Credit goes to Pooja
Mohan, guru and Indu convo
(Mohan Karan k sath ek case par discussion kar raha hota h)
Mohan: Ye Asha, Usha, Kiran or Sandhya... in sabki kundali nikalwani padegi... tab jake asli kahani ka pata chalega.
Karan: or jab tak inki kundali haath nahi lagti na... tab tak inke baap Dinanath ki kundali haath nahi lagegi.
Mohan: uski kundali bhi jald haath aa jayegi... tu dekhta ja... maine dana fenk dia hai... bus chidiya ke fasne ki der hai.
(Yahan Indu Guru k saath unki sari baatein sun rahi hoti h)
Indu: achha... chidiya fasayega tu... Akela rehta hai... iska ye matlab nahi hai jo ji me aaye tu karega...
Mohan: maa!!!
Indu: bhad me gayi teri maa... Mar gayi teri maa... Asha, Usha, Kiran, Sandhya...
Mohan (photos haath me pakde hue): ye...
Indu:(photos ki taraf ishara karte hue) rakh use... kam se kam mujhe bataya to hota... Kundali to maa baap milate hai na.
Mohan: are lekin...
Indu: lekin ek baat kaan khol ke sun le... main kisi bhi airi-gairi Asha, Usha, Kiran, Sandhya ko apne ghar ki bahu nahi banaugi. Tu apni marzi ka malik ho gaya hai kya?
Mohan: arey maa... saans to le lo pehle. Ye lo apni bahuo ki photo dekh lo... Kaan mat khichna... Dekh lo.
Guru (Mohan Guru ka gala dabata h): aaii
Indu: ye to... buildings ki photo hai!!!
Mohan: ji... ye Asha, ye Usha, ye Kiran or ye Sandhya... Main apne akhbaar ki story ka research kar raha tha, maa. Kaam kar raha hoon apna.
Indu: lekin guru to... Guru, tu to keh raha tha ki ladki ki photo hai... ye to buildings ki photo hai.
Mohan: teri... Kya be. Ab kya bola tu maa se?
Guru: main jhuth nahi bolriya... Jab se wo ladki gayi hai tab se bhaiya aisi ajeeb ajeeb harkate kar rahe hai.
Mohan: maa ye ek no. ka chugalikhor hai. Gadha kahi ka, ulti khopdi... Tu achhi tarah se janta hai... kal raat jo ladki aai thi, kyu aai thi.
Indu: haa!!!
Guru: sach kahun... to aapki inhi baaton pe mujhe kabhi kabhi shaq hota hai...
Mohan: maa main us se information nikalwa raha tha... isiliye use ghar...laya...tha.
(Indu ko Koyal ki cheeje mil jati hai)
Indu: information nikalwane laya tha... Lekin beta... wo to information chorkar chali gayi... Ye churiya... ye rumal... or ye lipstick... Kabhi kabhi to mujhe lagta hai ki guru ki soch galat nahi hai...
Mohan: maa aap over react kar rahi ho yaar... Ye ... Ye galti se gir gaya hoga... Or ye sab na iski galti hai... Tu karta kya hai saara din... Saaf safai nahi hoti tujhse... Maa iss se to jhadu bhi nahi maara jaata... Aalsi kahi ka... Nikal do ise...
Guru: mummyji...
Indu: beta tu ghar chal... Tu na yaha rehkar na... bigad jayega... Tu kitna sharif tha... Dekh kya ho gaya hai tujhe...
Mohan: maa... jaisa tum samajh rahi ho na, waisa kuch nahi hai sacchi...
Indu: kis kis ko samjhayega beta... kis kis ko... Log to jo dekhenge wahi samajhenge na...Kya sochte honge mohalle wale... ki itni bholi bhali surat wala ye monu (Mohan angry ho gaya) Mohan... kaisi ladkiyo ko ghar lekar aata hai... or jab wo... (Guru se) kab jati hai?
Guru: subah.
Indu: subah!!!!
Mohan: ab aadhi raat ko ghar se bahar to nahi nikal sakta na...
Indu: chup!!! Kya sochte honge mohalle wale... Kaise sanskaar diye hai iske maa baap ne... Hey bhagwan main na... Main mar kyu nahi gayi...
(Mohan Karan ke sath waha se bhag jata hai)
Indu: (jab piche mudti h) monu ruk ja...
comment:
p_commentcount