Shayri ( My Collection) - Page 12

Created

Last reply

Replies

939

Views

56249

Users

13

Likes

2039

Frequent Posters

.Hussain. thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 11 years ago
Aansoo Bhar Aaye Aankh Main Har Ek Hansi Ke Baad 
Gham Ban Gaya Naseeb Mera Har Khushi Ke Baad 
Nikla Tha Kaarwaan Mohabbat Ki Raah Main 
Har Morr Pe Nafrat Khari Thi Har Gali Ke Baad 
Socha Tha Pyar Ka Main Sajaoon Ga Gulsitaan 
Har Phool Jal Gaya Mera Ban Kar Kali Ke Baad 
Chahat Ki Be-Basi Ka Ye Qissa Hai Mukhtasar 
Dil Ne Sukoon Na Paaya Kabhi Dil Lagi Ke Baad 
Ab Raakh Hi Samait'ta Hoon Aashiyanay Ki 
Khud Hi Jala Diya Tha Jisay Aajzi Ke Baad 
Suntay Hain Baad Marnay Ke Milta Hai Sab Sila 
Dekheingay Kya Milega Hamein Zindagi Ke Baad...!!!
.Hussain. thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 11 years ago
Har Kaam Bigarta Hai Hum Jaiso Ka Ho Ho Ke 
Un Ko Bhi Koi Poochay Bethay Hain Jo Ro Ro Ke 
Hum Jagnay Walon Ko Zindon Main Samjhtay Hain 
Hum Jaagnay Walon Ko Zindon Main Samajhtay Hain 
Mar Jatay Hain Kitnay Hi Meri Tarha So So Ke 
Daaman To Hai Daaman Phir, Phailana Hi Parta Hai 
Ye Saaf Nahi Rehta Dekha Isay Dho Dho Ke 
Jis Cheez Se Qurbat Ho Ajati Hai Doori Bhi 
Ik Shakhs Ko Paaya Hai Ik Shakhs Ko Kho Kho Ke 
Aey Saad Chalo Choro Kuch Dair Ko Susta Lo 
Ye Bojh Hai Sochon Ka Mar Jaogay Dhho Dhho Ke...!!!
.Hussain. thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 11 years ago
Aao Kabhi Milnay Ko, Bahana Nahi Accha 
Nazron Main Raho Meri, Zamana Nahi Accha 
Mango Jo Khushi Se To Dil-O-Jan Luta Doon 
Yun Chup Ke Meray Dil Ko Churana Nahi Accha 
Hum Aaj Bhi Qayal Hain Usi Baat Ke Yaaro 
Jab Dil Na Milein, Haath Milana Nahi Accha 
Do Din Ki Zindagi Hai Usay Hans Ke Guzaro 
In Qeemti Lamhon Ko Ganwana Nahi Accha...!!!
.Hussain. thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 11 years ago
Roshni Ki Dhaar Par Rakkhi Kahani Aur Dukh 
Ankh Se Behta Hua Khamosh Pani Aur Dukh 
Meray Kamray Main Usi Tarteeb Se Rakkhay Hue 
Phool, Khatt, Waaday, Dilasay, Ik Jawani Aur Dukh 
Ek Doojay Se Bichar Kar Umr Bhar Rotay Rahay 
Raat, Sehra, Khushk Pat'tay, Ek Rani Aur Dukh 
Ab Meray Lafzon Main Wo Pehlay Si Kaifiyat Nahi 
Daal Ab Jholi Main Teri Meherbani Aur Dukh...!!!
.Hussain. thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 11 years ago
Mujrim Hoon Chahaton Ka, Wafa Ki Saza Hoon Main 
Meri Khata Yahi Hai Ke Tujhay Chahta Hoon Main 
Is Shehr Ko Qareeb Se Pehchanta Hoon Main 
Aksar Yahan Khareed Ke Baicha Gaya Hoon Main 
Aisay To Ye Jahaaz Kaheen Doob Jayega 
Har Shakhs Keh Raha Hai Bas Nakhuda Hoon Main 
Ab Meray Uskay Beech Main Manzar Koi Nahi 
Wo Dekhta Hai Mujhko, Usay Dekhta Hoon Main 
Aey Zindagi Ki Dhoop Mera Imtehan Na Le 
Dariya Ke Saahilon Pe Bhi Pyasa Raha Hoon Main...!!!
.Hussain. thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 11 years ago
Ab Kis Se Kahein Aur Kon Sunay 
Jo Haal Tumharay Baad Hua 
Is Dil Ki Jheel Si Ankhon Main 
Ik Khwab Bahut Barbaad Hua 
Ye Hijr-E-Hawa Bhi Dushman Hai 
Us Naam Ke Saray Rangon Ki 
Wo Naam Jo Meray Honton Par 
Khushboo Ki Tarha Abaad Hua 
Us Shehr Main Kitnay Chehray Thay 
Kuch Yaad Nahi Sab Bhool Gaye 
Ik Shakhs Kitaabon Jaisa Tha 
Wo Shakhs Zubani Yaad Hua...!!!
.Hussain. thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 11 years ago
Wo Yahan Se Nahi Gaya Ab Tak 
Sab Waheen Hai Para Hua Ab Tak 
Khwab Ankhon Se Hai Khafa Ab Tak 
So Mujhay Neend Hai Saza Ab Tak 
Tumnay Jo Dard-E-Dil Diya Tha Kabhi 
Koi Us Main Hai Mubtila Ab Tak 
Wo Jisay Tumnay Tanha Chora Tha 
Wo Kisi Ka Nahi Hua Ab Tak 
Us Ki Ankhein Thin Is Qadar Roshan 
Mera Din Hi Nahi Dhala Ab Tak 
Wo Chubhan Aj Bhi Hai Kal Jaisi 
Zakhm Bhi Hai Naya Naya Ab Tak 
Main Adam Se Kahan Chala Aya 
Raasta Pa Nahi Saka Ab Tak 
Wo Jisay Mainay Apna Ap Diya 
Wo Mera Ho Nahi Saka Ab Tak 
Keh Do Ja Kar Meray Maseeha Se 
Mar Chuka Hoon Main Baarha Ab Tak 
Ab Nahi Hogi Shayari Mujhsay 
Likh Diya Jo Bhi Likh Saka Ab Tak 
Kaisi Bad Qismati Hai Ye 
Mil Ke Bhi Wo Nahi Mila Ab Tak...!!!
.Hussain. thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 11 years ago
Habs-E-Duniya Se Guzar Jatay Hain 
Aisa Kartay Hain Ke Mar Jatay Hain 
Kaisay Hotay Hain Bicharnay Walay? 
Hum Ye Sochein Bhi To Dar Jatay Hain 
Dil Jo Tootay To Sar-E-Mehfil Bhi 
Baal Be-Wajha Bikhar Jatay Hain 
Ab Na Dekho Meri Banjar Ankhein 
Charhtay Dariya To Utar Jatay Hain 
Dhoop Ka Roop Rachanay Walay 
Shaam Ko Aur Nikhar Jatay Hain 
Tum Kahaan Jaogay Socho 'Mohsin' 
Log Thak Haar Ke Ghar Jatay Hain...!!!
.Hussain. thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 11 years ago
Wo Ajnabi Ajnabi Se Chehray, Wo Khwab Khaimay Rawan Dawan Se 
Basay Hue Hain Abhi Nazar Main, Sabhi Manazir Dhuwan Dhuwan Se 
Ye Aks-E-Dagh-E-Shikast-E-Paimaan, Wo Rang-E-Zakhm-E-Khuloos-E-Yaraan 
Main Ghamgusaaron Main Sochta Hoon, Ke Baat Cheroon Kahan Kahan Se 
Ye Sangraizay Adawaton Ke, Wo Aabgeenay Sakhawaton Ke 
Dil-E-Musafir Qubool Kar Le, Mila Hai Jo Kuch Jahan Jahan Se 
Bicharnay Walay Bichad Chala Tha To Nisbatein Bhi Ganwa Ke Jata 
Teray Liye Shehr Bhar Se Ab Bhi Main Zakhm Khaaon Zubaan Zubaan Se 
Meri Mohabbat Ke Wehmon Se Paray Tha Tera Wajood Warna 
Jahan Jahan Tera Aks Thehra, Main Ho Ke Aya Wahan Wahan Se 
Tu Hamsafar Hai Na Humnafas Hai, Kisay Khabar Hai Ke Tu Kidhar Hai 
Main Dastakein De Ke Pooch Betha, Makeen Makeen Se Makaan Makaan Se 
Abhi Mohabbat Ka Ism-E-Aazam Labon Pe Rehnay De Jan-E-'Mohsin' 
Abhi Hai Chahat Nayi Nayi Si, Abhi Hain Jazbay Jawan Jawan Se...!!!
.Hussain. thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 11 years ago
Kabhi Jo Ehd-E-Wafa Meri Jan Teray Meray Darmiyan
Tootay
Main Chahta Hoon Ke Is Se Pehlay Zameen Pe Ye
Aasman Tootay
Teri Judayi Main Honslo'n Ki Shikast Dil Par Azaab
Thehri Ke Jaisay Munh Zor Zalzalo'n Ki Dhamak Se Koi Chat'tan Tootay
Usay Yaqeen Tha Ke Usko Marna Hai Phir Bhi
Khwahish Thi Uskay Dil Main
Ke Teer Chalnay Se Paishtar Dast-E-Dushmana'n Main Kaman Tootay
Wo Sang Hai To Giray Bhi Dil Par, Wo Aaiina Hai To
Chubh Hi Jaye
Kaheen To Mera Yaqeen Bikhray, Kaheen To Mera
Gumaan Tootay
Ujaar Ban Ki Udaas Rutt Main Ghazal To 'Mohsin' Ne
Cherr Di Hai Kisay Khabar Hai Ke Kis Ke Masoom Dil Pe Ab Ye Taan Tootay...!!!