K : bade afsos ki baat hai, sujal, ke tum is baat ko kabhi nahi
samajh paaye, ke pyar taaqat se nahi balki kamzori se hota hai. (ye
pyar ka naya formula hai kya? ) hamesha saamnewale ki kamzoriyon pe
pyar aata hai. taaqat se to sirf dara jaata hai, pyar nahi kiya
jaata. sundar aankhen kabhi kissi ko apna nahi bana sakti. lekin unhi
aankhon se gira ek aansoon, kissi ko aapki oar kheench sakta hai.
pyar us insaan se nahi hota, jo duniya se jeetne ka dum rakhta ho .
pyar us insaan se hota hai jo jeetna nahi jaanta, lekin har din har
pal duniya se ladhta hai, pyar uski har haar par aata hai.( to karti
raho pyar us bandar se. lekin wo to duniya se ladhna bhi nahi
jaanta , sirf apni bewkoofi ko sujal ki chaal kehata hai.) sujal,
insaan hamesha insaan ki kamzori se pyar karta hai, khud ki bhi aur
doosron ki bhi. (ise to lecture ke liye aur ek naya topic mil gaya.)
S : chalo ek pal ke liye tumhari in khokhli baaton ko sahi maan bhi
lete hai. lekin tum bhi to kabhi meri kamzori thi kashish, aur shayad
isiliye mujhe tumse pyar ho gaya tha. MERI ZINDAGI KA SAB SE BOORA
DIN! jiski wajah se meri zindagi veeraan ho gayi, lekin aaj...., aaj
na to wo pyar raha aur nahi wo kamzori. jo sujal hamesha se tootata
aaya hai , ab wo todega.., har us rishte ko, har us insaan ko, jisne
use zakhm diye hai. ab unhe main todoonga.
K : tum sab kuch tod sakte ho sujal,lekin mere us rishte ko nahi, jo
maine agni ko saakshi maan kar piyush ke saath joda hai. koi bhi
insaan piyush aur mujhe alag nahi kar sakta hai, sujal. (ye to
auntiji se bhi badhkar hai. wo kam se kam acting to achchhi karti
hai, ise to woh bhi nahi aata.)
S :nahi kashish. main tumhe alag karne ki koshish bhi nahi karoonga,
main to bas wo haalat paida kar doonga ke tum apne saath pheron ko
bhulakar us insaan ke paas chali aaogi, jisne kabhi saat janmon ke
liye tumhe bhagwan se maanga tha.
K : saat janam to bahut door ki baat hai, sujal, main to tumhare
paas saat pal ke liye bhi nahi aaoongi. tum jitna piyush ko giraoge,
usse kahin zyaada tum meri nazron mein giroge.
S : MANZOOR HAI. AB CHAHE TUMHARI NAZRE MERE LIYE DUA KARNE KE LIYE
UTHE YA PHIR NAFRAT SE ZOOKE...., TUMHARI NAZREN HAMESHA RAHEGI TO
MUJHPAR HI NA KASHISH! (K is wordless) magar piyush ? uska kya hoga?
uska to main wo haal karoonga ki wo khud apni nazron me gir jayega.
is kaabil bhi nahi chodoonga ki tumhara sahara ban sake, tumhare liye
duniya se lad sake, phir tum to kya, uska saaya bhi uska saath chhod
dega, kashish.
comment:
p_commentcount