- Mythological Songs/Dialogues Gallery - - Page 3

Created

Last reply

Replies

206

Views

151191

Users

26

Likes

669

Frequent Posters

ShivangBuch thumbnail
Anniversary 14 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 13 years ago
Jai Shri Krishna Arpita. They all will be posted here gradually by members who originally posted them earlier on India-forum chat clubs with some planning and organization in future. They are there (many of the songs) posted in previous CCs of India-forums and Orkut community of the serial. I post here the links of both.


On this first page of the CC5 (Chat club), you will find a post down the line having the list of all the songs with the links of their pages of the posts of lyrics.


And here is the Orkut community thread link:

https://www.orkut.co.in/Main#CommMsgs?cmm=50307180&tid=5409745174658486863&start=1

Edited by ShivangBuch - 13 years ago
...PARiNA... thumbnail
Anniversary 14 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 3
Posted: 13 years ago

Dialogues from 17 july 09 - JSK

Nand Baba asking Shri Krishna to restore Yashoda's life

conversation btwn krishna n nandbaba.......

Nandbaba: aik manusha Bhagwan ki sharan mein kun jata hai

Krishna: sukh, shanti, moh ... Jab uske liye vishv mein raare sadhan bandh ho chuke hon. Jab manushaya ko lagta hai ki uski haar hui hai Jab manushya ko lagta hai woh nirbal hai
tab.........

Nandbaba: tab kya Kanha


Krishna: tab.. manushya Bhagwan ki sharan mein jata hai pitaji.

Nandbaba : main bhi tumhari sharan main aaya hun

Krishna: pitaji mujhse koi apradh hua hai pitaji
jo aap is tarha ki baatien kar rahein hai.
putr pita ki sharan mein jata hai pitaji
pita putr ki sharan mein nahin jata.

Nandbaba:aur yadi putr Bhagwan ho toh?
main janta hun Kanhaiya ki Tum kon ho

Krishna: Nahin pitaji main sadharan hun

Nandbaba: gokul ke ped podhe gopiya gop sab jante hain ki tum Bhagwan ho

Krishna: nahin pitaji

Nandbaba: Maan kun nahin lete ki tum Bhagwan ho .  .
yadi tum Bhagwan nahin ho to vasudev bhaiya tumhein karagrah se yahan kaise lekar aaye?
kya tab tumne unki sahayta nahin ki thi .... 
bhotnaat jaisi raakshshi ka, aik nay jame bachche ne , arthath Tumne vinash kaise kia?  
koi samanya bacha aisa kar sakta hai?   sab rakshson ka vadh kaise kia kanha?   yeh to Bhagwan hi kar sakte hain na?   jawab do mujhe? 
Dosro ke aankho ke patti kolte ho aur khud ki annkho par patti bandh rakhi hai.. !!!!!
Tum antaryami ho.  Tum jante ho Tumhari maiya achet padi hai .
uske jeevan ke kuch hee pran shesh hain .
Yashoda ke jeevan ke saath hee is ghar ka jeevan juda hai. 
Yashoda jeevan hai to yeh ghar bhi jivit hai.  .


Krishna: Pitaji vaidh ji harr prayas kar rahe hain..

Nandbaba:par main to vaidoon ke vaid ke paas aaya hun, 👏
Bhagwanoon ke Bhagwan ke paas aaya hun,  👏
kyun ki main jaan gay hun mere liye vishva ka har dwar band ho chuka hai,  main haar gay hun Kanhaiya -2 😭 😭

Aaj mujhe gyaan hua hai ki main aik aisa nirbal manushaya hun jo apni patni ki raksha nahin kar sakta. Maine yashoda ko har dukh sukh main saath dene ka vachan diya hai, har sankat mein uski raksha karne ki shapat li hai. Aaj mera vachan bhang ho raha hai... mere li hui shapat tuut rahi hai kyunki.... main uske raksha nahin kar sakta.
Aaj meri gardan sharam se jhuk gai hai, kyunki main apni patni ko bachane main asamarth hun.

Aaj se pehle main jab bhi use pukarta tha, woh mere pukar ka jawab deti thi, parantu aaj mere baar baar pukarne ke baad bhi woh mujhe jawab nahin deti hai Kanha.
Meri yashoda mujhse rooth gai hai, mera jeewan mujhse rooth gaya hai. Meri jaise sthiti kisi ki bhi na ho....

Yashoda kehti hai ki Tum Bhagwan nahin ho
aur maine saidev uska saathe dia
paruntu ab main uska saath nahin dunga
yadi ab maine uska saath diya to woh mera saath sada ke liye chood degi


Aaj main Tumhare MAndir main aaya hun Bhagwan
apni patni ke pranon ki bheekh mangne
mere yashoda mujhe lootado, Prabhu













...PARiNA... thumbnail
Anniversary 14 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 3
Posted: 13 years ago

Dialogues from 20 july 09 -

Conversation btwn Radha  and Krishna (just after above conversation)

Radha
Kissoch mein doobe hain prabhu?

Krishna
manav jeevan ke bare mein sooch raha hun Radhe
bhawna ke bhawar mein fass kar manav kitna nirbal ho jata hai

Radha
aur aaj wahi nirbalta mujhe aapke mujh par bhi dekhai de rahi hai Prabhu

Krishna
maine manav roop dharan kiya hai Radhe.. aik aisa manav jiske mata murutu shaiyan pe padi hai, aur uska pita apne putr se apni patni ka jeevan maang raha hai
aur main aik aasahay putr ki tarhan, apne pita ki peed adekh raha hun
main kya karun?

Radha
Prabhu, pita aaj aik putr se nahin... aaj Krishna se apni patni ka jeevan mang raha hai
jise usne Bhagwan maan liya hai
aaj aap nandrai ji ke liye putr nahin Bhagwan bann chuke hain, Prabhu
dhere dhere woh moh samapt hota jara hai .. jis moh se woh aapse bandhe hue they

Krishna
yahi to dhuka hai radhe.. main us dukh se vanchit hota ja raha hun
Mata Pita ka putr hona bhi aik bada sukh hai Radhe...
jo sukh mujhse chinta ja raha hai
samay ke saath saath ye Krishna, Gokul ka Krishna nahin rahega

Radha
yehi to aapki leela ki agli kadi hai prabhu
jise aap ko nibhana hai

arpita21 thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 13 years ago
no i want old serial shri krishna songs lyrics
ShivangBuch thumbnail
Anniversary 14 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 13 years ago
Originally posted by: arpita21

no i want old serial shri krishna songs lyrics


The links that I have posted are of old serial songs only Arpita. Check out the first link - in that scroll down to find 'Bhakti sangeet' list.
Edited by ShivangBuch - 13 years ago
MagadhSundari thumbnail
Anniversary 15 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 4
Posted: 13 years ago
Continuing chronologically with the Dashavtaar intro to Ramanand Sagar's Shri Krishna…

Vaaman Bhagwan's speech to Raja Bali (Ramanand Sagar's Shri Krishna)
 
These are the dialogues between Vaaman Bhagwan – Shri Vishnu's dwarf incarnation – and Bali, the noble king of the demon race. He is in the middle of completing a great sacrifice when Vaaman Bhagwan arrives at his door as a Brahmin seeking alms. Bali himself receives him and right at the outset, gets treated to a lesson on greed versus contentment. It goes like this:
 
Bali (after having glorified Vaaman Bhagwan's innocent and luminous form for a bit) – Ab aap aagya kijiye, hum aapki kya seva karein?
Now please command me, what service can I offer you?
 
Vaaman – Raajan, hum aapke dwaar par ek yaachna lekar aaye hain.
King, I've arrived at your doorstep with a request.
 
Bali – He brahmachaari, aapki jo ichha ho, maang lijiye. Main usse avashya poori karunga! Gaaye, sona, mani, manik, bada ghar, sampattiyon se bhare huye gaon, haathi, ghode, rath, jo ichha ho maang lijiye! Hum vachan dete hai, aapki har ichha poorn karenge!
O pure ascetic, ask for whatever you'd like. I will definitely provide it! Cows, gold, precious gems, a mansion, villages full of wealth, elephants, horses, chariots… whatever you wish for, just ask for it! I promise you, I'll fulfill each and every wish!
 
V – Raajan, aapne jo kaha, who aapke kul parampara ke anuroop hi hai. Jinke guru param tejasvi Shukracharya jaise shaktishaali mahatma ho, aur jinke pitamah Maharaj Prahlad jaise bhakt, aur pita Maharaj Virochan jaise param daani aur veer purush ho, unhi mein aisi vinamrata… aisi shalinta, aisi daanveerta ke gun ho sakte hain. He Asur Raj, main jaanta hoon ki aap saare jagat ke swami hain. Teenon lokon mein aisi koi vastu nahin jisse aap na de sakte ho. Parantu shaastra kehta hai ki vidvaan Brahmin ko utna hi daan sweekar karna chahiye, jitni usse avashyakta ho. So he raajan, hamein yagya shaala ke liye thodi si bhoomi ki avashyakta hai. So aap kripa karke mujhe utni bhoomi de, jitni main apne pairon se teen dag mein naap sakun. To bas, main santusht ho jaaunga.
King, whatever you said was characteristic of your great family tradition. Whose teacher is the glorious and powerful Shukracharya, whose grandsire is a devotee like Prahlad, and whose father is the brave and generous King Virochan, only in him can one find such humility… such graciousness, such generosity. Oh King of Asurs, I know that you are the master of the whole universe. There is nothing in the three realms that you can't give me. But the scriptures say that a wise Brahmin should only ask for as much charity as he really needs. So dear king, I just need a bit of land for a sacramental altar. Kindly grant me just as much land as I can measure out in three of my footsteps, and I will be content.
 
B (laughing) – Teen dag bhoomi?! Aapke pairon se naapkar teen dag bhoomi? Brahmin kumar, baatein to budhon jaisi karte ho, par buddhi baalakon jaisi hi hai. Aap itna bhi nahin jaante, apne in chhote chhote pairon se keval teen dag bhoomi maangkar aap Raja Bali ka uphaas kar rahe hain! Hum teenon lokon ke ek-maatra adhipati hain. Hum satdweep, navkhand aapke charnon mein samarpit kar sakte hain. Humse itna maang lo, ki jeevan mein dobaara kisi aur se maangne ki avashyakta na pade. Hamaare saamarth anusaar maango, taaki tumhaari sab kaamnaayein poorn ho jaayein.
Three steps worth of land?! Three steps measured out by YOUR feet? Young priest, you speak like a wise old man, but your mind is just like a child's. Don't you realize that asking for just three steps of land measured out by your tiny little feet is a joke at King Bali's expense? I'm the sole sovereign ruler of the three realms. I can offer the seven continents, the nine regions at your feet! Ask me for so much that you will never need to ask anyone else for anything for the rest of your life! Ask according to my capacity, so that all your desires may be fulfilled.
 
V – Sansaar mein sab kaamnaayein kiski poori hoti hain, raajan? Manushya jitna paata hai, utni hi uski trishna badhti jaati hai. Aapke paas saari dharti hai, usse kya aapki kaamnaayein tript ho gayi hain? Nahin… aapko ab swarg ka adhipati banne ka lobh hai. So laalsa aur lobh jitna badhaao, utne hi badhte jaate hain. Shanti milti hai keval santosh se. Indriyon aur kaamnaaon ko vash mein rakhkar jo santoshi hoga, wahi jeevan mein tript aur anandmaye hoga. So he raajan, main aapki daanveerta ka sanmaan karte huye, apne liye keval teen pag dharti maangta hoon.
Who in the world gets all their wishes fulfilled, king? As much as man gets, his desires grow that much more. You have the whole earth to yourself, but are you satisfied yet? No, now you aspire to become the king of the heavens! The more greed and desire you chase, the more greed and desire you acquire. Peace only comes with contentment. Whoever can keep his senses and desires under control and remain content, only he shall have bliss and satisfaction in life. So dear king, while I respect your generosity, I again ask only for three steps worth of land.

Debipriya thumbnail
Anniversary 14 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 13 years ago
Dear Friends,

As Parina has already posted Nand-Krishna Dialogue from new 'Jai Shri Krishna' Serial, I am taking the same scene from our old 'Shri Krishna' Serial to start posting here in this new forum😊. I am just copying this post from my original post in Ramayan-Shri Krishna CC3.

This particular scene of Shri Krishna is very close to my heart. When I watched it for the first time, I was so Surprised by the WISDOM…It is the scene where Nand comes to meet Krishna after Kans-Vadh.





Nand's Last Meeting with Krishna (after Kans vadh)

(As Nand enters the room of Krishna and Balaram, they proceed towards him with folded hands and attempt to touch his feet. At this, Nand starts crying. Then Krishna starts to console him.)

Krishna- Baba! Yeh kya kar rahe hai aap Baba? Yeh kya kar rahe hai aap?


Nand- Main kya karun Kanha? Main kya karun? Mai bahut rok raha hoon, lekin yeh aansoo mere bus me nahi hai. Maine to…maine to socha bhi tha ki jaate waqt tujhse nahi milunga. Wo bhi na ho saka. Mere pair apne aap tere kaksh ki ore aa gaye. Aur tujhe dekh kar mann me bus aisa khayal aaya ki phut phut kar rone ki ichha hoti hai. Andar se lajja bhi aati hai ki paraaya Putra se itna moh karne ka kya adhikaar hai mujhe? Parantu dil hai ki meri koi baat sunta hi nahi. Baar baar ek hi baat keh raha hai ki Kanha se bichad kar kaise jeoge Nand Baba, kaise jeoge? Isse to achha...isse to achha hai ki yehi uske saamne apne pran chod do. Tu hi bata mai kya karun? Kya uttar doon is pagle dil ko?


Krishna- Paagal ko kabhi koi uttar deta hai Baba? Haan Baba, tumhare dil sach me paagal ho gaya hai. Jo tumhe yeh kehta hai ki mai paraya Putra hoon, Baba wo paagal nahi to aur kya hai? Jin baalako ko unki Maata-Pita kisi kaaran se chod dete hai, aur jo un baalako ko apne seene se lagakar unke paalan-poshan karte hai, Baba, vaastav me wohi unke asli Maata-Pita hai. Baba, kaun kehta hai ki tum mere Pita nahi ho? Kaun kehta hai Baba? Baba, wohi to asli Pita hai, wohi to asli Maata hai, jo kisi asamarth Maata-Pita ki tyage hue Putra ko apne Putra ki samaan paalan-poshan karte hain. Baba, bachpan se na to humne Maata ko dekha hai, aur na Pita ko. Keval Yashoda maiya ko Maata, aur Nand Baba ko Pita samajhte hue bade hue hai, Baba. Aap dono ki mamta aur sneh ki kaaran hi hum dono aaj jeevit bache hain, Baba. Aur aaj itna bade ho gaye hai. Aur yedi is avaastha me bhi aapka dil aap se yeh kehta hai Baba, ki hum aapke paraaye Putra hai, to wo dil paagal hai Baba. Mat suno aisi dil ki baat, mat suno Baba.


Nand- (With tears in his eyes) To phir kiski baat sunu mai? Kiski baat sunu?


Krishna- (Wiping Nand's tears) Baba, (He makes Nand sit down and consoles him). Baba, Ao Baba, aao. Apni chitta ko shaant karo Baba aur dheeraj se meri baat suno. Jab putra bada ho jata hai to kya uske mata-pita usse apne kaam karne ke liye usse apne se door nahi bhejte? Kabhi byapaar ke liye, kabhi desh-sewa ke liye, to kabhi maanav aur samaaj ki sewa ke liye bhejte hai. Bhejte hai na? Mai bhi to Yashoda maiya se aate samay yehi kehke aaya tha Baba, ki apni kartavyo ki purti ke liye mai chahe kitni door kyun na chala jaun, parantu jahan bhi rahunga, sada tera hi putra kehlaunga. Aur apni kartavyo ki poori hone par phir lautke tere paas aunga. Baba, Kans ki sanhaar karke maine apni jeevan ki ek hi pramukh kartavyo ko poora kiya hai. Abhi to mujhe aise bahut se kartavyo ko poora karna hai Baba. Maiya-Baba ki laad pyar aur mamta ki chhaya se nikalkar mai ek lambe kathor kartavya path par chal pada hoon Baba. To ab mera raasta na roko, mera raasta na roko Baba. Mujhe bahut door jana hai, bahut door jana hai Baba. 


Nand- Kanha, tujhe samajhna bahut kathin hai re. Kabhi tu bilkul apna lagta hai, bada nikat lagta hai, aur kabhi itni door chala jaata hai, jaise apna koi nahi.


KrishnaYehi Satya hai Baba. Mai apna bhi hoon aur nikat bhi, parantu mai door bhi itna hoon ki mai kisika nahi. Vaastav me yehi Gyan ka adhaar hai Baba, ki yahan koi kisika nahi. Na koi kisika Pita hai, na koi kisika Putra. Yeh rishte naate, yeh mamta, yeh moh ki bandhan, yeh shatruta ke bandhan, yeh sab Maya ki 'drishti bhram' hai Baba, sab Maya ki 'drishti bhram' hai. Apne poorva janmo ke karmo ke anusaar har janm me naye naye rishte, naye naye naate bante aur bigadte rehte hai. Koi rishta, koi naata sadaa ke liye nahi rehte, har janm me yeh badalte rehte hai. Sada keval rehte hai Satya aur Bhagwan. Is liye Bhagwan ka ek naam 'Satya Narayan' bhi hai Baba.



Nand- Itna Gyan kahan se mila hai tumjhe? Haan? Kuch log kehte hai ki tu Bhagwan hai. Sach sach bata, tu Bhagwan hai?

KrishnaHaan Baba, main Bhagwan bhi hoon.


Nand-(astonished...) Bhagwan bhi ? Kya matlab ?


KrishnaBaba, shaastra kehta hai ki har jeev ki aatma me Bhagwan ka ek pratibimb hota hai. To mai bhi Bhagwan hoon, isi prakaar, aap bhi Bhagwan hai. Arthat, samast jadh-chetan praniyo ke antar me Bhagwan hota hai. Phir chahe wo vriksh ho, nadi ho, pathhar ho ya Baba phir aap ke bail. Sabhi Bhagwan ke roop hai.


Nand- Haan? To phir pathhar pathhar kyun dikhta hai? Vriksh vriksh kyun dikhta hai? Bhagwan kyun nahi dikhta?


Krishna- Kyunki aap Maya ki chakshuyo se unhe dekhte hai, Baba. Uske liye apni chitta ki saari vrittiyo ko rok kar Gyan athva Bhakti ki drishti se dekhoge to Baba pathhar bhi Bhagwan dikhayi dega, vriksh bhi Bhagwan dikhayi dega. Isi prakaar jab aankho se Maya ka parda hat jayega to is baat ka Gyan hoga ki alag alag paatro ke alag alag roop dharke Bhagwan Swayam hi yeh leela kar rahe hai. Swayam hi Pita hai, Swayam hi Putra. Swayam hi Mitra hai aur Swayam hi Shatru, Baba. Jab is 'charam Satya' ki anubhuti ho jaati hai, to praani dukh aur sukh ki seemayo se aage nikal jata hai. Phir usse yeh milna, yeh bichadna, yeh viyog, yeh mitrataa, yeh shatrutaa, sab kuch ek khel sa lagne lagta hai. Pita hone ki naate Baba, yeh saari baate aapko mujhe samjhaani chahiye, ta ki aapka putra bhaavnaayo ki daldal se nikal kar ek kathor kartavya path par aage badh sake. Yeh ek Pita ka kartavya hai Baba. Anyatha yadi aap hi itna bhaavuk jo jayenge, to aapki yeh bhaavukta aapki putra ki path par rukaavat ban kar baar baar uska raasta rokegi, Baba, uska raasta rokegi.

Nand- Kanha, aaj mujhe aisa lag raha hai, jaise tu mera Putra nahi, mera Guru hai. Aaj tune…aaj tune mujhe Pita ka Dharma ka Gyan kara diya. To le, aaj tera Baba vachan deta hai ki ab se na wo kabhi royega, aur na kabhi tere raaste me aayega. Tere Baba ka yeh aashirwad hai, aur Bhagwan se yeh prarthana bhi hai ki tera 'Kartavya Path' hi tera 'Keerti Path' ho jaye.

(Then Krishna and Balaram both embrace Nand and touch his feet.)

Nand- (Blessings them) Tum dono sada vijayi raho.

(After that he goes out of the room.)



Now the Lyrics of the song which comes just after this scene, describing the mental state of Nand at that moment.


Nand returning to Gokul from Mathura

(after meeting Krishna for the last time)

Mann hai Vyaakul, nain sajal hai;
Kaisi kathin vidayi ho;
Suraj ke sang, doob raha mann;
Kaisi bela aayi ho;
Suraj ke sang, doob raha mann;
Kaisi bela aayi ho.


Krishna ki baaten, Krishna ki leela;
Jaaye na bisraayi ho;
Baba, Baba, ki wohi pratidhwani,
Prati pal pade sunaayi ho;
Baba, Baba, ki wohi pratidhwani,
Prati pal pade sunaayi ho.



Kadve vish se bhi kahin badhkar;
Kadvi yeh sachhai ho;
Jis ke moh me sab kuchh bhula;
Thi wohi vastu paraayi ho;
Jis ke moh me sab kuchh bhula;
Thi wohi vastu paraayi ho.





Jai Shri Krishna. Jai Shri Ram.


...PARiNA... thumbnail
Anniversary 14 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 3
Posted: 13 years ago
@Debi :  i hd posted the dialogues of Nand and Krishna before Kans vadh.
its was shown in JSK (dnt know in old SK or not)
yahsodaji faints  when come to know through Akroorji that Krishna is not her son but Devki's and Vasudev's instead.
All the vaidh's (doctors 😆) were not able to cure her. So, nand begs Krishna (His son) to restore her life.

but i'll post too the dialogues of the same part u hv written   "Krishna's last meeting with Nand" from JSK 😃

can u post the vdo of this from SK


@lola : ur translating in english too !! 👏
Edited by ...PARiNA... - 13 years ago
Debipriya thumbnail
Anniversary 14 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 13 years ago
Originally posted by: ...PARiNA...

@Debi :  i hd posted the dialogues of Nand and Krishna before Kans vadh.
its was shown in JSK (dnt know in old SK or not)
yahsodaji faints  when come to know through Akroorji that Krishna is not her son but Devki's and Vasudev's instead.
All the vaidh's (doctors 😆) were not able to cure her. So, nand begs Krishna (His son) to restore her life.

but i'll post too the dialogues of the same part u hv written   "Krishna's last meeting with Nand" from JSK 😃

can u post the vdo of this from SK




Ok, I didn't know that the scene of JSK which you posted is about Yashoda's fainting 😳. Will read it soon. Do post that parting sc of Nand- Krishna from JSK  when you find time 😊.

Meanwhile I'll also try to write  Krishna's parting dialogues with Yashoda before going to Mathura from SK, which again is a very powerful sc.
 
Now the Video link of the above sc posted by me:–
 
The org. sc. starts with Krishna-Balaram conversation regarding Nand Baba, (at the 8th Min of this clip). But entry of Nand is at 11th min-
 
 
And the sc ends at the 10th min of the next clip

 
BTW- 'Vaidh'… Laughed a lot reading this word 😆 😆….
 
...PARiNA... thumbnail
Anniversary 14 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 3
Posted: 13 years ago
Originally posted by: Debipriya




Ok, I didn't know that the scene of JSK which you posted is about Yashoda's fainting 😳. Will read it soon. Do post that parting sc of Nand- Krishna from JSK  when you find time 😊.

Meanwhile I'll also try to write  Krishna's parting dialogues with Yashoda before going to Mathura from SK, which again is a very powerful sc.
 
Now the Video link of the above sc posted by me:'
 
The org. sc. starts with Krishna-Balaram conversation regarding Nand Baba, (at the 8th Min of this clip). But entry of Nand is at 11th min-
 
 
And the sc ends at the 10th min of the next clip

 
BTW- 'Vaidh'' Laughed a lot reading this word 😆 😆'.
 



thanks !! i'll watch it ....
do read it ... its beautiful 😊 and emotional 😭