Sher O Shayri

my collection

niniiiii thumbnail
Posted: 13 years ago
kadam yunhi dagmaga gaye raaste se
warna sanbhalna hum bhi jaatne the
thokar bhi lagi to us pathar se
jise hum apna maante the
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

phir usi chand se rishta bana bethe
phir usi saadgi se fareb kha bethe
patthron se tha taluk hamara
phir bhi sheeshe ka ghar bana bethe

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

ek nighah barfili,ek bol pathar sa
aadmi nahi marta sirf khoon behne se

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

kal chand se yeh sawal kiya
bata to sahi wo kesa hai
to us ne kaha
kuch meri kirnon ke jesa hai
kuch aaftab ke jesa hai
kuch kaliyon si hai muskaan uski
kuch khilte gulab ke jesa hai
kuch ujale mein hai jhalak uski
kuch raat ke shabaab ke jesa hai
agar husn ko mein ik sawaal kahun
to uske jawaab ke jesa hai
jise dhekhun aur choo na sakun
aise sundar khwab ke jesa hai
kehte hain ishk ibadat hai
to wo uske sawaab ke jesa hai
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


Created

Last reply

Replies

2

Views

743

Users

2

Likes

4

Frequent Posters

niniiiii thumbnail
Posted: 13 years ago
har shab meri taza azaab mein guzri

tumhare baad tumhare hi khwab mein guzri

mein ek phool hoon,wo mujhe rakh kar bhool gaya

tamam umr us ki kitaab mein guzri
Forgotten-Toy thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 8 Thumbnail + 2
Posted: 12 years ago
This content was originally posted by: niniii



kal chand se yeh sawal kiya
bata to sahi wo kesa hai
to us ne kaha
kuch meri kirnon ke jesa hai
kuch aaftab ke jesa hai
kuch kaliyon si hai muskaan uski
kuch khilte gulab ke jesa hai
kuch ujale mein hai jhalak uski
kuch raat ke shabaab ke jesa hai
agar husn ko mein ik sawaal kahun
to uske jawaab ke jesa hai
jise dhekhun aur choo na sakun
aise sundar khwab ke jesa hai
kehte hain ishk ibadat hai
to wo uske sawaab ke jesa hai




good jee😆