Fan Fictions

Ariya's FF: Mar k bhi dil say part 24 pg 35 d7-2 - Page 5

Created

Last reply

Replies

213

Views

98483

Users

39

Likes

867

Frequent Posters

Mimi2609 thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 4
Posted: 11 years ago
sorry for late comment
lovely
so they were playing antakshari
and loved the bonding between Simar and Arjun
and then the flashbacks of Riya singing and dying
bechara Arjun, he was shocked...
please continue
fasiha_rocks thumbnail
Anniversary 12 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 11 years ago
feeling sad for arjun😭
wish riya comes back in ur ff and in show also
waitng for next part
AeDilHaiMushkil thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 4
Posted: 11 years ago
Okay.. this may sound weird, but is Simar Roshni or Riya? Coz I'm seriously confused!! ðŸ˜•
sumbulqaiser thumbnail
Anniversary 16 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail + 3
Posted: 11 years ago
PART: 6

Shree and Chotu are very disturbed when he hears saam and arjun from their mouth they don't know what is going but they happy……….

In the car.

Rathode: kya huwa Arjun Riya ki yaad aagai ya Roshini ki………..

Arjun don't answer.

Rathode: pyar ek baar hi nahi hota, teri aankhon mei aaj jo mei nay pyaar dekha tha wo roshini k liay nahi Riya k liay tha, mei nay sach kaha na rawate

Arjun: pata nahi.

Rathode: arjun ek baat kahun zindagi buhat bari hai isay aaisay akelay mat guzar , hamain na chahtay huaey bhi kisi ka sath hasil karna hi parta hai, tu Roshini aur Riya ko bhula k aagay barh………….

Arjun: ye tum kah rhay ho sameer, kya tum barh paey ho aagay, tum bhi toh wahin hi kharay ho jahan mei hun, mei nay toh ek koshish ki thi par kismet ko wo bhi manzoor nahi……………

Rathode: tumhara ghar aagaya ..

Arjun: thanks Rathode…………

Rathode: thanks kyun kah rhay ho…….. dost hi dost k kam aata hai.

Arjun gone crazt by hearing the word dost from his mouth…..

He hugs rathode and enters in his home.

Arjun POV" ye kya kiya mei nay kyun kiya aaisa, kya soch rha hoga wo k mei nay usay bhula diya pehlay hi naraz hai wo mujh say k mei uski aamanat nahi sambhal paya aura b kyun mei har pal Riya k baray mei sohta hun, kyun uski yaad har paal mujhay ye jatati hai k mei nay ghalat kya uskay sath, nahi ye pyaar nahi ho sakta sirf ye guilt hai mera us k liay k mei nay usay hurt kya bus aur kuch nahi"

Next day Morning:

Arjun enters in ETF, he looks very tidy, he eyes tell the truth that he cann't sleep the last night.

Rathode: tum theek toh hona rawate, lagta hai raat bhar soey nahi, jab tumhari tabiyaat hi theek nahi thi toh aaj aaey kyun……..

But Arjun doesn't listening him, he lost in his dreamworld, and completely lost in seeing the Riya'table and her empty chair, rathode observed him…………

Rathode: Rawate , tum sun rhay hona…. Rawate ….Rawate …………Arjun Arjun .

Atlast Rathode voice broke his thought.

Arjun: ha bolo rathode. Koi case hai kya…………….

Rathode: ha ek minor sa case hai usay.

Arjun: so let's go.

Rathode: nahi tum aaram karo, mei shree aur hotu ye case solve kar lyn gay,

Arjun: nahi mei bhi chalta hun sath……….

Rathode: nahi tumhari tabiyaat theek nahi lag rhi aur waisay bhi minor case hai, hum kar lyn gay solve………

Rathode to Simar: tum bhi yahin ruko Arjun k sath………

And come close to Simar and says.

Rathode: plz aaj koi aaisi baat mat kehna k wo hurt ho, pehlay hi wo buhat pareshan hai.

Simar: ok sir…………

Rathode: bye…..

Simar: Bye Sir..

Arjun and simar are alone in ETF office.

Arjun stands and rushed towards the Riya's Tables and Simar follows him……….

Arjun open the Riya's Drawz and see a coin whih Riya's give him……….he puts this coin in hus pocket. He also sees the Riya's personal diary  on the top of the diary , a quote is written " I know You want to open my diary but wait this  is my personal diary, Don't touch it If you touch my diary. I shoot you, samjhay ya samjhaun ha ha ha…."

Arjun: ye larki bhi na bilkul pagal hai, hai ya thi, kabhi lot kar nahi aaey gi wo.

But thinking this he feels an electricity runs in his blood he sheveirs " nahi ya nahi ho sakta wo nahi ja sakti kya wo waqi lot kar nahi aaey, kya mei kabhi usay dobara dekh nahi paun ga, ky us ki hansi dobara kabhi nahi dikhay gi, kya wo dobara koi ghalti nahi karay gay, kya kabhi dabaro mujhay apni stupid harkatoon say pareshan nahi karaygi, nahi ye nahi ho sakta mei dhoon laun ga usay kahin say bhi dhoond laun ga usay, chahay mei dunya mei kahin bhi ho ha doond lunga mei , wo nahi ja sakti usay aana hoga meray pass usay aana hi hoga agar wo nahi aaey toh………….. toh mei khud chala jaunga par usay paa k hi rahunga"

Arjun again thinking: " nahi mei Roshini k sath dhoka nahi kar sakta , mei sirf Roshini ka hun sirf Roshini ka"

Simar seeing all this She comes near to him and puts her hand on his shoulder…

Simar: Sir, .

Arjun: ha bolo

Simar: sab theek ho jaey ga Sir, ek din aap ko aap k har sawaloon ka jawab milay ga………

Arjun: nahi Simar, mei jitna in sawaloon k qarib jata hun utna hi uljhata jata hun, ye sawal mujhay maar dalen gay ek din, jab mei Riya k qareeb jana chahta hun toh Roshini ki yaad aati hai aur Jab Roshini k pyaar ko apnanta hun Toh Riya ko kho daynay ka dard mujhay jeenay nahi dayta, kya karun mei kis k dard k saharay jeeun kisay pyaar karun, kis ki yaadon mei hansun kis ki yaddon ko roun samjh nahi aata simar mei kya karun…………

Simar: Sir, ek baat bataein agar aap ko kuch ho jata toh aap kya chahtay yahi na k aap ki patni aap k baad bhi khush rahay jeeay hansay aapni zindagi dobara shru karay, na k aap ki yaadon ko dil say laga k rakhay.mei sahi hun na Sir.

Arjun noded his head : yes.

Simar: toh wo bhi toh yahi chahti hungi k aap bhi khush raho, aur Riya nay bhi yahi koshish ki k aap un kay gham ko bhula k aagay barhein, wo ye nahi chahti k aap us k sath aagay barhein bulkay wo ye chahti thi aap Roshini k yadoon ko bhula k zindagi jeeaen wo bhi aap ko khush dekhna chahti thi, par na janay kab wo aap say pyar kar bethi par us ka maqsad aap ko pana nahi tha sirf us ka maqsad aap ko khush dekhna tha, aap samjh rhay hai na sir..

Arjun: ha .

Simar recalls rathode words plz aaj koi aaisi baat mat kehna k wo hurt ho, pehlay hi wo buhat pareshan hai.

Simar:  Sir Rathode Sir kabhi aap k dost huwa kartay thay na, par aaj …………

Arjun: dost nahi  wo mera bhai tha par Roshini k mout nay har rishtay k manay hi badal diay…….na dost ,dost rha na hi…………..

Simar: aaisa kya huwa tha sir………….



This is very Short update but i try ko continue as soon as  possible
nivanthi2 thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 11 years ago
wonderful  update  dear!
DivineDarkness thumbnail
Anniversary 12 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 7
Posted: 11 years ago

Nice part... Arjun s still confused... is riya alive??? den brng her bck... cnt see Arjun suffer lik dis... actually who s simar????

ll_piya_ll thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 3
Posted: 11 years ago
Wao briliunt loat of confusion in arjun mind,i feel bad for him,plzzz update sooonnn waitinggg
aroojarain thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail + 2
Posted: 11 years ago
nice update :) continue soon :)
anu91 thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 4 Thumbnail Networker 2 Thumbnail
Posted: 11 years ago
Plz bring back riya he is missing her is she is there na
sumbulqaiser thumbnail
Anniversary 16 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail + 3
Posted: 11 years ago
PART : 7

Arjun: kabhi College life mei, mei Roshini aur Rathode Best friends huwa kartay thay Triple "R" (rawate, rathode aur Roshini) He smiles. Sab humari dosti ki buhat tareef kya kartay thay……….. He smile for a few seconds and his Smiles disappears and a tear falls from his eyes. He paused and started to talk again……… (He wants to open the close chapter of his life infront of Simar but why? He don't know) janti ho Simar humari dosti buhat gehri thi , Kisi ki koi bhi baat dosray say hupi nahi thi. Magar phir bhi kai raaz seenay mei dafan thay, Na janay kab, kahan aur kaisay Roshini ko mujh say pyaar ho gaya , wo mujhay is qadar chahnay lagi thi k mujhay choot ponchti thi toh wo khud ko bhi choot pohnchati thi ta kay usay bhi dard ka ehsaas ho mujh par dhoop ki ek kiran bhi us say bardast nahi thi, meri khawhish ko bina kahay samjh jati thi, aahista aahista meray liay us ka pyaar janoon ban gaya, uska maqsad Arjun ko khush rakhna chahay usay khud ko takleef hi kyun na ho……….uski dewangi roz ba roz barhati gai………. Infact us nay apnay parents say humari shadi ki zid shru kar di bilaaakhir humari shadi ho gai. Par us waqt meray dil mei us k liay koi feeling nahi thi I mean mei usay pyaar karta tha par ek dost ki tarha ……….. is rishtay ko mohabat ka naam daynay mei kuch waqt zaroor laga …….Phir mei nay ETF join kar liay aur mei itna busty rehta k Roshini ko waqt nahi day pata, wo akelay pan mei guthnay lagi thi bilaakhir tang aa kar us nay Sam say meri shikayat ki……………

Flashback******

Roshini: Sammy you know yaar I doesn't want to live without him but why he do all these………

Sameer: Chill Roshini, sit tell me what happened?

Roshini: Sammy I love Arjun very much, lekin us kay pass apni roshini k liay time hi nahi hai,  Wo mujh say pyaar nahi karta. Sammy kahin aaisa toh nahi k Arjun kisi aur say pyaar……………., Sammy agar aaisa huwa toh pehlay mei us ladki ko shoot karun gi phir khud ko…………

Sameer:  Roshini aaisa kuch nahi hai, tum say zayda mei uasy janta hun, best friend hun uska , us kay dil ki har baat say waqif hun, tumhari ye problem hai na wo tumhain time nahi dayta , ok mei us say baat karunga usay samjhaun ga, ok now happy.

Roshini: Sammy tum sah kah rhay hona…….

Sameer: yes…….

Roshini: pakka koi dosri larki uski zindagi mei nahi hai na…….

Sameer: nahi hai koi aur………..please smile.

Roshini: ok , Sammy mujhay dyar ho rhi hai Arjun aaey toh please us say baat karna aur us say ye bhi Kehna k uski Roshini uska intezaar kar rhi hai.

Sameer: ok mam as you wish.

She hugs him. And sameer respond the same but his eyes fills with tears. Arjun sees behind him. When roshini leaves he enters.

Sameer: aacha huwa tum aa gay, Abhi abhi roshini yahan say nikli hai pehlay aatay toh wo tumhain mil jati…….

Arjun: mil toh gai hai wo mujhay par tera kya Sam………

Sameer: What? Kya keh rha hai tu, chal chor isay janta hai wo tujh say kitni naraz hai,  k tu usay zara bhi time nahi dayta, teri nai nai shadi hui hai kahin bahir ja ghuma phira kar, jab toh usay lagay ga k tub hi us say itni hi pyaar karta hai jitna wo, karta hai na tu us say pyaar………..

Arjun: nahi nahi karta hun mei us say pyaar, tu janta hai phir bhi…………..

Sameer: par wo tujh say pyaar karti hai…….

Arjun: aur tera kya , kya tu us say pyaar nahi karta…………

Sameer: ye kya keh rha hai,

Arjun: sach keh rha hun.

Sameer: par uski khushi teray sath hai.

Arjun: aur teri khushi…………

Sameer: dekh arjun tu meri baat nahi samjh rha………..Agar mei nay usay apni zindagi ka hissa banaya hota toh wo meray sath kabhi khush nahi rehti kyun k us k liay uska pyaar sirf tu hai, teri pooja karti hai wo, tu uska sab kuch hai Arjun…………….

Arjun: aur tera kya Sam………….

Sameer: meri khushi……… meri khushi uski muskaan mei hai, agar tu mujhay khush dekhna chahta hai toh tu meri Roshini ko khush rakh, teri kasam tu mujhay bhi khush dekhay ga………..

Arjun:Par yaar mei usay pyaar kaisay kar sakta hun ye jantay huay bhi k wo meray yaar ka pyaar hai…………

Sameer: dekh Arjun pyaar kya nahi jata ho jata hai…… tujhay bhi ek din us say pyaar ho jaey ga…

Arjun: par kaisay…….

Sameer: ye tu mujh par chor day…….

Flashback ends:

Arjun to Simar: phir saam nay mujhay Roshini k kareeb laynay ka har intezam kya, har wo cheez ki jis say Roshini khush rhay, usi nay mujhay ye bataya k usay kiya pasand hai kya napasand, uska mood kab kaisa rehta hai, usi nay mujhay ye bataya k Roshini ka favourite colour kya hai, uski favourite drinks, uski favourite foods, uska favourite perfume, uski favourite dresses, uska favourite restaurant……… har kuch us nay kya jis say mei Roshini ko khush rakh saakuun, Roshini ko khush rakhna meri Zindagi ka maqsad ban gaya tha, kyun k uski hansi meray yaar k chehray par khushi beekhar dayti thi, shadi mei bhi roshini Say pyaar karnay laga tha aur kyun na karta uski dewngi nay mujhay majboor kar diya tha, wo pyaar tha ya…………Phir mei nay  honeymoon par janay ka decide kya , par………

Flashback*********

Roshini: Arjun Sari packing ho gai hai, aur aap nay tickets toh rakh li hai na.

Arjun: yes my dear sab kuch rakh liya hai, bus aap k tyaar honay ki dayri hai phir hum………

Roshini puts her both hands around his neck: par kya meray pati dev……..

Arjun: kuch nahi………….

Sameer knocks at the door:

Arjun: kya huwa saam bus hum nikalnay walay thay, tut oh seedha airport pohnchanay wala than a.

Sameer: nahi Arjun tu nahi ja sakta , ek important case aaya hai jis mei tera hona buhat zarori hai.

Arjun: kaun sa case………….

Sameer:  Commissioner sahib par aaj attack huwa hai, ETF ko is un k surakshaa ki responsibility di gai hai, aur tum jantay ho mei kisi aur par bharosa nahi kar sakta……….. I am sorry Roshini mei yun tum logon ka plan kharab nahi karna chahta par Arjun ka wahan hona zarori hai.

Arjun: sorry Roshini mujhay jana hoga.

Roshini: I knew , Please arjun aap Sammy k sath jao hum kuch dino k liay apna program postpond kar daytay hai…………

Sameer: let's go, and Roshini sorry once again……

Roshini: it's ok yaar

Flashback ends**********

Arjun to Simar: case solve karnay mei kuch din zaroor lagay , phir saam nay khud humain shimla k do tickets la k diay aur mei aur Roshini Simla k liay nikal gay, jatay huway Saam nay mujh say wada liya k mei humari  Roshini ka khayal rakhun usay zara bhi hurt na honay dunusay shimla k haseen wadiyun ki jee bhar k sair karaun usay itni khushi dun k ye safar humari zindagi ka yaadgar safar ban jaey,

Flashback******

Sameer: dekh Arjun tu itni door jar ha hai na honeymoon k liay hi sahi par dekh tu wada kart u humari Roshini ka khayal rakhay ga , wada kar usay zara sib hi kharoch nahi aanay day ga, jis tarha hansti huwi Roshini yahan say jar hi hai mujhay wapis bhi istarha hansi hui roshini chaheay, agar tu nay zara bhi usay hurt kiya tuh mei tujh say umar bhar baat nahi karun ga, samjha ya nahi…………

Arjun: samjh gaya yaar, I promise tu abhi jitna khush isay dekh rha hai na, lotnay par tujhay is say bhi zayda khush milay gi.

Sameer: I hope tu wada nibhaey ga, aaisa na ho k wapsi par roshini phir mujh say shikayat karay……….

Arjun: nahi aaisa nahi hoga promise…………

Flashback ends***********

Arjun: waqai wo safar humari zindagi ka yaadgar safar tha, us tour nay sab kuch badal gaya meri zindagi mera sab kuch, mei nay us safar mei kho diya usay, sath sath Saam ko bhi……………jab hum shimla k haseen ki haseen wadiyun mei gum thay k aahanak kisi nay Roshini par shooy kya, mei aagay barha hi tha k mei apni Roshini ko tham lun par kisi nay peehay say kisi heavy cheez say meray sir par war kya, phir mujhay jab hosh aaya toh khud ko ek kamray mei paya mei chilanay laga k meri Roshini kahan hai, par us shaks nay mujhay moqa hi nahi diya wo kehnay laga" ACP Arjun Rawate kitna brave hai tu, tu nay meray bhai ki jaan lay k Commissioner ko toh bacha liya par afsoos apni biwi ko nahi baha paya"mei nay bar bar us say poocha meri jaan meri Roshini kahan hai par wo pagaloon ki tarha hans raha tha , mei neem behoshi ki halat mei tha magar wahan jo ho rha tha sab ki khabar thi mujhay, mei nay buhat mushkil say apni sari taqat ikkhata ki us ka gariban pakar liya magar wo tha k kuh jawab hi nahi day rha tha mei apni Roshini ki ek jhakak k liay pagal ho rha tha , mei meri Roshini kahin nahi dikh rhi thi………..phir us nay aachanak bolna shru kya" kya huwa ACP dard ho rha hai kaisa lag rha hai apni biwi k beghair soch aaisa hi dard mujhay huwa tha jab tu nay meray bhai par gooliyan chalen thi, mei bhi isitarha tarap rha tha, dekh ACP mei nay inhi hatoon say apnay bhai ko kandha diya tha ab tu ACP tu inheen haton say apni biwi ki arthei jalaey ga, jab maza aaey ga tab ja k meray dil ki aag thandi hogi, ufff ACP mei nay tu tujh say apna taruf hi nahi karwaya, mujh say miloo mei hun Sikander Athar ka chota bhai aur tumhari Roshini ka katil……………" mei chilaya k meri roshini nahi mar sakti, us paal yun mehsoos huwa jaisa k koi meray jism say meri rooh lay gaya ho aur mei bebas tha kuch nahi kar paya, jany diya usay " Arjun brust with tears……………..

Simar: nahi Sir aaisay nahi rootay jo ho gaya wo badla toh nahi ja sakta na……….

Arjun:  wo raat meray liay buhat bhari thi Simar………. Mujhay nahi pata tha k us ek raat mei mei apna sab kuch kho dunga……. Mei bari mushkil k unlogo ki qaid say bhag kar yahan Mumbai poncho sosha tha k mera dost mera sath dayga meri ROshini k katiloon ko pakarnay mei par mei ghalat tha us nay toh mujh say munh hi moor liya , mei akela ho gaya par Roshini k zakam tazay thay, us k katiloon ko saza dilana meri zindagi ka maqsad tha , mei nay us k bad ETF chor diya akela hi mei uhen dhondnay nikal para, par Riya meray maqsad mei rukawat banah chahti thi, wo chahti thi k mei khush rahun par mei us dard ko kaisay bhula sakta tha jis nay meri dunya ko loot liya tha, Riya ghalt nahi thi wo toh mujhay khush dekhna chahti thi par mei nahi chahta tha k koi larki mujhay istarha mujhay meray maqsad say dour karay , mei nay usay dard diya ta kay wo mujh say dour rhay , par wo pagal thi uski zid thi k mujhay meri wo har khushi lota k rhay gi, chahey usay is k liay khud ko hi mitana kyun na paray, Simar mei apni zindagi mei na toh kabhi roshini k pyaar ko bhula sakta hun na hi Riya ki chahat say inkar kar sakta hun, jahan mei nay Rohini ki dewangi dekhi thi wahin Riya ki khamoshi bhi dekhi hai, ek Roshini thi jis k liay uska Arjun hi uska sab kuch tha, toh dosri taraf Riya jis k liay us kay Arjun Sir ki hansi hi us k jeenay ka sabab thi, ek Roshini thi jis nay Arjun say pyaar umar bhar uska sath panay k liay kya, toh dori Riya jis nay ye jantay huway bhi Arjun say pyaar kiya k wo uska kabhi nahi hoga, simar jitna pyaar mujh say in dono nay kya hai aaj tak koi mujh say itna pyaar nahi kar paya, Roshini jis nay meri wajah ay apni jaan di toh Riya nay meray liay apni jaan di, Arjun ko toh indono ka bepanah pyaar mila par dekho aaj phir bhi Arjun akela hai , na us kay Sath uski Roshini hai na hi Riya……… na dost hai na hi pyaar………..

Simar: jo huwa wo badal toh nahi sakta na Sir, ha ye sach hai k roshini k mout nay ap say ap ka sab kuch cheen liya par Riya nay toh aap ko ap ka wo sab lotaya hai na………..

Arjun: kya matlab hai tumhara?

Simar: kuch nahi sir ek din aap sab samjh jaen gay……………..

Rathode enters : kya huwa tum dono mujhay dekh k khamosh kyun ho gay………

Simar: hum bus yunhi batein kar rhay thay….

Rathode: mujhay ye dekh k nuhat khushi hui hai k tum dono ki dosti hogai……

Arjun: mera koi dost nahi hai………..

Rathode smiles: POV "ye kabhi nahi sudhray ga"

Arjun: kuh kaha tum nay.

Rathode: nahi

Arjun: case ka kya huwa……….

Rathode: case solve ho gaya,  teri tabiyat kaisi hai ab ……….

Arjun: theek hun

Rathode: phir teri aankh mei aansoo

Arjun: kuch gham hai puranay toh aansoo ban k umad aaen hai……..

Rathode: tujhay aaram ki zarorat hai tu ghar ja .

Arjun: nahi mei theek hun………..

   this is all part 7 and please forgive me for any mistake