TERE MAST MAST DO NAIN
Aaj bade mudatt ke baad in aakhon ke deedar hue hai.
Aaj bhi inme wahi kashish aur wahi nazakat hai jisko ke dekhkar pehli baar mere dil ke aarzounene ek andai li thi, dil ke saare armaan kasmasane lag gaye the. Waqt ka har ek pehlu har ek lamha jaise tham sa gaya tha aisa lag raha tha ke jaise waqt bhi tumhare nigahoon ki shokhiyoon mein dubne ke liye betaab hua ja raha ho.
Tumhare nazaro ke bare mein kya kahu.
Is duniya ke har ek jazbaato ka ek lauta darpan tumhari ye nigaheen hai. Kabhi ye shant hai tho kabhi chanchal ,kabhi shararati tho kabhi masoom, kabhi bin bole hi tumhari ye nighahein hazaro baate keh jaati hai toh kabhi bolkar bhi chup rehti hai. Kabhie ye khushiyoon ka phuhar bankar jhilmilane lagti hai toh kabhie dukho ka sehlab bankar barasne lagti hai.
Main tumhari aakhon ke baare mein na ye keh sakta hoon ke wo jheel si neeli hai aur naahi ye ke wo saagar se ghehri hai kyunki ye saare shabd ye saari baate tumhari nigahoon ke saamne bahut choti lagti hai. Us rab ne duniya mein aisa koi lafz banaya hi nahi jo ki tumhari nighahoon ki khoobsurati ko bayan karne mein kamiyaab ho jaaye.
Jism se ruh tak ka safar tumhari ye chor aakhen badi hi aasani se teh kar jaati hai. Jab inka rukh falak ki taraf hota hai tab inki maasumiyat ko dekh taare bhi inhe salami dene ke liye chamakne lagte hai. Duniya ki har khoobsurat cheez bus issi intezaar mein ghadiya bitati hai ke kab tumhari nazar unpar pade. Saawan ke baadal ka rang bhi tumhari aakhon ke kajal ke rang ki barabari nahi kar sakta.
In matbari aakhon ke deedar ke liye main najaane kab se tadap raha tha.
Us accident ne tho meri puri duniya hi badal di thi. Meri aakhen cheenkar tumhe dekhne ka haq kismat ne mujhse cheen liya tha.Aur aaj jab maine itne dino ke baad tumhe dekhna chaha tab maine jaana ke us accident ne tumhe mujhse humesha ke liye cheen liya hai.
Magar tumne waqt ke is faisle ko naa mante hue apna vaada pura kiya . Tum humesha kehti thi na ke Maan ki Geet ko Maan se koi bhi judaa nahi kar sakta aur aaj tumne wo baat saabit bhi kar di. Tum bhale hi mere kisi bhi baat ka jawab na de pau magar tum humesha mere jeewan ka ek atuut hissa bankar mere zindagi ke aakhri saas tak mere paas rahogi.
Operation ke baad jab maine aakhen khol kar aaine mein apni jhalak dekhi tab mujhe phir se wo ghadi yaad aa gayi jab maine tumhe pehli baar dekha tha aur usi waqt tumhari in nighahoon mein doob gaya tha.
Takdeer ne bhale hi tumhe mujhse cheen liya ho magar tumhari aakhon se main ab is duniya ko dekhunga aur tumhari ye aakhen mujhe har pal ye ehsaas dilate rahegi ke tum humesha mere saath ho mera saaya bankar, meri roshni bankar aur jab tak ye zindagi hai ye saath yuhi barkarar rahega.
comment:
p_commentcount