CID

Poetry Update ==> The Case of the Stolen Dynamites [Pg1]

droidnafiz thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 13 years ago
Hi dear cid lovers, in this thread i want to post some of my poetic written updates of the fantastic cases of CID.

please, read and give your valuable comments. Thanks.


INDEX

1. The Case of the Stolen Dynamites ==> Page 1Edited by vivek_mashru - 13 years ago

Created

Last reply

Replies

3

Views

956

Users

3

Likes

6

Frequent Posters

droidnafiz thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 13 years ago
THE CASE OF THE STOLEN DYNAMITES


Andheri raton mein,ek chhote se kamre par,
koi soya hua tha,lekin chilla raha tha barbar.
neend mein aa raha tha, koi vayanak sapna,
iske liye uska, chalu tha tadapna.
achanak o uthke, beheth gaya bed par,
bola phir wohi sapna, aa raha barbar.

acp aur jayant, tha police zeep mein,
daya tha driver, yehi tha naseeb mein:p.
acp phone pe kaha, o hoga kahi aspas,
dhundo achhi tarah se, o hain bohut khas.
jayant puccha sir, itne subhe hain ye kaisa shor,
jise dhundh rahe hain, o hain koi criminal ya chor.
acp kaha nahin jayant, wo ek police hain, matlab THA pehle,
daya bhi kya uske saath kaam, 1997 mein.
daya bola, wo din mein kaise bhul sakta hu sir,
uss din mein aur abhijeet gaye the chandni bar.
dushman nein dhoke se kiya uska apaharan,
mein bhi tha waha pe, sab hua mere bhul ke karan.
acp jayant ko bola, bohut khoja use o nahin mili,
jis mein kidnap kiya tha, o gari ka number plate tha nakli.
3 din baad mila o car,
dikki mein tha abhijeet, pura bekaar.
nahin pehchana mujhe, na daya ko,
khud ka naam bhi, nahin tha yaad usko.
maa ko bhi nahin pehchana, o bechara,
issliye bhatakta rehta hai, atit mein yaha waha.
daya gari roka, samne tha ek aadmi,
acp usko bola, abhijeet mujhko pehchana? Mein acp.
abhijeet dukh se kaha, 2 din pehle, o buri aurat,
jo mujhe apna beta kehta tha, uske ho gaya maut.
unki gham thi, mein unko pehchana nahin,
lekin isme kya kasur hain meri?
acp sala diya, abhijeet tum raho, humare saath,
shayad tume a jaye yaad koi baat.

police radio karne laga beep beep,
daya daurke gaya, to the zeep.
bisesh suchna tha, hua tha dynamite ki chori,
acp kaha, daya chalo, jaldi start karo tumhara gari.
mine pe agaya pura team,
acp pucch raha tha, last check kiya tha kaun sa time.
foreman bola, picchle raat mein wo check kiya tha, kaam khatam hone ke baad,
register mein likha hain, mr. Kaushik aya tha uske baad.
lekin wo keh raha hein, ye hain jhuti baat,
ek minute rukiye sir, mein guard ko puchhloo kya hai baat.
guard bola, ha sir ek kaushik aya tha zaroor,
lekin ye saab wo nahin hai, wo tha koi aur.
unke paas tha ek suitcase aur pass card,
pehne the grey colour ke pant aur blue shirt.
kaushik kaha, sir ye to hain pure rishi jaisa,
acp puchha, rishi hain kaun aur tumhare saath relation kaisa?
kaushik bola, nagpur se aya tha wo kaam ke talaash mein,
hain mere parosi, aisehi mile the hum chai ke dukaan mein.
kaal raat wo aya tha ghaar, piya humne thoda,
iske baad kuch nahin hain yaad, kya kia tha wo vagora(!).
acp bola jaldi chalo uske ghar,
waha pehi pata chalega, kya hai ye gadbad.

duplicate se khola darwaja makaan malikne,
acp ne paya barood aur wires, khat ke nicche se.
abhijeet paya fatey hue kagaj, fehlaya table mein,
joorne ke baad bola wo acp ko, ye samaan hain bomb kein.
jayant aya daur daur ke,
bola rishi gaya yehi paas mein.
acp daya ko bheja dekhne,
jayant ko bheja makaan malik ke saath sketch banane.

bus se nama tha rishi bechara,
traffic hawaldar ne usey dekh liya.

jayant bola, sir ye hain uska wallet,
hain pass card aur ek bus ke ticket.
acp puchha rishi ko pyaar se, lekin wo kia baatane se inqaar,
sirf bataya bomb fatega 2:15 baaje, abhijeet mara ek thappar.
bus ke conductor ko laya gaya beureau mein,
ticket dekhke wo bola, rishi bus mein chara tha kandivali aur maladh ke beech mein.
abhijeet socha ek plan, rishi se saach ugalne ka,
iske liye use jarurat hain, bohut sari saman ka.

sudhakar aur fredry ko chor banakar, acp daal diya jail par,
abhijeet ghari ke 11:25 ko le aya 12:25 par.
daya fit kiya ek microphone lamp mein,
uske bad le aya rishi ko hawaalat mein.
acp aur abhijeet gaya news station mein,
request kiya unko do jhute news banaye.
ab shuru hua khel asli,
jayant dala 1st tape naqli.
rishi ne dekha news hain 1:30 baje ka,
usko aya yakin time par, khush hua bechara.
uske 1 ghante baad jayant daala 2nd naqli tape,
jisme tha bomb blast ka news fake.
issbar uut a gaya pahar ke niche,
rishi bolne laga wo nahi hain khuni, ek karan tha iske picche.
acp aur abhijeet sun raha tha sab,
daya ne microphone on kiya jab.
rishi ne bola wo kar raha tha kam, vallav seth ke liye,
imaandari ke saath, o bohut saal ka kam kiye.
lekin seth ke marne ke baad, ho gaya sab gadbad,
unke beta milind kumar ne laga diya tala, nagpur ke factory par.
rishi bechara khoya kam, hua pareshan,
rukh gaya tha beti ki shaadi, aur do bete ka admission.
issliye o kya chori dynamite ka, banaya bomb,
rakh aya kandibhali factory par, jiska hoga udghatan.
daya ne puccha, kya hain factory ka naam,
tab o samajh gya, ye saab hain cid walon ka kaam.
bolne se kia inqaar, acp angry ho gaya,
abhijeet ne har na manke, umeed dugna kiya.
daya ne newspaper mein paya, factory ka naam,
jayant acp ko phone karke, diya address, sabka ho gaya kaam.
jaldi gari chalaya aur paucha bomb squad ko lekar,
watchman ko bola sabko bahar nikalo, bomb hain site par.
abhijeet dhundke paya suitcase, chillaya sir sir,
acp dekhke bola, o my god..., isse le ao bahar.
suitcase kholke dekha, baki sirf adha minute hain,
bomb squad bole, sir defuse karna namunkin hain, jaldi se bhagiye.
o log chale gaye, magar acp har na mana,
bole abhijeet, chalo hume hain bomb fatne se rokna.
dono milke tod diya sab wires, lekin abhi bhi chalu tha bomb,
abhijeet bola, acid fehl raha hain, abhi fatega bomb.
fir abhijeet ne dikhya bahaduri,
utha liya acid tube,kucch acid uspe giri.
acp bola, idiot tumne apne apko jala diya,
abhijeet bola, sir bomb ko nehi fatne dena tha, issliye mein aisa kiya.
acp bola abhijeet tum ho bahadur, i am proud of you my boy,
tumhare jaisa police officer ka CID mein jarurat hain.
abhijeet bola, lekin sir, mein nahin janta kuch, mere yaddash hain total zero,
acp bola, tumne kiya ye case solve, tumhi ho asli hero.
police hone ke liye chahiye josh aur himmat, donohi tumme hain,
issliye tum kalhi join karo, cid mein.


office ke siri se uth raha tha acp aur abhijeet,
acp bola lo ho gaya hamara jeet.
aj se tum ho gaye, officially CID officer,
abhijeet bola, sir fir se sochiye, ap koi galti to nahi kar rahey hain mujhe lekar?
acp bola nahin abhijeet, ye hain swimming ke tarah,
ekbar jo tedna sikhta, o life mein kabhi nahin bhulta.
issi tarah, jo hota hain police ekbar,
usse apna kaam yaad hota hain, purey jindegi bhaar.



<<<THE END>>>
abhijeet555 thumbnail
Posted: 13 years ago
Nice update vivek,....its the most fantastic case i think. And the poetry update makes it more superb...
blahblahs thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 13 years ago

great poetry and i love your signature:)