OS: Sari umaar sang rehne ka vaada *COMPLETE* - Page 2

Posted: 11 years ago
"Bhai behen ka rishta bohut hi khubsurat aur pak rishta hai.
Bhai o ka daatna,behen ki shararat,bhai log apne roothe huye behen ko manana.
Inn chote chote pyaar bhari lamho banati hai Bhai aur Behen ka rishta aur bhi khaas.

Yeh kahaani hai Arjun aur Asha ki.
Asha Arjun ki choti behen hai,par Arjun Asha ko kabhi bhi apni behan ki darja nahi diya.Asha dukh toh zaroor hoti thi,par,uss dukh mein bhi usse sukh milta tha ki usski bhai uski samne hai,sahi salamat."

yeh kahaani shuru hoti hai Asha ki maut ke baad.


Dear Arjun Bhaiya,
Main janti hu ke mere jaane ke baad,aapko nahi dukh huwa hoga,kyunki,aapne kabhi bhi mujhe apne choti behan nahi mana hai.
Aap har waqt mujhpe chillate thhe,gussa karte thhe,phir bhi,aapke gusse aur aapke chillane pe mujhhe aapka pyaar nazar aata tha,ek bhai ka pyaar apni behen ki orrh.
Main janti hu ki main aapki jeevan mein koi mayne nahi rakti thi,par,aap mere jeevan mein bohut hi ehmiyat rakte thhe.
Aapko yaad hai bhaiya,jab aapko goli lagi thi.Aap bohut dard mein thhe,tarap rahein thhe hospital mein.Aapko goli lagne ki khabar jab mere kaano tak pohuchi,tab mere saanse ruk gayi thi.Aisa laga ki mere upar se mere bhaiya ka saaya mujhse chheen jayega.
Maine raat bhar aapke liye Kanhaji aur Bappa se prarthna karti rahi,ki,"Mere bhaiya ko jaldi se thhik kardo."
phir,Bappa ne meri prarthna sunli.

Bhaiya,jab aap ye khat parenge,tab tak main duniya se ja chuki hongi.
Main jana toh nahi chahti thi,kyunki maine,"Sari umar sang rehne ka vaada kiya thha",Maa se.
Par,main woh vaada nahi nibha payi.
Bhaiya,mere jaane k baad,aap kabhi bhi dukhi maat hoiyega,kyunki mere ACP bhaiya k aakhon mein aansu acche nahi lagte hai.
Bhaiya,aap mere guroor thhe.
Aapke liye main kya thhi,yeh main nahi janti hu,par,aap mere liye,mere Bhagwaan thhe,mere IDOL thhe.
Bhaiya,main aapse vadaa karti hu,ki,agle janam,main aapki beti hokar janam lungi iss duniya mein.Vaada raha mera.
Sari umar saang rehne ka vaada.


Samerr bhaiya ke paas main apni saari amanat sop ke jarahi hu.Jaane ke baad unse le lijiyega.

I will miss you,Bhaiya.

Aapki,
Asha."

Everyone,including Arjun,started to cry.
Arjun felt very guilty after reading the letter.
Arjun thought,"jis larki ne mujh jaise insaan ko apna bhai samjha,uss behen ko maine thukra diya.main Asha ki bhai kehlane ki layak nahi hu".

Sameer Rathod gave a box and a painting to Arjun.
When Arjun opened the box,he saw that,the box was full of 15 rakhis.The painting was of Arjun when he was awarded with the promotion of ACP.She painted it with her own hands.
After seeing all this,Arjun cried a lot.
Riya and Ankita were in tears when they heard the last line,
"Bhaiya,agle janam mein main aapki beti hokar iss duniya mein aaungi.Vaada raha aapse."


Posted: 11 years ago
thaw was such a cute OS :) 
loved it
Posted: 11 years ago
You made me cry Zebbie... 😭 its veru emotional one... loved the starting... Wanna know eagerly why did arjun do this to her...??? why ???? 😭 😭
Posted: 11 years ago
omg really nice update soon
Posted: 11 years ago
lovely update..!!!
continue soon..!!!
Posted: 11 years ago
Hey.
Thanks a lot to everyone for liking my OS.
I am really touched...
To clear ur doubts,Arjun Asha ko apne choti behen ka darja nahi dia,kyunki usse lagta tha ki Arjun aur Asha ke maa ki maut sirf aur sirf Asha ki wajah se hui thi,jo,saach nahi tha,infact,Arjun aur Asha ke maa ki natural death hui thhi.
Aur,jo,box,Sameer ne Arjun ko diya hai,jisme 15 rakhis thi.Asha ne yeh panra rakhiyan sambhal ke rakkhi thi,kyunki woh janti thi ki Arjun usse kabhi bhi apni choti behen ka darja nahi dega,aur,woh kabhi bhi uss rakhiyon ko Arjun ke kalai par nahi bandh payegi.


As you liked it a lot,i am thinking of writing a sequel OS to this story.
Thanks.
Cheers.
Posted: 11 years ago
wow awesome os
update soon
Posted: 10 years ago
Very beautiful os dr...
lvd it..
yes bro sis relation hota he ehsa hai

Related Topics

No Related topics found

Topic Info

15 Participants 22 Replies 6696Views

Topic started by Anika_PreRish

Last replied by ll_megha_ll

loader
loader
up-open TOP