Sher O Shayri

Beautiful Poetry Collection - Page 4

.ButterCup. thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail
Posted: 10 years ago
                                ~parveen shakir~
~Naya Dard Aek Dil Mein Jaga Kar Chala Gya.~

Naya Dard Aek Dil Mein Jaga Kar Chala Gya.
Kal Phir Woh Mere Sheher Mein Aa Ker Chala Gya.

Jis Se Dhoondta Raha Main Lougon Ki Bherr Mein.
Mujh Se Woh Apna Aap Chupa Kar Chala Gya.

Main Oski Khamoshi Ka Sabab Poochta Raha.
Woh Qisse Idhar Udhar Ke Suna Kar Chala Gya.

Yeh Sochta Hoon Kese Bhulaaoon Ga Ab Osse.
Aek Woh Jo MujhKo Bhula Kar Chala Gya.

Edited by chandni00 - 10 years ago

Created

Last reply

Replies

191

Views

32068

Users

6

Likes

143

Frequent Posters

.ButterCup. thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail
Posted: 10 years ago
                                  ~Mohsin Naqvi~  
   ~Firaq-e-Yaar ki Barish ,Malaal ka Mousam~


Firaq-e-Yaar ki Barish ,Malaal ka Mousam
Hamare Sheher mai Utra Kamaal ka Mousam


Wo ik Dua Meri Jo Namuraad Loat Ayi Meri
Zaban Se Rooth Gaya Phir Sawaal Ka Mosam


Bohat Dinon Se mere Zehen Key Darichon Mai
Theher gaya Hai Tmhare Khayal ka Mousam


Jo be-Yaqeen ho Baharein ujar Bhi Sakti Hain
tu Aa k Dekh ley mere Zawaal ka Mousam


Mohabtein Bhi teri Dhoop Chaon Jesi Hain
Kabi yeh Hijar Kabi yeh Wasaal ka mosam


Koi Mila He NAi jis ko Soonpte Mohsin
Hum Apne Khawab ki khushbooKhyaal ka Mosam


Edited by chandni00 - 10 years ago
.ButterCup. thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail
Posted: 10 years ago
~ Mohsin Naqvi ~

~Us ne jab jab bhi mujhe dil se pukara Mohsin~


Us ne jab jab bhi mujhe dil se pukara Mohsin
Main ne tab tab ye bataya ke tumhara Mohsin

Log sadiyon ki khataon pe bhi khush baste hain
Hum ko lamhon ki wafaon ne ujara Mohsin

Jab aa gaya ho ye yaqin ab woh nahi aaye ga
Gham aur anso ne dia sahara Mohsin

Woh tha jab pas to jeney ko bhi dil karta tha
Ab to pal bhar bhi nahi hota guzara Mohsin

Us ko pana to muqadar ki lakeron mein nahi
Us ka khona bhi karen kesey gawara Mohsin


Edited by chandni00 - 10 years ago
.ButterCup. thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail
Posted: 10 years ago
                            ~Qateel Shifai~

~Apne hathon ki lakiron mein basale mujhko~


Apne hathon ki lakiron mein basale mujhko
Main hun tera nasib apna bana le mujhko

Mujhse tu puchne aya hai wafa k mani
Ye teri sada dili mar na dale mujhko

Main samandar bhi hun moti bhi hun gotazan bhi
Koi bhi nam mera le k bulale mujhko

Tune dekha nahin aine se age kuch bhi
Khud'parasti mein kahin tu na ganwale mujhko

Kal ki bat aur hai main ab sa rahun ya na rahun
Jitna ji chahe tera aj satale mujhko

Khud ko main bant na dalun kahin daman-daman
Kar diya tune agar mere hawale mujhko

Main jo kanta hun to chal mujh se bachakar daman
Main hun gar phul to jure mein sajale mujhko

Main khule dar k kisi ghar ka hun saman pyare
Tu dabe paon kabhi aa k churale mujhko

Tark-e-ulfat ki qasam bhi koi hoti hai qasam
Tu kabhi yad to kar bhulanewale mujhko

Bada phir bada hai main zahar bhi pi jaun "Qateel"
Shart ye hai k koi bahon mein sambhale mujhko.

Edited by chandni00 - 10 years ago
.ButterCup. thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail
Posted: 10 years ago
~Ku-ba-ku phail gai baat shanasai ki. ~

Ku-ba-ku phail gai baat shanasai ki. 
Us ne Khushboo ki tarah meri pazirai ki. 

Kaise kah doon ke mujhe chor diya hai us ne; 
Baat to sach hai magar baat hai rusvai ki. 

Vo kahin bhi gaya lauTa to mere paas aya; 
Bas yahi baat hai achchhi mere harajai ki. 

Tera pahalo tere dil ki tarah abad rahe; 
Tujh pe guzare na qayamat shab-e-tanhai ki. 

Us ne jalati hui peshani pe jo hath rakha; 
Rouh tak aa gai taseer maseehai ki.

(Poetess: Parveen Shakir)


Edited by chandni00 - 10 years ago
.ButterCup. thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail
Posted: 10 years ago
                       ~Habib Jalib~
~Ye or Baat Teri Gali Main Na Aen Hum~

Ye or Baat Teri Gali Main Na Aen Hum
Lekin Ye Kya,K Shehr Tera Chor Jaen Hum

Mudat Hui Hai Kou'e'Butan Ki Taraf Gae
Aawargi Se Dil Ko Kahan Tak Bachain Hum

Shayad Baqeet'e'Zeest Ye Sa'at Na A Sake
Tum Dastaan'e'Shouq Suno Aur Sunaen Hum

Be-Noor Ho Chuki Hai Buhut Shehr Ki Fiza
Tareek Raston Main Kahein Khoo Na Jaen Hum

Ab Aur Kia Kisi Se Marasim Barhain Hum
Yehi Buhut He Tujh Ko Agar Bhool Jaen Hum 

Sehra-E-Zindagi Main Koi Dosra Na Tha
Sunte Rahe Hain Aap Hi Apni Sadaen Hum

Is Zindagi Main Itni Faraght Kise Naseeb
Itna Na Yaad Aa Ke Tujhe Bhool Jaen Hum

Aaj Uske Baghair Ab To Buhut Jee Udass He
JALIB Chalo Kahin Se Use Dhoond Lain Hum




Edited by chandni00 - 10 years ago
.ButterCup. thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail
Posted: 10 years ago
~Jo khayal thay na qayas thay, wohi loag mujh sey bichar gaye. ~


Jo khayal thay na qayas thay, wohi loag mujh sey bichar gaye. 
Jo mohabbaton ki asaas thay, wohi loag mujh sey bichar gaye. 

Jinhain manta hi nahien ye dil, wohi loag merey hain hamsafar; 
Mujhey har terha sey jo raas thay, wohi loag mujh sey bichar gaye. 

Mujhey lamha bhar ki rifaqaton ke saraab bohat satayein gey; 
Meri umr bher ki jo pyaas thay, wohi loag mujh sey bichar gaye. 

Ye jaal sarey hain aarzi, ye gulaab sarey hain kaghzi; 
Gul-e-arzo ki jo baas thay, wohi loag mujh sey bichar gaye. 

Jinhain ker saka na kubool main, wohi shareek-e-rah safer huey; 
Jo meri talab meri aas thay, wohi loag mujh sey bichar gaye. 

Meri dharkanon ke kareeb thay, meri chah thay mera khuaab thay; 
Wo jo roz-o-shab meray pass thay, wohi loag mujh sey bichar gaye. 

(Poet: Aitbar Sajid)

Edited by chandni00 - 10 years ago
.ButterCup. thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail
Posted: 10 years ago
~Tere hote hue mahfil mein jalate hain chirag. ~


Tere hote hue mahfil mein jalate hain chirag. 
Log kya sada hain suraj ko dikhate hain chirag. 

Apni mahrumiyo pe sharminda hain; 
Khud nahi rakhte to auro k bujhate hain chirag. 

Bastiyan chand sitaro pe basane vale; 
Kurra-e-arz pe bujhate jate hain chirag. 

Kya Khabar hai un ko k daman bhi bharak uthte hain; 
Jo zamane ki havaon se bachte hain chirag. 

Aisi tarikiyan ankho main basi hain 'Faraz'; 
Raat to raat ham din ko jalate hain chirag.

(Poet: Ahmed Faraz)

Edited by chandni00 - 10 years ago
.ButterCup. thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail
Posted: 10 years ago
~Husn ko be-hijab hona tha.~

Husn ko be-hijab hona tha.
Shauq ko kamyab hona tha.

Hijr mein kaif-e-iztirab na pooch;a
Khoon-e-dil bhi sharab hona tha.

Tere jalvon mein ghir gaya aKhir;
Zarre ko aftab hona tha.

Kuch tumhari nigaah kafir thi;
Kuch mujhe bhi Kharab hona tha.

Raat taron ka TooTna bhi 'Majaz';
Ba'ais-e-iztirab hona tha.

(Poet: Majaz Lucknawi)


Edited by chandni00 - 10 years ago
.ButterCup. thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail
Posted: 10 years ago

Teri Yaadain Bhi Tujh C Zalim Hain "Faraz"
Jb Dekhti Hain Tanha Hmay Satanay Chali Ati Hain ..!!

Edited by chandni00 - 10 years ago