Posted:
Salaam namaste my dear BBians..π€... hope this season is all naughty as ever and makes our forum too haughty as ever...
BB in rapchip shayarana mode kuch iss tarah se...π... after he met our sidhu paaji..π...!Roopali ke aasoon ki namkeen mastiyaan,
Rakhi ki nautanki ke beparwaah gustakhiyaan,
Kashmeera ki taana-sheen badmaashiyan,
Nahi bhoolunga main...
Jab tak hai jaan, Jab tak hai jaan... jab tak hai jaan...!
Sunny ke dance pe chance maarna,
Amar par bejhijhak ilzaam lagana,
Amar aur Mrs. ka khanon mein khuspusana,
Nahi maaf karoonga main,
Jab tak hai jaan, Jab tak hai jaan... jab tak hai jaan...!
Dolly teri high volume mein chillana,
Manoj tujhse anday ke liya jhagadna,
juhi ka dahi-pohe chupana,
Nahi samjhoonga main,
Jab tak hai jaan, Jab tak hai jaan... jab tak hai jaan...!
Bedi-Chaman ki bachkani badmaashiyan se,
Juhi-Sunny-Bedi ke 3 idiots wali harkaton se,
Sara-Ashmit-Veena ke love triology se,
TRP badhavoonga main,
Jab tak hai jaan, Jab tak hai jaan... jab tak hai jaan...!
Ravi kishen ki bhojpuri andaaz se,
Rahul Mahajan ki raas leelavon se,
Veena key indecent proposals se,
Mohabbat karoonga main,
Jab tak hai jaan, Jab tak hai jaan... jab tak hai jaan...!
KRK ka bottle phekne se,
Tanaaz-Bhaktiyaar ka confused relationship se,
Rohit-Laxmi ki ghoonjthi hui thaliyon se,
Inspire hovoonga main,
Jab tak hai jaan, Jab tak hai jaan... jab tak hai jaan...!
Sabhi ke jhoote kasme wadoon se,
Sabhi ki jeetne ke sulagthe khwabon se,
Sabhi ke bereham galiyon se
Wakif karavoonga main...
Jab tak hai jaan, Jab tak hai jaan... jab tak hai jaan...!
Jab tak hai jaan, Jab tak hai jaan... jab tak hai jaan...!
comment:
p_commentcount