai bacchay paalti hai miyaan ka khayal rakhti hai aur susraal ko khush rakhti hai saara din mehnat karti rehti hai laiken us ko is ki ujrat nahi milti hai.Aik unpaid worker hoti hai aur us ki saari mehnat koi notice bhi nahi karta aur uss ko apnay liye aik minute nahi milta.Aur tum samajhti ho aik house wife ki zindagi bohat asaan hoti hai?"

Durre Shahwar
OnlyHope thumbnail
Anniversary 19 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail + 3
Posted: 9 years ago
The one from Kankar was one of my fav scenes of the two <3 Moved me so much..
Freebird_23 thumbnail
Anniversary 10 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail
Posted: 9 years ago
Rudaba : mahobbat ese nahi hoti..
Bashar : yeh mahobatt to esehi hogi rudaba.. Yeh dunya ki pehli mahobat hogi jo nafrat ki kokh se janam legi. Or woh tum krogi mujse.. Main tumse karwake rahunga..

Bashar momin
Raindrops. thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail
Posted: 9 years ago
Buht ziyada muhabbat ka yahi masla hai k us men buht zeyada naftrat honey ka khatra hota hai
Khalil ur rehman Qamar