Fan Fictions

Mere Dharkano Ko Qarar dO<<<sujal kashsih - Page 16

Surya.Ravi thumbnail
Posted: 17 years ago
This content was originally posted by: genious420

hey guyz sorry abhi 3 papers rehte hain sry
but after that i continue plz pray for me n my friend hum dono ke paper aache ho jaen 😳



zillae  dear  exams  ke  liye  ALL THE  BEST...me  will  surely  pray  for  you  &  your  friend...i'am  sure  tumhare  aur  tumhare   friend  ki  exam  achche se jayenge..👍🏼
waise  dear  tumhare  exams  kab  khatam  honge ????? 😃

Created

Last reply

Replies

180

Views

36103

Users

25

Likes

1

Frequent Posters

jyothi_cool thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 2
Posted: 17 years ago
This content was originally posted by: genious420

hey guyz sorry abhi 3 papers rehte hain sry
but after that i continue plz pray for me n my friend hum dono ke paper aache ho jaen 😳



all the best dont worry apke papers ache jayenge
group_1223 thumbnail
Posted: 17 years ago
don't worry...u ll do jus fabulous in ur examz.....n same wid ur frnd....
genious420 thumbnail
Posted: 17 years ago

thnx guyz
mere papers Mashallah buhat aache huwe hain
n as i promise herez the next part
recap:
salman's engagement n some hot argument b/w mahrukh n tahmoor
herez next

Sidra ke jane ke baad who kitni der tak intezaar karti rahi lekin salman nahi aya aaj public tranport ki hartal thi subah salman use chor giya tha ab bhi use hi lene ana thalekin us ke diye huwe time se bhi aadha ghanta uper ho chuka tha aur teez barish aur gehre baadlon ne dopahar ko shaam mein badal diya tha aur college mein bhi kuch students reh gae the jo barish se bachne ke liye shades ke neeche khare the
Salman ki engagement ki wajah se us ka parhae ka kafi harj huwa jis ki wajah se use es mousam mein bhi sab ke mana karne ke bawajood university ana para aura b who us waqt ko pachta rahi thi jab us ne university ane ka decision liya tha
Woh teeze se bahir nikli university ke saamne photostate shop tak pohanchne mein woh kafi hadh tak beegh chuki thi upper se sardiyon ki barish woh baqaida kaanp rahi thi
Mahrukh:
mujhe ek phone karna hai (us ne counter ke peeche khare larke se kaha to us ne phone us ke age kar diya n she dails salman's # after sometime salman pick up a phone)
Mahrukh: kaha ho tum main kab se tumhara intezaar kar rahi hoon jaldi ao
Salaman: mahrukh! Actually ek emergency ho gai hai es liye main tumhe lene nahi aa sakta (salman is a doctor)
Mahrukh: to ab main kiya karon bahir itni teez barish ho rahi hai
Salman: mahrukh tum aisa karo bahi ko phone kar lo (us ne mahrukh ko tahmoor ka cell n office # likhwa kar jaldi se phone dc kar diya)
Phone rakh kar mahrukh kitni hi der bahir dekhti rahi n at the mean time two boys enter in the shop to woh shop ke door ke saath khari ho gai lekin kab tak who aise khari ho sakti thi atlast himmat kar k us ne tahmoor ka cell # dial kiya but thatz off counter par khara larka a bane wale dono larkon se baat karne laga n three of them stare mahrukh n she gets upset n worried n dials tahmoor's office # some gal pick the phone
Mahrukh: mujhe tahmoor muzaffar se baat karni hai
Gal: sorry mam es waqt woh busy hain aap thori der tak phone karen
Mahrukh: dekhen plz mera un se baat karna buhat zaroori hai
Gal: hamein unho ne disturb karne se mana kiya hai
Mahrukh: aap unhe kahen mahi I mean mahrukh ka phone hai (pata nahi kaise us ke mun se mahi nikal giya aur pata nahi kyun use yaqeen tha ke us ka naam sun kar who sare kaam ignore kar de ga aur wohi huwa after some seconds hez on line )
Tahmoor: hello mahi! Sab thiek to hai na??
Mahrukh: aap mujhe lene aa sakte hai (kuch sardi aur kuch gabrahat ke wajah se us ki awaaz kapkapane lagi)
Tahmoor: kahan ho tum
Mahrukh: mian university ke bahir photostate shop mein hoon
Tahmoor: main 10 minute mein pohanch raha hoon don't worry
n he dc Us ki factory se uni tak ka raasta 20 min tak ka tha rush driving ke saath bhi 15 min to zaroor leta peeche khare larkon ne ab ganna shuru kar diya tha barish ki wajah se woh bahir bhi nahi nikal sakti thi pehle hi who kafi bheeg chuki thi woh ab us ke nazdeek aa gai the n both of them standing by her sides
1st guy: yaar tum ne kabhi bheega huwa husn dekha hai (10 min guzar chuke the but therez no sign of tahmoor)
2nd: yaar dekha to nahi lekin ab dekh raha hoon
mahrukh is abu to cry jab ek gari shop ke bilkul saamne aa kar khari ho gai car mein se nikalte tahmoor ko dekh kar woh har khauf bhool gai woh teeze se shop ka door khool kar tahmoor ki taraf bhagi tahmoor ne heart se use apni taraf ate dekha us ke kareeb pohanchte hi who us ke seene se lag kar rone lagi tahmoor is very much surprised shocked (n happy too) 😉
Background song (just for tahmoor)
Jee yeh chahe yeh lamhe
Bas yahiin pe ruk jaen
Saamne tum raho aur
Hum tumhein dekhte jaen
Dil mein hone lagi hai
Meethi meethi si halchal
Tum raho saath jaise
Aankhon ka kajal
Saath din raat rahe
OOOOooooooooooooOO
Pyaar ki baat rahe
Aur rahe kuch na baqi

Ek car horn bajate huwe un ke pass se guzre then tahmoor jee comes into reality
Tahmoor: mahi kiya huwa (tahmoor ne us ko khudh se alag kiya but rone ki wajah se us se baat nahi ho paa rahi thi tahmoor ne us ka haath pakar kar use carpe bethaya n khudh driving seat par aa giya) mahi kuch bolo to
Tahmoor hold her hand n mahrukh see towards shop with fear on her face but no one is there tahmoor also see there n then to mahrukh where there is a lot of fear tahmoor ne us ka haath chor kar car ka darwaza khola and mahrukh holds his hand
Mahrukh:
kahan jaa rahe hain aap
Tahmoor: ab tum kuch bolo gi nahi to mujhe khudh pata karna pare ga ke kiya baat hai
Mahrukh: kuch nahi mian dar gai thi aap mujhe har chor den
Tahmoor see her face n then his hand which is still in her hand n he smiles mischievously

Ok jee kafi lambi ho gai hai ab yeh na kehna choti thi itna lamba part maine pehle kabhi nahi likha ab baqi baad mein ok till then tata bye bye
Hey don't forget to comment
Ok jee comment zaroori hai

bye bye Allah Hafiz

n Ramazan se pehle Inshallah ek aur part post kar doon gi 😊

Edited by genious420 - 17 years ago
Surya.Ravi thumbnail
Posted: 17 years ago
zillae tooo goodddddddddddddddddd........ i loved it.. the part was very damn   coollllllllllllllllll........... jhakkassssssss....
totally dhassu.....bindass........keep up the good work.... 👏
👏
👏
i liked the scene where mahrukh hugged tahmoor , when she caught his hand , tahmoor's ka smile... it was shooooooooo sweettttttttttttttttttttttt........ 😳
me toooo khush because mahrukh , tahmoor kareeb aa rahe hain... yipeeeeeeeeeeee....   👍🏼   ab
un dono ko zara aur kareeb lekar aao... yeh dil maange more..😉
please next part jaldi se post karna... me waiting very eagerly for the next part... 😃
Edited by sun_423 - 17 years ago
golu_1677 thumbnail
Posted: 17 years ago
Wonderful part. now pls post he next part soon. Just loved this part. 😊   😊   😊   😊   😊   😊   😊   😊   😊   😊   😊   😊   😊   😊
genious420 thumbnail
Posted: 17 years ago
ok jee herez next
tahmoor smile mischeivously us ne mahrukh ko ehsaas dilae begair aik haath se driving shuru kar di us ne ek baar phir mahrukh ki taraf dekha jo es baat se bekhabar thi although its quite difficult to drive wid one hand but for tahmoor that beautiful moment is so precious
gari rukhte hi mahrukh chonki woh ghar ke saamne pohanch chuke the us ne herat se apne haath ko dekha n then to tahmoor jo muskara raha tha us ne jaldi se us ka haath chor diya aur gari se bahir nikal gai apni bekhabri pe 100 dafa woh khudh ko kosti rahi
kapre badalte hi woh bed par gir kar behosh ho gai jab use hosh aya then she listen some voices around her lekin us ne aankh nahi kholi
salman: maine injection de diya hai bukhaar utar jae ga
tahmoor (with anger): agar tum apni zimedaari (responsibility) poori nahi kar sakte the to lene ki zaroorat hi kiya thi
salman: bahi ek emergency ho gai thi
tahmoor: tum mujhe phone kar sakte the tumhein andaza hai woh kis kadar dari huwi thi agar mera phone na milta yaan mujhe pohanchne mein der ho jati to?
rakshanda: tahmoor bas karo es mein salman ki kiya galti hai ese itni barish main university jane ki zaroorat hi kiya thi
haleema: tahmoor thiek keh raha hai rakshanda! salman ko kam az kam....
rakshanda: rehne debhabhi pehle hi tahmoor ki beja dheel ne es ka damagh kharab kar diya hai bare chote ka ese lihaaz hi nahi raha (unho ne gusse se tahmoor ko dekha jis ne nazrein jhuka leen)
haleema: ab agar es ne bigaara hai to sudhaar bhi le ga (haleema kiss mahrukh on her forehead)
rakshanda (to tahmoor): itna ziada pyaar mat karo tahmoor mere beti es kabil nahi (pata nahi kyun us ke mun se nikal giya)
haleema: tum rehne do rakshanda hamare bete kis kabil hai hum jante hain (haleema ne gusse se rakshanda ko dekhamahrukh ki band aankhon mein nami (aanson) teerne lagi)
background song
kis dagar jaon jane
kuch samajh mein na aye
mere dil ki bechaini
aur bharti hi jae
dil ne to kuch chaha tha
aur kuch ho giya hai
kis ko batlaon
mera kiya khoo giya hai
es dil mein pyaar tera
OOOOoooooooooo
tujh ko hi nahi pata
kiya se kya ho gai main
tujh se pyaar kiya tha
ab nahi baqi
Edited by genious420 - 17 years ago
genious420 thumbnail
Posted: 17 years ago
guyz ek aur part post kar diya hai hope u like it too do comment
Surya.Ravi thumbnail
Posted: 17 years ago
zillae dear wonderful..suerb.. tooo good.... i loved   tahmoor ka ghussa.. tahmoor ka concern for mahrukh.... tahmoor tho poori tarah se chah gaya... me totally fida over tahmoor character.. woh kitna pyaar kartha hain mahrukh se...he is simply   a sweet heart..a darling.....the part totally rocked.... 👏
i hope mahrukh ko jaldi se yeh ehsaas ho jaye ki    she still loves tahmoor...tho mazaa aajayega....   😉
dear meri ek request hain tahmoor ke ghar mein aise circumstances create karo jisse yeh ho jaye ki tahmoor should take care of mahrukh....aur ghar ke sabhi logo ko kahiin aur bhej do... please aise karne ki koshish karna kyunke i would love to read the scenes jab tahmoor , mahrukh kareeb aa rahe ho.... 😉 the part   was very damn nice.....mast...zabardast... 👏
ab please agli part jald se jald post karna.. me will be waiting for it eagerly.... 😃
Edited by sun_423 - 17 years ago
genious420 thumbnail
Posted: 17 years ago
yaar next part to buhat hi rocking hai dnt u worry ok n this story soon comes to an end therez only 4 or 5 part left