Posted: 12 years ago
Hum naazuk hein bilkul kisi ahsaas ki trah

tum na socho gy to mar jayengay

pas raho ya door bas itna khiyal rakhna

tum na dekho gy to mar jayengay

titliyum mein or hum me yah bat he mushtrik

pakar k jab choro gy hmen to mar jayengay

apne dil ki tehni pe hi khila rehne do

jab bhi tehni se toro gy to mar jayengay

kbi na milna hm se moj-e-dariya ban k

mil k jab bichro gy hum se to mar jayengay...
Posted: 12 years ago
Ye chahton k silsalay ajeeb thay ajeeb hein

kabi wo hum se door hein kbi boht kareeb hein

jo chaha wo na pa sake jo pa liya use na chaha sake

gila karen to kia karen sab k apne apne nasseb hein

na koi apna hai yahan jise haal-e-dil suna saken

jo dost hein wo door hein jo pas hein wo raqeeb hein

gila karen to kia karen sab apne apne naseeb hein

Ye chahton k silsalay ajeeb thay ajeeb hein...
Posted: 12 years ago
Tumhein ik baat kehni hai
magar naraaz mat hona,
k tum jo har ghari mujko

yun itna yaad aati ho,
humein itna satati ho

k hum tum door hein dono
boht majboor hein dono

na itna yaad aao tum
na yun itna satao tum

k itna yaad aa kar yun
hamein pagal bana k tum

faqat itna bata do k
humari jaan lo gi kia...?

magar ye bi haqeekat hai
tumhari yaad hi to hai

har khushi mein bhi
har gham mein bhi

udasi k palon mein bhi
tumhari yaad hi to hai

jo har pal ye batati hai
mujhe ahsaas dilati hai

hum tum bin adhore hain
hum tum bin adhore hein...
Posted: 12 years ago

jhuuTaa niklaa qaraar teraa
ab kisko hai aitbaar teraa

dil meN sau laakh chuTkiyaaN liiN
dekhaa bas ham ne pyaar teraa

dam naak meN aa rahaa thaa apne
thaa raat ye intizaar teraa

kar jabr jahaaN talak tuu chaahe
meraa kyaa, iKhtiyaar teraa

lipTuuN huuN gale se aap apne
samjhuuN huuN ki hai kinaar teraa

"Insha" se mat ruuTh mat Khafaa ho
hai bandaa jaanisaar teraa...

Posted: 12 years ago
Hanste hein yun hans kar rula jate hein log

Milte hein yunhi mil kar juda ho jate hein log

pal do pal ki muhabbat koumar ka saath samjhna

"MUHABBAT" bi karte hein or khafa bi hojate hein log

Naseeb mein pyar na tha jo mujhe mila hi nahi

kr k izhaar_e_muhabbat bi beparwaah hojate hein log

ab kis say shikwa karen apni muhabbat ka Aye "NIZ"

kar k wafa k vaadey bewafa ho jate haein log...
Posted: 12 years ago

Woh ajeeb mousam tha
Ham ne kore kaghaz par
Apne khawab likhe the
Ham ne khawab dekhe the
Ankahi kahani k
Haruf sab duaa se the
Dard k bulawe the
Dil ki hukmrani thi
Duur afaq kanaron tak
Rahguzar hamari thi
Angint zamano main
Sans le rahe the ham
Ajnabi jazeron main
Naqshpa hamare the
Aankh main theen tahreren
Bepanah jalwon ki
Chandni k lahjye ne
Ham se guftgu ki thi
Zindagi ka har manzer
Lamha lamha jaga tha
Pahli baar hi ham ne
Zindagi ko dekha tha
Rooz wa shab k male main
Khawab hi to sache the
Khoof hay to itna hay
Faasloon k junghal main
Khawab kho bhi jate hain..

Posted: 12 years ago

kal sahb pocha CHAND say...
Suno...



Chandni in raaton main...
kho k kaheen wo baaton main,
kia naam mera wo leti hai...?
.
jab tujh ko takti hogy wo...
kuch baaten krti gogi wo...
kia pegham tuje wo deti hai..?
.
kuch der yun khamoshi thy
phir chand ne aik baat kahi...

wo khoiy khoiy rehti hai
hansti hai na hi roti hai...
sochon me gum hoti hai...
mujh se kuch na kehti hai
naam tear na leti hai
na pegham bhi koy deti hai..
.
ye sun k dil ko thaam liya
mene ro k tera naam liya
zehar ka ik jaam piya...

aur chand ko ye pegham dia...
me yaad usay boht karta hon
itna usay tum keh dena
...phir...
.
naam mera wo loti hai...
ya..
pegham koy wo deti hai...!!!

Posted: 12 years ago

BEQASOOR NAHI TU BEWAFA HAI

Dill mein tere bas dagha hai

tuje kia ahsaas hai kisi ka

dil to to apna hi jala hai

BEQASOOR NAHI TU BEWAFA HAI

teri jafa se anjaan tha me

ki thi muhabat nadan tha me

sirf dard hi tum ne diya hai

BEQASOOR NAHI TU BEWAFA HAI...

Posted: 11 years ago
Dasht-e-tanhai mai.N aaey jaan-e-jahaa.N larzaa.N hai.N
teri avaz ke saaey tere honToo.N ke saraab
dasht-e-tanhai mai.N dooree ke Khash-o-Khaak taley
khil rahey hai.N tere pehloo ke saman aur gulaab

uTh rahee hai kahee.N furqat se tere saans ki aanch
apni Khushboo mai.N sulagtee hoi muddham muddham
door ufaq paar chamktee hoi qatra qatra
khil rahee hai teri dildar nazar ki shabnum

kis qadar pyar se aaey jaan-e-jahaa.N rakha hai
dil ke ruKhsaar pay is vaqt teri yaad nay haath
yoo.N gumaa.N hota hia garchey hai abhi subh-e-faraq
Dhul gaya hijr ka din, aa bhi gai vasal ki raat

By Faiz Ahmed Faiz

Related Topics

No Related topics found

Topic Info

2 Participants 48 Replies 5913Views

Topic started by naureenfizz

Last replied by shashank30

loader
loader
up-open TOP