SaRa FF - Bandhan # 2 , Last Ch & Epilogue , PG - 104. - Page 6

Posted: 10 years ago
Originally posted by Faria.




Hehehehe tasu tu tou meri muh ki baat chin li
i am 100% agree with you. lOL

accha hua yaar. ab tu meri taraf se pallu ki sath ladai kar lena
main bye bye hoti hu
kyu tere muh mein zabaan nehi hai jo kisi aur ko phasa kar chali gayi shaitaan ki nani kahiki
Posted: 10 years ago
Originally posted by -Paulomi-


kyu tere muh mein zabaan nehi hai jo kisi aur ko phasa kar chali gayi shaitaan ki nani kahiki

Oyeee tu mewri saath panga maat le
main us dusht sameer ki burai karke humari dosti dau par nehi lagana chati hu

Posted: 10 years ago
Originally posted by Faria.



Oyeee tu mewri saath panga maat le
main us dusht sameer ki burai karke humari dosti dau par nehi lagana chati hu

sameer par mera copyright nehi hai,kar na jitna chahe kar
Posted: 10 years ago
main apni mood kahrab nehi karna chati
tu waha aja- jaha hum batein karte hai
Posted: 10 years ago
Originally posted by Faria.


main apni mood kahrab nehi karna chati
tu waha aja- jaha hum batein karte hai
main 10 baje aati hu
Posted: 10 years ago
please update..
warna mein image ker ke pagal ho jaaungi..
vese bhi aajkal mayur ka romantic sequence likh rahi hoon 
Posted: 10 years ago
Originally posted by shafy_MN


please update..
warna mein image ker ke pagal ho jaaungi..
vese bhi aajkal mayur ka romantic sequence likh rahi hoon 
tu bhi na shafu
Posted: 10 years ago
Originally posted by Surish



        Paulomi!

thanks
Posted: 10 years ago

CHAPTER - 28

CHAPTER - 29

Next morning,when Indira ordered milk for Maahi and woke her up,she just did everything whatever she does generally except talking to her mother.Indira tried many ways to talk with her but Maahi didn't pay any heed to it.Indira at last was fed up,she,in a pleading tone said,"Maahi pehle bhi to tujhpar gussa hoti thi,tab to tu aisa nehi karti thi?Papa jab se aaye hai,maine dekha hai,main agar tujhe zara sa bhi daat du to tu rich spoiled girl ki tarah nakhre karne beth jaati hai."Maahi looked at Indira and still making that angry face said,"Ha jabse papa miley hai,tabse aap bhi mujhe bohot zyaada daatne lagi ho.Pehle bhi papa ke baare mein baat hoti thi,tab bhi aap mujhe is tarah se nehi daatti thi.Mujhe kal bhukh lagi thi,aur vaha kaise khana hai nehi pata tha,isiliye aapko bulaaya tha."Indira angrily asked,"To papa aaye hai ye baat mujhe pehle kyu nehi bataayi?"Maahi replied,"Kyuki papa ne mujhe manaa kiya tha aur kaha ke vo aapko surprise karenge isliye.Papa ki baat hoti hai,aapko unpar gussa aata hai,aap unse jhagra karti ho,to hamesha har baar aakar aap mujhe hi daat deti ho.Mujhe bilkul bhi ye sab achcha nehi lagta hai."Indira gave a thought to it and found that she was right,whenever she was upset with Sameer,she behaves poorly with Maahi,she drowns each and every drop of her anger on Maahi.She gave up and sat on the bed beside her and said,"I know Iam wrong,par tum bhi to hamesha blindly papa ka side leti ho,hamesha papa','papa','papa' karti rehti ho.Us time mujhe bhi bohot bura lagta hai."Maahi said,"Par mummy,8 years tak to papa hamaare saath nehi the,ab hai na isiliye aur papa chahe kabhi bhi kahi bhi kisi se bhi fight karke aaye,par vo kabhi mujhpar nehi chillate.Vo agar upset bhi hote hai to bhi mujhse pyar se baat karte hai.Pehle bhi to aap upset hoti thi,tab to aap aise baat nehi karti thi."Indira realized that whatever Maahi was saying,from her part she was correct,since she didn't know what the truth was and neither she could tell and explain it to Maahi.She understood that the way Indira loves Maahi selflessly,same Maahi does love Sameer and he too.It was between her and Sameer and she just couldn't expect any kind of understanding from Maahi at such an age,so she decided better to give up.She kneeled down before her and said,"Ok thik hai,chalo,main maanti hu meri galti hai.So,Iam sorry."Indira held her ears.Maahi said,"Aap har baar aisa karti ho aur har baar sorry bolti ho.Jabse aapne vo job kiya hai,aap pata nehi kaisi ho gayi ho.Aap puraani waali mummy nehi ho."Indira said,"Job ke vajah se ye sab kuch nehi ho raha hai beta.Its just...kabhi kabhi life mein changes aate hai,jinme adjust hone mein time lagta hai.Jaise ke achaanak itne time baad tumhaare papa achaanak se hamaari life mein aa gaye,so you know..."Maahi said,"To ye to khushi ki baat hai na ke papa hamaare paas waapas aa gaye."Indira,in an amusing yet complaining tone,said,"Vo bhi tumhaari vajah se,agar tum Manaali se bhaag kar Delhi nehi jaati to aisa kabhi nehi hota."Maahi asked,"To kya maine galat kiya tha?"Indira thought for sometime and replied,"Ha bhi aur nehi bhi.Nehi isliye kyuki tum bina bole gayi thi aur ha isliye,I can understand tum papa ko dhundhne gayi thi."Maahi said,"Ha aur dekho na mujhe to pata hi nehi tha ke main papa ke paas hi thi.Unhone mujhe bataaya bhi nehi."Indira gave her the milk glass and Maahi drank it.Just then,there was a knock outside.Indira looked at Maahi and asked,"Lo shaitaan ka naam liya aur shaitaan haazir."Maahi chuckled and asked,"Kaun aapke Kabir uncle?"Indira said,"Nehi...Aapke dear papa.Unse bara shaitaan is purey world mein aur koi nehi ho sakta.Thats why tum bhi aisi hi ho,tabhi to ghar se bhaag gayi thi.Jaao jaakar darwaaza kholo,main tabtak thori packing kar leti hu."Maahi opened the door and it was Sameer standing.She covered her mouth and asked,"Papa kya aap sach mein shaitaan ho?"Sameer widened his eyes and asked,"Matlab?"Maahi replied,"Abhi jab aapne knock kiya to mummy ne bina dekh kar hi bol diya ke aap ho aur ye bhi bola ke shaitaan ka naam liya aur shaitaan haazir aur aap dunia ke sabse bare shaitaan ho."Sameer picked her up in his arms and said,"Really???Wait abhi jaakar tumhaari mummy ki class leta hu."They both went inside.

                                                                                            Sameer,on getting inside,asked Indira,"Tumne meri beti ke saamne meri buraai ki?"Indira,while putting the clothes inside said,"Tumhaari taarif karne laayak aaj tak tumne koi kaam nehi kiya hai."Sameer gave an evil smile on hearing this and made Maahi stand on the bed and with a meaningful tone asked,"Sach mein Indira?"Indira gave a mocking smile to him at first,but immediately at the next moment,her expression changed and she barked at him,"Shut up Sameer!!"Maahi asked,"Aapne papa ko abhi kyu daata?"Indira scolded her,"Sab baate tumhe jaanne ki zarurat nehi hai.Ye papa aur mummy ke beech ki baat hai."Sameer said,"Maahi,abhi tak tumne papa ko ek good morning kiss nehi di hai."Maahi apologized and kissed on his cheek.Sameer whispered in Maahi's ears,"Pata hai tumhaari mummy ne mujhe last kiss kab kiya tha?Mere birthday pe aur vo bhi almost 10 saal pehle."Maahi naughtily smiled and asked,"Ek aur kiss abhi dila du mummy se?"Sameer gave an ignoring look and said,"Huh!Itni kharoos mummy hai na tumhaari."Maahi made a face and angrily replied,"Meri mummy kharoos nehi bohot achchi hai."Maahi turned to Indira and asked,"Mummy aaj aapne mujhe good morning kiss nehi di hai."Indira put her hands on her waist and said,"Kaise deti?Gaal pulaakar to bethi thi subhe se?"She gave a smile and walked towards Maahi to kiss on her cheek but the moment,Indira's lips were about to touch Maahi's cheek,she removed her face and she bumped on Sameer and thus kissed on his cheek.Maahi laughed out loudly and started jumping and shouting,"Yeaaa!Mummy ne papa ko kiss kiya!Yeaaa!"Indira yelled,"Ye kya tha?"Maahi replied,"Papa ne kaha ke aapne unhe last kiss unke birthday par aur vo bhi 10 years pehle kiya tha,to isliye maine papa se promise kiya ke aaj aap unko kiss karogi,so dekho ho gaya."Indira made a fist angrily and said,"Bohot badmaash hoti ja rahi hai aajkal tu theher ja!"Saying she ran after Maahi and Maahi screamed Sameer's name,with Indira trying to catch Maahi and Sameer trying to save her from Indira.They threw cushions,pillows and everything,whatever they had in reach of their hands towards each other and messing up everything.Unknowingly three of them engaged with each other thus creating a happy family scenario.At last all of them rested themselves on the sofa after getting really broken down due to all those mess.Maahi,while lying over Indira said,"Mummy hum aaj bilkul happy family jaise hai.Hai na papa?"Indira and Sameer exchanged looks with each other.Maahi got up on the bed and said,"Main TV dekhne jaati hu."She got up and ran to the bedroom.Indira then asked,"Kya sach mein maine tumhe 10 saal pehle kiss kiya tha?"She raised her brows and gave him a meaningful look.He remembered the last night's incident and turned very embarrassed.Indira teased him,"Gaon ki gori ki tarah kal tum bhaage the.I can't believe Sameer,jo kabhi college ka cassanova hua karta tha vo ek kiss ke vajah se itna sharma sakta hai aur vo bhi kisse,jo tumhaare bachche ki ma hai.Huh!"She was leaving,when Sameer grabbed her hand and pulled so forcefully towards himself,that she banged on him.She was damn irritated with that and asked,"Ye kya badtameezi hai?"He gave a wicked smile and replied,"You know something Miss Sharma,Sameer Diwan is not scared of anything..."After that what he did,right at that moment,was not imagined by Indira even in her worstest nightmares.Sameer slammed his lips with Indira and gave deep,passionate kiss with a fighting Indira in his arms.After he left her,he rubbed off his lips with his handkerchief and said,"Khaaskar apni beti ki ma se to bilkul bhi nehi."He winked at her and left.

                                                                                               At night,they reached the airport in time.After completing all the formalities,while Indira took Maahi to buy her favourate chocolates,Sameer and Kabir were sitting together in the lounge.Kabir,without any hesitation and without using any well furnished language,directly asked,"Kya aap sach mein mujhse business karne mere office mein aaye the Mr Diwan ya aapko Indira par nazar rakhna tha?"It was not that on hearing this question,Sameer was not surprised,he was badly taken back,but Sameer was very good in hiding expressions.He smiled and said,"Directly bohot hi direct question puch liya aapne.Aapko kya lagta hai Mr Chaudhry?"Kabir replied,"Vo to aap mujhse behtar jaante hai Mr Diwan,kyuki aap mere office mein aaye the,main nehi."Sameer said,"Agar main kahu dono to?Aap meri beti par kuch dino se itne meherbaan kyu ho rahe the?Uske baar mein itni chaanbeen kyu kar rahe the?"Kabir stared at him for sometime and said,"Jawaab to main de sakta hu par kya vo aap sun paayenge Mr Diwan?"Sameer gave a curious look and he would might have said something,but at that moment,Maahi and Indira returned.Indira said to Sameer,"Dekho tumhaare shey ke vajah se us shop mein jitney bhi chocolates the sabka ek ek pattern kharid kar laayi hai.Kyu dete ho uske haatho mein credit card?Kya karegi ek bachchi credit card ka?"Maahi made a puppy face and looked at Sameer and he casually said,"Paise kharch karegi."Maahi replied,"Aur papa uska bill bharenge."Sameer agreed,"Correct!"Indira gave up and said,"I accept my defeat and sorry main to bhul hi gayi thi ke main THE  DIWANS se baat kar rahi thi aur unse kuch bhi kehna is waste of time and energy."Sameer said,"Dekha Maahi ab pata chal gaya na kaun intelligent hai aur kaun stupid.Tumhaari mummy ko sab pata hai phir bhi bolti rehti hai."Both Sameer and Maahi together uttered,"Correct!Silly mummy!"Indira again put her hands on her waist and looked angrily at them.Kabir was just silently watching them.He understood that they indeed made a perfect family and this feeling somewhere made him jealous and hurt.At that moment,the Dubai-Delhi passengers were asked to board in and they walked off.

                                                                                              Indira's sit was with Maahi and Sameer unfortunately got his seat with Kabir,so Indira and Sameer exchanged their seats.In the whole journey whenever Sameer tried to sleep for sometime,Maahi used to wake him up and used to gossip with him.After 3 hours when the flight was about to land,it was almost 4am in the morning,Maahi fall asleep.So Sameer had to pick her up and came down of the flight.Indira on seeing them asked,"Flight par bethte hi so gayi na?"He gave an angry and a complaining look to Indira and replied,"Ji nehi,puri flight mein bak bak kar rahi thi aur mujhe nehi sone diya abhi thori der pehle soyi hai maharani."Indira giggled and replied,"Baby sitting karna itna asaan nehi hai.Baap banna bachcho ka khel nehi hota hai Mr Diwan."She started pushing the trolley.After they came out,Kabir said to Indira,"Aapko kal subhe office aane ki koi zarurat nehi hai,kal rest kijiye,parso se aap join kar sakti hai."Indira smiled and said,"Thank you sir!"Kabir nodded his head and left from there and Sameer,Indira and Maahi too returned home.

                                                                                                  Simi was waiting eagerly for all of them to return.When Simi saw them entering inside,she immediately went to them and asked,"Kaha hai kaha hai meri poti?Mere ghar ka chiraag?"Sameer entered inside with Maahi on his shoulder.Simi ran to him and patted her back.She kissed on Maahi's hands,her cheek and said,"Haaye meri bachchi!Aa gayi ghar waapas."She said to Indira,"Indira main keh deti hu tujhe,tujhe jaha bhi jaana hai ja,office ke kaam se tujhe 12 mahine bhi bahaar ghumna pare to ghum le,lekin Maahi ko kahi mat le jaana.Ye chali jaati hai to mera pura ghar mujhe kaatne ko daurta hai."Maahi was getting disturbed due to all these things and she moaned in her sleep,"$#$^^(**&*."Sameer said,"Jab maine isey uthaane ki koshish ki thi,to ye aisa kuch boli jo mujhe samajh mein nehi aaya."Simi said,"Haww meri bachchi!Arey gehri neend mein hai to bichaari thik se bol bhi nehi pa rahi hai.Ja ja usko sula de aur tum dono khud bhi jaakar so jaao."Indira nodded her head and three of them left.

                                                                                            In the morning,around 8 am,Indira went to take bath and when she returned she found that Maahi pulled the blanket over her head and was still sleeping.Indira stood beside the bed and said,"Maahi utho,bohot ho gaya,subhe huye bohot late ho chuka hai abhi uth jaao."There was no response.Indira called her again,but still there was no response.Indira at last pulled off the blanket and found Sameer sleeping with Maahi,putting his leg on her and hugging her like the side pillow and crashing her in his arms.Maahi too was not having no objection,no suffocation and all.On seeing the condition,Indira was so terrified that she punched Sameer so hard on his back,he screamed and got up on the bed and asked,"Kya hua?Kya hua?"Indira yelled,"Tumme dimaag hai kya?Aise choti si bachchi par per rakh kar aise usko jakar ke koi sota hai kya?Dam ghut gaya iska to?Mera kya hoga?Main kaise rahungi iske bina?"Sameer got back his senses and said,"What??Sach mein maine aisa kiya?Main apne hi haatho se apni hi beti ki jaan lene waala tha?"Sameer hugged Maahi and apologized,"Oh mera bachcha!Mera shona baba!Papa is really very sorry."Indira looked at him very angrily.He looked at her and held his ears and apologized,"Sorry neend mein tha,dekha nehi maine.Please maaf kardo.Aagey se aisa kabhi nehi hoga."Indira cooled down a bit.While looking at her,suddenly Sameer became very emotional.Indira,with concern asked,"Kya hua?"With a smile,he replied,"Pata hai Indira,10 saal pehle jab hamaare beech mein vo sab hua tha na,jab uske baare mein sochta tha tab lagta tha,humne kitna galat kiya tha.Hume vo nehi karna chahiye tha,agar na kiya hota to shaayad aaj hamaari zindagi kuch aur hi hoti aur shaayad tumhe bhi aaj yu akela nehi rehna parta."He looked at Maahi and said,"Par aaj jab isko dekhta hu na to aisa lagta hai,ke vo hamaari life ki best galti thi and thank God,ke humse vo gati hui,varna baap banne ki khushi kya hoti hai vo to mujhe kabhi samajhme hi nehi aati.Zindagi bhar bachcho se nafrat karta tha aur aaj jab ye meri zindagi mein aayi to ehsaas hua,ke bachche zindagi ki problems nehi,asli khushi hote hai.Jab papa','papa' bolkar mujhse baat karti hai,mere paas aati hai,mujhse gale lagti hai na,I feel very happy.Agar ye kabhi bhi mujhse dur hui na,main jee nehi paaunga,uske bina."He held Maahi's hand and kissed them and tears fall down from his eyes.Indira realized how much Sameer loved Maahi and she felt very happy that at last Maahi got her father.She too had tears on her eyes,but they were of happiness.

                                                                                             In the breakfast table,when all were having their food,Simi asked Indira,"Indira Maahi uth gayi kya?"Indira replied,"Ha auntyji uthakar brush haath mein pakra kar aayi hu."At that moment,Maahi came howling and shouting,"Daaadiii!Daaaduuu!"Simi opened her arms and she hugged Maahi and said,"Pata hai daadi ka to apni Maahi ke bina dil hi nehi lagta hai.Achcha beta abhi khaana kha lo."Maahi squeezed her nose on seeing the toasts and all and said,"Dadi mujhe ye sab nehi khaana hai.Mujhe aloo puri aur saath mein chocolate milkshake bhi chahiye.Main apne room mein jaati hu papa mere liye naya play station laaye hai na,main apne room mein khaaungi."Simi ordered the servant to prepare that and said,"Ok beta ja."After Maahi left,Simi asked to both Sameer and Indira,"So ab tum dono ne apne future ke baare mein kya socha hai?"Sameer asked,"Kya matlab?"She replied,"Matlab ke ab Maahi yaha rehti hai.She has a home,she has a family.Ab usey apne ma baap ka naam bhi to chahiye."Indira asked,"Main aapke kehne ka matlab nehi samjhi auntyji?"Simi said,"Ab tum dono ko shaadi kar leni chahiye,kamsekam Maahi ko ek better future dene ke liye,taaki future mein koi uski taraf ungli na utha sake."Sameer asked,"Are you mad mom?Aapko lagta hai main Indira se shaadi karunga?"Indira agreed and replied,"Main bhi Sameer se shaadi nehi karungi."Simi asked,"To phir jab log puchenge ke tum dono ka kya rishta hai tab keh paaoge ke Maahi tum dono ki najaayaz aulaad hai?"Both remained silent.Simi continued,"Sunne mein bura lagta hai,par sach to yehi hai.Isiliye keh rahi hu,apne liye nehi,Maahi ke liye shaadi kar lo."Indira said,"Main Sameer se hargiz shaadi nehi karungi aunty."Simi neither mind nor she was surprised.She said,"Okay to phir thik hai,main aaj se hi Sameer ke liye larki dekhna shuru kar deti hu,because mujhe apne ghar mein bahu chahiye,mujhe apne bete ki shaadi karaani hai.Is ghar ki saari zimmedaari mujhe bhi apni agli generation ko saupni hai aur uske baad tum dono agar chaho to Maahi ke custody ko lekar court mein appeal kar sakte ho."Sameer and Indira both never expected that Simi would take such a decision.He threw the spoon on the table and said,"Maahi is not going anywhere."Simi too threw the spoon on the dish and said,"To phir Indira yaha kis rishte se reh rahi hai?Teri beti ki aaya hai vo?Uski khudki koi zindagi nehi hai?Kal ko Indira ki zindagi mein agar koi aaya,to vo yaha apni khushiya qurbaan karke teri beti ki dekh bhaal karne ke liye bethi to nehi rahegi na.Agar uski shaadi hui to vo apne husband ke saath chali jaayegi aur Maahi par uska bhi haq hai.Agar vo tab usey le kar jaana chahe to?Tab kya karega tu?"Indira got up and said,"Chahe jo ho jaaye main Sameer se shaadi hargiz nehi karungi.Pehle ek baar uspar bharosa karke dekh chuki hu,phir se mujhe dhokha nehi khaana."Simi bluntly said to Indira,"Then what do you want ke mera beta,zindagi bhar kunwara betha rahe?Vo apna ghar na basaaye?Main apne bete ka hasta khelta parivaar na dekhu?What happened was your past,zindagi bhar usko pakarke beth to nehi sakte ho na?Both of you have to be practical and think about your future.Main kal hi Sameer ke liye rishte dhundhna shuru kar rahi hu.Koi bhi rishta pakka hone se pehle agar tum dono shaadi ke liye tayyar hote ho very good,otherwise...I hope you understand."Sameer said,"Main kisise shaadi nehi karne waala."Simi said,"Tujhpar dabaav na daalkar maine dekh liya hai.Now its not your choice.You have to get married now,ya to apni marzi se ya phir hamaari marzi se.Bohot ho gayi manmaani,ab aur nehi!"Both Sameer and Indira were so disturbed that they left from there.

                                                                                            Rajshekhar asked,"Tumhe nehi lagta Simi,tumne in dono se kuch zyaada hi strict tareeke se baat ki hai,khaaskar Indira se?"She replied,"Mujhe pata hai.Par mere paas ab iske alava koi option nehi hai.Ab in dono ka ravaiya dekha hai ek dusre ke khilaaf?Is tarah se chalta raha to inki shaadi kabhi nehi hogi.Main in dono ke baare mein asal mein soch bhi nehi rahi hu,mujhe Maahi ki parvaah hai.Ye dono adults hai,matured hai,apni zindagi apni tarah se jee sakte hai,par Maahi?Uska future?Uska kya?Kmsekam Maahi ke liye uske ma baap ko ek hona hoga aur main yehi koshish kar rahi hu."Rajshekhar said,"Par ye tareeka sahi nehi hai."Simi said,"Tedhe logo ke saath tedha raasta hi apnaana parta hai.Maahi in dono ki sabse bari kamzori hai aur mujhe isika faayda uthaana hai kyuki unki yehi kamzori inke rishte ki sabse bari taakat hai aur mujhe inka rishta itna mazbut banaana hai ke kabhi bhi,kisi bhi tufaan mein bhi unka ye rishta na dagmagaye."He asked,"Tumhe lagta hai ye kaam karega?"She nodded her head.

CHAPTER - 30

Edited by -Paulomi- - 10 years ago

Related Topics

No Related topics found

Topic Info

26 Participants 746 Replies 51056Views

Topic started by -Paulomi-

Last replied by -Paulomi-

loader
loader
up-open TOP