Geet - Hui Sabse Parayee

OS: A Night of Togetherness (Part 2 on pg 5) - Page 3

Created

Last reply

Replies

54

Views

10287

Users

38

Likes

154

Frequent Posters

maanluvsgeet thumbnail
Posted: 13 years ago
awesome. loved it. plzzzzzzz update soon.
Absoluv thumbnail
Anniversary 17 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 4
Posted: 13 years ago
SUPER OS dear....sooo passionate ...😳...Loved it..U r an amazing writer...I do hope that the CVs read ur post & get some ideas...they can definitely incorporate ur scene in the show....😉
vrsharma thumbnail
Anniversary 14 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail Networker 2 Thumbnail
Posted: 13 years ago
Amazing part
 
plzzzzzzz continue soon
m-g19 thumbnail
Posted: 13 years ago

wow dat was awesome ,

just great , lvd it,

do pm me vn u update nxt,

n do cont soon ,

cant wt 2 rd more,

lv meena

nahtani88 thumbnail
Anniversary 14 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 3
Posted: 13 years ago
AMAZING
SUPERB
CONT SOON
Posted: 13 years ago
Thanks a lot everyone. Not able to reply individually right now. Am working on the second part. Hope to put up soon.
QueenbeePallavi thumbnail
Anniversary 15 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 13 years ago
hmmm.. that was completely interesting, dreamy and very much similar to what ever MG fan wud have imagined for their SR...hehehe...
Please please please continue soon and do write more fics... I loved it completely and dearly... good narration and continuation of speech inc MG nok-jhok which is very dear to all of us... so with all the love and gratefulness I request you to continue your great work ...keep it up dear!!
Posted: 13 years ago
Posting Part 2 (final) shortly. Don't expect much hotness there. Its just a lot cute conversation. ðŸ˜Š
Posted: 13 years ago

Part 2

--

"Tumhein yaad hai Geet, jab hum pahli baar mile the?"

"Kaise bhool sakti hoon?"

"Tab se ab tak kitna kuchh badal gaya hai na Geet."

Geet snuggled up closer to him, "Kuchh bhi to nahin badla hai. Tab bhi aapne meri madad ki thi, mujhe bachaya tha. Aaj bhi aap wahi karte hain."

She was expecting him to smile, but he turned more serious, "Meri kistam achchhi thi Geet jo usne mujhe hamesha samay se tumhare paas bhej diya. Agar aise kissie bhi mauke par tumhein kuchh ho jaata to... Main soch bhi nahin sakta..." he shuddered to think of the possibility of his life without Geet.

"Aur sochne ki zaroorat bhi nahin hai Maan. Purani baaton ko yaad kar ke dukhi kyon hona hai. Aaj to hum khush hain na."

"Haan Geet. Aaj main bahut khush hoon aur bas ye dua maangta hoon bhagwaan se ki tumhein bhi hamesha khush rakh sakoon."

"Bhagwaan ki bhi aisi majaal nahin ki aapki ye dua kabool na karein," Geet once again tried to make the mood lighter.

"Lekin Geet, ek samay tha jab maine tumhein bahut dukh bhi diye hain. Main aaj un dinon ke liye maafi maangna chahta hoon."

Geet thought he was referring to their misunderstanding over Dev's bail and the time that followed in Indian Paints, "Maan. Aap kyon us baat ko lekar aaj tak pareshaan hote hain. Maine aapko samajhne mein galti ki thi Maan. Main aapko chhod kar gayi thi. Phir aap kyon..." 

"Nahin Geet. Main uski baat nahin kar raha."

This puzzled Geet, "Phir?"

"In sabke pahle Geet. Jab main tumse Hoshiyarpur mein mila tha, jab tum pahli baar Delhi aayi thi, jab hum office mein mile the. Geet maine bina tumhare baare mein jaane, bina kabhi tumse baat kiye, tumhein bahut kuchh galat kaha, tumhein bahut pareshaan kiya. Main un sab ke liye tumse maafi maangna chahta hoon."

Geet suddenly sat up on the bed and started saying chirpily, "Aapko pata hai Maan, main na Babaji ki special bachchi hoon. Bhrosa nahin ho raha hai? Main batati hoon kaise! Main ek baar ek insaan se mili, jisne hamesha meri madad ki, apni jaan khatre mein daal kar na jane kitni baar meri jaan bachayi, na sirf mera sahara bana, balki mujhe khud bhi majboot banna sikhaya, apne pairon par khada hona sikhaya, apne haq ke liye ladna sikhaya. Aur main pareshaan hoti rahi ki kaise uske sab ahsaanon ke liye thanks kahun usse. Babaji se poochhti rahi aur babaji ne meri problem chutki mein solve kar di. Bajay iske ki woh insaan mujhse thanks expect kare, woh mujhse ye sab karne ke liye sorry kah raha hai. Batayie - ekdum special treatment di hai ki nahin Babaji ne mujhe?"

Maan did not say anything, just looked at her adoringly and smiled slightly.

Then Geet turned serious, "Maan - aapne kabhi kuchh bhi galat nahin kaha. Agar aapne mujhse kaha ki tum kamzor ho, to woh sach tha. Main kamzor thi. Agar aapne mujhse kaha ki jab tak tum saham-saham kar jeeti rahogi, tab tak tumhari zindagi nahin badlegi to woh bhi bilkul sach tha. Aur aapne kaha, isliye to main badli aur majboot bani. Agar aapne mujhse kaha ki mujhe duniya ki parwah nahin karni chahiye aur apne haq ke liye ladna chahiye to usmein bhi kya galat tha? Agar aapne mujhe daanta to isliye ki maine galtiyan ki thi. Maan agar aapko lagta hai ki aapne mujhe bura-bhala kaha to aisa nahin hai. Aapne sirf sach kaha. Aur kabhi kabhi sach kadwa hota hai, lekin sach se munh to nahin moda ja sakta na?Aapne mujhe hamesha sach ka saamna karna bhi to sikhaya."

"Geet. Tum to kabhi kissi mein koi burai nahin dekh pati. To mujhme kaise dekhogi? Lekin sach to ye hai ki kai baar maine apni kadwahat tumhare oopar nikali. Lekin tumhare andar itni mithaas hai, itni strength hai ki tumne meri saari kadwahat apne andar ghol li aur phir bhi hansti rahi. Thank you Geet."

"Agar aisa hua hai Maan to kismat ne mujhe ek aur khushi di hai ye bata kar ki main aapke liye kuchh to kar payi."

Maan smiled and hugged her. Once they broke the embrace, Geet became her comical self again, "Waise maine aapki itni tareef kar di, iska matlab ye nahin hai ki aapne mujhe bilkul bhi pareshaan nahin kiya hai. Aapne mujhe kai baar bekaar mein bhi sazaa di hai."

"Achchha! Woh kab hua?"

"Kab hua? Ye poochhiye ki kab nahin hua. Aapne mujhe Mr. Chopra ke project se kyon nikala tha?"

"Usmein meri galti nahin thi Geet. Kasoor tumhara tha," Maan joked.

"Wahi to poochh rahi hoon, kya kasoor tha mera?"

"Tum mujhe pagal kar rahi thi."

"Kya?" Geet did not understand at all.

Maan turned serious, "Sach to ye hai Geet ki main dar gaya tha tumse. Tumhari wajah se main badal raha tha. Mujhe andhere mein rahne ki aisi aadat ho gayi thi ki jo roshni mujhe tumme dikh rahi thi, usse mujhe dar lag raha tha. Main usse bhaagne ki koshish kar raha tha."

Geet realized for the first time that he had been affected by her much before she had realized it, "To aap tab se..." She did not complete the sentence.

"Haan Geet. Maine tumse kaha tha na ki main tumse bahut pahle impressed ho gaya tha. Shayad usse bhi pahle. Shayad jab Hoshiyarpur mein tumse mila tha. Pagal tha main Geet, jo apni khushiyon se itna door bhagne ki koshish karta raha. Aur uske chakkar mein use bhi thes pahuncha raha tha jo mere liye sabse keemti thi. Tum!"

Geet laughed slightly, "Aapse badi pagal to main thi. Aap meri wajah se itna pareshaan hote rahe, aur main aapko Dusht Danav samajhti rahi."

"Hmm... Aur usi Dusht Danav ke peechhe daudti hui Dargah tak pahunch gayi, haan Geet?"

This made Geet blush, "Mera mazaak mat banaiye. Aapke phone se main ghabra gayi thi."

Maan turned Geet's face towards him by holding her chin, "Itni fikr karti thi meri, aur phir bhi mujhe chhod kar jana chahti thi. Meri shakal tak nahin dekhna chahti thi."

She silence him by putting her hands on his lips, "Thank you. Jo aapne mujhe jaane nahin diya. Warna..."

"Apni jaan ko kaun itni aasaani se jaane deta hai Geet," Maan said cupping her face in his hands. Then he suddenly changed his tone, "Waise phir bhi. Tum mujhe thank kar sakti ho. Mujhe koi aitraaz nahin hai. Lekin sirf thanks kahne se kaam nahin chalega. Mujhe ek gift bhi dena hoga."

Geet looked up to see the naughtiness in his eyes.

"Maan!"

But Maan was too busy pushing her down on the bed to listen to her. His lips moved towards her, but she turned her face sideways in shyness. Maan kissed on her cheek and said, "Koi baat nahin, maine apna thanks dheere-dheere le loonga."

And they chatted away until geet fell asleep with exhaustion!

- The End -

Edited by sharmishtha01 - 13 years ago
LoNeLy..GaL thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 2
Posted: 13 years ago
Awesome outstanding brilliant amazing great excellent passionate heart- touched I hv no more word to say hw much good it was and keep on writting by the way Thanx 4 my request loved it