Na Bole Tum Na Maine Kuch Kaha Season 2

MM~~Shivratri Special~~ Prediction OS~~Updt @ Pg5 - Page 4

Created

Last reply

Replies

40

Views

4133

Users

17

Likes

46

Frequent Posters

..geeth.. thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail
Posted: 11 years ago
Originally posted by: Megher_Palok


Thanks .. 😳   Tujhe zada wait nahi krvaungi main 😳

Datz so sweet of u. πŸ˜³ meine ek sandesh bheja hai. padlo.😳 i have been waiting for hours. πŸ˜­
Megher_Palok thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 2
Posted: 11 years ago
Originally posted by: amalaziz

amazing OS


Thank U 😊
Megher_Palok thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 2
Posted: 11 years ago
Originally posted by: Sah1

Very well written but yaha bhi mm reunion ke liye wait karna padegi kya... Please update soon


Thanks πŸ˜ƒ   not much wait πŸ˜‰
Megher_Palok thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 2
Posted: 11 years ago
Originally posted by: dsgirl

aww..dis is so good...leking galat tym pe khata kiya..cant wait now


Thanks Dhara πŸ˜›   i know time galat tha...but coming up next πŸ˜‰
Megher_Palok thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 2
Posted: 11 years ago
Thank U everyone for commenting... πŸ˜ƒ N thanks for asking d same ... πŸ˜† Everyone of u guys, everyone did d same complain for giving a speed breaker in my OS 😭 πŸ˜†

But i dont want to wait u guys more...Next part coming up right after πŸ˜‰
Sweet-Lioness thumbnail
Posted: 11 years ago
FAB Peu...
 
arey One-Shot ko One-shot pe hi khatam karte hain...tune toh MM par hi scene rokk di...
Megher_Palok thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 2
Posted: 11 years ago
Last Part...


Mohan Megha ek dusre ke samne aake khada hota hai. Jaha Mohan ke ankh se anshu thamne ka naam hi nahi lete wahi Megha ki hothon per ek badi si muskan cha jati hai. Megha ki muskan Mohan ke chehre pe bhi smile le aata hai. Wo Mohan ke taraf daurke jati hai aur uske gale lag jati hai. Mohan bhi kuch samajh nahi pata aur Megha ko apna bahoon me bhar leta hai.

Kuch pal aise hi bitt jate hai, bina kuch bole. Bolna to bohut kuch chahte hai dono, par bol nahi pate. Aawaz hi nahi nikalti unke gale se. Bass kuch siskiyaan Megha hi gale se nikalke hawa me ghul jate hai, jise sunke Mohan ke dil ko bahut taklif hota hai. Wo usse chup karwane ke liye kuch bolne jata hai, par Mohan ka aawaz Megha ko aur zada rone pe majbur kar deta hai.

Mohan ka bhi haal waise hi hai, phir bhi wo apne aapko samhal ke Megha ko bhi samhalne ki koshish krta hai. Wo dhirese Megha ki chin apne finger se touch krta hai aur uski face ko upar uthata hai. Ab unki nazar 12 saal baad pehli baar ek dusre ki ankho pe padhti hai. Mohan waha apne liye pyar dekhna chahta hai, par ek daar bhi lagta hai ki kahi Megha naraz to nahi hogi naa.

Megha bhi Mohan ko pyaasi nigahon se dekhti hai. Uski ankhe hi kafi hote hai Mohan ko ye bayan karne ke liye ke usne usko kitna miss kiya. Mohan apna dono hath aahista Megha ki kandhe pe rakhta hai aur Megha apni ankhe bandh kar leti hai. Mohan ke dil ko tasalli mil jata hai ke usne Megha ko ab tak puri tarah nahi khoya. Kuch to abhi baki hai jo unko jodke rakhta hai. Kuch to hai jo sirf wo dono mehsus kar pate hai, duniya nahi.

Mohan Megha ki kandhe par se hath hatake uski face ko apne dono hatho se aise pakadta hai jaise kisi phul ko chuya ho. Mohan ka parsh hi Megha ko ye samjhane ke liye kafi tha ke Mohan uski ankho ko padhna chahta hai.

Wahi Mohan ka dil dimag me do alag soch ghar bandhne lagta hai. Dil to iss pal me hi duniya rok dena chahta hai par uska dimag Megha se kam se kam ek shabd to sunna chahta hai. Khamoshiyaan ki zuban iss pal me kamjor padh jate hai.

Megha (apni maan me) : "Main achchi tarah janti hu Mohan ke tum kya sunna chahte ho mujhse, kya padhna chahte ho meri ankho me. Lekin mujhme itni himmat nahi. Bahut muskil se roka maine khud ko itne saal, socha phir kabhi tum meri samne nahi aaoge, lekin aaj tum aa gaye mere samne, kyun aaye tum Mohan, kyun?"

Mohan : "Ek baar bhi nahi dekhogi neri taraf?" ek akhri umeed ek sath bolta hai, ye sochke shayad uska dil dimag ko hara de iss jang me."

Megha (maan me) : "Tum kyun mujhe majbur kar rehe ho Mohan, mat karo kamzor mujhe, ab mujhme itni takat nahi bachi jo main tumhare samne, nahi apni badkismati ko samne se accept kar payun."


Ye dotana Megha se aur bardast nahi hoti aur wo Mohan ka hath jhatak ke sidiyoon se niche bhagti hai. Mohan bass waha khada khada Megha ko jate dekhta reh jata hai. Dard se uska gala bujh sa jata hai. Mohan apna ankh bandh karke ek bada sa Sigh leta hai, khud ko samhalne ki koshish karta hua car ki taraf jane lagta hai.


Udhar mandir me Jiji aur Navi Megha ko dhund dhund ke pareshan ho jata hai, Renu thak jane ka bahana karke ghar wapas aa jati hai, ghar par Megha ko dekhke wo Navi ko inform karti hai, aur Jiji Navi bhi ghar wapas aane lagti hai. Raste me Navi ko office jana padhta hai to Jiji akeli hi ghar wapas aati hai.

Jiji : "Renu, Megha kaha hai?"

Renu : "Apni kamre me, pata nahi kya hua, bass royi jaa rehi hai, jao dekho zara maharani ko kya hua"

Jiji Megha ki room ki taraf badhti hai.

Room me Megha akeli baithi hai, zameen par, diwaar se pith lagake, uski sir ghuton ko chu rehi hai, uski rone ki awaz Jiji ko room ki bahar se hi sunai deti hai.

Wo jaldi se Megha ke pass jati hai par Megha apne me itni khoyi hai ki wo Jiji ki aahat bhi sun nahi pati, jab tak naa Jiji uski sir pe apni hath rakhti hai. Ab Megha sir upar karti hai aur Jiji ko dekhke apni anshu rokne ki ek na-kam koshish karti hai. Rok to nahi pati par aur zor se rone zarur lagti hai. Uski halat saaf bayan karrehi hai ke kuch to bahut khatarnak hua, jo usko andar se hilakar rakh diya. Jo samaj ke taane nahi kar paye inn 12 saalo me, wo aaj kaise aur kyun ho gaya ye baat Jiji samajh nahi pati. Par Megha ki halat dekhke unko ye to samajh aajate hai ke aaj Megha bilkul hi tut chuki hai.

Ek aanjana dar ke sath Jiji Megha ko pehle khadi karti hai, phir puchti hai kya hua?. Jab tak Jiji ki hath ka sahara tha tab tak hi Megha khadi reh pati hai, unke chodne ke baad wo apni ghutno ki ball gir jati hai aur zorse aawaz karke rone lagti hai.

Bahut baar puchne ke baad finally Megha bolna suru karti hai jo Jiji ki muh se akhiri shabd bhi chinne ke liye kafi hota hai.

Megha : "Jiji aapko yaad hai, 7 saal pehle main ek baar hamare Bholpalwale ghar ke kuch ligal kaam se Bhopal gayi thi?" itna bolke ek ajeeb nigah se Jiji ki taraf dekhti hai Megha.

Jiji thoda sochke bolti hai, "Haan, tu akeli gayi thi, kyun kya hua tha?"

Megha dhirese zameen se uthti hai aur khidki ke pass jake khadi hoti hai. Mohan ke ghar ke taraf dekhke phir bolne lagti hai.

Megha : "Main court gayi thi, kaam se."

Jiji : "Haan pata hai, aage bol."

Megha : "Waha Mohan ko dekha tha."

Jiji surprise ho jati hai, "Kya? Tu Mohan se mili thi, aur ye baat itne saal se mujhe bataya kyun nahi?"

Megha : "Aapko yaad to hoga waha se aane ke baad se main badal gayi thi, ye baat aapne khud mujhse puchi thi, karan janna chahenge?"

Jiji ab gussa ho jati hai, "Dekh Megha, bahut hua, ab paheli mat bujha aur sidhe sidhe bol ke bolna kya chahti hai"

Megha : "To suniye, maine jab Mohan ko dekha to usse baat karne ke liye bhagi, baat nahi maafi mangne ke liye. Usko apni zindegi me wapas pane ke liye. Aap to janti ho kitna kosha maine aapne aapko Mohan ko wo sab bolne ke liye. Kitne mannate mangi Mohan se ek baar milne ke liye. Aur us din Mohan meri samne khada tha, meri mannat puri ho gayi thi, kitni khush thi main. Jaldi se bhagi Mohan se milne. Par jab tak main pahunchti, Mohan waha se chala gaya tha."

Jiji : "Phir."

Megha : "Uske godh me ek chota bachcha tha."

Jiji : "Kiska bachcha?"

Megha : "Tab tak pata nahi tha, jhute sapno me jee rahi thi main, Mohan to waha se nikal chuka tha, par mujhe wo waakil dikha jo Mohan ke sath baat kar raha tha. Main jake unse pucha ke kya wo mujhe Mohan ka address de sakta hai. Pehle to mana kar dia, phir bahut minnate karne ke baad, unko ye bolne ke baad ke main Mohan ki patni hu aur hamare bich galat-fahmi ho gayi thi, wo mujhe Mohan ka address dene ke liye razi ho gaya. Unhone kaha ke wo ek Maa ke liye apna rule todke mujhe address de rehe hai."

Jiji : "Maa?"

Megha : "Main bhi aise hi chonk gayi thi, unse pucha bhi, to unhone bola ke Mohan court apne bachchi ki birth certificate me kuch word misplace thi, wahi thik karane aaya tha. Unko laga hoga Mohan ke bachchi ki Maa main hu. Par main samajh gayi asal baat ke main Mohan ko hamesha ke liye kho chuki thi..."

Aatit ke zakham ek baar phirse Megha ki dil pe taaza ho jata hai. Dard me Megha phir rone lagti hai.

Jiji (in shock) : " kya? Mohan ki bachchi? Ho hi nahi sakta."

Megha : "Maine bhi pehli baar me kaha mani thi unke baat, phir unhone mujhe papers dikhaye, Jiji waha likha tha ke..." wo aur bol nahi pati.

Jiji : "Megha tu uss address pe jake pata kia?"

Megha : "Kya karne jati? Mohan ke patni ki shakal dekhne? unhe shadi-shuda zindegi ka mubarak baat dene?" dukh me bhi apni kismat par Megha ko hansi aati hai."

Jiji aur kuch nahi bol pati, ye sab baate wo maanti to nahi par kat bhi nahi pati, chup-chap waha se nikal jati hai.

Unke chale jane ke baad Megha jake door bandh karti hai, tute hue dil ke sath aake bed par baithti hai aur khudse kehti hai..., "Maine Nanhi ko hamesha kaha ke aatit ki yaadon ko ek bura sapna samajhke bhul jana chahiye, par main kabhi tujhko uss baat ke piche ka asli matlab nahi bol payi nanhi, asal me uss baat se apne aapko tasalli deti hu, uss din court me maine jo kuch dekhi thi, suni thi wo sirf ek bura sapna tha, aur agar main khud ko ye nahi samjha pati to main itne saal kabhi jee hi nahi pati, sabko to kho chuki hu main, bass tere liye jina chahti thi, aur isliye uss din ke baat ko bhulna mere liye bahut zaruri tha, par kya main sachme bhul payi? Agar payi to kyun aaj Mohan ko dekhke main uske bahon me chali gayi? Lekin maine samhal bhi to liya khudko, shayad ab ye zakham itni gehri ho gayi jo dard bhi nahi hota."


P.S...Guys i tried very hard to set some at their meeting scene...but every time i failed...bcz my thought is any dialog (bitter or sweet) cant fill the gap of 12 years...or may be its my fault that i failed to find any...so i ve filled the gap with expression n some short lines...hope u guys will understand my feelings...plzz bear with it... 😳 On a second thought i did full justice with show title...Na Bole Tum... πŸ˜‰ πŸ˜†
Megher_Palok thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 2
Posted: 11 years ago
Originally posted by: Sweet-Lioness

FAB Peu...

arey One-Shot ko One-shot pe hi khatam karte hain...tune toh MM par hi scene rokk di...


What to do...Idea itna looong tha...ek part pe likhti to sab size se daar ke bhag jate 🀣 so divide kr dia 😳

Btw Thanks... 😳
meghan27 thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 4 Thumbnail Commentator 1 Thumbnail
Posted: 11 years ago
Superb part...
But why the ending is so emotional...
Megher_Palok thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 2
Posted: 11 years ago
Originally posted by: shivangi838

awesome yaar😊


Thank U πŸ˜ƒ