Qubool Hai

Zoya Bin Asad Ki Zindagi Khandar Hai Telly-Tadka

-RohitMaxwell- thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail + 5
Posted: 10 years ago

Qubool Hai: Zoya Bin Asad Ki Zindagi Khandar Hai

 

Zoya ghar chor kur chali gaiee, aur dosri taraf Razia ne Humaira ko Ayaan se dur kur diya. Kehte hain, duri do insaano ko aur khareeb laati hai. Jo humein jald daikhne mileyga. Tanu ne jism pur toh haq jatane ki koshish ki, pur kya kabhi Asad ke dil aur roh pur haq jata sakeygi. Jo uss se na hi judi hai, na hi kabhi jude gi. Zoya ne sahi kaha tha "Mr Khan sirf mere hain". Mr. Khan ke dil pur, unki roh pur, unke dimaagh pur sirf ek hi naam hai Zoya, Miss Faroqui, jo kabhi nahin mit sakta, chahey kitni bhi Tanu jaisi aajaye.

Tanu tum ek challenge jeet kur sab kuch har gaiee. Aaj tum uss ghar mein ho, aur Zoya ghar se bahar, jo tumhe lagta hai tumhari jeet hai, pur abb Asad ke dil se kaise Zoya ko nikalogi? Uss ki yadon ko kaise mitaogi, woh toh khudh tumhari zindagi se chali gaiee. Tumko aasani se tumhara Jammy de kur. Abb pa kur dikhao Asad ko? Nahin pa sakti Tanu kabhi Asad ko, kyonke uss ne jis tarah se usse paya hai, uss se toh uss ne ussey aur bhi apne se dur kur diya. Aise bohut se raaste humein aasan lagte hain apne maqsad mein kamyaab hone, pur hum yeh bhool jaate hain ke yeh raaste aasan jitney hote hain, inka anjaam utna hi kathin hota hai. Jo raaste muhkil se paar hote hain, uss ki manzil utni hi aasan hoti hai, aur uss manzil ko paane ki khushi hi alag hoti hai.

Razia aur Tanu apni saazisho ke baghari kuch nahin. Unki zindagi ka sukoon hi saazishein hain. Hur din ek naiee saazish ke saath khadi hoti hain, aur unki saazishein do logon ko aur khareeb le aati hain. Tamasha kurna aur tamasha banna unka shaukh hai, pur tamashai kuch khush nahin hain ek sa tamasha daikh daikh kur. Kuch naiee variety honi chahiye, kya kehte hain aap loog, abb inka tamasha banna chahiye hai na? Ayaan aur Asad ko mohra banaya hova hai. Ek ki zindagi mein toofan le aaiee aur dosre ki zindagi jahanam banai hoiee hai. Aisi be'sukoon aatmao ko sukoon ke liye kuch toh dua honi chahiye. Dargah mein Razia aur Tanu ko baandh deyna chahiye, unke sukoon ke liye, kya bolte hain aap?

Asad ki halat iss tarah hi hai "tum bin jiya jaaye kaise, kaise jiya jaaye tum bin". Bechara kuch na kur ke bhi sazza bhugat raha hai, pur Zoya pur bharosa na kurne ka itna toh dard sehna padeyga. Dard ke baad hi khushi aati hai. Zoya ke jaane ke baad woh apne ko aur hi ghalat samajh raha hai, apne aap ko uska gunnahgar, pur yeh aanso, yeh dard ki ummar bohut choti hai Mr. Khan. Gham ke badal dhal jaenge, aur khushi ki roshni aap ke ghar, pariwar pur phir aa jayegi. Zoya ne aap ke makan ko ghar banaya tha, aur aaj ussi makan ko khandar bana gaiee, pur yeh khandar phir ghar ban jaaeyga. Asad ki zindagi Zoya ke baghari khandar jaisi hai, sirf uska ghar hi nahin. "Jidhar daikhon teri tasveer nazar aati hai" itna aasan nahin hai Asad ka Zoya ke bina jeena. Woh aaj tak uss ke jaane ke naam se tadap jaata tha, aur usse le kur hi aata tha, pur aaj jab uska kuch pata nahin toh bikhar sa gaya hai, pur usse pata hai ke woh apni Zoya ko dhoond kur phir laayega. Jo tadap usse khone ki Asad ko hai, yeh hum se kabhi chupi nahin thi. Salute hai KSG ko jo expression, emotion aur romance ka badshaah hai. Rula diya kitni aankhon ko apne aansoo se.

Aaj Asad aur Ayaan akele hain, aur khaali hain. Jo aurtein unhein pyaar kurti hain, aaj unn se dur hain. Pur yeh duri iss ihsaas ko badhane ke liye zarori thi. Jab koi humare saath hota hai toh us ski ahmiyat ka andaza nahin hota pur dur hone pur yeh ahsaas badh jata hai. Asad iss ahsaas se bohut baar guzra hai, pur Ayaan ke liye yeh pehli baar hai. Dua hai ke Ayaan Humaira ke pyaar ko samjhe aur apnaye. Razia ke liye nahin Humaira ke liye.

Asad, Zoya, Ayaan aur Humaira ki Pyaar ki kahani ke liye daikhna mut bholiyega Qubool Hai Monday se Friday, hur raat 9:30 bajje Zee TV pur!!!

 

Author – Muniza Riaz

Telly Tadka


Created

Last reply

Replies

2

Views

1202

Users

3

Likes

2

Frequent Posters

ar-n-only-ar thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 4
Posted: 10 years ago
tfs... yaari see d new if article... :O
Saralicious thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail Networker 2 Thumbnail
Posted: 10 years ago
yaari!!!can u  pls translate tis article in english??😊