agar pasand naa aaye to bata dijiyega aur agar aaye to bhi bataiyega...π
"sitaro ki roshani to sirf aasmaan roshan karati hai
tumhari saadagi to mere dono jahan roshan karati hai
khushboo mehkaati hai gulshan ko par
tumse to meri puri zindagi mehaka karati hai"
...
"pyaar kya hota hai tumne sikhaya hai
sikhake use nibhana bhi tumne bataya hai
hamsafar ban kaante chune hai meri raaho se
zindagi suni thi meri bin tumhare
meri zindagi ko zindagi tumne banaya hai"
...
"sahara jo chaha to tum nazar aaye
dil ke tufan ko tumhara kinara mill jaaye
is dil ko, zindagi ko sambhala hai tumne
hai yahi khwahish is dil ki , ki
humein tumhare dil me panaah mil jaaye"
...
"zindagi ka har padaav ek sa nahi hota
har pal thandak bhari chaav sa nahi hota
murzaate hai ful jaise, murzaati hai zindagi bhi
zindagi me aane wala har mausam bahaar nahi hota
tukado me milati hai khushiya kisi ko
kisiko wo bhi zindagi bhar naseeb nahi hota
koi pal bhar ki khushi ke liye , zindagi bhar tarsata rehta hai
to koi ek aur pal jyaada mil jaaye zindagi jeene ko, ye dua karta
hai"
...
i hope ki jyaada nahi to thoda sa to thik thak likha hi hoga maine...π