welcome 2 asya poetry corner - Page 17

Created

Last reply

Replies

163

Views

27799

Users

19

Likes

231

Frequent Posters

shafaqsheikh thumbnail
Posted: 10 years ago
Ek Bachpan Ka
Zamana Tha,

Jisme Khushiyon Ka
Khazana Tha...!!!

Chahat Chand Ko
Paane Ki Thi,

Par Dil Titli Ka
Deewana Tha...!!

Khabar Na Thi
Kuch Subah Ki,

Na Shaam Ka
Thikana Tha...!!

Thak Haarke Aana School Se, Par Khelne Bhi Jaana Tha...!!

Maa Ki Kahani Thi,
Pariyon Ka Fasana Tha...
Barish Me Kagaz Ki Naav Thi, Har Mausam Suhana Tha...!!!

Har Khel Me Saathi The,
Har Rishta Nibhana Tha..!!
Gam Ki Zuban Na Hoti Thi,
Na Zakhmon Ka Paimana Tha...!!

Rone Ki Wajah Na Thi,
Na Hansne Ka Bahana Tha...!!
Kyon Ho Gaye Hum Itne Bade, 
Isse Achha To Woh Bachpan Ka Zamana Tha...!!!!!!
shafaqsheikh thumbnail
Posted: 10 years ago
Haqiqat na puch mere fasane ki...tere jate hi bdal gayi najar jamane ki...log puchte hain ki mein khush kyun nai...kya kahun...aadat thi tere sang muskurane ki
shafaqsheikh thumbnail
Posted: 10 years ago
Jaane Lage Jab Woh Chhod Kar
Daman Mera...
Toote Hue Dil Ne Ek Aahat Kar di...
Socha Tha Chhupa Lenge Har Gham
Apna...
Par Kambakht Ankhon Ne Ro Kar

Bagawat Kar di...

shafaqsheikh thumbnail
Posted: 10 years ago
Wafa isko nahi kehte

Wafa kuch or hoti hai,

Mohbbat karne walo ki

Adaa kuch or hoti hai,

Tumhe dekha tumhe chaha

Tumhi se pyar kar bethe,

Suno pathar ke dil walo

Mohbbat aisi bhi hoti hai,

Main chahe ghum ka mara hu

Magar tumko na bhulunga,

Ke deewano ke hotho pe

Dua kuch or hoti hai,