Tum hasti ho mujhe hasane ke liye
Tum roti ho mujhe rulane ke liye
Tum ek bar rooth kar to dekho
Mar jaoun ga tumhein manane ke liye ...
---
Kajal banke teri aankho mein samane ki tamanna hai,
Dawa banke tere dard mitane ki tamanna hai,
Yun to haasil hai zamane ki har cheez mujhe,
Sirf ek baar tujhe apna banane ki tamanna hai...
---
Thukra ke usne mujhko,kaha ki muskuraao!
Main hass diya kiyo ki ,
sawal uski khushi ka tha.Maine khoya woh jo mera tha hi nahi,
Usne khoya wo jo sirf usi ka tha
----
Chupke se koi dil mein sama jata hai..
Jaise hume tadpaane mein mazaa aata hai..
Koi itna dard de jaata hai..
Par kambakht dil ko ussi pe hi pyaar aata hai..
comment:
p_commentcount