Posted:
13 years ago
Song for Geet from Maan .
Dil de diya hai , Jaan tumhe denge ,
Dagaa nahi karenge sanam . . . . . . . . .
Rab di kasam yaara rab di kasam
Dil de diya hai , Jaan tumhe denge ,
Dagaa nahi karenge sanam . . . . . . . . .
Rukh zindagi ne mod liya kaisa ,
hamne socha nahi tha kabhi aisa .
Aata nahi yakeen kya se kya ho gaya ,
kis tarah main tumse bewafa ho gaya .
Insaaf kar do mujhe maaf kar do ,
Itna hi kar do karam . . . . . . .
Dil de diya hai , Jaan tumhe denge ,
Dagaa nahi karenge sanam . . . . . . . . .
Aawargi mein ban gaya deewana ,
maine kyun saadagi ko nahi jaana .
Chaahat yahi hai ke iskadar pyar dun ,
kadmo mein tere main do jahaan vaar dun .
Chaain mera lelo khushi meri lelo ,
Dedo mujhe dedo saare gam . . . . . . . .
Dil de diya hai , Jaan tumhe denge ,
Dagaa nahi karenge sanam . . . . . . . . .
Mere ashq keh rahe meri kahaani ,
inhe samjho na tum sirf paani .
Ro ro ke aansuo ke daag dhul jaayenge ,
inme wafa ke rang aaj ghul jaayenge .
Paas tum rahogi bhool ab na hogi ,
Karunga na tum pe sitam. . . . . . .
Dil de diya hai , Jaan tumhe denge ,
Dagaa nahi karenge sanam . . . . . . . . .
Somebody please give link of this song . It is from the movie Masti .Edited by Swaatii - 13 years ago