Pakistani Serials

Meri Kismat? Sixth Part

Me_Anonymous thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 2
Posted: 18 years ago

Sixth part

 

intzaar kartay kartay kafi dair ko gai aur sub nay interview bhi diya aur chalay bhi gayey. Lakin main wahan abb tak baithi thi kay receptionist nay mujhse kaha kay mera number agya hai.

Mian uth kar wahan say under chali gai.

"Baithiye"

"Shukriya"

"To app ko koi experience hai?"

"Jee wo main nay apni application main wo…"

"Jee wo to hum nay wo parh he liya hai lakin wo hum nay aap say poocha hai kay wo aap ka interview jo lay rahay hain"

"jee nahin lakin aap apnay aap ko samajhtay kya hain jo iss tarhan meri nakal uttar rahay hain" main nay ghussa say poocha

"dekhiye wo mohtarma wo kya hai kay wo aap wo jis job kay liye wo apply kiya hai wo"

"Aap apni yeh bakwas band karain gay?" main takreeban ghussay say chilati hoi uth khari hoi

"Aur app apni wo awaz ko wo thoda neecha rakh kar bolain gi?" uss nay meri ankhoon mian ankhain daltay howay kaha

"Nahin karti kya kar kya lain gay app?"

"Main kuch nahin Pagal khanay phone karoon ga aur kahoon ga kay"

"Kay humain aik chalta phirta pagal mil gya hai aa kar lay jain" main nay baat kat tay howay jaldi say kaha

"Acha Hamari Gai Humin ko miaon"

"Kya…? Aap nay mujhe Gayy kaha aur khud kya hain app, jantay hain? Aur waisay bhi appko to Mahawaray tak nahin atay"

"huhh jealousy"

"waisay app yahan par chaprasi ki naukri kartay hain kya?" main nay poocha to tilmlaya howa jawab mila kay

"Nahin aap kay secretary ki job mili hai mujhe aur kaha gya hai kay app ka khaass khayal rakhoon kahin aap cheezain na toor dain"

"A-a-a-p…" main abhi tini he bool payi thi kay …

"Please app baithiye iss ki to adat hai yeh sab karnay ki"

"Jee???" uss awaz main najanay kya kashish thi kay main peechay mori to…

Sorry for the delay, i was busy and i'll try to post next part ASAP😳

Created

Last reply

Replies

2

Views

602

Users

3

Frequent Posters

amreen1409 thumbnail
Anniversary 19 Thumbnail Group Promotion 4 Thumbnail + 3
Posted: 18 years ago

Lo... mei yahan kab se wait kar rahi thi n dont even know when u posted...

👏 Good job!! but this part was shorter than any other.. aur jaldi jaldi likhoo I m waiting for next part...

I like the main character... bohat interesting hai, but jaldi gussa ho jaati hai.. lolz..

~LiL*PrInCeZ~ thumbnail
Posted: 18 years ago
grr88888 aji...yea i didnt c this either