OS"PYAR K LIYE CHAR PAL KAM NHI THE"UPDT PG4

Posted: 11 years ago
Hmmm..ok after watching this fadu episode of ram priya convo'bhai ek treat dena to bnta h'isiliye mne socha ki kuch to krna chahiye'so here I go with new OS'its about what happen when all sets'evrything is clear ..evry crap hv end'& rampriya comes together i dnt know how it will happen..bt anyhow its happen..'how they feel for each other at this time & how they collaborate there situation front of each other'there is lots of uncomfrtableness & awkwardness to say what they feel right now'they wants to talk bt hvnt word'they want to express bt hvnt expression ..they want to love bt hvnt way 'its vry genuine situation ..both r know that'they were wrong in some way'kuch glti priya ki thi to kuchh galti ram ki bhi thi'theek h ki sab sahi ho gya h pr iske beech me 5 sal ka lamba samay h jo in dono ko tay karke aage badhna h'aur wo itna asan nhi hota h'qki in 5 salo me dono ne ek alag tarah ki jindagi dekhi aur jee h'uske bad jindagi phir se usi mod pe aa gyi h jha se shuru hui thi'to ab zindagi ko ek aur shuruat ki jarurat h..zindgi kabhi rukti nhi h chalti rhti h'bas apka aur uska sath waqt k sath apna rup badlta rhta h'kabhi jindagi ekdm pas hoti h kabhi bht dur hoti h'pr hoti to h'rampriya k sath bhi aisa hi hua h'5 salo ki uthal puthal k bad ab jindgi ek baar phir ekdusre ke rup me ekdusre k samne hai'ab tay in dono ko karna h ki kaise iska hath thame'aur iske sath phir se chalna shuru kare'.
Hopefully want u all 's support'if u like 'its defently my plsr'here I go with my new OS



"PYAR K LIYE CHAR PAL KAM NHI THE"


Kapoor mention'.
At night in raya room'


Sab kuchh sahi ho gya h'aayesha ,rajat ,sid sabko apni jagah fit kar diya gya h 'ab rampriya ki bikhri hui jindgi ko sametna h jiske liye unhe waqt aur ekdusre ka sath chahiye'aaj unki majbut kadi pihu ko bhi unke beech se hata kar puri tarah se akela chhod diya gya h taki unhe jo bhi kehna sunna h keh sun le..chahe jaise react karna h kar le'krishuji priya ko room me chhodkar aur pihu ko apne sath lekar jane lagti h'.

Priya'ma

Krishuji'kya hua???

Priya'aap ruk jaiye na yha

Krishuji muskurati h'are tum itni pareshan kyun ho rhi ho ..sab theek ho jayega

Priya'pta nhi ram kaise react karenge

Krishuji '.kuchh nhi hoga..u should relax

Priya'ma ..m shayad bat nhi kar paungi

Krishuji'kyun???

Priya'pta nhi

Krishuji'are ye kya baat hui..tumhare pas wo cream h na use lagao relax karo aur jab ram aaye to aram se sab bate keh dena sab theek ho jayega

Priya muskurati to h pr dil to uska 120 ki speed se dhadk rha h'(uff ye ekta k serial me aur kuchh ho ya na ho pr BP ka problem jarur ho jayega..lol) krishuji pihu ko leke kamre se chali jati h'udhar dadi apne golu puttr k pas jati h jo ki is waqt study me h'

Dadi'golu puttr

Ram'ji dadi

Dadi'tu is waqt yha kya kar rha h..tujhe to kamre m hona chahiye

Ram.. wo dadi aise hi kuchh kam tha isliye

Dadi'are aaj bhi kam..chhod ye kam wam aur abhi apne kamre me ja..

Ram'dadi'm nhi ja sakta

Dadi'kyun???

Ram...'wo'wo m'wha pe'.

Dadi'kya wha pe???

Ram'wo priya'.

Dadi'ha to wo to hogi hi na teri biwi h to wha nhi hogi to kahan hogi..

Ram'pr dadi mujhe samajh nhi aa rha h m kya kahunga use

Dadi'ab ye bhi m hi btau'dekh puttar jindagi m bht sari bate aur ghatnaye aisi hoti h jinpe 
hamara bas nhi chalta lekin phir bhi wo hamare sath ho jati h aur unki wajah se kabhi kabhi  cheeze kharab bhi ho jati h'lekin ant me bhagwan un cheezo ko sahi karne ka ek mauka jarur dete h'us mauke ko kabhi bhi hath se jane nhi dena chahiye 'use kas k pakad lena chahiye aur sab sahi kar dena chahiye'tujhe bhi aj wo mauka mil rha h aur mujhe puri ummeed h ki tu us mauke ka fayeda jarur uthayega..aage teri marzi'

Ram bhi sochne lagta h phir himmat kark kamre me jata h..udhar priya bhi dari sahmi aur awkwardness se bhari hui..ram ki ahat se hi chauk jati h aur uth k khadi ho jati h'dono ki nazre takrati h aur waqt k sath sath sab kuchh ruk jata h..sirf ankho k ansu behte rhte h jinpe kisi ka jor nhi chalta h'dono ek dusre ko dekhte hi ja rhe hote h aur sochte hain ki kya halat ho gye h'jinhe ek pal ki duri bardast nhi thi aaj itne pas hoke bhi pas nhi aa pa rhe h'dono k man me ek si hulchal h..dono yhi sochte h'



Ye din barso ke bad aaya
Kuchh tumhe kuchh hame yad aaya
Kasak phir ye dil me uthi hai
Hothon pe baat aake ruki h
Kabhi itne majbur to hum nhi the
Kabhi tum nhi the kabhi hum nhi the


Thodi der ki khamoshi k bad dono eksath bolte hain'priya..ram..

Ram'pehle tum bolo

Priya'nhi m theek hu aap kahiye'

Ram'tumne ye kya kiya priya???

Priya'kuchh nhi ram ..pyar kiya ..bs pyar kiya..bht pyar kiya

Ram'pyar kiya to dur kyun chali gyi

Priya'pyar k liye ram'bs apke pyar k liye..apki khusi k liye

Ram'tumne ek bar bhi nhi socha ki m kaise khush rh sakta hu tumhare bina

Priya'socha ram bht socha..itna socha ki soch khatam ho gyi lekin apke liye pyar khtm nhi hua'aur usi pyar ne mujhe majbur kar diya ki apki khushi k liye apki khushi ko apse dur kar du'

Ram'.ek bar bhi nhi chaha ki waps aa jao mere pas

Priya'chaha ram bht chaha..lekin jindgi k tufan me meri manzilo k raste kho gye jinhe dhundhne me 5 sal lag gye

Ram'priya ek bar to awaz de diya hota m kisi bhi raste se tumhare pas aa jata

Priya'diya ram bht awaz diya'pr fasle milo k the jinhone meri awaz ko ap tak pahonchne nhi diya

Dono ek bar phir cup ho jate h'thodi der bad priya hi bolti h

Priya'par ram apne bhi to man liya tha ki m nhi hu..

Ram'mana kaha priya'kabhi nhi mana hamesha yhi soca ki kabhi kahin se tum samne aa jao

Priya'lekin phir bhi ap to apni jindagi me aage badh gye'

Ram'm ni badha priya'bs jindagi aage badh gyi

Priya'ram..i am sorry

Ram'its ok priya'lekin hamare sath itna kuch ho gya h ki un sabko theek karne k liye I need some space & time

Priya..ram..kya sab kuchh pehle jaisa kabhi nhi hoga??

Ram'hoga priya lekin sayad m is waqt kuchh nhi kar sakta is bare me

Priya rone lagti h'ram wha se chala jata h'priya use dekti rh jati h..ram study me chala jata h'wha wo chair pe baithta h aur apni ankhe band karta h use har taraf priya nazar aati h'idhar priya bhi ankhe band kark ram k hi bare me sochti rhti h'ram bht bechaini mehsus karta h aur study me ek pal bhi nhi rh pata h'wo balcony me ake khada ho jata h'phir se ankhe band karta h phir se use har jagah priya dikhti h..wo aur bechain ho uthta h..aur ma k pas jata h wha pihu ko soya hua dekhta h'use pihu me bhi priya hi nazar ati h wo jhatke se khada ho jata h..tabi krishuji ki ankh khul jati h

Krishuji'kya hua ram ??? tum yha???

Ram'ma mujhe kuchh samajh nhi a rha h kya karu?? Na priya ko maf kar pa rha hu na uske bina rh pa rha hu

Krishuji'beta ye to tumhe hi tay krna h na ki tumhare liye kya jyada mayne rakhta h galatiya ya pyar'ab soch lo tumhe kiske sath jeena h priya ki galtiyo k sath ya priya k pyar k sath'jo ki wo tumhe behad karti h aur usi pyar ne usse ye galtiya karwa di..tum uski achhaiya nhi bhul sakte ram..usne tumhare liye bht kiya h'jara si bat k liye tum swarthy nhi ho sakte..

Ram'aap shayad theek keh rhi h ma..agr priya nhi hoti to m bhi nhi hota '

Ram turant wha se priya k pas aata h'priya bed pr ankhe band kiye baithi h abhi bhi ram k bare me soch rhi h,..uski ankho k ansu galo pe aake atak gye hain shayad unhe bhi ram ka intezar h priya ki tarah..ram priya ko dekhta h aur sochta h



Pyar k liye char pal kam nhi the
Kabhi tum nhi the kabhi hum nhi the
Pyar k hasin kab ye mausam nhi the 
Kabhi tum nhi the kabhi hum nhi the

Ram sochte sochte ekdm priya k pas aa jata h'priya bhi ram ki khushbu aur aahat mehsus karti h aur ye soch k ankhe kholti h ki ram ho uske samne'aur wo ankhe kholti h ..ram rhta h uske samne..ekdm pas..priya ram ko dekh k muskurati h ram priya ko dekh kar muskurata h'jab bate kar rhe the to dono ko samajh nhi aata h aur ab samajh rhe h to bate karne ki jarurat hi nhi h sari bate ankho ankho me samajh aa rhi h'priyaki ankhe kehti h'

Priya..agar tum ye dil mang lete
Janeman hum tumhe jan dete
Ram..tumhe kaise hum bhul pate
Mar k bhi tum hame yaad ate
Priya'tumhe h pta bewafa hum nhi the
Ram'kabhi tum nhi the kabhi hum nhi the

Dono ek dusre ki ankho me hi dekhte rhte hain'priya ansu ponchne k liye hath uthati h ram uska hath pakad leta'.

Oye kahani abhi baki h mere dost..pr mera mood nhi h'baad me sunaungi'lol..
To b continue'.
Edited by veena23 - 11 years ago
Posted: 11 years ago
hi di   

'(uff ye ekta k serial me aur kuchh ho ya na ho pr BP ka problem jarur ho jayega..lol)  
πŸ˜†
πŸ˜†πŸ˜†

end tho  aisa   kiya  ki   ektha ka  koi  serial hi hai.. 

loved it..

wanting  more  di 

Edited by luvbalh - 11 years ago
Posted: 11 years ago
Arey waah that was really nice yaar...Jaane kab ye sab show me dekhne ko milega... Filhal to aapka OS awesome that...Aur pls jaldi update karna plsss...Waiting...
Posted: 11 years ago
Originally posted by kaparikh1


Arey waah that was really nice yaar...Jaane kab ye sab show me dekhne ko milega... Filhal to aapka OS awesome that...Aur pls jaldi update karna plsss...Waiting...


serial me to kabhi bhi hone ki ummed nhi h...qki hamari kismat itni achhi nhi h...thank u fr liking dear...πŸ˜‰
Posted: 11 years ago
Raat abhi bhi baaki hai yaat .Khatam kyu kar diya ?? Continue karo, yaar Ram Pihuu scene bhi likho  Edited by jakther - 11 years ago
Posted: 11 years ago
Hey veena ... fabulously written
poor ram everwhere he is seeing priya only ..that was lovely
yaar what way to stop this ha ???
jaldii update karo na.. i was hoping that we can get a scene lie this in serial ...
Posted: 11 years ago
Veenu Di... wht Is dis Yaar?? Mae padhti Hu jaa rhi thi.. aur dekha toh khatam.. 😑 Loved d dialogues Di..:) Ahaaa ram was lyk * charo taraf teri chaiyaan re* :P:D... hehee.. update soon Di..:-)
Posted: 11 years ago
Originally posted by Birdy91


Veenu Di... wht Is dis Yaar?? Mae padhti Hu jaa rhi thi.. aur dekha toh khatam.. 😑 Loved d dialogues Di..:) Ahaaa ram was lyk * charo taraf teri chaiyaan re* :P:D... hehee.. update soon Di..:-)

hehehe...ofcourse...thank u πŸ˜Š
Edited by veena23 - 11 years ago
Posted: 11 years ago
Veena very nice OS...I loved this line by Krishuji "tumare liye kya jyada mayne rekhta hai galatian ya Pyaar" ...something to think about in life! do continue ASAP ...awaiting eagerlyπŸ˜‰
Posted: 11 years ago

waiting for the next part...

Related Topics

No Related topics found

Topic Info

18 Participants 37 Replies 8437Views

Topic started by veena23

Last replied by Nany

loader
loader
up-open TOP