"jai jai shree ram"
2) dusri taraf, sukra bhagta bhagta ravan ke paas aata hai ravan aur mayabi sukra ki buri halat dekh kar chakit rah jate hai, tab mayabi kahta hai ki jaroor ye balak mayabi hai aur is balak ki madad devta bhi kar rahe hai, mayabi ki baat sun kar ravan krodhit ho jata hai aur kahta hai ki mayabi balak to hamare kul mai hone chahiye un banaro ke kul mein kaise paida ho sakte hai.
3) yaha maharaj keshri apne putra ko maa anjana ke paas dekh kar atyant khus hote hai , saari praja keshrinandan ki jay jay kaar lagati hai. keshri pawandev se kahte hai ki he, prabhu aapne mere putra ko bacha kar mere upar bahut bada aihsan kiya hai, tab pawandev kahte hai, nahi keshri tumara putra sirf tumhara hi nahi mera bhi putra hai, mera aarsibad is par hamesha bana rahega. phir keshri pawandev se kahte hai ki mein apne putra ka namkaran aapke naam par karna chahta hu, to pawandev kahte hai jaisi aapki ichha, aur wah antardhyan ho jate hai.(yaha bahut melodu song aata hai


)
4) yaha mayabi ravan se kata hai ki us balak ko marne ke liye koi aisa asur chahiye jis par us balak ki maya ka koi asar na pade, tab ravan kahta hai nahi mayabi, mai khud hi us balak ko marne jauga, to mayabi ravan ko rokta hai ki abhi bhi lanka mai kai saktisaali asur hai , aap par yah sobha nahi deta , aap yaha ke raja hai aur kuch samay baad vishwa vijayi hone bale hai.mayabi ki baat sun kar ravan jor se hasta hai.
5) maharaj keshri ke yaha putra( keshrinandan) ke namkaran ka aayojan hone lagta hai, bahut se sadhu sant aate hai. tab keshri apne mantri jambant se kahte hai ki asuro ka khatra hamare putra par badta hi ja raha hai, to jambant keshri se kahte hai ki ab chinta ki koi absayakta nahi hai , maine saare anjan one mai majboot chouksi laga di hai. tabhi waha par anjana ke
ma-pita aate hai aur keshri se kahte hai kaha hai mera nati , to maa anjana putra ko lekar aati hai aur kahti hai ,ye lo maa aapka nati. maa anjana ke pita kahte hai ki yah balak bada ho kar bahut bada karya karega , iska choda matha, hatho mai swastik ka chinh, dono pairo mai gada aur sankh ka chinh. ye sab yah sidhh karte hai.
6) ravan yaha devi maa ke samne visal yagya karta hai. taki wah keshrinandan ko samapt karne ke liye gangotak namak bhayanak mayabi asur ko pragat kar sake.
7) maharaj keshri ke paas ek sadhu aate hai aur kahte hai ki namkaran ka samay nikla ja raha hai maharaj krapa karke balak ko jaldi laiye. maa anjana apne putra ko god mai baithakar namkaran karwati hai. maharaj keshri apne putra ka naam maruti rakhte hai.(yaha bahut melody song aata hai


)
yaha jangal mai ek bhayanak visal sarp prabhu ko nuksan pahuchane ke liye ja raha hai.
recape:- maharaj keshri aur maa anjana apne putra ki kundali sadhu maharaj se nikalwate hai to, wah kahte hai ki yah balak bada hokar atyant balbaan aur saktisaali hoga, yah surya ki tarah prakashwan hoga.aur iski sakti ki khyati chir kaal tak chalti rahegi.
" jai jai shree ram"
Edited by luminous22 - 21 June 2011 at 1:16am