||Hindi Ek Rajya ki Nahi, Rashtra ki Bhasha || - Page 3

Created

Last reply

Replies

27

Views

26358

Users

6

Likes

74

Frequent Posters

bhavis thumbnail
Anniversary 12 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail
Posted: 11 years ago


[ kabhi kabhi mere dil mein khayal aata hai,
  chahe meri diary ho ya hindi sikhane ka prasang
  aapke sivay koi aur in pannon mein jhakta nahi hai
  pata nahi yeh meri khushkismati hai
  ya aapki bad kismati πŸ˜›
]
[/QUOTE]

For sure its my pleasure!πŸ˜ƒ

And it would have been better if explained kal, aj aur kalπŸ˜›
Edited by BHAVI1972 - 11 years ago
-Rani thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail + 2
Posted: 11 years ago
Pooja guruji, aaj ke paath ke liye atyadhik dhanyawad. Itana kahena chahoongi ki aap bahut kushal pradhyapika hai. Aapane bade hi saral dhang se hume Hindi bhasha ke kuch wakyon ka parichay karwaya hai.

Ajj ke liye itana adhyayan paryapt hai. Kal aur shadhana ki aasha ke saath vidaai leti hoon. 


Edited by -Rani - 11 years ago
poshah thumbnail
Anniversary 16 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail
Posted: 11 years ago
kafi socha aaj post kare na kare..purane diary ke din yaad aa gaye πŸ˜›.

In panno par kuch hi logon ka ana yeh darshata hai ya to sab ko hindi aati hai ya hume hindi sikhani nahi aati !!!


Magar tanya/main shayad thode besharam [shameless] kism ke log hai


New Words for today

Emotions/Kunal aur Parichya har kisi ke man mein alaga


Rishtey/Relations

ma  Mummy

papa father

chacha father's younger brother

chachi father's younger brother's wife

tauji father's elder brother

taiji father's elder brother's wife

bhuaji  father's sister

phuphaji father's sister's husband

behen sister

bhai brother

saas mother in law

sasur father in law

nanand husband's sister

nandoi husband's sister's husband

devar husband's younger bro
 
jeth = husband's elder bro

mama = mother's bro

mami = mother's bro's wife

nani = mother's mother

nana =mother's father

dada = dad's father

dadi = dad's mother

dost = friend

dushman = enemy


[Now that I am writing about the various relations, I have realised there are just too many and I have missed out a lot of them !!!  πŸ˜‰ bhanja, bhanji, bhatija, bhatiji...we have too many relations
!!!]


I just realised I didnt list the key relations..pati/ patni/woh πŸ˜‰

Emotions

Khushi = happiness

Dukh = sadness

Jalan= jealousy

Gussa= anger

chidchidahat = irritation

dard = pain

Gumsum = sad

sharmana= to feel shy

rona= to cry

hasna= to smile


shayar= Poet πŸ˜‰

darshak= audience

tamatar= tomatoes

ande = eggs


To summarise, darshakon, shayar par ande/tamatar mat daaliyega,..is hafte, aap chahe na chahe, hum aapko pareshan karte rehenge !!


bhavis thumbnail
Anniversary 12 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail
Posted: 11 years ago
Pooja and Tanya- 
Good goingπŸ‘ Can you also explain to us how people in different parts of India have different dialects. 

like some people will say mujhe and others will say hume
awesumsonia thumbnail
Anniversary 14 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 4
Posted: 11 years ago
in hindi wat do u call ur Bua ji's Hubby????πŸ˜‰

n when do we use the word- Kashmakash 
poshah thumbnail
Anniversary 16 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail
Posted: 11 years ago

Originally posted by: awesumsonia

in hindi wat do u call ur Bua ji's Hubby????πŸ˜‰


n when do we use the word- Kashmakash 



Sonia, i put this in the previous post,

Phuphaji = father's sister husband πŸ˜ƒ

Kashmakash = duvidha= confused

Main ajeeb kashmakash mein hoon, maine kal meri dost ko cigarette peete hue dekh liya tha, kya mujhe uski shikayat karni chahiye πŸ˜‰
poshah thumbnail
Anniversary 16 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail
Posted: 11 years ago
Bhaviji , aapki raay uttam hai, magar uske liye mujhe google karna padega. Aur abhi google karne ka utsah nahi hai.

Isliye hum woh to nahi kar sakte hai [ Jab aapne hum/tum ki baat kari hai to main batana chahongi,
ki maine pyaar dekhne ke baad, main apne kareebi logon ke saath hum lehje mein baat karti hoon ]

Aur jahan tak hum jante hai, kanpur/lucknow ke log hum keh kar baat karte hai.
Baat lihaj ki ho to [ saleeka (manners, respect)] to lucknow aur kanpur ke log sach mein kafi saleeke daar log hote hai.
Mumbai ke log to na hum/na tum, sidhe to karke baat karte hai !!

Hindi hamare desh ki rashtrabhasha hai, magar fir bhi hamare desh mein angrezi bhasha aur us bhasha mein baat karne wale logono ko jyada aadar prapt hota hai. Aur hindi mein vartalap karne wale logon ko utna aadar nahi milta hai. Bharat kuch hi aise geene chune rashtro mein se aisa hoga (dukh ki baat hai ki main bhi in logon mein shaamil hoon)

Humne is forum par kai bhashon ke baarein mein jaankari haansil kari jo shayad jaroori bhi hai. Kyon bhasha hume ek doosre se jodta hai. Magar sochne ke baat hai ki bhasha logon se judne ka ek madhyam hai magar kai baar bhasha wajah ban jati hai logon se door rehne ki.

Hum ajnabi shehro mein jab logon se milte hai to adhiktar yu baaton ka silsila shuru karte hai

Aaapka naam kya hai
Aap kis desh/shehar se hai
Aap kya karte hai

Bhasha kai baar logon mein bhedbhav ka madhyam ban jati hai. Hum unhi se baatein karna pasand karte hai jo hamari bhasha bolte hai. Aisa kyon hota hai pata nahi.

[Hindi sikhane ke badle main gyan baatne lagi hoon πŸ˜ƒ. Ab shayad fir kisi bhasha forum par aap logon se mulakat hogi

Logon ko jitna jana hai utna yeh hi samjha hai ki
Bhasha bhale ek na ho
Magar sab ki muskurahat aur dard ek  hi hote hai
Bhasha bhale ek na ho
Magar Bharat ho ya US ho ya London
Log adhiktar samaan hote hai
Har kisi ke sapne samaan hote hai aur ab aur philosophy ke badle yahi kahongi

Hindi mein to to, do do or go go hi hota hai...hindi mein jo likhte hai wahi bolte hai πŸ˜‰
It is not at all a funny language πŸ˜ƒ

]
bhavis thumbnail
Anniversary 12 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail
Posted: 11 years ago
Pooja, your post reminded me of just one song 

Hind desh ke niwasi sabhi jan ek hain
Rang roop desh bhasha chahe anek hainπŸ˜ƒ