Posted:
18 years ago
part 3
AN OMAM FAS PRODUCTION
WAR AND PYAR
shija gusay say bhari ghar main dakhil howi to dekha kay ghar ka naqsha hi badla howa tha.......saray ghar ki cheezain idher say udher theen.........sofoon kay cutions zameen per........diwaroon per pencils say lines lagi howain.....or zameen per fruits kay chilkay giray howay.........iss baat ka saaf matlab tha kay sharim or visaal ghar main akelay bua kay ass hain or saray bahir gaye howay hain
shija:bua.....buaaaaa
no response
shija:more louder......bua
bua comes from a room
introduction of bua
bua is the care taker of visaal and sharim......as shija kay bhai shuja(played by mac of sunleena)or us ki bhabhi seema(rubab of sunleena) ko aksar kissi kam say bahir jana hota tha iss liye unhoon nay aik bua(vasu of kth) rakh li.........bua abhi tak kanwari thi iss liyee usay apni shadi kay baray main soochnay say fursat hi nahin milti thi.....uss nay apnay app ko kafi had tak maintain kia howa tha ta kay apni appearence say kissi admi ko attract kar sakay likin aj tak aisa na howa tha........iss liye jab say shuja or seema nay unhain kaam per rakha tha sab ki ada,-mojoodgi(absence) main unh ka main mission wrong no dial kar kay pareshan karma hota tha or aj bhi jab sab bahir gaye to unhoon nay bachoon ko sulaa kar phone per wrong no dial karma shuru kar diyee….likin jab bachay jagay to unh ka uthna bhi unhoon nay nazar andaaz kar diya or phone per lagi rahi……jiss ki wajha say bachoon nay ghar ka yeh khal kar diya…….bua shija kay guusay say bohut darti thi or us kay agay us ki aik na chalti……..bua shija say or shija bua ko paand nain kartay thay………jab sema or shuja nay bua ko rakhnay ka faisla kia to sab say zaida mukhalfat shija na ki likin jab usay kaha gaya kay kia phir tum inh ki dekhbhal karoo gi to who chup ho gai………or saray ghar walay yeh jantay thay kay shija iss baat per chup ho jayee gi kyoun ki usay bachay sambhalna bilkul pasand na tha……..esha usay iss liye acchi lagti thi kay us kay saath usay sirf 2 ghantay guzarnay hotay thay likin sharim or visaal kay saath to puray 22 ghantay who kaisay guzarti
shija:again….bua
bua awaaz sun kar kamray main sehem gai..
bua:hey chameli…….aj to tu nahin bachay gi…janay inh bachoon nay kia kia hai……yeh shija to aj mujhay ghar say nikal karhi rahay gi
shija:bua bahir ati ho kay nahin
bua bhagi bhagi bahir aye
bua:haan madam
shija:bua…..yeh sab kia hai…….tumhain aik kaam kay liyee iss ghar main rakha gaya hai or tum who bhi theek say nahin kar parti…main to pehlay hi bhaiya bhabhi ko kaha tha kay tumhain na rakhay kaam pay…..likin sirf sharim or visal ki wajha say bardashat kar rahi hoon…….ta kay unh ki jhik jhik say bach jaoon…likin nahin iss ghar main to koi mera sakoon chahta hi nahin hai na
bua:madam……maaf kar doo………main abhi abhi yahan say gait hi…..woh meri behen kay haan 6 bacha paida howa hai to us ka phone aya tha
shija:6 bacha………….tum logon ki wajha say hi hamaray mulk ki abadi itni barh gai hai
bua:madam………main abhi saaf kar deti hoon……….app ja kar aram karain……main abhi app kay liye garama garam chai bana kar lati hoon
shija:itni garmi main mujhay chai pila kar marna hai kia………jaoo yeh saaf karoo.or mujhay thanda thanda milkshake bana kar do
bua:accha madam…………app jaiye
shija go from there
bua:aj bach gai warna yeh to mujhay kacha chuba jati
shija:call from the door of her room………..kuch kaha kia
bua:nahin…………yeh to mera meray khawaboon main bhi peecha nahin chooray gii……….idher udher ka nazaray dekhnay kay baad…..ayee hayee…inh badoon ko tu khuda poochay kitna gand machatay hain……….or phir satra kaam mujhay karma parta hai
bua quikly clean all the mess and make a shake 4 shija and went to her room
bua knock at the door
shija:come in
bua went inside
bua:madam app ka shake
shija:look at her with a stern look…….kia matlab mera shake
bua:sorry………app kay liyee milk shake
shija:rakh do
bua put the glass down on the table and stand still
shija:after 2-3 min……..abh kia hai
bua:madam who kuch
shija:kia kuch?
Bua:madam who kuch paisay chayee thay
Shija:kia……..abhi peechlay haftay hi to main nay tumhain 300 rupay diye thay
Bua:haan jii……..woh main nay bataya na kay meri behen kay ghar bacha howa hai to usi kay liyee…….
Shija:bacha tumhari behen kay ghar howa hai meri nahin……..or haan tumhain yahan bhai nay rakha hai main nay nahin to apna dukhra unhain sunaya karoo mujhay nahin
Bua:jee who to hai……likin sahib mujhay nahin dain gai……..or app to janti hain na kay zamana kia kahay ga kay itnay baray ghar main kaam karti hai phir bhi apni behen kay haan bacha hoonay per kuch na day saki
Shija:accha accha………….abh zaida batain maat banaoo…she pick her bag and take out 200 rupees……..yeh loo
Bua:main app ko aglay haftay day doon gii
Shia:janti hoon main kia doo gii
Bua go from there and take the children to their room………….shija was now alone
Shija:thinking………kitna accha lagta hai na sakon..kash yeh sakoon mujhay har jagha millay……likin us zeb kay hotay howay aisa nahin ho sakta………….abh mujhay to uss say badla lena hi hoga likin kaisay?
Guys u think……..tab tak main zara agay ka soochti hoon?
Comments plz
Love u
Ana