Sa Re Ga Ma Pa Singing Superstar

Ghazals/Old Gems/Poetry - Page 23

PardesiDoc thumbnail
Posted: 18 years ago
Ironji, aap fauran Canada ja kay Karimsaab se lessons lijiyay !Hey Awwwji, can Karim give lessons to some of the husbands on the IF???

Created

Last reply

Replies

261

Views

16729

Users

14

Frequent Posters

seema_17 thumbnail
Posted: 18 years ago

This content was originally posted by: Iron

Indivar ji ka likha..very old song

(It means..pond/Lake water goes to river, river goes to ocean but where does ocean water goes..no one knows...pond here is reffered to origin glaciers of rivers..Head of river like Mansarower lake)

Oh Re Taal Mile Nadi Ke Jal Me(n)
Nadii Mile Saagar Me(n)
Saagar Mile Kaun Se Jal Me(n)
Koi Jaane Naa
Oh Re Taal Mile Nadii Ke Jal Me(n) ...

Suuraj Ko Dharatii Tarase
Dharatii Ko Chandrama ...
Paanii Me(n) Seep Jaise Pyaasii Har Aatama
O Mitavaa Re ...
Paanii Me(n) Seep Jaise Pyaasii Har Aatama

Boond Chhupii Kis Baadal Me(n)
Koi Jaane Naa ...
Oh Re Taal Mile Nadii Ke Jal Me(n)


Anjaane Hontho(n) Par kyu
Pahachaane Giit Hai(n) ...
Kal Tak Jo Begaane The Janamo(n) Ke Miit Hain
O Mitavaa Re ...
Kal Tak Jo Begaane The Janamo(n) Ke Miit Hain

Kyaa Hogaa Kaun Se Pal Me(n)
Koi Jaane Naa ...
Oh Re Taal Mile Nadii Ke Jal Me(n) ...

Movie : Anokhi Raat.
MD : Roshan

I also like bhajans of Anoop but he is not my fav.

omg thank u soo much for posting this song Iron bohat pehle suna tha, and i was mersmerized, but u kno baad mein there was no means of finding it and it somehow got lost in all the other things that keep piling up... but now i shall find the song again and keep it in my collection 😊

PardesiDoc thumbnail
Posted: 18 years ago
Here is one of my favorites
      Sakhin ray nahin aayein sajanava mor
      Aakay papihara piyun ko bulawein
      Moray anganawa shor machaway
      Muz birhan ka jiyara jalaway
      Aag lagay nayi har jo ghadi
     Oh Oh Oh, aag lagay nayi har jo ghadi
      Bus jayein bharamawa mor
      Sakhin ray nahin aayein sajanawa mor
PardesiDoc thumbnail
Posted: 18 years ago
Good night .Sleep tight. Aap lohein ke logon ko to bed bug ka koi problem hi nahi hoga?!
soulsoup thumbnail
Posted: 18 years ago
This content was originally posted by: Iron

Bye PardesiDco and Awww ji, soulsoup ji and others

Good night



Jane se pehle kuch kavita -yaad kar lijiye - biwi ko sunane ki liye 😉
soulsoup thumbnail
Posted: 18 years ago
pyaar kaa pahalaa Khat likhane me.n vaqt to lagataa hai
Hasti

pyaar kaa pahalaa Khat likhane me.n vaqt to lagataa hai
naye pari.ndo.n ko u.Dane me.n vaqt to lagataa hai

jism kii baat nahii.n thii un ke diltak jaanaa thaa
lambii duurii tay karane me.n vaqt to lagataa hai

gaa.NTh agar pa.D jaaye to phir rishte ho yaa Dorii
laakh kare.n koshish khulane me.n vaqt to lagataa hai

hamane ilaaj-e-zaKhm-e-dil to Dhuu.ND liyaa lekin
gehare zaKhm ko baharane me.n vaqt to lagataa hai

[From Face to Face : Jagjit Sing]
Edited by soulsoup - 18 years ago
soulsoup thumbnail
Posted: 18 years ago
itanaa to zindagiii me.n kisii kii Khalal pa.De
Kaifi Azmi

itanaa to zindagiii me.n kisii kii Khalal pa.De
ha.Nsane se ho sukuun naa rone se kal paD.e

jis tarah ha.Ns rahaa huu.N mai.n pii-pii ke ashk-e-Gam
yuu.N duusaraa ha.Nse to kalejaa nikal pa.De

ek tum ke tum ko fikr-e-nasheb-o-faraaz hai
ek ham ke chal pa.De to bahar_haal chal paD.e

[nasheb = descent; faraaz = ascent]

muddat ke baad us ne jo kii lutf kii nigaah
jii Khush to ho gayaa magar aa.Nsuu nikal pa.De

saaqii sabhii ko hai Gam-e-tashnaa_labii magar
mai hai usii ke naam pe jis ke ubal pa.De

[sung by Begum Akhtar]
soulsoup thumbnail
Posted: 18 years ago
garaj baras pyaasii dhartii par phir paanii de maulaa
Nida Fazli

garaj baras pyaasii dhartii par phir paanii de maulaa
chi.Diyo.n ko daanaa, bachcho.n ko gu.Dadhaanii de maulaa

do aur do kaa jo.D hameshaa chaar kahaa.N hotaa hai
soch samajhavaalo.n ko tho.Dii naadaanii de maulaa

phir roshan kar zahar kaa pyaalaa chamakaa naii saliibe.n
jhuuTho.n kii duniyaa me.n sach ko taabaanii de maulaa

[saliibe.n=Christian cross; taabaanii - brightness]

phir muurat se baahar aakar chaaro.n or bikhar jaa
phir ma.ndir ko koii miiraa diivaanii de maulaa

tere hote koii kisii kii jaan kaa dushman kyo.n ho
jiinevaalo.n ko marane kii aasaanii de maulaa

By Jagjit Singh
soulsoup thumbnail
Posted: 18 years ago
patthar ke Khudaa patthar ke sanam patthar ke hii insaa.N paaye.n hai.n
Sudarshan Faakir

patthar ke Khudaa patthar ke sanam patthar ke hii insaa.N paaye hai.n
tum shahar-e-mohabbat kahate ho ham jaan bachchaakar aaye hai.n

but-Khaanaa samajhate ho jisako puuchcho na vahaa.N kyaa haalat hai
ham log vahii.n se lauTe hai.n bas shukr karo lauT aaye hai.n

ham soch rahe hai.n muddat se ab umr guzaare.n bhii to kahaa.N
seharaa me.n Khushii ke phuul nahii.n shaharo.n me.n Gamon ke saaye hai.n

hoTho.n pe tabassum halqaa saa aa.Nkho.n me.n namii sii hai 'Faaqir'
ham ahl-e-mohabbat par aksar aise bhii zamaane aaye hai.n

From Jagjit / Chitra album : Passions
soulsoup thumbnail
Posted: 18 years ago
kyuu.N zindagii kii raah me.n majabuur ho gaye
Javed Akhtar

kyuu.N zindagii kii raah me.n majabuur ho gaye
itane hue kariib ki ham duur ho gaye

aisaa nahii.n ki hamako koii bhii khushii nahii.n
lekin ye zindagii to koI zindagii nahii.n
kyo.n isake faisale hame.n ma.nzuur ho gaye

paayaa tumhe.n to hamako lagaa tumako kho diyaa
ham dil pe roe aur ye dil ham pe ro diyaa
palako.n se Kvaab kyo.n gire kyo.n chuur ho gaye